दोष मत लगाओ, कि तुम पर भी दोष न लगाया जाए।
Dosh mat lagao, ki tum par bhi dosh na lagaya jaye.
Matthew 7 · 29 verses
दोष मत लगाओ, कि तुम पर भी दोष न लगाया जाए।
Dosh mat lagao, ki tum par bhi dosh na lagaya jaye.
क्योंकि जिस प्रकार तुम दोष लगाते हो, उसी प्रकार तुम पर भी दोष लगाया जाएगा; और जिस नाप से तुम नापते हो, उसी से तुम्हारे लिये भी नापा जाएगा।
Kyonki jis prakaar tum dosh lagate ho, usi prakaar tum par bhi dosh lagaya jayega; aur jis naap se tum napte ho, usi se tumhare liye bhi napa jayega.
तू क्यों अपने भाई की आंख के तिनके को देखता है, और अपनी आंख का लट्ठा तुझे नहीं सूझता?।
Tu kyon apne bhai ki aankh ke tinke ko dekhta hai, aur apni aankh ka lattha tujhe nahi soojhta?.
और जब तेरी ही आंख मे लट्ठा है, तो तू अपने भाई से क्योंकर कह सकता है, कि ला मैं तेरी आंख से तिनका निकाल दूं।
Aur jab teri hi aankh me lattha hai, to tu apne bhai se kyonkar kah sakta hai, ki la main teri aankh se tinka nikaal dun.
हे कपटी, पहले अपनी आंख में से लट्ठा निकाल ले, तब तू अपने भाई की आंख का तिनका भली भांति देखकर निकाल सकेगा॥
He kapti, pahle apni aankh mein se lattha nikaal le, tab tu apne bhai ki aankh ka tinka bhali bhanti dekhkar nikaal sakega.
पवित्र वस्तु कुत्तों को न दो, और अपने मोती सूअरों के आगे मत डालो; ऐसा न हो कि वे उन्हें पांवों तले रौंदें और पलट कर तुम को फाड़ डालें॥
Pavitra vastu kutton ko na do, aur apne moti sooaron ke aage mat dalo; aisa na ho ki ve unhein panvon tale raundein aur palat kar tum ko phaad dalein.
मांगो, तो तुम्हें दिया जाएगा; ढूंढ़ो, तो तुम पाओगे; खटखटाओ, तो तुम्हारे लिये खोला जाएगा।
Mango, to tumhein diya jayega; dhoondho, to tum paoge; khatakhtao, to tumhare liye khola jayega.
क्योंकि जो कोई मांगता है, उसे मिलता है; और जो ढूंढ़ता है, वह पाता है और जो खटखटाता है, उसके लिये खोला जाएगा।
Kyonki jo koi mangta hai, use milta hai; aur jo dhoondhta hai, vah pata hai aur jo khatakhtata hai, uske liye khola jayega.
तुम में से ऐसा कौन मनुष्य है, कि यदि उसका पुत्र उस से रोटी मांगे, तो वह उसे पत्थर दे?
Tum mein se aisa kaun manushya hai, ki yadi uska putra us se roti mange, to vah use patthar de?
वा मछली मांगे, तो उसे सांप दे?
Va machhli mange, to use saamp de?
सो जब तुम बुरे होकर, अपने बच्चों को अच्छी वस्तुएं देना जानते हो, तो तुम्हारा स्वर्गीय पिता अपने मांगने वालों को अच्छी वस्तुएं क्यों न देगा?
So jab tum bure hokar, apne bachchon ko achchhi vastuein dena jante ho, to tumhara swargeeya pita apne mangne valon ko achchhi vastuein kyon na dega?
इस कारण जो कुछ तुम चाहते हो, कि मनुष्य तुम्हारे साथ करें, तुम भी उन के साथ वैसा ही करो; क्योंकि व्यवस्था और भविष्यद्वक्ताओं की शिक्षा यही है॥
Is karan jo kuchh tum chahte ho, ki manushya tumhare saath karein, tum bhi un ke saath vaisa hi karo; kyonki vyavastha aur bhavishyadwaktaon ki shiksha yahi hai.
सकेत फाटक से प्रवेश करो, क्योंकि चौड़ा है वह फाटक और चाकल है वह मार्ग जो विनाश को पहुंचाता है; और बहुतेरे हैं जो उस से प्रवेश करते हैं।
Saket phatak se pravesh karo, kyonki chauda hai vah phatak aur chakal hai vah maarg jo vinaash ko pahunchata hai; aur bahutere hain jo us se pravesh karte hain.
क्योंकि सकेत है वह फाटक और सकरा है वह मार्ग जो जीवन को पहुंचाता है, और थोड़े हैं जो उसे पाते हैं॥
Kyonki saket hai vah phatak aur sakra hai vah maarg jo jeevan ko pahunchata hai, aur thode hain jo use pate hain.
झूठे भविष्यद्वक्ताओं से सावधान रहो, जो भेड़ों के भेष में तुम्हारे पास आते हैं, परन्तु अन्तर में फाड़ने वाले भेडिए हैं।
Jhoothe bhavishyadwaktaon se savdhaan raho, jo bhedon ke bhesh mein tumhare paas aate hain, parantu antar mein phadne vale bhediye hain.
उन के फलों से तुम उन्हें पहचान लोग क्या झाड़ियों से अंगूर, वा ऊंटकटारों से अंजीर तोड़ते हैं?
Un ke phalon se tum unhein pahchaan log kya jhadiyon se angoor, va oontaktaron se anjeer todte hain?
इसी प्रकार हर एक अच्छा पेड़ अच्छा फल लाता है और निकम्मा पेड़ बुरा फल लाता है।
Isi prakaar har ek achchha ped achchha phal lata hai aur nikamma ped bura phal lata hai.
अच्छा पेड़ बुरा फल नहीं ला सकता, और न निकम्मा पेड़ अच्छा फल ला सकता है।
Achchha ped bura phal nahi la sakta, aur na nikamma ped achchha phal la sakta hai.
जो जो पेड़ अच्छा फल नहीं लाता, वह काटा और आग में डाला जाता है।
Jo jo ped achchha phal nahi lata, vah kata aur aag mein dala jata hai.
सो उन के फलों से तुम उन्हें पहचान लोगे।
So un ke phalon se tum unhein pahchaan loge.
जो मुझ से, हे प्रभु, हे प्रभु कहता है, उन में से हर एक स्वर्ग के राज्य में प्रवेश न करेगा, परन्तु वही जो मेरे स्वर्गीय पिता की इच्छा पर चलता है।
Jo mujh se, he Prabhu, he Prabhu kahta hai, un mein se har ek swarg ke rajya mein pravesh na karega, parantu vahi jo mere swargeeya pita ki ichchha par chalta hai.
उस दिन बहुतेरे मुझ से कहेंगे; हे प्रभु, हे प्रभु, क्या हम ने तेरे नाम से भविष्यद्वाणी नहीं की, और तेरे नाम से दुष्टात्माओं को नहीं निकाला, और तेरे नाम से बहुत अचम्भे के काम नहीं किए?
Us din bahutere mujh se kahenge; he Prabhu, he Prabhu, kya ham ne tere naam se bhavishyadwani nahi ki, aur tere naam se dushtatmaon ko nahi nikala, aur tere naam se bahut achambhe ke kaam nahi kiye?
तब मैं उन से खुलकर कह दूंगा कि मैं ने तुम को कभी नहीं जाना, हे कुकर्म करने वालों, मेरे पास से चले जाओ।
Tab main un se khulkar kah doonga ki main ne tum ko kabhi nahi jana, he kukarm karne valon, mere paas se chale jao.
इसलिये जो कोई मेरी ये बातें सुनकर उन्हें मानता है वह उस बुद्धिमान मनुष्य की नाईं ठहरेगा जिस ने अपना घर चट्टान पर बनाया।
Isliye jo koi meri ye batein sunkar unhein manta hai vah us buddhimaan manushya ki nai thahrega jis ne apna ghar chattaan par banaya.
और मेंह बरसा और बाढ़ें आईं, और आन्धियां चलीं, और उस घर पर टक्करें लगीं, परन्तु वह नहीं गिरा, क्योंकि उस की नेव चट्टान पर डाली गई थी।
Aur menh barsa aur badhein aai, aur aandhiyan chali, aur us ghar par takkarein lagi, parantu vah nahi gira, kyonki us ki nev chattaan par dali gai thi.
परन्तु जो कोई मेरी ये बातें सुनता है और उन पर नहीं चलता वह उस निर्बुद्धि मनुष्य की नाईं ठहरेगा जिस ने अपना घर बालू पर बनाया।
Parantu jo koi meri ye batein sunta hai aur un par nahi chalta vah us nirbuddhi manushya ki nai thahrega jis ne apna ghar balu par banaya.
और मेंह बरसा, और बाढ़ें आईं, और आन्धियां चलीं, और उस घर पर टक्करें लगीं और वह गिरकर सत्यानाश हो गया॥
Aur menh barsa, aur badhein aai, aur aandhiyan chali, aur us ghar par takkarein lagi aur vah girkar satyanaash ho gaya.
जब यीशु ये बातें कह चुका, तो ऐसा हुआ कि भीड़ उसके उपदेश से चकित हुई।
Jab Yeshu ye batein kah chuka, to aisa huaa ki bheed uske updesh se chakit hui.
क्योंकि वह उन के शास्त्रियों के समान नहीं परन्तु अधिकारी की नाईं उन्हें उपदेश देता था॥
Kyonki vah un ke shastriyon ke samaan nahi parantu adhikari ki nai unhein updesh deta tha.