हे सारी पृथ्वी के लोगों यहोवा का जयजयकार करो!
He sari prithvi ke logon Yahowa ka jayjaykaar karo!
Psalms 100 · 5 verses
हे सारी पृथ्वी के लोगों यहोवा का जयजयकार करो!
He sari prithvi ke logon Yahowa ka jayjaykaar karo!
आनन्द से यहोवा की आराधना करो! जयजयकार के साथ उसके सम्मुख आओ!
Aanand se Yahowa ki aaradhna karo! Jayjaykaar ke saath uske sammukh aao!
निश्चय जानो, कि यहोवा ही परमेश्वर है। उसी ने हम को बनाया, और हम उसी के हैं; हम उसकी प्रजा, और उसकी चराई की भेड़ें हैं॥
Nishchay jano, ki Yahowa hi Parmeshwar hai. Usi ne ham ko banaya, aur ham usi ke hain; ham uski praja, aur uski charai ki bhedein hain.
उसके फाटकों से धन्यवाद, और उसके आंगनों में स्तुति करते हुए प्रवेश करो, उसका धन्यवाद करो, और उसके नाम को धन्य कहो!
Uske phatkon se dhanyavaad, aur uske aangnon mein stuti karte hue pravesh karo, uska dhanyavaad karo, aur uske naam ko dhanya kaho!
क्योंकि यहोवा भला है, उसकी करूणा सदा के लिये, और उसकी सच्चाई पीढ़ी से पीढ़ी तक बनी रहती है॥
Kyonki Yahowa bhala hai, uski karoona sada ke liye, aur uski sachchai peedhi se peedhi tak bani rahti hai.