Revelation 12 · 17 verses

प्रकाशितवाक्य 12 Revelation 12 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Prakashitvakya 12.

1

फिर स्वर्ग पर एक बड़ा चिन्ह दिखाई दिया, अर्थात एक स्त्री जो सूर्य्य ओढ़े हुए थी, और चान्द उसके पांवों तले था, और उसके सिर पर बारह तारों का मुकुट था।

Phir swarg par ek bada chinh dikhai diya, arthaat ek stri jo sooryya odhe hue thi, aur chaand uske panvon tale tha, aur uske sir par barah taron ka mukut tha.

2

और वह गर्भवती हुई, और चिल्लाती थी; क्योंकि प्रसव की पीड़ा उसे लगी थी; और वह बच्चा जनने की पीड़ा में थी।

Aur vah garbhavti hui, aur chillati thi; kyonki prasav ki peeda use lagi thi; aur vah bachcha janne ki peeda mein thi.

3

और एक और चिन्ह स्वर्ग पर दिखाई दिया, और देखो; एक बड़ा लाल अजगर था जिस के सात सिर और दस सींग थे, और उसके सिरों पर सात राजमुकुट थे।

Aur ek aur chinh swarg par dikhai diya, aur dekho; ek bada laal ajgar tha jis ke saat sir aur das seeng the, aur uske siron par saat rajmukut the.

4

और उस की पूंछ ने आकाश के तारों की एक तिहाई को खींच कर पृथ्वी पर डाल दिया, और वह अजगर उस स्त्री से साम्हने जो जच्चा थी, खड़ा हुआ, कि जब वह बच्चा जने तो उसके बच्चे को निगल जाए।

Aur us ki poonchh ne aakaash ke taron ki ek tihai ko kheench kar prithvi par daal diya, aur vah ajgar us stri se samhane jo jachcha thi, khada huaa, ki jab vah bachcha jane to uske bachche ko nigal jaye.

5

और वह बेटा जनी जो लोहे का दण्ड लिए हुए, सब जातियों पर राज्य करने पर था, और उसका बच्चा एकाएक परमेश्वर के पास, और उसके सिंहासन के पास उठा कर पहुंचा दिया गया।

Aur vah beta jani jo lohe ka dand liye hue, sab jatiyon par rajya karne par tha, aur uska bachcha ekayek Parmeshwar ke paas, aur uske sinhasan ke paas utha kar pahuncha diya gaya.

6

और वह स्त्री उस जंगल को भाग गई, जहां परमेश्वर की ओर से उसके लिये एक जगह तैयार की गई थी, कि वहां वह एक हजार दो सौ साठ दिन तक पाली जाए॥

Aur vah stri us jangal ko bhaag gai, jahan Parmeshwar ki or se uske liye ek jagah taiyaar ki gai thi, ki vahan vah ek hajaar do sau saath din tak pali jaye.

7

फिर स्वर्ग पर लड़ाई हुई, मीकाईल और उसके स्वर्गदूत अजगर से लड़ने को निकले, और अजगर ओर उसके दूत उस से लड़े।

Phir swarg par ladai hui, meekail aur uske swargadoot ajgar se ladne ko nikle, aur ajgar or uske doot us se lade.

8

परन्तु प्रबल न हुए, और स्वर्ग में उन के लिये फिर जगह न रही।

Parantu prabal na hue, aur swarg mein un ke liye phir jagah na rahi.

9

और वह बड़ा अजगर अर्थात वही पुराना सांप, जो इब्लीस और शैतान कहलाता है, और सारे संसार का भरमाने वाला है, पृथ्वी पर गिरा दिया गया; और उसके दूत उसके साथ गिरा दिए गए।

Aur vah bada ajgar arthaat vahi purana saamp, jo iblees aur Shaitan kahlata hai, aur sare sansaar ka bharmane vala hai, prithvi par gira diya gaya; aur uske doot uske saath gira diye gaye.

10

फिर मैं ने स्वर्ग पर से यह बड़ा शब्द आते हुए सुना, कि अब हमारे परमेश्वर का उद्धार, और सामर्थ, और राज्य, और उसके मसीह का अधिकार प्रगट हुआ है; क्योंकि हमारे भाइयों पर दोष लगाने वाला, जो रात दिन हमारे परमेश्वर के साम्हने उन पर दोष लगाया करता था, गिरा दिया गया।

Phir main ne swarg par se yah bada shabd aate hue suna, ki ab hamare Parmeshwar ka uddhaar, aur samarth, aur rajya, aur uske Masih ka adhikaar pragat huaa hai; kyonki hamare bhaiyon par dosh lagane vala, jo raat din hamare Parmeshwar ke samhane un par dosh lagaya karta tha, gira diya gaya.

11

और वे मेम्ने के लोहू के कारण, और अपनी गवाही के वचन के कारण, उस पर जयवन्त हुए, और उन्होंने अपने प्राणों को प्रिय न जाना, यहां तक कि मृत्यु भी सह ली।

Aur ve memne ke lohu ke karan, aur apni gavahi ke vachan ke karan, us par jayvant hue, aur unhonne apne pranon ko priya na jana, yahan tak ki mrityu bhi sah li.

12

इस कारण, हे स्वर्गों, और उन में के रहने वालों मगन हो; हे पृथ्वी, और समुद्र, तुम पर हाय! क्योंकि शैतान बड़े क्रोध के साथ तुम्हारे पास उतर आया है; क्योंकि जानता है, कि उसका थोड़ा ही समय और बाकी है॥

Is karan, he swargon, aur un mein ke rahne valon magan ho; he prithvi, aur samudra, tum par haay! Kyonki Shaitan bade krodh ke saath tumhare paas utar aaya hai; kyonki janta hai, ki uska thoda hi samay aur baki hai.

13

और जब अजगर ने देखा, कि मैं पृथ्वी पर गिरा दिया गया हूं, तो उस स्त्री को जो बेटा जनी थी, सताया।

Aur jab ajgar ne dekha, ki main prithvi par gira diya gaya hoon, to us stri ko jo beta jani thi, sataya.

14

और उस स्त्री को बड़े उकाब के दो पंख दिए गए, कि सांप के साम्हने से उड़ कर जंगल में उस जगह पहुंच जाए, जहां वह एक समय, और समयों, और आधे समय तक पाली जाए।

Aur us stri ko bade ukaab ke do pankh diye gaye, ki saamp ke samhane se ud kar jangal mein us jagah pahunch jaye, jahan vah ek samay, aur samyon, aur aadhe samay tak pali jaye.

15

और सांप ने उस स्त्री के पीछे अपने मुंह से नदी की नाईं पानी बहाया, कि उसे इस नदी से बहा दे।

Aur saamp ne us stri ke peechhe apne munh se nadi ki nai pani bahaya, ki use is nadi se baha de.

16

परन्तु पृथ्वी ने उस स्त्री की सहायता की, और अपना मुंह खोल कर उस नदी को जो अजगर ने अपने मुंह से बहाई थी, पी लिया।

Parantu prithvi ne us stri ki sahayta ki, aur apna munh khol kar us nadi ko jo ajgar ne apne munh se bahai thi, pi liya.

17

और अजगर स्त्री पर क्रोधित हुआ, और उसकी शेष सन्तान से जो परमेश्वर की आज्ञाओं को मानते, और यीशु की गवाही देने पर स्थिर हैं, लड़ने को गया। और वह समुद्र के बालू पर जा खड़ा हुआ॥

Aur ajgar stri par krodhit huaa, aur uski shesh santaan se jo Parmeshwar ki aagyaon ko mante, aur Yeshu ki gavahi dene par sthir hain, ladne ko gaya. Aur vah samudra ke balu par ja khada huaa.