Revelation 16 · 21 verses

प्रकाशितवाक्य 16 Revelation 16 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Prakashitvakya 16.

1

फिर मैं ने मन्दिर में किसी को ऊंचे शब्द से उन सातों स्वर्गदूतों से यह कहते सुना कि जाओ, परमेश्वर के प्रकोप के सातों कटोरों को पृथ्वी पर उंडेल दो॥

Phir main ne mandir mein kisi ko oonche shabd se un saton swargadooton se yah kahte suna ki jao, Parmeshwar ke prakop ke saton katoron ko prithvi par undel do.

2

सो पहिले ने जा कर अपना कटोरा पृथ्वी पर उंडेल दिया। और उन मनुष्यों के जिन पर पशु की छाप थी, और जो उस की मूरत की पूजा करते थे, एक प्रकार का बुरा और दुखदाई फोड़ा निकला॥

So pahile ne ja kar apna katora prithvi par undel diya. Aur un manushyon ke jin par pashu ki chhaap thi, aur jo us ki moorat ki pooja karte the, ek prakaar ka bura aur dukhdai phoda nikla.

3

और दूसरे ने अपना कटोरा समुद्र पर उंडेल दिया और वह मरे हुए का सा लोहू बन गया, और समुद्र में का हर एक जीवधारी मर गया॥

Aur doosre ne apna katora samudra par undel diya aur vah mare hue ka sa lohu ban gaya, aur samudra mein ka har ek jeevdhari mar gaya.

4

और तीसरे ने अपना कटोरा नदियों, और पानी के सोतों पर उंडेल दिया, और वे लोहू बन गए।

Aur teesre ne apna katora nadiyon, aur pani ke soton par undel diya, aur ve lohu ban gaye.

5

और मैं ने पानी के स्वर्गदूत को यह कहते सुना, कि हे पवित्र, जो है, और जो था, तू न्यायी है और तू ने यह न्याय किया।

Aur main ne pani ke swargadoot ko yah kahte suna, ki he pavitra, jo hai, aur jo tha, tu nyayi hai aur tu ne yah nyaay kiya.

6

क्योंकि उन्होंने पवित्र लोगों, और भविष्यद्वक्ताओं का लोहू बहाया था, और तू ने उन्हें लोहू पिलाया; क्योंकि वे इसी योग्य हैं।

Kyonki unhonne pavitra logon, aur bhavishyadwaktaon ka lohu bahaya tha, aur tu ne unhein lohu pilaya; kyonki ve isi yogya hain.

7

फिर मैं ने वेदी से यह शब्द सुना, कि हां हे सर्वशक्तिमान प्रभु परमेश्वर, तेरे निर्णय ठीक और सच्चे हैं॥

Phir main ne vedi se yah shabd suna, ki han he sarvashaktimaan Prabhu Parmeshwar, tere nirnay theek aur sachche hain.

8

और चौथे ने अपना कटोरा सूर्य पर उंडेल दिया, और उसे मनुष्यों को आग से झुलसा देने का अधिकार दिया गया।

Aur chauthe ne apna katora soorya par undel diya, aur use manushyon ko aag se jhulsa dene ka adhikaar diya gaya.

9

और मनुष्य बड़ी तपन से झुलस गए, और परमेश्वर के नाम की जिसे इन विपत्तियों पर अधिकार है, निन्दा की और उस की महिमा करने के लिये मन न फिराया॥

Aur manushya badi tapan se jhulas gaye, aur Parmeshwar ke naam ki jise in vipattiyon par adhikaar hai, ninda ki aur us ki mahima karne ke liye man na phiraya.

10

और पांचवें ने अपना कटोरा उस पशु के सिंहासन पर उंडेल दिया और उसके राज्य पर अंधेरा छा गया; और लोग पीड़ा के मारे अपनी अपनी जीभ चबाने लगे।

Aur panchvein ne apna katora us pashu ke sinhasan par undel diya aur uske rajya par andhera chha gaya; aur log peeda ke mare apni apni jeebh chabane lage.

11

और अपनी पीड़ाओं और फोड़ों के कारण स्वर्ग के परमेश्वर की निन्दा की; और अपने अपने कामों से मन न फिराया॥

Aur apni peedaon aur phodon ke karan swarg ke Parmeshwar ki ninda ki; aur apne apne kamon se man na phiraya.

12

और छठवें ने अपना कटोरा बड़ी नदी फुरात पर उंडेल दिया और उसका पानी सूख गया कि पूर्व दिशा के राजाओं के लिये मार्ग तैयार हो जाए।

Aur chhathvein ne apna katora badi nadi phuraat par undel diya aur uska pani sookh gaya ki poorva disha ke rajaon ke liye maarg taiyaar ho jaye.

13

और मैं ने उस अजगर के मुंह से, और उस पशु के मुंह से और उस झूठे भविष्यद्वक्ता के मुंह से तीन अशुद्ध आत्माओं को मेंढ़कों के रूप में निकलते देखा।

Aur main ne us ajgar ke munh se, aur us pashu ke munh se aur us jhoothe bhavishyadwakta ke munh se teen ashuddh aatmaon ko mendhkon ke roop mein nikalte dekha.

14

ये चिन्ह दिखाने वाली दुष्टात्मा हैं, जो सारे संसार के राजाओं के पास निकल कर इसलिये जाती हैं, कि उन्हें सर्वशक्तिमान परमेश्वर के उस बड़े दिन की लड़ाई के लिये इकट्ठा करें।

Ye chinh dikhane vali dushtatma hain, jo sare sansaar ke rajaon ke paas nikal kar isliye jati hain, ki unhein sarvashaktimaan Parmeshwar ke us bade din ki ladai ke liye ikattha karein.

15

देख, मैं चोर की नाईं आता हूं; धन्य वह है, जो जागता रहता है, और अपने वस्त्र कि चौकसी करता है, कि नंगा न फिरे, और लोग उसका नंगापन न देखें।

Dekh, main chor ki nai aata hoon; dhanya vah hai, jo jagta rahta hai, aur apne vastra ki chauksi karta hai, ki nanga na phire, aur log uska nangapan na dekhein.

16

और उन्होंने उन को उस जगह इकट्ठा किया, जो इब्रानी में हर-मगिदोन कहलाता है॥

Aur unhonne un ko us jagah ikattha kiya, jo ibrani mein har-magidon kahlata hai.

17

और सातवें ने अपना कटोरा हवा पर उंडेल दिया, और मंदिर के सिंहासन से यह बड़ा शब्द हुआ, कि हो चुका।

Aur satvein ne apna katora hava par undel diya, aur mandir ke sinhasan se yah bada shabd huaa, ki ho chuka.

18

फिर बिजलियां, और शब्द, और गर्जन हुए, और एक ऐसा बड़ा भुइंडोल हुआ, कि जब से मनुष्य की उत्पत्ति पृथ्वी पर हुई, तब से ऐसा बड़ा भुइंडोल कभी न हुआ था।

Phir bijliyan, aur shabd, aur garjan hue, aur ek aisa bada bhuindol huaa, ki jab se manushya ki utpatti prithvi par hui, tab se aisa bada bhuindol kabhi na huaa tha.

19

और उस बड़े नगर के तीन टुकड़े हो गए, और जाति जाति के नगर गिर पड़े, और बड़ा बाबुल का स्मरण परमेश्वर के यहां हुआ, कि वह अपने क्रोध की जलजलाहट की मदिरा उसे पिलाए।

Aur us bade nagar ke teen tukde ho gaye, aur jati jati ke nagar gir pade, aur bada babul ka smaran Parmeshwar ke yahan huaa, ki vah apne krodh ki jalajlahat ki madira use pilaye.

20

और हर एक टापू अपनी जगह से टल गया; और पहाड़ों का पता न लगा।

Aur har ek tapu apni jagah se tal gaya; aur pahadon ka pata na laga.

21

और आकाश से मनुष्यों पर मन मन भर के बड़े ओले गिरे, और इसलिये कि यह विपत्ति बहुत ही भारी थी, लोगों ने ओलों की विपत्ति के कारण परमेश्वर की निन्दा की॥

Aur aakaash se manushyon par man man bhar ke bade ole gire, aur isliye ki yah vipatti bahut hi bhari thi, logon ne olon ki vipatti ke karan Parmeshwar ki ninda ki.