मेरा भरोसा परमेश्वर पर है; तुम क्योंकर मेरे प्राण से कह सकते हो कि पक्षी की नाईं अपने पहाड़ पर उड़ जा?
Mera bharosa Parmeshwar par hai; tum kyonkar mere praan se kah sakte ho ki pakshi ki nai apne pahaad par ud ja?
Psalms 11 · 7 verses
मेरा भरोसा परमेश्वर पर है; तुम क्योंकर मेरे प्राण से कह सकते हो कि पक्षी की नाईं अपने पहाड़ पर उड़ जा?
Mera bharosa Parmeshwar par hai; tum kyonkar mere praan se kah sakte ho ki pakshi ki nai apne pahaad par ud ja?
क्योंकि देखो, दुष्ट अपना धनुष चढ़ाते हैं, और अपना तीर धनुष की डोरी पर रखते हैं, कि सीधे मन वालों पर अन्धियारे में तीर चलाएं।
Kyonki dekho, dusht apna dhanush chadhate hain, aur apna teer dhanush ki dori par rakhte hain, ki seedhe man valon par andhiyare mein teer chalayen.
यदि नेवें ढा दी जाएं तो धर्मी क्या कर सकता है?
Yadi nevein dha di jayen to dharmi kya kar sakta hai?
परमेश्वर अपने पवित्र भवन में है; परमेश्वर का सिंहासन स्वर्ग में है; उसकी आंखें मनुष्य की सन्तान को नित देखती रहती हैं और उसकी पलकें उन को जांचती हैं।
Parmeshwar apne pavitra bhavan mein hai; Parmeshwar ka sinhasan swarg mein hai; uski aankhein manushya ki santaan ko nit dekhti rahti hain aur uski palkein un ko janchti hain.
यहोवा धर्मी को परखता है, परन्तु वह उन से जो दुष्ट हैं और उपद्रव से प्रीति रखते हैं अपनी आत्मा में घृणा करता है।
Yahowa dharmi ko parakhta hai, parantu vah un se jo dusht hain aur upadrav se preeti rakhte hain apni aatma mein ghrina karta hai.
वह दुष्टों पर फन्दे बरसाएगा; आग और गन्धक और प्रचण्ड लूह उनके कटोरों में बांट दी जाएंगी।
Vah dushton par phande barsayega; aag aur gandhak aur prachand looh unke katoron mein baant di jayengi.
क्योंकि यहोवा धर्मी है, वह धर्म के ही कामों से प्रसन्न रहता है; धर्मी जन उसका दर्शन पाएंगे॥
Kyonki Yahowa dharmi hai, vah dharm ke hi kamon se prasann rahta hai; dharmi jan uska darshan payenge.