हे मेरे परमेश्वर, हे राजा, मैं तुझे सराहूंगा, और तेरे नाम को सदा सर्वदा धन्य कहता रहूंगा।
He mere Parmeshwar, he raja, main tujhe sarahoonga, aur tere naam ko sada sarvada dhanya kahta rahoonga.
Psalms 145 · 21 verses
हे मेरे परमेश्वर, हे राजा, मैं तुझे सराहूंगा, और तेरे नाम को सदा सर्वदा धन्य कहता रहूंगा।
He mere Parmeshwar, he raja, main tujhe sarahoonga, aur tere naam ko sada sarvada dhanya kahta rahoonga.
प्रति दिन मैं तुझ को धन्य कहा करूंगा, और तेरे नाम की स्तुति सदा सर्वदा करता रहूंगा।
Prati din main tujh ko dhanya kaha karoonga, aur tere naam ki stuti sada sarvada karta rahoonga.
यहोवा महान और अति स्तुति के योग्य है, और उसकी बड़ाई अगम है॥
Yahowa mahaan aur ati stuti ke yogya hai, aur uski badai agam hai.
तेरे कामों की प्रशंसा और तेरे पराक्रम के कामों का वर्णन, पीढ़ी पीढ़ी होता चला जाएगा।
Tere kamon ki prashansa aur tere parakram ke kamon ka varnan, peedhi peedhi hota chala jayega.
मैं तेरे ऐश्वर्य की महिमा के प्रताप पर और तेरे भांति भांति के आश्चर्यकर्मों पर ध्यान करूंगा।
Main tere aishwarya ki mahima ke prataap par aur tere bhanti bhanti ke aashcharyakarmon par dhyaan karoonga.
लोग तेरे भयानक कामों की शक्ति की चर्चा करेंगे, और मैं तेरे बड़े बड़े कामों का वर्णन करूंगा।
Log tere bhayanak kamon ki shakti ki charcha karenge, aur main tere bade bade kamon ka varnan karoonga.
लोग तेरी बड़ी भलाई का स्मरण करके उसकी चर्चा करेंगे, और तेरे धर्म का जयजयकार करेंगे॥
Log teri badi bhalai ka smaran karke uski charcha karenge, aur tere dharm ka jayjaykaar karenge.
यहोवा अनुग्रहकारी और दयालु, विलम्ब से क्रोध करने वाला और अति करूणामय है।
Yahowa anugrahkari aur dayalu, vilamb se krodh karne vala aur ati karoonamay hai.
यहोवा सभों के लिये भला है, और उसकी दया उसकी सारी सृष्टि पर है॥
Yahowa sabhon ke liye bhala hai, aur uski daya uski sari srishti par hai.
हे यहोवा, तेरी सारी सृष्टि तेरा धन्यवाद करेगी, और तेरे भक्त लोग तुझे धन्य कहा करेंगे!
He Yahowa, teri sari srishti tera dhanyavaad karegi, aur tere bhakt log tujhe dhanya kaha karenge!
वे तेरे राज्य की महिमा की चर्चा करेंगे, और तेरे पराक्रम के विषय में बातें करेंगे;
Ve tere rajya ki mahima ki charcha karenge, aur tere parakram ke vishay mein batein karenge;
कि वे आदमियों पर तेरे पराक्रम के काम और तेरे राज्य के प्रताप की महिमा प्रगट करें।
Ki ve aadmiyon par tere parakram ke kaam aur tere rajya ke prataap ki mahima pragat karein.
तेरा राज्य युग युग का और तेरी प्रभुता सब पीढ़ियों तक बनी रहेगी॥
Tera rajya yug yug ka aur teri prabhuta sab peedhiyon tak bani rahegi.
यहोवा सब गिरते हुओं को संभालता है, और सब झुके हुओं को सीधा खड़ा करता है।
Yahowa sab girte huon ko sambhalta hai, aur sab jhuke huon ko seedha khada karta hai.
सभों की आंखें तेरी ओर लगी रहती हैं, और तू उन को आहार समय पर देता है।
Sabhon ki aankhein teri or lagi rahti hain, aur tu un ko aahaar samay par deta hai.
तू अपनी मुट्ठी खोल कर, सब प्राणियों को आहार से तृप्त करता है।
Tu apni mutthi khol kar, sab praniyon ko aahaar se tript karta hai.
यहोवा अपनी सब गति में धर्मी और अपने सब कामों में करूणामय है।
Yahowa apni sab gati mein dharmi aur apne sab kamon mein karoonamay hai.
जितने यहोवा को पुकारते हैं, अर्थात जितने उसको सच्चाई से पुकारते हें; उन सभों के वह निकट रहता है।
Jitne Yahowa ko pukarte hain, arthaat jitne usko sachchai se pukarte hein; un sabhon ke vah nikat rahta hai.
वह अपने डरवैयों की इच्छा पूरी करता है, ओर उनकी दोहाई सुन कर उनका उद्धार करता है।
Vah apne darvaiyon ki ichchha poori karta hai, or unki dohai sun kar unka uddhaar karta hai.
यहोवा अपने सब प्रेमियों की तो रक्षा करता, परन्तु सब दुष्टों को सत्यानाश करता है॥
Yahowa apne sab premiyon ki to raksha karta, parantu sab dushton ko satyanaash karta hai.
मैं यहोवा की स्तुति करूंगा, और सारे प्राणी उसके पवित्र नाम को सदा सर्वदा धन्य कहते रहें॥
Main Yahowa ki stuti karoonga, aur sare prani uske pavitra naam ko sada sarvada dhanya kahte rahein.