फिर वह नाव पर चढ़कर पार गया; और अपने नगर में आया।
Phir vah naav par chadhkar paar gaya; aur apne nagar mein aaya.
Matthew 9 · 38 verses
फिर वह नाव पर चढ़कर पार गया; और अपने नगर में आया।
Phir vah naav par chadhkar paar gaya; aur apne nagar mein aaya.
और देखो, कई लोग एक झोले के मारे हुए को खाट पर रखकर उसके पास लाए; यीशु ने उन का विश्वास देखकर, उस झोले के मारे हुए से कहा; हे पुत्र, ढाढ़स बान्ध; तेरे पाप क्षमा हुए।
Aur dekho, kai log ek jhole ke mare hue ko khaat par rakhkar uske paas laye; Yeshu ne un ka vishwaas dekhkar, us jhole ke mare hue se kaha; he putra, dhadhas baandh; tere paap kshama hue.
और देखो, कई शास्त्रियों ने सोचा, कि यह तो परमेश्वर की निन्दा करता है।
Aur dekho, kai shastriyon ne socha, ki yah to Parmeshwar ki ninda karta hai.
यीशु ने उन के मन की बातें मालूम करके कहा, कि तुम लोग अपने अपने मन में बुरा विचार क्यों कर रहे हो?
Yeshu ne un ke man ki batein maloom karke kaha, ki tum log apne apne man mein bura vichaar kyon kar rahe ho?
सहज क्या है, यह कहना, कि तेरे पाप क्षमा हुए; या यह कहना कि उठ और चल फिर।
Sahaj kya hai, yah kahna, ki tere paap kshama hue; ya yah kahna ki uth aur chal phir.
परन्तु इसलिये कि तुम जान लो कि मनुष्य के पुत्र को पृथ्वी पर पाप क्षमा करने का अधिकार है (उस ने झोले के मारे हुए से कहा ) उठ: अपनी खाट उठा, और अपने घर चला जा।
Parantu isliye ki tum jaan lo ki manushya ke putra ko prithvi par paap kshama karne ka adhikaar hai (us ne jhole ke mare hue se kaha ) uth: apni khaat utha, aur apne ghar chala ja.
वह उठकर अपने घर चला गया।
Vah uthkar apne ghar chala gaya.
लोग यह देखकर डर गए और परमेश्वर की महिमा करने लगे जिस ने मनुष्यों को ऐसा अधिकार दिया है॥
Log yah dekhkar dar gaye aur Parmeshwar ki mahima karne lage jis ne manushyon ko aisa adhikaar diya hai.
वहां से आगे बढ़कर यीशु ने मत्ती नाम एक मनुष्य को महसूल की चौकी पर बैठे देखा, और उस से कहा, मेरे पीछे हो ले। वह उठकर उसके पीछे हो लिया॥
Vahan se aage badhkar Yeshu ne matti naam ek manushya ko mahsool ki chauki par baithe dekha, aur us se kaha, mere peechhe ho le. Vah uthkar uske peechhe ho liya.
और जब वह घर में भोजन करने के लिये बैठा तो बहुतेरे महसूल लेने वाले और पापी आकर यीशु और उसके चेलों के साथ खाने बैठे।
Aur jab vah ghar mein bhojan karne ke liye baitha to bahutere mahsool lene vale aur papi aakar Yeshu aur uske chelon ke saath khane baithe.
यह देखकर फरीसियों ने उसके चेलों से कहा; तुम्हारा गुरू महसूल लेने वालों और पापियों के साथ क्यों खाता है?
Yah dekhkar phareesiyon ne uske chelon se kaha; tumhara guru mahsool lene valon aur papiyon ke saath kyon khata hai?
उस ने यह सुनकर उन से कहा, वैद्य भले चंगों को नहीं परन्तु बीमारों को अवश्य है।
Us ne yah sunkar un se kaha, vaidya bhale changon ko nahi parantu beemaron ko avashya hai.
सो तुम जाकर इस का अर्थ सीख लो, कि मैं बलिदान नहीं परन्तु दया चाहता हूं; क्योंकि मैं धर्मियों को नहीं परन्तु पापियों को बुलाने आया हूं॥
So tum jakar is ka arth seekh lo, ki main balidaan nahi parantu daya chahta hoon; kyonki main dharmiyon ko nahi parantu papiyon ko bulane aaya hoon.
तब यूहन्ना के चेलों ने उसके पास आकर कहा; क्या कारण है कि हम और फरीसी इतना उपवास करते हैं, पर तेरे चेले उपवास नहीं करते?
Tab Yuhanna ke chelon ne uske paas aakar kaha; kya karan hai ki ham aur phareesi itna upvaas karte hain, par tere chele upvaas nahi karte?
यीशु ने उन से कहा; क्या बराती, जब तक दुल्हा उन के साथ है शोक कर सकते हैं? पर वे दिन आएंगे कि दूल्हा उन से अलग किया जाएगा, उस समय वे उपवास करेंगे।
Yeshu ne un se kaha; kya barati, jab tak dulha un ke saath hai shok kar sakte hain? Par ve din aayenge ki doolha un se alag kiya jayega, us samay ve upvaas karenge.
को रे कपड़े का पैबन्द पुराने पहिरावन पर कोई नहीं लगाता, क्योंकि वह पैबन्द पहिरावन से और कुछ खींच लेता है, और वह अधिक फट जाता है।
Ko re kapde ka paiband purane pahiravan par koi nahi lagata, kyonki vah paiband pahiravan se aur kuchh kheench leta hai, aur vah adhik phat jata hai.
और नया दाखरस पुरानी मशकों में नहीं भरते हैं; क्योंकि ऐसा करने से मशकें फट जाती हैं, और दाखरस बह जाता है और मशकें नाश हो जाती हैं, परन्तु नया दाखरस नई मशकों में भरते हैं और वह दोनों बची रहती हैं।
Aur naya dakhras purani mashkon mein nahi bharte hain; kyonki aisa karne se mashkein phat jati hain, aur dakhras bah jata hai aur mashkein naash ho jati hain, parantu naya dakhras nai mashkon mein bharte hain aur vah donon bachi rahti hain.
वह उन से ये बातें कह ही रहा था, कि देखो, एक सरदार ने आकर उसे प्रणाम किया और कहा मेरी पुत्री अभी मरी है; परन्तु चलकर अपना हाथ उस पर रख, तो वह जीवित हो जाएगी।
Vah un se ye batein kah hi raha tha, ki dekho, ek sardaar ne aakar use pranaam kiya aur kaha meri putri abhi mari hai; parantu chalkar apna haath us par rakh, to vah jeevit ho jayegi.
यीशु उठकर अपने चेलों समेत उसके पीछे हो लिया।
Yeshu uthkar apne chelon samet uske peechhe ho liya.
और देखो, एक स्त्री ने जिस के बारह वर्ष से लोहू बहता था, उसके पीछे से आकर उसके वस्त्र के आंचल को छू लिया।
Aur dekho, ek stri ne jis ke barah varsh se lohu bahta tha, uske peechhe se aakar uske vastra ke aanchal ko chhu liya.
क्योंकि वह अपने मन में कहती थी कि यदि मैं उसके वस्त्र ही को छू लूंगी तो चंगी हो जाऊंगी।
Kyonki vah apne man mein kahti thi ki yadi main uske vastra hi ko chhu loongi to changi ho jaoongi.
यीशु ने फिरकर उसे देखा, और कहा; पुत्री ढाढ़स बान्ध; तेरे विश्वास ने तुझे चंगा किया है; सो वह स्त्री उसी घड़ी चंगी हो गई।
Yeshu ne phirkar use dekha, aur kaha; putri dhadhas baandh; tere vishwaas ne tujhe changa kiya hai; so vah stri usi ghadi changi ho gai.
जब यीशु उस सरदार के घर में पहुंचा और बांसली बजाने वालों और भीड़ को हुल्लड़ मचाते देखा तब कहा।
Jab Yeshu us sardaar ke ghar mein pahuncha aur bansli bajane valon aur bheed ko hullad machate dekha tab kaha.
हट जाओ, लड़की मरी नहीं, पर सोती है; इस पर वे उस की हंसी करने लगे।
Hat jao, ladki mari nahi, par soti hai; is par ve us ki hansi karne lage.
परन्तु जब भीड़ निकाल दी गई, तो उस ने भीतर जाकर लड़की का हाथ पकड़ा, और वह जी उठी।
Parantu jab bheed nikaal di gai, to us ne bheetar jakar ladki ka haath pakda, aur vah ji uthi.
और इस बात की चर्चा उस सारे देश में फैल गई।
Aur is baat ki charcha us sare desh mein phail gai.
जब यीशु वहां से आगे बढ़ा, तो दो अन्धे उसके पीछे यह पुकारते हुए चले, कि हे दाऊद की सन्तान, हम पर दया कर।
Jab Yeshu vahan se aage badha, to do andhe uske peechhe yah pukarte hue chale, ki he Daud ki santaan, ham par daya kar.
जब वह घर में पहुंचा, तो वे अन्धे उस के पास आए; और यीशु ने उन से कहा; क्या तुम्हें विश्वास है, कि मैं यह कर सकता हूं उन्होंने उस से कहा; हां प्रभु।
Jab vah ghar mein pahuncha, to ve andhe us ke paas aaye; aur Yeshu ne un se kaha; kya tumhein vishwaas hai, ki main yah kar sakta hoon unhonne us se kaha; han Prabhu.
तब उस ने उन की आंखे छूकर कहा, तुम्हारे विश्वास के अनुसार तुम्हारे लिये हो।
Tab us ne un ki aankhe chhookar kaha, tumhare vishwaas ke anusaar tumhare liye ho.
और उन की आंखे खुल गई और यीशु ने उन्हें चिताकर कहा; सावधान, कोई इस बात को न जाने।
Aur un ki aankhe khul gai aur Yeshu ne unhein chitakar kaha; savdhaan, koi is baat ko na jane.
पर उन्होंने निकलकर सारे देश में उसका यश फैला दिया॥
Par unhonne nikalkar sare desh mein uska yash phaila diya.
जब वे बाहर जा रहे थे, तो देखो, लोग एक गूंगे को जिस में दुष्टात्मा थी उस के पास लाए।
Jab ve bahar ja rahe the, to dekho, log ek goonge ko jis mein dushtatma thi us ke paas laye.
और जब दुष्टात्मा निकाल दी गई, तो गूंगा बोलने लगा; और भीड़ ने अचम्भा करके कहा कि इस्राएल में ऐसा कभी नहीं देखा गया।
Aur jab dushtatma nikaal di gai, to goonga bolne laga; aur bheed ne achambha karke kaha ki Israel mein aisa kabhi nahi dekha gaya.
परन्तु फरीसियों ने कहा, यह तो दुष्टात्माओं के सरदार की सहायता से दुष्टात्माओं को निकालता है॥
Parantu phareesiyon ne kaha, yah to dushtatmaon ke sardaar ki sahayta se dushtatmaon ko nikalta hai.
और यीशु सब नगरों और गांवों में फिरता रहा और उन की सभाओं में उपदेश करता, और राज्य का सुसमाचार प्रचार करता, और हर प्रकार की बीमारी और दुर्बलता को दूर करता रहा।
Aur Yeshu sab nagron aur ganvon mein phirta raha aur un ki sabhaon mein updesh karta, aur rajya ka susmachaar prachaar karta, aur har prakaar ki beemari aur durbalta ko door karta raha.
जब उस ने भीड़ को देखा तो उस को लोगों पर तरस आया, क्योंकि वे उन भेड़ों की नाईं जिनका कोई रखवाला न हो, व्याकुल और भटके हुए से थे।
Jab us ne bheed ko dekha to us ko logon par taras aaya, kyonki ve un bhedon ki nai jinka koi rakhvala na ho, vyakul aur bhatke hue se the.
तब उस ने अपने चेलों से कहा, पक्के खेत तो बहुत हैं पर मजदूर थोड़े हैं।
Tab us ne apne chelon se kaha, pakke khet to bahut hain par majdoor thode hain.
इसलिये खेत के स्वामी से बिनती करो कि वह अपने खेत काटने के लिये मजदूर भेज दे॥
Isliye khet ke swami se binti karo ki vah apne khet katne ke liye majdoor bhej de.