देखो, यह क्या ही भली और मनोहर बात है कि भाई लोग आपस में मिले रहें!
Dekho, yah kya hi bhali aur manohar baat hai ki bhai log aapas mein mile rahein!
Psalms 133 · 3 verses
देखो, यह क्या ही भली और मनोहर बात है कि भाई लोग आपस में मिले रहें!
Dekho, yah kya hi bhali aur manohar baat hai ki bhai log aapas mein mile rahein!
यह तो उस उत्तम तेल के समान है, जो हारून के सिर पर डाला गया था, और उसकी दाढ़ी पर बह कर, उसके वस्त्र की छोर तक पहुंच गया।
Yah to us uttam tel ke samaan hai, jo haroon ke sir par dala gaya tha, aur uski dadhi par bah kar, uske vastra ki chhor tak pahunch gaya.
वह हेर्मोन की उस ओस के समान है, जो सिय्योन के पहाड़ों पर गिरती है! यहोवा ने तो वहीं सदा के जीवन की आशीष ठहराई है॥
Vah hermon ki us os ke samaan hai, jo siyyon ke pahadon par girti hai! Yahowa ne to vahi sada ke jeevan ki aasheesh thahrai hai.