जब वह उस पहाड़ से उतरा, तो एक बड़ी भीड़ उसके पीछे हो ली।
Jab vah us pahaad se utra, to ek badi bheed uske peechhe ho li.
Matthew 8 · 34 verses
जब वह उस पहाड़ से उतरा, तो एक बड़ी भीड़ उसके पीछे हो ली।
Jab vah us pahaad se utra, to ek badi bheed uske peechhe ho li.
और देखो, एक कोढ़ी ने पास आकर उसे प्रणाम किया और कहा; कि हे प्रभु यदि तू चाहे, तो मुझे शुद्ध कर सकता है।
Aur dekho, ek kodhi ne paas aakar use pranaam kiya aur kaha; ki he Prabhu yadi tu chahe, to mujhe shuddh kar sakta hai.
यीशु ने हाथ बढ़ाकर उसे छूआ, और कहा, मैं चाहता हूं, तू शुद्ध हो जा और वह तुरन्त कोढ़ से शुद्ध हो गया।
Yeshu ne haath badhakar use chhooaa, aur kaha, main chahta hoon, tu shuddh ho ja aur vah turant kodh se shuddh ho gaya.
यीशु ने उस से कहा; देख, किसी से न कहना परन्तु जाकर अपने आप को याजक को दिखला और जो चढ़ावा मूसा ने ठहराया है उसे चढ़ा, ताकि उन के लिये गवाही हो।
Yeshu ne us se kaha; dekh, kisi se na kahna parantu jakar apne aap ko yajak ko dikhla aur jo chadhava Musa ne thahraya hai use chadha, taki un ke liye gavahi ho.
और जब वह कफरनहूम में आया तो एक सूबेदार ने उसके पास आकर उस से बिनती की।
Aur jab vah kaphranhoom mein aaya to ek soobedaar ne uske paas aakar us se binti ki.
कि हे प्रभु, मेरा सेवक घर में झोले का मारा बहुत दुखी पड़ा है।
Ki he Prabhu, mera sevak ghar mein jhole ka mara bahut dukhi pada hai.
उस ने उस से कहा; मैं आकर उसे चंगा करूंगा।
Us ne us se kaha; main aakar use changa karoonga.
सूबेदार ने उत्तर दिया; कि हे प्रभु मैं इस योग्य नहीं, कि तू मेरी छत के तले आए, पर केवल मुख से कह दे तो मेरा सेवक चंगा हो जाएगा।
Soobedaar ne uttar diya; ki he Prabhu main is yogya nahi, ki tu meri chhat ke tale aaye, par keval mukh se kah de to mera sevak changa ho jayega.
क्योंकि मैं भी पराधीन मनुष्य हूं, और सिपाही मेरे हाथ में हैं, और जब एक से कहता हूं, जा, तो वह जाता है; और दूसरे को कि आ, तो वह आता है; और अपने दास से कहता हूं, कि यह कर, तो वह करता है।
Kyonki main bhi paradheen manushya hoon, aur sipahi mere haath mein hain, aur jab ek se kahta hoon, ja, to vah jata hai; aur doosre ko ki aa, to vah aata hai; aur apne daas se kahta hoon, ki yah kar, to vah karta hai.
यह सुनकर यीशु ने अचम्भा किया, और जो उसके पीछे आ रहे थे उन से कहा; मैं तुम से सच कहता हूं, कि मैं ने इस्राएल में भी ऐसा विश्वास नहीं पाया।
Yah sunkar Yeshu ne achambha kiya, aur jo uske peechhe aa rahe the un se kaha; main tum se sach kahta hoon, ki main ne Israel mein bhi aisa vishwaas nahi paya.
और मैं तुम से कहता हूं, कि बहुतेरे पूर्व और पश्चिम से आकर इब्राहीम और इसहाक और याकूब के साथ स्वर्ग के राज्य में बैठेंगे।
Aur main tum se kahta hoon, ki bahutere poorva aur pashchim se aakar Ibrahim aur Ishaq aur Yakub ke saath swarg ke rajya mein baithenge.
परन्तु राज्य के सन्तान बाहर अन्धियारे में डाल दिए जाएंगे: वहां रोना और दांतों का पीसना होगा।
Parantu rajya ke santaan bahar andhiyare mein daal diye jayenge: vahan rona aur danton ka peesna hoga.
और यीशु ने सूबेदार से कहा, जा; जैसा तेरा विश्वास है, वैसा ही तेरे लिये हो: और उसका सेवक उसी घड़ी चंगा हो गया॥
Aur Yeshu ne soobedaar se kaha, ja; jaisa tera vishwaas hai, vaisa hi tere liye ho: aur uska sevak usi ghadi changa ho gaya.
और यीशु ने पतरस के घर में आकर उस की सास को ज्वर में पड़ी देखा।
Aur Yeshu ne Patras ke ghar mein aakar us ki saas ko jwar mein padi dekha.
उस ने उसका हाथ छूआ और उसका ज्वर उतर गया; और वह उठकर उस की सेवा करने लगी।
Us ne uska haath chhooaa aur uska jwar utar gaya; aur vah uthkar us ki seva karne lagi.
जब संध्या हुई तब वे उसके पास बहुत से लोगों को लाए जिन में दुष्टात्माएं थीं और उस ने उन आत्माओं को अपने वचन से निकाल दिया, और सब बीमारों को चंगा किया।
Jab sandhya hui tab ve uske paas bahut se logon ko laye jin mein dushtatmayen thi aur us ne un aatmaon ko apne vachan se nikaal diya, aur sab beemaron ko changa kiya.
ताकि जो वचन यशायाह भविष्यद्वक्ता के द्वारा कहा गया था वह पूरा हो, कि उस ने आप हमारी दुर्बलताओं को ले लिया और हमारी बीमारियों को उठा लिया॥
Taki jo vachan yashayaah bhavishyadwakta ke dwara kaha gaya tha vah poora ho, ki us ne aap hamari durbaltaon ko le liya aur hamari beemariyon ko utha liya.
यीशु ने अपनी चारों ओर एक बड़ी भीड़ देखकर उस पार जाने की आज्ञा दी।
Yeshu ne apni charon or ek badi bheed dekhkar us paar jane ki aagya di.
और एक शास्त्री ने पास आकर उस से कहा, हे गुरू, जहां कहीं तू जाएगा, मैं तेरे पीछे पीछे हो लूंगा।
Aur ek shastri ne paas aakar us se kaha, he guru, jahan kahi tu jayega, main tere peechhe peechhe ho loonga.
यीशु ने उस से कहा, लोमड़ियों के भट और आकाश के पक्षियों के बसेरे होते हैं; परन्तु मनुष्य के पुत्र के लिये सिर धरने की भी जगह नहीं है।
Yeshu ne us se kaha, lomdiyon ke bhat aur aakaash ke pakshiyon ke basere hote hain; parantu manushya ke putra ke liye sir dharne ki bhi jagah nahi hai.
एक और चेले ने उस से कहा, हे प्रभु, मुझे पहिले जाने दे, कि अपने पिता को गाड़ दूं।
Ek aur chele ne us se kaha, he Prabhu, mujhe pahile jane de, ki apne pita ko gaad dun.
यीशु ने उस से कहा, तू मेरे पीछे हो ले; और मुरदों को अपने मुरदे गाड़ने दे॥
Yeshu ne us se kaha, tu mere peechhe ho le; aur murdon ko apne murde gadne de.
जब वह नाव पर चढ़ा, तो उसके चेले उसके पीछे हो लिए।
Jab vah naav par chadha, to uske chele uske peechhe ho liye.
और देखो, झील में एक ऐसा बड़ा तूफान उठा कि नाव लहरों से ढंपने लगी; और वह सो रहा था।
Aur dekho, jheel mein ek aisa bada toophaan utha ki naav lahron se dhampne lagi; aur vah so raha tha.
तब उन्होंने पास आकर उसे जगाया, और कहा, हे प्रभु, हमें बचा, हम नाश हुए जाते हैं।
Tab unhonne paas aakar use jagaya, aur kaha, he Prabhu, hamein bacha, ham naash hue jate hain.
उस ने उन से कहा; हे अल्पविश्वासियों, क्यों डरते हो? तब उस ने उठकर आन्धी और पानी को डांटा, और सब शान्त हो गया।
Us ne un se kaha; he alpavishwasiyon, kyon darte ho? Tab us ne uthkar aandhi aur pani ko danta, aur sab shaant ho gaya.
और लोग अचम्भा करके कहने लगे कि यह कैसा मनुष्य है, कि आन्धी और पानी भी उस की आज्ञा मानते हैं।
Aur log achambha karke kahne lage ki yah kaisa manushya hai, ki aandhi aur pani bhi us ki aagya mante hain.
जब वह उस पार गदरेनियों के देश में पहुंचा, तो दो मनुष्य जिन में दुष्टात्माएं थीं कब्रों से निकलते हुए उसे मिले, जो इतने प्रचण्ड थे, कि कोई उस मार्ग से जा नहीं सकता था।
Jab vah us paar gadreniyon ke desh mein pahuncha, to do manushya jin mein dushtatmayen thi kabron se nikalte hue use mile, jo itne prachand the, ki koi us maarg se ja nahi sakta tha.
और देखो, उन्होंने चिल्लाकर कहा; हे परमेश्वर के पुत्र, हमारा तुझ से क्या काम? क्या तू समय से पहिले हमें दु:ख देने यहां आया है?
Aur dekho, unhonne chillakar kaha; he Parmeshwar ke putra, hamara tujh se kya kaam? Kya tu samay se pahile hamein dukh dene yahan aaya hai?
उन से कुछ दूर बहुत से सूअरों का एक झुण्ड चर रहा था।
Un se kuchh door bahut se sooaron ka ek jhund char raha tha.
दुष्टात्माओं ने उस से यह कहकर बिनती की, कि यदि तू हमें निकालता है, तो सूअरों के झुण्ड में भेज दे।
Dushtatmaon ne us se yah kahkar binti ki, ki yadi tu hamein nikalta hai, to sooaron ke jhund mein bhej de.
उस ने उन से कहा, जाओ, वे निकलकर सूअरों में पैठ गए और देखो, सारा झुण्ड कड़ाड़े पर से झपटकर पानी में जा पड़ा और डूब मरा।
Us ne un se kaha, jao, ve nikalkar sooaron mein paith gaye aur dekho, sara jhund kadade par se jhapatkar pani mein ja pada aur doob mara.
और चरवाहे भागे, और नगर में जाकर ये सब बातें और जिन में दुष्टात्माएं थीं उन का सारा हाल कह सुनाया।
Aur charvahe bhage, aur nagar mein jakar ye sab batein aur jin mein dushtatmayen thi un ka sara haal kah sunaya.
और देखो, सारे नगर के लोग यीशु से भेंट करने को निकल आए और उसे देखकर बिनती की, कि हमारे सिवानों से बाहर निकल जा॥
Aur dekho, sare nagar ke log Yeshu se bhent karne ko nikal aaye aur use dekhkar binti ki, ki hamare sivanon se bahar nikal ja.