और मैं ने कहा, हे याकूब के प्रधानों, हे इस्राएल के घराने के न्याइयों, सुनो! क्या न्याय का भेद जानना तुम्हारा काम नहीं?
Aur main ne kaha, he Yakub ke pradhanon, he Israel ke gharane ke nyaiyon, suno! Kya nyaay ka bhed janna tumhara kaam nahi?
Micah 3 · 12 verses
और मैं ने कहा, हे याकूब के प्रधानों, हे इस्राएल के घराने के न्याइयों, सुनो! क्या न्याय का भेद जानना तुम्हारा काम नहीं?
Aur main ne kaha, he Yakub ke pradhanon, he Israel ke gharane ke nyaiyon, suno! Kya nyaay ka bhed janna tumhara kaam nahi?
तुम तो भलाई से बैर, और बुराई से प्रीति रखते हो, मानो, तुम, लोगों पर से उनकी खाल, और उनकी हड्डियों पर से उनका मांस उधेड़ लेते हो;
Tum to bhalai se bair, aur burai se preeti rakhte ho, mano, tum, logon par se unki khaal, aur unki haddiyon par se unka maans udhed lete ho;
वरन तुम मेरे लोगों का मांस खा भी लेते, और उनकी खाल उधेड़ते हो; तुम उनकी हड्डियों को हांड़ी में पकाने के लिये टुकड़े टुकड़े करते हो।
Varan tum mere logon ka maans kha bhi lete, aur unki khaal udhedte ho; tum unki haddiyon ko handi mein pakane ke liye tukde tukde karte ho.
वे उस समय यहोवा की दोहाई देंगे, परन्तु वह उनकी न सुनेगा, वरन उस समय वह उनके बुरे कामों के कारण उन से मुंह फेर लेगा॥
Ve us samay Yahowa ki dohai denge, parantu vah unki na sunega, varan us samay vah unke bure kamon ke karan un se munh pher lega.
यहोवा का यह वचन है कि जो भविष्यद्वक्ता मेरी प्रजा को भटका देते हैं, और जब उन्हें खाने को मिलता है तब शान्ति, शान्ति, पुकारते हैं, और यदि कोई उनके मुंह में कुछ न दे, तो उसके विरुद्ध युद्ध करने को तैयार हो जाते हैं।
Yahowa ka yah vachan hai ki jo bhavishyadwakta meri praja ko bhatka dete hain, aur jab unhein khane ko milta hai tab shanti, shanti, pukarte hain, aur yadi koi unke munh mein kuchh na de, to uske viruddh yuddh karne ko taiyaar ho jate hain.
इस कारण तुम पर ऐसी रात आएगी, कि तुम को दर्शन न मिलेगा, और तुम ऐसे अन्धकार में पड़ोगे कि भावी न कह सकोगे। भविष्यद्वक्ताओं के लिये सूर्य अस्त होगा, और दिन रहते उन पर अन्धियारा छा जाएगा।
Is karan tum par aisi raat aayegi, ki tum ko darshan na milega, aur tum aise andhakaar mein padoge ki bhavi na kah sakoge. Bhavishyadwaktaon ke liye soorya ast hoga, aur din rahte un par andhiyara chha jayega.
दर्शी लज्जित होंगे, और भावी कहने वालों के मुंह काले होंगे; और वे सब के सब अपने ओठों को इसलिये ढांपेंगे कि परमेश्वर की ओर से उत्तर नहीं मिलता।
Darshi lajjit honge, aur bhavi kahne valon ke munh kale honge; aur ve sab ke sab apne othon ko isliye dhampenge ki Parmeshwar ki or se uttar nahi milta.
परन्तु मैं तो यहोवा की आत्मा से शक्ति, न्याय और पराक्रम पाकर परिपूर्ण हूं कि मैं याकूब को उसका अपराध और इस्राएल को उसका पाप जता सकूं।
Parantu main to Yahowa ki aatma se shakti, nyaay aur parakram pakar paripoorn hoon ki main Yakub ko uska apraadh aur Israel ko uska paap jata sakun.
हे याकूब के घराने के प्रधानों, हे इस्राएल के घराने के न्यायियो, हे न्याय से घृणा करने वालो और सब सीधी बातों की टेढ़ी-मेढ़ी करने वालो, यह बात सुनो।
He Yakub ke gharane ke pradhanon, he Israel ke gharane ke nyayiyo, he nyaay se ghrina karne valo aur sab seedhi baton ki tedhi-medhi karne valo, yah baat suno.
तुम सिय्योन को हत्या कर के और यरूशलेम को कुटिलता कर के दृढ़ करते हो।
Tum siyyon ko hatya kar ke aur Yerushalem ko kutilta kar ke dridh karte ho.
उसके प्रधान घूस ले ले कर विचार करते, और याजक दाम ले ले कर व्यवस्था देते हैं, और भविष्यद्वक्ता रूपये के लिये भावी कहते हैं; तौभी वे यह कहकर यहोवा पर भरोसा रखते हैं, यहोवा हमारे बीच में है, इसलिये कोई विपत्ति हम पर न आएगी।
Uske pradhaan ghoos le le kar vichaar karte, aur yajak daam le le kar vyavastha dete hain, aur bhavishyadwakta roopye ke liye bhavi kahte hain; taubhi ve yah kahkar Yahowa par bharosa rakhte hain, Yahowa hamare beech mein hai, isliye koi vipatti ham par na aayegi.
इसलिये तुम्हारे कारण सिय्योन जोत कर खेत बनाया जाएगा, और यरूशलेम डीह ही डीह हो जाएगा, और जिस पर्वत पर भवन बना है, वह वन के ऊंचे स्थान सा हो जाएगा॥
Isliye tumhare karan siyyon jot kar khet banaya jayega, aur Yerushalem deeh hi deeh ho jayega, aur jis parvat par bhavan bana hai, vah van ke oonche sthaan sa ho jayega.