हे परमेश्वर तेरे तम्बू में कौन रहेगा? तेरे पवित्र पर्वत पर कौन बसने पाएगा?
He Parmeshwar tere tambu mein kaun rahega? Tere pavitra parvat par kaun basne payega?
Psalms 15 · 5 verses
हे परमेश्वर तेरे तम्बू में कौन रहेगा? तेरे पवित्र पर्वत पर कौन बसने पाएगा?
He Parmeshwar tere tambu mein kaun rahega? Tere pavitra parvat par kaun basne payega?
वह जो खराई से चलता और धर्म के काम करता है, और हृदय से सच बोलता है;
Vah jo kharai se chalta aur dharm ke kaam karta hai, aur hriday se sach bolta hai;
जो अपनी जीभ से निन्दा नहीं करता, और न अपने मित्र की बुराई करता, और न अपने पड़ोसी की निन्दा सुनता है;
Jo apni jeebh se ninda nahi karta, aur na apne mitra ki burai karta, aur na apne padosi ki ninda sunta hai;
वह जिसकी दृष्टि में निकम्मा मनुष्य तुच्छ है, और जो यहोवा के डरवैयों का आदर करता है, जो शपथ खाकर बदलता नहीं चाहे हानि उठानी पड़े;
Vah jiski drishti mein nikamma manushya tuchchh hai, aur jo Yahowa ke darvaiyon ka aadar karta hai, jo shapath khakar badalta nahi chahe hani uthani pade;
जो अपना रूपया ब्याज पर नहीं देता, और निर्दोष की हानि करने के लिये घूस नहीं लेता है। जो कोई ऐसी चाल चलता है वह कभी न डगमगाएगा॥
Jo apna roopya byaaj par nahi deta, aur nirdosh ki hani karne ke liye ghoos nahi leta hai. Jo koi aisi chaal chalta hai vah kabhi na dagamgayega.