Psalms 24 · 10 verses

भजन संहिता 24 Psalms 24 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Bhajan sanhita 24.

1

पृथ्वी और जो कुछ उस में है यहोवा ही का है; जगत और उस में निवास करने वाले भी।

Prithvi aur jo kuchh us mein hai Yahowa hi ka hai; jagat aur us mein nivaas karne vale bhi.

2

क्योंकि उसी ने उसकी नींव समुद्रों के ऊपर दृढ़ करके रखी, और महानदों के ऊपर स्थिर किया है॥

Kyonki usi ne uski neenv samudron ke oopar dridh karke rakhi, aur mahandon ke oopar sthir kiya hai.

3

यहोवा के पर्वत पर कौन चढ़ सकता है? और उसके पवित्र स्थान में कौन खड़ा हो सकता है?

Yahowa ke parvat par kaun chadh sakta hai? Aur uske pavitra sthaan mein kaun khada ho sakta hai?

4

जिसके काम निर्दोष और हृदय शुद्ध है, जिसने अपने मन को व्यर्थ बात की ओर नहीं लगाया, और न कपट से शपथ खाई है।

Jiske kaam nirdosh aur hriday shuddh hai, jisne apne man ko vyarth baat ki or nahi lagaya, aur na kapat se shapath khai hai.

5

वह यहोवा की ओर से आशीष पाएगा, और अपने उद्धार करने वाले परमेश्वर की ओर से धर्मी ठहरेगा।

Vah Yahowa ki or se aasheesh payega, aur apne uddhaar karne vale Parmeshwar ki or se dharmi thahrega.

6

ऐसे ही लोग उसके खोजी हैं, वे तेरे दर्शन के खोजी याकूब वंशी हैं॥

Aise hi log uske khoji hain, ve tere darshan ke khoji Yakub vanshi hain.

7

हे फाटकों, अपने सिर ऊंचे करो। हे सनातन के द्वारों, ऊंचे हो जाओ। क्योंकि प्रतापी राजा प्रवेश करेगा।

He phatkon, apne sir oonche karo. He sanatan ke dwaron, oonche ho jao. Kyonki pratapi raja pravesh karega.

8

वह प्रतापी राजा कौन है? परमेश्वर जो सामर्थी और पराक्रमी है, परमेश्वर जो युद्ध में पराक्रमी है!

Vah pratapi raja kaun hai? Parmeshwar jo samarthi aur parakrami hai, Parmeshwar jo yuddh mein parakrami hai!

9

हे फाटकों, अपने सिर ऊंचे करो हे सनातन के द्वारों तुम भी खुल जाओ! क्योंकि प्रतापी राजा प्रवेश करेगा!

He phatkon, apne sir oonche karo he sanatan ke dwaron tum bhi khul jao! Kyonki pratapi raja pravesh karega!

10

वह प्रतापी राजा कौन है? सेनाओं का यहोवा, वही प्रतापी राजा है॥

Vah pratapi raja kaun hai? Senaon ka Yahowa, vahi pratapi raja hai.