Obadiah 1 · 21 verses

ओबद्याह 1 Obadiah 1 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Obadyaah 1.

1

ओबद्याह का दर्शन॥ हम लोगों ने यहोवा की ओर से समाचार सुना है, और एक दूत अन्यजातियों में यह कहने को भेजा गया है:

Obadyaah ka darshan. Ham logon ne Yahowa ki or se samachaar suna hai, aur ek doot anyajatiyon mein yah kahne ko bheja gaya hai:

2

उठो! हम उस से लड़ने को उठें! मैं तुझे जातियों में छोटा कर दूंगा, तू बहुत तुच्छ गिना जाएगा।

Utho! Ham us se ladne ko uthein! Main tujhe jatiyon mein chhota kar doonga, tu bahut tuchchh gina jayega.

3

हे पहाड़ों की दरारों में बसने वाले, हे ऊंचे स्थान में रहने वाले, तेरे अभिमान ने तुझे धोखा दिया है; तू मन में कहता है,

He pahadon ki dararon mein basne vale, he oonche sthaan mein rahne vale, tere abhimaan ne tujhe dhokha diya hai; tu man mein kahta hai,

4

कौन मुझे भूमि पर उतार देगा? परन्तु चाहे तू उकाब की नाईं ऊंचा उड़ता हो, वरन तारागण के बीच अपना घोंसला बनाए हो, तौभी मैं तुझे वहां से नीचे गिराऊंगा, यहोवा की यही वाणी है॥

Kaun mujhe bhoomi par utaar dega? Parantu chahe tu ukaab ki nai ooncha udta ho, varan taragan ke beech apna ghonsla banaye ho, taubhi main tujhe vahan se neeche giraoonga, Yahowa ki yahi vani hai.

5

यदि चोर-डाकू रात को तेरे पास आते, (हाय, तू कैसे मिटा दिया गया है!) तो क्या वे चुराए हुए धन से तृप्त हो कर चले न जाते? और यदि दाख के तोड़ने वाले तेरे पास आते, तो क्या वे कहीं कहीं दाख न छोड़ जाते?

Yadi chor-daku raat ko tere paas aate, (haay, tu kaise mita diya gaya hai!) to kya ve churaye hue dhan se tript ho kar chale na jate? Aur yadi daakh ke todne vale tere paas aate, to kya ve kahi kahi daakh na chhod jate?

6

परन्तु ऐसाव का धन कैसे खोज कर लूटा गया है, उसका गुप्त धन कैसे पता लगा लगाकर निकाला गया है!

Parantu aisaav ka dhan kaise khoj kar loota gaya hai, uska gupt dhan kaise pata laga lagakar nikala gaya hai!

7

जितनों ने तुझ से वाचा बान्धी थी, उन सभों ने तुझे सिवाने तक ढकेल दिया है; जो लोग तुझ से मेल रखते थे, वे तुझ को धोखा देकर तुझ पर प्रबल हुए हैं; वे तेरी रोटी खाते हैं, वे तेरे लिये फन्दा लगाते हैं-- उस में कुछ समझ नहीं है।

Jitnon ne tujh se vacha bandhi thi, un sabhon ne tujhe sivane tak dhakel diya hai; jo log tujh se mel rakhte the, ve tujh ko dhokha dekar tujh par prabal hue hain; ve teri roti khate hain, ve tere liye phanda lagate hain-- us mein kuchh samajh nahi hai.

8

यहोवा की यह वाणी है, क्या मैं उस समय एदोम में से बुद्धिमानों को, और ऐसाव के पहाड़ में से चतुराई को नाश न करूंगा?

Yahowa ki yah vani hai, kya main us samay edom mein se buddhimanon ko, aur aisaav ke pahaad mein se chaturai ko naash na karoonga?

9

और हे तेमान, तेरे शूरवीरों का मन कच्चा न हो जाएगा, और यों ऐसाव के पहाड़ पर का हर एक पुरूष घात हो कर नाश हो जाएगा।

Aur he temaan, tere shoorveeron ka man kachcha na ho jayega, aur yon aisaav ke pahaad par ka har ek puroosh ghaat ho kar naash ho jayega.

10

हे ऐसाव, उस उपद्रव के कारण जो तू ने अपने भाई याकूब पर किया, तू लज्जा से ढंपेगा; और सदा के लिये नाश हो जाएगा।

He aisaav, us upadrav ke karan jo tu ne apne bhai Yakub par kiya, tu lajja se dhampega; aur sada ke liye naash ho jayega.

11

जिस दिन परदेशी लोग उसकी धन सम्पत्ति छीन कर ले गए, और बिराने लोगों ने उसके फाटकों से घुस कर यरूशलेम पर चिट्ठी डाली, उस दिन तू भी उन में से एक था।

Jis din pardeshi log uski dhan sampatti chheen kar le gaye, aur birane logon ne uske phatkon se ghus kar Yerushalem par chitthi dali, us din tu bhi un mein se ek tha.

12

परन्तु तुझे उचित न था कि तू अपने भाई के दिन में, अर्थात उसकी विपत्ति के दिन में उसकी ओर देखता रहता, और यहूदियों के नाश होने के दिन उन के ऊपर आनन्द करता, और उन के संकट के दिन बड़ा बोल बोलता।

Parantu tujhe uchit na tha ki tu apne bhai ke din mein, arthaat uski vipatti ke din mein uski or dekhta rahta, aur Yahudiyon ke naash hone ke din un ke oopar aanand karta, aur un ke sankat ke din bada bol bolta.

13

तुझे उचित न था कि मेरी प्रजा की विपत्ति के दिन तू उस के फाटक से घुसता, और उसकी विपत्ति के दिन उसकी धन सम्पत्ति पर हाथ लगाता।

Tujhe uchit na tha ki meri praja ki vipatti ke din tu us ke phatak se ghusta, aur uski vipatti ke din uski dhan sampatti par haath lagata.

14

तुझे उचित न था कि तिरमुहाने पर उसके भागने वालों को मार डालने के लिये खड़ा होता, और संकट के दिन उसके बचे हुओं को पकड़ाता॥

Tujhe uchit na tha ki tirmuhane par uske bhagne valon ko maar dalne ke liye khada hota, aur sankat ke din uske bache huon ko pakdata.

15

क्योंकि सारी अन्यजातियों पर यहोवा के दिन का आना निकट है। जैसा तू ने किया है, वैसा ही तुझ से भी किया जाएगा, तेरा व्यवहार लौटकर तेरे ही सिर पर पड़ेगा।

Kyonki sari anyajatiyon par Yahowa ke din ka aana nikat hai. Jaisa tu ne kiya hai, vaisa hi tujh se bhi kiya jayega, tera vyavhaar lautkar tere hi sir par padega.

16

जिस प्रकार तू ने मेरे पवित्र पर्वत पर पिया, उसी प्रकार से सारी अन्यजातियां लगातार पीती रहेंगी, वरन वे सुड़क-सुड़ककर पीएंगी, और एसी हो जाएंगी जैसी कभी हुई ही नहीं।

Jis prakaar tu ne mere pavitra parvat par piya, usi prakaar se sari anyajatiyan lagataar peeti rahengi, varan ve sudak-sudakkar peeyengi, aur esi ho jayengi jaisi kabhi hui hi nahi.

17

परन्तु उस समय सिय्योन पर्वत पर बचे हुए लोग रहेंगे, ओर वह पवित्र स्थान ठहरेगा; और याकूब का घराना अपने निज भागों का अधिकारी होगा।

Parantu us samay siyyon parvat par bache hue log rahenge, or vah pavitra sthaan thahrega; aur Yakub ka gharana apne nij bhagon ka adhikari hoga.

18

तब याकूब का घराना आग, और यूसुफ का घराना लौ, और ऐसाव का घराना खूंटी बनेगा; और वे उन में आग लगा कर उन को भस्म करेंगे, और ऐसाव के घराने का कोई न बचेगा; क्योंकि यहोवा ही ने ऐसा कहा है॥

Tab Yakub ka gharana aag, aur Yusuf ka gharana lau, aur aisaav ka gharana khoonti banega; aur ve un mein aag laga kar un ko bhasm karenge, aur aisaav ke gharane ka koi na bachega; kyonki Yahowa hi ne aisa kaha hai.

19

दक्खिन देश के लोग ऐसाव के पहाड़ के अधिकारी हो जाएंगे, और नीचे के देश के लोग पलिश्तियों के अधिकारी होंगे; और यहूदी, एप्रैम और सामरिया के दिहात को अपने भाग में कर लेंगे, और बिन्यामीन गिलाद का अधिकारी होगा।

Dakkhin desh ke log aisaav ke pahaad ke adhikari ho jayenge, aur neeche ke desh ke log palishtiyon ke adhikari honge; aur Yahudi, epraim aur samriya ke dihaat ko apne bhaag mein kar lenge, aur binyameen gilaad ka adhikari hoga.

20

इस्राएलियों के उस दल में से जो लाग बंधुआई में जा कर कनानियों के बीच सारपत तक रहते हैं, और यरूशलेमियों में से जो लोग बंधुआई में जा कर सपारद में रहते हैं, वे सब दक्खिन देश के नगरों के अधिकारी हो जाएंगे।

Israeliyon ke us dal mein se jo laag bandhuaai mein ja kar kananiyon ke beech sarpat tak rahte hain, aur yarooshlemiyon mein se jo log bandhuaai mein ja kar saparad mein rahte hain, ve sab dakkhin desh ke nagron ke adhikari ho jayenge.

21

और उद्धार करने वाले ऐसाव के पहाड़ का न्याय करने के लिये सिय्योन पर्वत पर चढ़ आएंगे, और राज्य यहोवा ही का हो जाएगा॥

Aur uddhaar karne vale aisaav ke pahaad ka nyaay karne ke liye siyyon parvat par chadh aayenge, aur rajya Yahowa hi ka ho jayega.