Revelation 14 · 20 verses

प्रकाशितवाक्य 14 Revelation 14 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Prakashitvakya 14.

1

फिर मैं ने दृष्टि की, और देखो, वह मेम्ना सिय्योन पहाड़ पर खड़ा है, और उसके साथ एक लाख चौवालीस हजार जन हैं, जिन के माथे पर उसका और उसके पिता का नाम लिखा हुआ है।

Phir main ne drishti ki, aur dekho, vah memna siyyon pahaad par khada hai, aur uske saath ek laakh chauvalees hajaar jan hain, jin ke mathe par uska aur uske pita ka naam likha huaa hai.

2

और स्वर्ग से मुझे एक ऐसा शब्द सुनाई दिया, जो जल की बहुत धाराओं और बड़े गर्जन का सा शब्द था, और जो शब्द मैं ने सुना; वह ऐसा था, मानो वीणा बजाने वाले वीणा बजाते हों।

Aur swarg se mujhe ek aisa shabd sunai diya, jo jal ki bahut dharaon aur bade garjan ka sa shabd tha, aur jo shabd main ne suna; vah aisa tha, mano veena bajane vale veena bajate hon.

3

और वे सिंहासन के साम्हने और चारों प्राणियों और प्राचीनों के साम्हने मानो, यह नया गीत गा रहे थे, और उन एक लाख चौवालीस हजार जनो को छोड़ जो पृथ्वी पर से मोल लिए गए थे, कोई वह गीत न सीख सकता था।

Aur ve sinhasan ke samhane aur charon praniyon aur pracheenon ke samhane mano, yah naya geet ga rahe the, aur un ek laakh chauvalees hajaar jano ko chhod jo prithvi par se mol liye gaye the, koi vah geet na seekh sakta tha.

4

ये वे हैं, जो स्त्रियों के साथ अशुद्ध नहीं हुए, पर कुंवारे हैं: ये वे ही हैं, कि जहां कहीं मेम्ना जाता है, वे उसके पीछे हो लेते हैं: ये तो परमेश्वर के निमित्त पहिले फल होने के लिये मनुष्यों में से मोल लिए गए हैं।

Ye ve hain, jo striyon ke saath ashuddh nahi hue, par kunvare hain: ye ve hi hain, ki jahan kahi memna jata hai, ve uske peechhe ho lete hain: ye to Parmeshwar ke nimitt pahile phal hone ke liye manushyon mein se mol liye gaye hain.

5

और उन के मुंह से कभी झूठ न निकला था, वे निर्दोष हैं॥

Aur un ke munh se kabhi jhooth na nikla tha, ve nirdosh hain.

6

फिर मैं ने एक और स्वर्गदूत को आकाश के बीच में उड़ते हुए देखा जिस के पास पृथ्वी पर के रहने वालों की हर एक जाति, और कुल, और भाषा, और लोगों को सुनाने के लिये सनातन सुसमाचार था।

Phir main ne ek aur swargadoot ko aakaash ke beech mein udte hue dekha jis ke paas prithvi par ke rahne valon ki har ek jati, aur kul, aur bhasha, aur logon ko sunane ke liye sanatan susmachaar tha.

7

और उस ने बड़े शब्द से कहा; परमेश्वर से डरो; और उस की महिमा करो; क्योंकि उसके न्याय करने का समय आ पहुंचा है, और उसका भजन करो, जिस ने स्वर्ग और पृथ्वी और समुद्र और जल के सोते बनाए॥

Aur us ne bade shabd se kaha; Parmeshwar se daro; aur us ki mahima karo; kyonki uske nyaay karne ka samay aa pahuncha hai, aur uska bhajan karo, jis ne swarg aur prithvi aur samudra aur jal ke sote banaye.

8

फिर इस के बाद एक और दूसरा स्वर्गदूत यह कहता हुआ आया, कि गिर पड़ा, वह बड़ा बाबुल गिर पड़ा जिस ने अपने व्यभिचार की कोपमय मदिरा सारी जातियों को पिलाई है॥

Phir is ke baad ek aur doosra swargadoot yah kahta huaa aaya, ki gir pada, vah bada babul gir pada jis ne apne vyabhichaar ki kopmay madira sari jatiyon ko pilai hai.

9

फिर इन के बाद एक और स्वर्गदूत बड़े शब्द से यह कहता हुआ आया, कि जो कोई उस पशु और उस की मूरत की पूजा करे, और अपने माथे या अपने हाथ पर उस की छाप ले।

Phir in ke baad ek aur swargadoot bade shabd se yah kahta huaa aaya, ki jo koi us pashu aur us ki moorat ki pooja kare, aur apne mathe ya apne haath par us ki chhaap le.

10

तो वह परमेश्वर का प्रकोप की निरी मदिरा जो उसके क्रोध के कटोरे में डाली गई है, पीएगा और पवित्र स्वर्गदूतों के साम्हने, और मेम्ने के साम्हने आग और गन्धक की पीड़ा में पड़ेगा।

To vah Parmeshwar ka prakop ki niri madira jo uske krodh ke katore mein dali gai hai, peeyega aur pavitra swargadooton ke samhane, aur memne ke samhane aag aur gandhak ki peeda mein padega.

11

और उन की पीड़ा का धुआं युगानुयुग उठता रहेगा, और जो उस पशु और उस की मूरत की पूजा करते हैं, और जो उसके नाम की छाप लेते हैं, उन को रात दिन चैन न मिलेगा।

Aur un ki peeda ka dhuaan yuganuyug uthta rahega, aur jo us pashu aur us ki moorat ki pooja karte hain, aur jo uske naam ki chhaap lete hain, un ko raat din chain na milega.

12

पवित्र लोगों का धीरज इसी में है, जो परमेश्वर की आज्ञाओं को मानते, और यीशु पर विश्वास रखते हैं॥

Pavitra logon ka dheeraj isi mein hai, jo Parmeshwar ki aagyaon ko mante, aur Yeshu par vishwaas rakhte hain.

13

और मैं ने स्वर्ग से यह शब्द सुना, कि लिख; जो मुरदे प्रभु में मरते हैं, वे अब से धन्य हैं, आत्मा कहता है, हां क्योंकि वे अपने परिश्र्मों से विश्राम पाएंगे, और उन के कार्य उन के साथ हो लेते हैं॥

Aur main ne swarg se yah shabd suna, ki likh; jo murde Prabhu mein marte hain, ve ab se dhanya hain, aatma kahta hai, han kyonki ve apne parishrmon se vishraam payenge, aur un ke karya un ke saath ho lete hain.

14

और मैं ने दृष्टि की, और देखो, एक उजला बादल है, और उस बादल पर मनुष्य के पुत्र सरीखा कोई बैठा है, जिस के सिर पर सोने का मुकुट और हाथ में चोखा हंसुआ है।

Aur main ne drishti ki, aur dekho, ek ujla badal hai, aur us badal par manushya ke putra sareekha koi baitha hai, jis ke sir par sone ka mukut aur haath mein chokha hansuaa hai.

15

फिर एक और स्वर्गदूत ने मन्दिर में से निकल कर, उस से जो बादल पर बैठा था, बड़े शब्द से पुकार कर कहा, कि अपना हंसुआ लगा कर लवनी कर, क्योंकि लवने का समय आ पंहुचा है, इसलिये कि पृथ्वी की खेती पक चुकी है।

Phir ek aur swargadoot ne mandir mein se nikal kar, us se jo badal par baitha tha, bade shabd se pukaar kar kaha, ki apna hansuaa laga kar lavni kar, kyonki lavne ka samay aa panhucha hai, isliye ki prithvi ki kheti pak chuki hai.

16

सो जो बादल पर बैठा था, उस ने पृथ्वी पर अपना हंसुआ लगाया, और पृथ्वी की लवनी की गई॥

So jo badal par baitha tha, us ne prithvi par apna hansuaa lagaya, aur prithvi ki lavni ki gai.

17

फिर एक और स्वर्गदूत उस मन्दिर में से निकला, जो स्वर्ग में है, और उसके पास भी चोखा हंसुआ था।

Phir ek aur swargadoot us mandir mein se nikla, jo swarg mein hai, aur uske paas bhi chokha hansuaa tha.

18

फिर एक और स्वर्गदूत जिस आग पर अधिकार था, वेदी में से निकला, और जिस के पास चोखा हंसुआ था, उस से ऊंचे शब्द से कहा; अपना चोखा हंसुआ लगा कर पृथ्वी की दाख लता के गुच्छे काट ले; क्योंकि उस की दाख पक चुकी है।

Phir ek aur swargadoot jis aag par adhikaar tha, vedi mein se nikla, aur jis ke paas chokha hansuaa tha, us se oonche shabd se kaha; apna chokha hansuaa laga kar prithvi ki daakh lata ke guchchhe kaat le; kyonki us ki daakh pak chuki hai.

19

और उस स्वर्गदूत ने पृथ्वी पर अपना हंसुआ डाला, और पृथ्वी की दाख लता का फल काट कर, अपने परमेश्वर के प्रकोप के बड़े रस के कुण्ड में डाल दिया।

Aur us swargadoot ne prithvi par apna hansuaa dala, aur prithvi ki daakh lata ka phal kaat kar, apne Parmeshwar ke prakop ke bade ras ke kund mein daal diya.

20

और नगर के बाहर उस रस के कुण्ड में दाख रौंदे गए, और रस कुण्ड में से इतना लोहू निकला कि घोड़ों के लगामों तक पहुंचा, और सौ कोस तक बह गया॥

Aur nagar ke bahar us ras ke kund mein daakh raunde gaye, aur ras kund mein se itna lohu nikla ki ghodon ke lagamon tak pahuncha, aur sau kos tak bah gaya.