Revelation 17 · 18 verses

प्रकाशितवाक्य 17 Revelation 17 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Prakashitvakya 17.

1

और जिन सात स्वर्गदूतों के पास वे सात कटोरे थे, उन में से एक ने आ कर मुझ से यह कहा कि इधर आ, मैं तुझे उस बड़ी वेश्या का दण्ड दिखाऊं, जो बहुत से पानियों पर बैठी है।

Aur jin saat swargadooton ke paas ve saat katore the, un mein se ek ne aa kar mujh se yah kaha ki idhar aa, main tujhe us badi veshya ka dand dikhaun, jo bahut se paniyon par baithi hai.

2

जिस के साथ पृथ्वी के राजाओं ने व्यभिचार किया, और पृथ्वी के रहने वाले उसके व्यभिचार की मदिरा से मतवाले हो गए थे।

Jis ke saath prithvi ke rajaon ne vyabhichaar kiya, aur prithvi ke rahne vale uske vyabhichaar ki madira se matvale ho gaye the.

3

तब वह मुझे आत्मा में जंगल को ले गया, और मैं ने किरिमजी रंग के पशु पर जो निन्दा के नामों से छिपा हुआ था और जिस के सात सिर और दस सींग थे, एक स्त्री को बैठे हुए देखा।

Tab vah mujhe aatma mein jangal ko le gaya, aur main ne kirimji rang ke pashu par jo ninda ke namon se chhipa huaa tha aur jis ke saat sir aur das seeng the, ek stri ko baithe hue dekha.

4

यह स्त्री बैंजनी, और किरिमजी, कपड़े पहिने थी, और सोने और बहुमोल मणियों और मोतियों से सजी हुई थी, और उसके हाथ में एक सोने का कटोरा था जो घृणित वस्तुओं से और उसके व्यभिचार की अशुद्ध वस्तुओं से भरा हुआ था।

Yah stri bainjni, aur kirimji, kapde pahine thi, aur sone aur bahumol maniyon aur motiyon se saji hui thi, aur uske haath mein ek sone ka katora tha jo ghrinit vastuon se aur uske vyabhichaar ki ashuddh vastuon se bhara huaa tha.

5

और उसके माथे पर यह नाम लिखा था, भेद - बड़ा बाबुल पृथ्वी की वेश्याओं और घृणित वस्तुओं की माता।

Aur uske mathe par yah naam likha tha, bhed - bada babul prithvi ki veshyaon aur ghrinit vastuon ki mata.

6

और मैं ने उस स्त्री को पवित्र लोगों के लोहू और यीशु के गवाहों के लोहू पीने से मतवाली देखा और उसे देख कर मैं चकित हो गया।

Aur main ne us stri ko pavitra logon ke lohu aur Yeshu ke gavahon ke lohu peene se matvali dekha aur use dekh kar main chakit ho gaya.

7

उस स्वर्गदूत ने मुझ से कहा; तू क्यों चकित हुआ? मैं इस स्त्री, और उस पशु का, जिस पर वह सवार है, और जिस के सात सिर और दस सींग हैं, तुझे भेद बताता हूं।

Us swargadoot ne mujh se kaha; tu kyon chakit huaa? Main is stri, aur us pashu ka, jis par vah savaar hai, aur jis ke saat sir aur das seeng hain, tujhe bhed batata hoon.

8

जो पशु तू ने देखा है, यह पहिले तो था, पर अब नहीं है, और अथाह कुंड से निकल कर विनाश में पड़ेगा, और पृथ्वी के रहने वाले जिन के नाम जगत की उत्पत्ति के समय से जीवन की पुस्तक में लिखे नहीं गए, इस पशु की यह दशा देखकर, कि पहिले था, और अब नहीं; और फिर आ जाएगा, अचंभा करेंगे।

Jo pashu tu ne dekha hai, yah pahile to tha, par ab nahi hai, aur athaah kund se nikal kar vinaash mein padega, aur prithvi ke rahne vale jin ke naam jagat ki utpatti ke samay se jeevan ki pustak mein likhe nahi gaye, is pashu ki yah dasha dekhkar, ki pahile tha, aur ab nahi; aur phir aa jayega, achambha karenge.

9

उस बुद्धि के लिये जिस में ज्ञान है यही अवसर है, वे सातों सिर सात पहाड़ हैं, जिन पर वह स्त्री बैठी है।

Us buddhi ke liye jis mein gyaan hai yahi avsar hai, ve saton sir saat pahaad hain, jin par vah stri baithi hai.

10

और वे सात राजा भी हैं, पांच तो हो चुके हैं, और एक अभी है; और एक अब तक आया नहीं, और जब आएगा, तो कुछ समय तक उसका रहना भी अवश्य है।

Aur ve saat raja bhi hain, paanch to ho chuke hain, aur ek abhi hai; aur ek ab tak aaya nahi, aur jab aayega, to kuchh samay tak uska rahna bhi avashya hai.

11

और जो पशु पहिले था, और अब नहीं, वह आप आठवां है; और उन सातों में से उत्पन्न हुआ, और विनाश में पड़ेगा।

Aur jo pashu pahile tha, aur ab nahi, vah aap aathvan hai; aur un saton mein se utpann huaa, aur vinaash mein padega.

12

और जो दस सींग तू ने देखे वे दस राजा हैं; जिन्हों ने अब तक राज्य नहीं पाया; पर उस पशु के साथ घड़ी भर के लिये राजाओं का सा अधिकार पाएंगे।

Aur jo das seeng tu ne dekhe ve das raja hain; jinhon ne ab tak rajya nahi paya; par us pashu ke saath ghadi bhar ke liye rajaon ka sa adhikaar payenge.

13

ये सब एक मन होंगे, और वे अपनी अपनी सामर्थ और अधिकार उस पशु को देंगे।

Ye sab ek man honge, aur ve apni apni samarth aur adhikaar us pashu ko denge.

14

ये मेम्ने से लड़ेंगे, और मेम्ना उन पर जय पाएगा; क्योंकि वह प्रभुओं का प्रभु, और राजाओं का राजा है: और जो बुलाए हुए, और चुने हुए, ओर विश्वासी उसके साथ हैं, वे भी जय पाएंगे।

Ye memne se ladenge, aur memna un par jay payega; kyonki vah prabhuon ka Prabhu, aur rajaon ka raja hai: aur jo bulaye hue, aur chune hue, or vishwasi uske saath hain, ve bhi jay payenge.

15

फिर उस ने मुझ से कहा, कि जो पानी तू ने देखे, जिन पर वेश्या बैठी है, वे लोग, और भीड़ और जातियां, और भाषा हैं।

Phir us ne mujh se kaha, ki jo pani tu ne dekhe, jin par veshya baithi hai, ve log, aur bheed aur jatiyan, aur bhasha hain.

16

और जो दस सींग तू ने देखे, वे और पशु उस वेश्या से बैर रखेंगे, और उसे लाचार और नंगी कर देंगे; और उसका मांस खा जाएंगे, और उसे आग में जला देंगे।

Aur jo das seeng tu ne dekhe, ve aur pashu us veshya se bair rakhenge, aur use lachaar aur nangi kar denge; aur uska maans kha jayenge, aur use aag mein jala denge.

17

क्योंकि परमेश्वर उन के मन में यह डालेगा, कि वे उस की मनसा पूरी करें; और जब तक परमेश्वर के वचन पूरे न हो लें, तब तक एक मन हो कर अपना अपना राज्य पशु को दे दें।

Kyonki Parmeshwar un ke man mein yah dalega, ki ve us ki mansa poori karein; aur jab tak Parmeshwar ke vachan poore na ho lein, tab tak ek man ho kar apna apna rajya pashu ko de dein.

18

और वह स्त्री, जिस तू ने देखा है वह बड़ा नगर है, जो पृथ्वी के राजाओं पर राज्य करता है॥

Aur vah stri, jis tu ne dekha hai vah bada nagar hai, jo prithvi ke rajaon par rajya karta hai.