Revelation 1 · 20 verses

प्रकाशितवाक्य 1 Revelation 1 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Prakashitvakya 1.

1

यीशु मसीह का प्रकाशितवाक्य जो उसे परमेश्वर ने इसलिये दिया, कि अपने दासों को वे बातें, जिन का शीघ्र होना अवश्य है, दिखाए: और उस ने अपने स्वर्गदूत को भेज कर उसके द्वारा अपने दास यूहन्ना को बताया।

Yeshu Masih ka prakashitvakya jo use Parmeshwar ne isliye diya, ki apne dason ko ve batein, jin ka sheeghra hona avashya hai, dikhaye: aur us ne apne swargadoot ko bhej kar uske dwara apne daas Yuhanna ko bataya.

2

जिस ने परमेश्वर के वचन और यीशु मसीह की गवाही, अर्थात जो कुछ उस ने देखा था उस की गवाही दी।

Jis ne Parmeshwar ke vachan aur Yeshu Masih ki gavahi, arthaat jo kuchh us ne dekha tha us ki gavahi di.

3

धन्य है वह जो इस भविष्यद्वाणी के वचन को पढ़ता है, और वे जो सुनते हैं और इस में लिखी हुई बातों को मानते हैं, क्योंकि समय निकट आया है॥

Dhanya hai vah jo is bhavishyadwani ke vachan ko padhta hai, aur ve jo sunte hain aur is mein likhi hui baton ko mante hain, kyonki samay nikat aaya hai.

4

यूहन्ना की ओर से आसिया की सात कलीसियाओं के नाम: उस की ओर से जो है, और जो था, और जो आने वाला है; और उन सात आत्माओं की ओर से, जो उसके सिंहासन के साम्हने हैं।

Yuhanna ki or se aasiya ki saat kaleesiyaon ke naam: us ki or se jo hai, aur jo tha, aur jo aane vala hai; aur un saat aatmaon ki or se, jo uske sinhasan ke samhane hain.

5

और यीशु मसीह की ओर से, जो विश्वासयोग्य साक्षी और मरे हुओं में से जी उठने वालों में पहिलौठा, और पृथ्वी के राजाओं का हाकिम है, तुम्हें अनुग्रह और शान्ति मिलती रहे: जो हम से प्रेम रखता है, और जिस ने अपने लोहू के द्वारा हमें पापों से छुड़ाया है।

Aur Yeshu Masih ki or se, jo vishwasyogya sakshi aur mare huon mein se ji uthne valon mein pahilautha, aur prithvi ke rajaon ka hakim hai, tumhein anugrah aur shanti milti rahe: jo ham se prem rakhta hai, aur jis ne apne lohu ke dwara hamein papon se chhudaya hai.

6

और हमें एक राज्य और अपने पिता परमेश्वर के लिये याजक भी बना दिया; उसी की महिमा और पराक्रम युगानुयुग रहे। आमीन।

Aur hamein ek rajya aur apne pita Parmeshwar ke liye yajak bhi bana diya; usi ki mahima aur parakram yuganuyug rahe. Aamin.

7

देखो, वह बादलों के साथ आने वाला है; और हर एक आंख उसे देखेगी, वरन जिन्हों ने उसे बेधा था, वे भी उसे देखेंगे, और पृथ्वी के सारे कुल उसके कारण छाती पीटेंगे। हां। आमीन॥

Dekho, vah badlon ke saath aane vala hai; aur har ek aankh use dekhegi, varan jinhon ne use bedha tha, ve bhi use dekhenge, aur prithvi ke sare kul uske karan chhati peetenge. Han. Aamin.

8

प्रभु परमेश्वर वह जो है, और जो था, और जो आने वाला है; जो सर्वशक्तिमान है: यह कहता है, कि मैं ही अल्फा और ओमेगा हूं॥

Prabhu Parmeshwar vah jo hai, aur jo tha, aur jo aane vala hai; jo sarvashaktimaan hai: yah kahta hai, ki main hi alpha aur omega hoon.

9

मैं यूहन्ना जो तुम्हारा भाई, और यीशु के क्लेश, और राज्य, और धीरज में तुम्हारा सहभागी हूं, परमेश्वर के वचन, और यीशु की गवाही के कारण पतमुस नाम टापू में था।

Main Yuhanna jo tumhara bhai, aur Yeshu ke klesh, aur rajya, aur dheeraj mein tumhara sahbhagi hoon, Parmeshwar ke vachan, aur Yeshu ki gavahi ke karan patmus naam tapu mein tha.

10

कि मैं प्रभु के दिन आत्मा में आ गया, और अपने पीछे तुरही का सा बड़ा शब्द यह कहते सुना।

Ki main Prabhu ke din aatma mein aa gaya, aur apne peechhe turhi ka sa bada shabd yah kahte suna.

11

कि जो कुछ तू देखता है, उसे पुस्तक में लिख कर सातों कलीसियाओं के पास भेज दे, अर्थात इफिसुस और स्मुरना, और पिरगमुन, और थुआतीरा, और सरदीस, और फिलेदिलफिया, और लौदीकिया में।

Ki jo kuchh tu dekhta hai, use pustak mein likh kar saton kaleesiyaon ke paas bhej de, arthaat iphisus aur smurna, aur piragmun, aur thuaateera, aur sardees, aur philedilphiya, aur laudeekiya mein.

12

और मैं ने उसे जो मुझ से बोल रहा था; देखने के लिये अपना मुंह फेरा; और पीछे घूम कर मैं ने सोने की सात दीवटें देखीं।

Aur main ne use jo mujh se bol raha tha; dekhne ke liye apna munh phera; aur peechhe ghoom kar main ne sone ki saat deevtein dekhi.

13

और उन दीवटों के बीच में मनुष्य के पुत्र सरीखा एक पुरूष को देखा, जो पांवों तक का वस्त्र पहिने, और छाती पर सुनहला पटुका बान्धे हुए था।

Aur un deevton ke beech mein manushya ke putra sareekha ek puroosh ko dekha, jo panvon tak ka vastra pahine, aur chhati par sunahla patuka bandhe hue tha.

14

उसके सिर और बाल श्वेत ऊन वरन पाले के से उज्ज़वल थे; और उस की आंखे आग की ज्वाला की नाईं थी।

Uske sir aur baal shwet oon varan pale ke se ujzaval the; aur us ki aankhe aag ki jwala ki nai thi.

15

और उसके पांव उत्तम पीतल के समान थे जो मानो भट्टी में तपाए गए हों; और उसका शब्द बहुत जल के शब्द की नाईं था।

Aur uske paanv uttam peetal ke samaan the jo mano bhatti mein tapaye gaye hon; aur uska shabd bahut jal ke shabd ki nai tha.

16

और वह अपने दाहिने हाथ में सात तारे लिए हुए था: और उसके मुख से चोखी दोधारी तलवार निकलती थी; और उसका मुंह ऐसा प्रज्वलित था, जैसा सूर्य कड़ी धूप के समय चमकता है।

Aur vah apne dahine haath mein saat tare liye hue tha: aur uske mukh se chokhi dodhari talvaar nikalti thi; aur uska munh aisa prajwalit tha, jaisa soorya kadi dhoop ke samay chamakta hai.

17

जब मैं ने उसे देखा, तो उसके पैरों पर मुर्दा सा गिर पड़ा और उस ने मुझ पर अपना दाहिना हाथ रख कर यह कहा, कि मत डर; मैं प्रथम और अन्तिम और जीवता हूं।

Jab main ne use dekha, to uske pairon par murda sa gir pada aur us ne mujh par apna dahina haath rakh kar yah kaha, ki mat dar; main pratham aur antim aur jeevta hoon.

18

मैं मर गया था, और अब देख; मैं युगानुयुग जीवता हूं; और मृत्यु और अधोलोक की कुंजियां मेरे ही पास हैं।

Main mar gaya tha, aur ab dekh; main yuganuyug jeevta hoon; aur mrityu aur adholok ki kunjiyan mere hi paas hain.

19

इसलिये जो बातें तू ने देखीं हैं और जो बातें हो रही हैं; और जो इस के बाद होने वाली हैं, उन सब को लिख ले।

Isliye jo batein tu ne dekhi hain aur jo batein ho rahi hain; aur jo is ke baad hone vali hain, un sab ko likh le.

20

अर्थात उन सात तारों का भेद जिन्हें तू ने मेरे दाहिने हाथ में देखा था, और उन सात सोने की दीवटों का भेद: वे सात तारे सातों कलीसियाओं के दूत हैं, और वे सात दीवट सात कलीसियाएं हैं॥

Arthaat un saat taron ka bhed jinhein tu ne mere dahine haath mein dekha tha, aur un saat sone ki deevton ka bhed: ve saat tare saton kaleesiyaon ke doot hain, aur ve saat deevat saat kaleesiyayen hain.