याह की स्तुति करो हे यहोवा के दासों स्तुति करो, यहोवा के नाम की स्तुति करो!
Yaah ki stuti karo he Yahowa ke dason stuti karo, Yahowa ke naam ki stuti karo!
Psalms 113 · 9 verses
याह की स्तुति करो हे यहोवा के दासों स्तुति करो, यहोवा के नाम की स्तुति करो!
Yaah ki stuti karo he Yahowa ke dason stuti karo, Yahowa ke naam ki stuti karo!
यहोवा का नाम अब से ले कर सर्वदा तक धन्य कहा जाय!
Yahowa ka naam ab se le kar sarvada tak dhanya kaha jaay!
उदयाचल से ले कर अस्ताचल तक, यहोवा का नाम स्तुति के योग्य है।
Udyachal se le kar astachal tak, Yahowa ka naam stuti ke yogya hai.
यहोवा सारी जातियों के ऊपर महान है, और उसकी महिमा आकाश से भी ऊंची है॥
Yahowa sari jatiyon ke oopar mahaan hai, aur uski mahima aakaash se bhi oonchi hai.
हमारे परमेश्वर यहोवा के तुल्य कौन है? वह तो ऊंचे पर विराजमान है,
Hamare Parmeshwar Yahowa ke tulya kaun hai? Vah to oonche par virajmaan hai,
और आकाश और पृथ्वी पर भी, दृष्टि करने के लिये झुकता है।
Aur aakaash aur prithvi par bhi, drishti karne ke liye jhukta hai.
वह कंगाल को मिट्टी पर से, और दरिद्र को घूरे पर से उठा कर ऊंचा करता है,
Vah kangaal ko mitti par se, aur daridra ko ghoore par se utha kar ooncha karta hai,
कि उसको प्रधानों के संग, अर्थात अपनी प्रजा के प्रधानों के संग बैठाए।
Ki usko pradhanon ke sang, arthaat apni praja ke pradhanon ke sang baithaye.
वह बांझ को घर में लड़कों की आनन्द करने वाली माता बनाता है। याह की स्तुति करो!
Vah baanjh ko ghar mein ladkon ki aanand karne vali mata banata hai. Yaah ki stuti karo!