Revelation 13 · 18 verses

प्रकाशितवाक्य 13 Revelation 13 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Prakashitvakya 13.

1

और मैं ने एक पशु को समुद्र में से निकलते हुए देखा, जिस के दस सींग और सात सिर थे; उसके सींगों पर दस राजमुकुट और उसके सिरों पर परमेश्वर की निन्दा के नाम लिखे हुए थे।

Aur main ne ek pashu ko samudra mein se nikalte hue dekha, jis ke das seeng aur saat sir the; uske seengon par das rajmukut aur uske siron par Parmeshwar ki ninda ke naam likhe hue the.

2

और जो पशु मैं ने देखा, वह चीते की नाईं था; और उसके पांव भालू के से, और मुंह सिंह का सा था; और उस अजगर ने अपनी सामर्थ, और अपना सिंहासन, और बड़ा अधिकार, उसे दे दिया।

Aur jo pashu main ne dekha, vah cheete ki nai tha; aur uske paanv bhalu ke se, aur munh sinh ka sa tha; aur us ajgar ne apni samarth, aur apna sinhasan, aur bada adhikaar, use de diya.

3

और मैं ने उसके सिरों में से एक पर ऐसा भारी घाव लगा देखा, मानो वह मरने पर है; फिर उसका प्राण घातक घाव अच्छा हो गया, और सारी पृथ्वी के लोग उस पशु के पीछे पीछे अचंभा करते हुए चले।

Aur main ne uske siron mein se ek par aisa bhari ghaav laga dekha, mano vah marne par hai; phir uska praan ghatak ghaav achchha ho gaya, aur sari prithvi ke log us pashu ke peechhe peechhe achambha karte hue chale.

4

और उन्होंने अजगर की पूजा की, क्योंकि उस ने पशु को अपना अधिकार दे दिया था और यह कह कर पशु की पूजा की, कि इस पशु के समान कौन है?

Aur unhonne ajgar ki pooja ki, kyonki us ne pashu ko apna adhikaar de diya tha aur yah kah kar pashu ki pooja ki, ki is pashu ke samaan kaun hai?

5

कौन उस से लड़ सकता है और बड़े बोल बोलने और निन्दा करने के लिये उसे एक मुंह दिया गया, और उसे बयालीस महीने तक काम करने का अधिकार दिया गया।

Kaun us se lad sakta hai aur bade bol bolne aur ninda karne ke liye use ek munh diya gaya, aur use bayalees maheene tak kaam karne ka adhikaar diya gaya.

6

और उस ने परमेश्वर की निन्दा करने के लिये मुंह खोला, कि उसके नाम और उसके तम्बू अर्थात स्वर्ग के रहने वालों की निन्दा करे।

Aur us ne Parmeshwar ki ninda karne ke liye munh khola, ki uske naam aur uske tambu arthaat swarg ke rahne valon ki ninda kare.

7

और उसे यह अधिकार दिया गया, कि पवित्र लोगों से लड़े, और उन पर जय पाए, और उसे हर एक कुल, और लोग, और भाषा, और जाति पर अधिकार दिया गया।

Aur use yah adhikaar diya gaya, ki pavitra logon se lade, aur un par jay paye, aur use har ek kul, aur log, aur bhasha, aur jati par adhikaar diya gaya.

8

और पृथ्वी के वे सब रहने वाले जिन के नाम उस मेम्ने की जीवन की पुस्तक में लिखे नहीं गए, जो जगत की उत्पत्ति के समय से घात हुआ है, उस पशु की पूजा करेंगे।

Aur prithvi ke ve sab rahne vale jin ke naam us memne ki jeevan ki pustak mein likhe nahi gaye, jo jagat ki utpatti ke samay se ghaat huaa hai, us pashu ki pooja karenge.

9

जिस के कान हों वह सुने।

Jis ke kaan hon vah sune.

10

जिस को कैद में पड़ना है, वह कैद में पड़ेगा, जो तलवार से मारेगा, अवश्य है कि वह तलवार से मारा जाएगा, पवित्र लोगों का धीरज और विश्वास इसी में है॥

Jis ko kaid mein padna hai, vah kaid mein padega, jo talvaar se marega, avashya hai ki vah talvaar se mara jayega, pavitra logon ka dheeraj aur vishwaas isi mein hai.

11

फिर मैं ने एक और पशु को पृथ्वी में से निकलते हुए देखा, उसके मेम्ने के से दो सींग थे; और वह अजगर की नाईं बोलता था।

Phir main ne ek aur pashu ko prithvi mein se nikalte hue dekha, uske memne ke se do seeng the; aur vah ajgar ki nai bolta tha.

12

और यह उस पहिले पशु का सारा अधिकार उसके साम्हने काम में लाता था, और पृथ्वी और उसके रहने वालों से उस पहिले पशु की जिस का प्राण घातक घाव अच्छा हो गया था, पूजा कराता था।

Aur yah us pahile pashu ka sara adhikaar uske samhane kaam mein lata tha, aur prithvi aur uske rahne valon se us pahile pashu ki jis ka praan ghatak ghaav achchha ho gaya tha, pooja karata tha.

13

और वह बड़े बड़े चिन्ह दिखाता था, यहां तक कि मनुष्यों के साम्हने स्वर्ग से पृथ्वी पर आग बरसा देता था।

Aur vah bade bade chinh dikhata tha, yahan tak ki manushyon ke samhane swarg se prithvi par aag barsa deta tha.

14

और उन चिन्हों के कारण जिन्हें उस पशु के साम्हने दिखाने का अधिकार उसे दिया गया था; वह पृथ्वी के रहने वालों को इस प्रकार भरमाता था, कि पृथ्वी के रहने वालों से कहता था, कि जिस पशु के तलवार लगी थी, वह जी गया है, उस की मूरत बनाओ।

Aur un chinhon ke karan jinhein us pashu ke samhane dikhane ka adhikaar use diya gaya tha; vah prithvi ke rahne valon ko is prakaar bharmata tha, ki prithvi ke rahne valon se kahta tha, ki jis pashu ke talvaar lagi thi, vah ji gaya hai, us ki moorat banao.

15

और उसे उस पशु की मूरत में प्राण डालने का अधिकार दिया गया, कि पशु की मूरत बोलने लगे; और जितने लोग उस पशु की मूरत की पूजा न करें, उन्हें मरवा डाले।

Aur use us pashu ki moorat mein praan dalne ka adhikaar diya gaya, ki pashu ki moorat bolne lage; aur jitne log us pashu ki moorat ki pooja na karein, unhein marva dale.

16

और उस ने छोटे, बड़े, धनी, कंगाल, स्वत्रंत, दास सब के दाहिने हाथ या उन के माथे पर एक एक छाप करा दी।

Aur us ne chhote, bade, dhani, kangaal, swatrant, daas sab ke dahine haath ya un ke mathe par ek ek chhaap kara di.

17

कि उस को छोड़ जिस पर छाप अर्थात उस पशु का नाम, या उसके नाम का अंक हो, और कोई लेन देन न कर सके।

Ki us ko chhod jis par chhaap arthaat us pashu ka naam, ya uske naam ka ank ho, aur koi len den na kar sake.

18

ज्ञान इसी में है, जिसे बुद्धि हो, वह इस पशु का अंक जोड़ ले, क्योंकि मनुष्य का अंक है, और उसका अंक छ: सौ छियासठ है॥

Gyaan isi mein hai, jise buddhi ho, vah is pashu ka ank jod le, kyonki manushya ka ank hai, aur uska ank chha: sau chhiyasath hai.