इस के बाद मैं ने एक स्वर्गदूत को स्वर्ग से उतरते देखा, जिस का बड़ा अधिकार था; और पृथ्वी उसके तेज से प्रज्वलित हो गई।
Is ke baad main ne ek swargadoot ko swarg se utarte dekha, jis ka bada adhikaar tha; aur prithvi uske tej se prajwalit ho gai.
Revelation 18 · 24 verses
इस के बाद मैं ने एक स्वर्गदूत को स्वर्ग से उतरते देखा, जिस का बड़ा अधिकार था; और पृथ्वी उसके तेज से प्रज्वलित हो गई।
Is ke baad main ne ek swargadoot ko swarg se utarte dekha, jis ka bada adhikaar tha; aur prithvi uske tej se prajwalit ho gai.
उस ने ऊंचे शब्द से पुकार कर कहा, कि गिर गया बड़ा बाबुल गिर गया है: और दुष्टात्माओं का निवास, और हर एक अशुद्ध आत्मा का अड्डा, और एक अशुद्ध और घृणित पक्षी का अड्डा हो गया।
Us ne oonche shabd se pukaar kar kaha, ki gir gaya bada babul gir gaya hai: aur dushtatmaon ka nivaas, aur har ek ashuddh aatma ka adda, aur ek ashuddh aur ghrinit pakshi ka adda ho gaya.
क्योंकि उसके व्यभिचार के भयानक मदिरा के कारण सब जातियां गिर गई हैं, और पृथ्वी के राजाओं ने उसके साथ व्यभिचार किया है; और पृथ्वी के व्यापारी उसके सुख-विलास की बहुतायत के कारण धनवान हुए हैं।
Kyonki uske vyabhichaar ke bhayanak madira ke karan sab jatiyan gir gai hain, aur prithvi ke rajaon ne uske saath vyabhichaar kiya hai; aur prithvi ke vyapari uske sukh-vilaas ki bahutayat ke karan dhanvaan hue hain.
फिर मैं ने स्वर्ग से किसी और का शब्द सुना, कि हे मेरे लोगों, उस में से निकल आओ; कि तुम उसके पापों में भागी न हो, और उस की विपत्तियों में से कोई तुम पर आ न पड़े।
Phir main ne swarg se kisi aur ka shabd suna, ki he mere logon, us mein se nikal aao; ki tum uske papon mein bhagi na ho, aur us ki vipattiyon mein se koi tum par aa na pade.
क्योंकि उसके पाप स्वर्ग तक पहुंच गए हैं, और उसके अधर्म परमेश्वर को स्मरण आए हैं।
Kyonki uske paap swarg tak pahunch gaye hain, aur uske adharm Parmeshwar ko smaran aaye hain.
जैसा उस ने तुम्हें दिया है, वैसा ही उस को भर दो, और उसके कामों के अनुसार उसे दो गुणा बदला दो, जिस कटोरे में उस ने भर दिया था उसी में उसके लिये दो गुणा भर दो।
Jaisa us ne tumhein diya hai, vaisa hi us ko bhar do, aur uske kamon ke anusaar use do guna badla do, jis katore mein us ne bhar diya tha usi mein uske liye do guna bhar do.
जितनी उस ने अपनी बड़ाई की और सुख-विलास किया; उतनी उस को पीड़ा, और शोक दो; क्योंकि वह अपने मन में कहती है, मैं रानी हो बैठी हूं, विधवा नहीं; और शोक में कभी न पडूंगी।
Jitni us ne apni badai ki aur sukh-vilaas kiya; utni us ko peeda, aur shok do; kyonki vah apne man mein kahti hai, main rani ho baithi hoon, vidhva nahi; aur shok mein kabhi na padoongi.
इस कारण एक ही दिन में उस पर विपत्तियां आ पड़ेंगी, अर्थात मृत्यु, और शोक, और अकाल; और वह आग में भस्म कर दी जाएगी, क्योंकि उसका न्यायी प्रभु परमेश्वर शक्तिमान है।
Is karan ek hi din mein us par vipattiyan aa padengi, arthaat mrityu, aur shok, aur akaal; aur vah aag mein bhasm kar di jayegi, kyonki uska nyayi Prabhu Parmeshwar shaktimaan hai.
और पृथ्वी के राजा जिन्हों ने उसके साथ व्यभिचार, और सुख-विलास किया, जब उसके जलने का धुआं देखेंगे, तो उसके लिये रोएंगे, और छाती पीटेंगे।
Aur prithvi ke raja jinhon ne uske saath vyabhichaar, aur sukh-vilaas kiya, jab uske jalne ka dhuaan dekhenge, to uske liye royenge, aur chhati peetenge.
और उस की पीड़ा के डर के मारे दूर खड़े हो कर कहेंगे, हे बड़े नगर, बाबुल! हे दृढ़ नगर, हाय! हाय! घड़ी ही भर में तुझे दण्ड मिल गया है।
Aur us ki peeda ke dar ke mare door khade ho kar kahenge, he bade nagar, babul! He dridh nagar, haay! Haay! Ghadi hi bhar mein tujhe dand mil gaya hai.
और पृथ्वी के व्यापारी उसके लिये रोएंगे और कलपेंगे क्योंकि अब कोई उन का माल मोल न लेगा।
Aur prithvi ke vyapari uske liye royenge aur kalpenge kyonki ab koi un ka maal mol na lega.
अर्थात सोना, चान्दी, रत्न, मोती, और मलमल, और बैंजनी, और रेशमी, और किरिमजी कपड़े, और हर प्रकार का सुगन्धित काठ, और हाथीदांत की हर प्रकार की वस्तुएं, और बहुमोल काठ, और पीतल, और लोहे, और संगमरमर के सब भांति के पात्र।
Arthaat sona, chandi, ratn, moti, aur malmal, aur bainjni, aur reshmi, aur kirimji kapde, aur har prakaar ka sugandhit kaath, aur hatheedaant ki har prakaar ki vastuein, aur bahumol kaath, aur peetal, aur lohe, aur sangmarmar ke sab bhanti ke patra.
और दारचीनी, मसाले, धूप, इत्र, लोबान, मदिरा, तेल, मैदा, गेहूं, गाय, बैल, भेड़, बकरियां, घोड़े, रथ, और दास, और मनुष्यों के प्राण।
Aur darcheeni, masale, dhoop, itra, lobaan, madira, tel, maida, gehun, gaay, bail, bhed, bakriyan, ghode, rath, aur daas, aur manushyon ke praan.
अब मेरे मन भावने फल तेरे पास से जाते रहे; और स्वादिष्ट और भड़कीली वस्तुएं तुझ से दूर हुई हैं, और वे फिर कदापि न मिलेंगी।
Ab mere man bhavne phal tere paas se jate rahe; aur swadisht aur bhadkeeli vastuein tujh se door hui hain, aur ve phir kadapi na milengi.
इन वस्तुओं के व्यापारी जो उसके द्वारा धनवान हो गए थे, उस की पीड़ा के डर के मारे दूर खड़े होंगे, और रोते और कलपते हुए कहेंगे।
In vastuon ke vyapari jo uske dwara dhanvaan ho gaye the, us ki peeda ke dar ke mare door khade honge, aur rote aur kalapte hue kahenge.
हाय! हाय! यह बड़ा नगर जो मलमल, और बैंजनी, और किरिमजी कपड़े पहिने था, और सोने, और रत्नों, और मोतियों से सजा था,
Haay! Haay! Yah bada nagar jo malmal, aur bainjni, aur kirimji kapde pahine tha, aur sone, aur ratnon, aur motiyon se saja tha,
घड़ी ही भर में उसका ऐसा भारी धन नाश हो गया: और हर एक मांझी, और जलयात्री, और मल्लाह, और जितने समुद्र से कमाते हैं, सब दूर खड़े हुए।
Ghadi hi bhar mein uska aisa bhari dhan naash ho gaya: aur har ek manjhi, aur jalyatri, aur mallaah, aur jitne samudra se kamate hain, sab door khade hue.
और उसके जलने का धुआं देखते हुए पुकार कर कहेंगे, कौन सा नगर इस बड़े नगर के समान है?
Aur uske jalne ka dhuaan dekhte hue pukaar kar kahenge, kaun sa nagar is bade nagar ke samaan hai?
और अपने अपने सिरों पर धूल डालेंगे, और रोते हुए और कलपते हुए चिल्ला चिल्ला कर कहेंगे, कि हाय! हाय! यह बड़ा नगर जिस की सम्पत्ति के द्वारा समुद्र के सब जहाज वाले धनी हो गए थे घड़ी ही भर में उजड़ गया।
Aur apne apne siron par dhool dalenge, aur rote hue aur kalapte hue chilla chilla kar kahenge, ki haay! Haay! Yah bada nagar jis ki sampatti ke dwara samudra ke sab jahaaj vale dhani ho gaye the ghadi hi bhar mein ujad gaya.
हे स्वर्ग, और हे पवित्र लोगों, और प्रेरितों, और भविष्यद्वक्ताओं, उस पर आनन्द करो, क्योंकि परमेश्वर ने न्याय करके उस से तुम्हारा पलटा लिया है॥
He swarg, aur he pavitra logon, aur preriton, aur bhavishyadwaktaon, us par aanand karo, kyonki Parmeshwar ne nyaay karke us se tumhara palta liya hai.
फिर एक बलवन्त स्वर्गदूत ने बड़ी चक्की के पाट के समान एक पत्थर उठाया, और यह कह कर समुद्र में फेंक दिया, कि बड़ा नगर बाबुल ऐसे ही बड़े बल से गिराया जाएगा, और फिर कभी उसका पता न मिलेगा।
Phir ek balvant swargadoot ne badi chakki ke paat ke samaan ek patthar uthaya, aur yah kah kar samudra mein phenk diya, ki bada nagar babul aise hi bade bal se giraya jayega, aur phir kabhi uska pata na milega.
और वीणा बजाने वालों, और बजनियों, और बंसी बजाने वालों, और तुरही फूंकने वालों का शब्द फिर कभी तुझ में सुनाई न देगा, और किसी उद्यम का कोई कारीगर भी फिर कभी तुझ में न मिलेगा; और चक्की के चलने का शब्द फिर कभी तुझ में सुनाई न देगा।
Aur veena bajane valon, aur bajniyon, aur bansi bajane valon, aur turhi phoonkne valon ka shabd phir kabhi tujh mein sunai na dega, aur kisi udyam ka koi kareegar bhi phir kabhi tujh mein na milega; aur chakki ke chalne ka shabd phir kabhi tujh mein sunai na dega.
और दीया का उजाला फिर कभी तुझ में ने चमकेगा और दूल्हे और दुल्हिन का शब्द फिर कभी तुझ में सुनाई न देगा; क्योंकि तेरे व्यापारी पृथ्वी के प्रधान थे, और तेरे टोने से सब जातियां भरमाई गईं थीं।
Aur deeya ka ujala phir kabhi tujh mein ne chamkega aur doolhe aur dulhin ka shabd phir kabhi tujh mein sunai na dega; kyonki tere vyapari prithvi ke pradhaan the, aur tere tone se sab jatiyan bharmai gai thi.
और भविष्यद्वक्ताओं और पवित्र लोगों, और पृथ्वी पर सब घात किए हुओं का लोहू उसी में पाया गया॥
Aur bhavishyadwaktaon aur pavitra logon, aur prithvi par sab ghaat kiye huon ka lohu usi mein paya gaya.