Matthew 5 · 48 verses

मत्ती 5 Matthew 5 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Matti 5.

1

वह इस भीड़ को देखकर, पहाड़ पर चढ़ गया; और जब बैठ गया तो उसके चेले उसके पास आए।

Vah is bheed ko dekhkar, pahaad par chadh gaya; aur jab baith gaya to uske chele uske paas aaye.

2

और वह अपना मुंह खोलकर उन्हें यह उपदेश देने लगा,

Aur vah apna munh kholkar unhein yah updesh dene laga,

3

धन्य हैं वे, जो मन के दीन हैं, क्योंकि स्वर्ग का राज्य उन्हीं का है।

Dhanya hain ve, jo man ke deen hain, kyonki swarg ka rajya unhi ka hai.

4

धन्य हैं वे, जो शोक करते हैं, क्योंकि वे शांति पाएंगे।

Dhanya hain ve, jo shok karte hain, kyonki ve shanti payenge.

5

धन्य हैं वे, जो नम्र हैं, क्योंकि वे पृथ्वी के अधिकारी होंगे।

Dhanya hain ve, jo namra hain, kyonki ve prithvi ke adhikari honge.

6

धन्य हैं वे जो धर्म के भूखे और प्यासे हैं, क्योंकि वे तृप्त किये जाएंगे।

Dhanya hain ve jo dharm ke bhookhe aur pyase hain, kyonki ve tript kiye jayenge.

7

धन्य हैं वे, जो दयावन्त हैं, क्योंकि उन पर दया की जाएगी।

Dhanya hain ve, jo dayavant hain, kyonki un par daya ki jayegi.

8

धन्य हैं वे, जिन के मन शुद्ध हैं, क्योंकि वे परमेश्वर को देखेंगे।

Dhanya hain ve, jin ke man shuddh hain, kyonki ve Parmeshwar ko dekhenge.

9

धन्य हैं वे, जो मेल करवाने वाले हैं, क्योंकि वे परमेश्वर के पुत्र कहलाएंगे।

Dhanya hain ve, jo mel karvane vale hain, kyonki ve Parmeshwar ke putra kahlayenge.

10

धन्य हैं वे, जो धर्म के कारण सताए जाते हैं, क्योंकि स्वर्ग का राज्य उन्हीं का है।

Dhanya hain ve, jo dharm ke karan sataye jate hain, kyonki swarg ka rajya unhi ka hai.

11

धन्य हो तुम, जब मनुष्य मेरे कारण तुम्हारी निन्दा करें, और सताएं और झूठ बोल बोलकर तुम्हारे विरोध में सब प्रकार की बुरी बात कहें।

Dhanya ho tum, jab manushya mere karan tumhari ninda karein, aur satayen aur jhooth bol bolkar tumhare virodh mein sab prakaar ki buri baat kahein.

12

आनन्दित और मगन होना क्योंकि तुम्हारे लिये स्वर्ग में बड़ा फल है इसलिये कि उन्होंने उन भविष्यद्वक्ताओं को जो तुम से पहिले थे इसी रीति से सताया था॥

Aanandit aur magan hona kyonki tumhare liye swarg mein bada phal hai isliye ki unhonne un bhavishyadwaktaon ko jo tum se pahile the isi reeti se sataya tha.

13

तुम पृथ्वी के नमक हो; परन्तु यदि नमक का स्वाद बिगड़ जाए, तो वह फिर किस वस्तु से नमकीन किया जाएगा? फिर वह किसी काम का नहीं, केवल इस के कि बाहर फेंका जाए और मनुष्यों के पैरों तले रौंदा जाए।

Tum prithvi ke namak ho; parantu yadi namak ka swaad bigad jaye, to vah phir kis vastu se namkeen kiya jayega? Phir vah kisi kaam ka nahi, keval is ke ki bahar phenka jaye aur manushyon ke pairon tale raunda jaye.

14

तुम जगत की ज्योति हो; जो नगर पहाड़ पर बसा हुआ है वह छिप नहीं सकता।

Tum jagat ki jyoti ho; jo nagar pahaad par basa huaa hai vah chhip nahi sakta.

15

और लोग दिया जलाकर पैमाने के नीचे नहीं परन्तु दीवट पर रखते हैं, तब उस से घर के सब लोगों को प्रकाश पहुंचता है।

Aur log diya jalakar paimane ke neeche nahi parantu deevat par rakhte hain, tab us se ghar ke sab logon ko prakaash pahunchta hai.

16

उसी प्रकार तुम्हारा उजियाला मनुष्यों के साम्हने चमके कि वे तुम्हारे भले कामों को देखकर तुम्हारे पिता की, जो स्वर्ग में हैं, बड़ाई करें॥

Usi prakaar tumhara ujiyala manushyon ke samhane chamke ki ve tumhare bhale kamon ko dekhkar tumhare pita ki, jo swarg mein hain, badai karein.

17

यह न समझो, कि मैं व्यवस्था था भविष्यद्वक्ताओं की पुस्तकों को लोप करने आया हूं।

Yah na samjho, ki main vyavastha tha bhavishyadwaktaon ki pustakon ko lop karne aaya hoon.

18

लोप करने नहीं, परन्तु पूरा करने आया हूं, क्योंकि मैं तुम से सच कहता हूं, कि जब तक आकाश और पृथ्वी टल न जाएं, तब तक व्यवस्था से एक मात्रा या बिन्दु भी बिना पूरा हुए नहीं टलेगा।

Lop karne nahi, parantu poora karne aaya hoon, kyonki main tum se sach kahta hoon, ki jab tak aakaash aur prithvi tal na jayen, tab tak vyavastha se ek matra ya bindu bhi bina poora hue nahi talega.

19

इसलिये जो कोई इन छोटी से छोटी आज्ञाओं में से किसी एक को तोड़े, और वैसा ही लोगों को सिखाए, वह स्वर्ग के राज्य में सब से छोटा कहलाएगा; परन्तु जो कोई उन का पालन करेगा और उन्हें सिखाएगा, वही स्वर्ग के राज्य में महान कहलाएगा।

Isliye jo koi in chhoti se chhoti aagyaon mein se kisi ek ko tode, aur vaisa hi logon ko sikhaye, vah swarg ke rajya mein sab se chhota kahlayega; parantu jo koi un ka palan karega aur unhein sikhayega, vahi swarg ke rajya mein mahaan kahlayega.

20

क्योंकि मैं तुम से कहता हूं, कि यदि तुम्हारी धार्मिकता शास्त्रियों और फरीसियों की धार्मिकता से बढ़कर न हो, तो तुम स्वर्ग के राज्य में कभी प्रवेश करने न पाओगे॥

Kyonki main tum se kahta hoon, ki yadi tumhari dharmikta shastriyon aur phareesiyon ki dharmikta se badhkar na ho, to tum swarg ke rajya mein kabhi pravesh karne na paoge.

21

तुम सुन चुके हो, कि पूर्वकाल के लोगों से कहा गया था कि हत्या न करना, और जो कोई हत्या करेगा वह कचहरी में दण्ड के योग्य होगा।

Tum sun chuke ho, ki poorvakaal ke logon se kaha gaya tha ki hatya na karna, aur jo koi hatya karega vah kachahri mein dand ke yogya hoga.

22

परन्तु मैं तुम से यह कहता हूं, कि जो कोई अपने भाई पर क्रोध करेगा, वह कचहरी में दण्ड के योग्य होगा: और जो कोई अपने भाई को निकम्मा कहेगा वह महासभा में दण्ड के योग्य होगा; और जो कोई कहे “अरे मूर्ख” वह नरक की आग के दण्ड के योग्य होगा।

Parantu main tum se yah kahta hoon, ki jo koi apne bhai par krodh karega, vah kachahri mein dand ke yogya hoga: aur jo koi apne bhai ko nikamma kahega vah mahasbha mein dand ke yogya hoga; aur jo koi kahe “are moorkh” vah narak ki aag ke dand ke yogya hoga.

23

इसलिये यदि तू अपनी भेंट वेदी पर लाए, और वहां तू स्मरण करे, कि मेरे भाई के मन में मेरी ओर से कुछ विरोध है, तो अपनी भेंट वहीं वेदी के साम्हने छोड़ दे।

Isliye yadi tu apni bhent vedi par laye, aur vahan tu smaran kare, ki mere bhai ke man mein meri or se kuchh virodh hai, to apni bhent vahi vedi ke samhane chhod de.

24

और जाकर पहिले अपने भाई से मेल मिलाप कर; तब आकर अपनी भेंट चढ़ा।

Aur jakar pahile apne bhai se mel milaap kar; tab aakar apni bhent chadha.

25

जब तक तू अपने मुद्दई के साथ मार्ग ही में हैं, उस से झटपट मेल मिलाप कर ले कहीं ऐसा न हो कि मुद्दई तुझे हाकिम को सौंपे, और हाकिम तुझे सिपाही को सौंप दे और तू बन्दीगृह में डाल दिया जाए।

Jab tak tu apne muddai ke saath maarg hi mein hain, us se jhatpat mel milaap kar le kahi aisa na ho ki muddai tujhe hakim ko saumpe, aur hakim tujhe sipahi ko saump de aur tu bandeegrih mein daal diya jaye.

26

मैं तुम से सच कहता हूं कि जब तक तू कौड़ी कौड़ी भर न दे तब तक वहां से छूटने न पाएगा॥

Main tum se sach kahta hoon ki jab tak tu kaudi kaudi bhar na de tab tak vahan se chhootne na payega.

27

तुम सुन चुके हो कि कहा गया था, कि व्यभिचार न करना।

Tum sun chuke ho ki kaha gaya tha, ki vyabhichaar na karna.

28

परन्तु मैं तुम से यह कहता हूं, कि जो कोई किसी स्त्री पर कुदृष्टि डाले वह अपने मन में उस से व्यभिचार कर चुका।

Parantu main tum se yah kahta hoon, ki jo koi kisi stri par kudrishti dale vah apne man mein us se vyabhichaar kar chuka.

29

यदि तेरी दाहिनी आंख तुझे ठोकर खिलाए, तो उसे निकालकर अपने पास से फेंक दे; क्योंकि तेरे लिये यही भला है कि तेरे अंगों में से एक नाश हो जाए और तेरा सारा शरीर नरक में न डाला जाए।

Yadi teri dahini aankh tujhe thokar khilaye, to use nikalkar apne paas se phenk de; kyonki tere liye yahi bhala hai ki tere angon mein se ek naash ho jaye aur tera sara shareer narak mein na dala jaye.

30

और यदि तेरा दाहिना हाथ तुझे ठोकर खिलाए, तो उस को काटकर अपने पास से फेंक दे, क्योंकि तेरे लिये यही भला है, कि तेरे अंगों में से एक नाश हो जाए और तेरा सारा शरीर नरक में न डाला जाए॥

Aur yadi tera dahina haath tujhe thokar khilaye, to us ko katkar apne paas se phenk de, kyonki tere liye yahi bhala hai, ki tere angon mein se ek naash ho jaye aur tera sara shareer narak mein na dala jaye.

31

यह भी कहा गया था, कि जो कोई अपनी पत्नी को त्याग दे तो उसे त्यागपत्र दे।

Yah bhi kaha gaya tha, ki jo koi apni patni ko tyaag de to use tyagpatra de.

32

परन्तु मैं तुम से यह कहता हूं कि जो कोई अपनी पत्नी को व्यभिचार के सिवा किसी और कारण से छोड़ दे, तो वह उस से व्यभिचार करवाता है; और जो कोई उस त्यागी हुई से ब्याह करे, वह व्यभिचार करता है॥

Parantu main tum se yah kahta hoon ki jo koi apni patni ko vyabhichaar ke siva kisi aur karan se chhod de, to vah us se vyabhichaar karvata hai; aur jo koi us tyagi hui se byaah kare, vah vyabhichaar karta hai.

33

फिर तुम सुन चुके हो, कि पूर्वकाल के लोगों से कहा गया था कि झूठी शपथ न खाना, परन्तु प्रभु के लिये अपनी शपथ को पूरी करना।

Phir tum sun chuke ho, ki poorvakaal ke logon se kaha gaya tha ki jhoothi shapath na khana, parantu Prabhu ke liye apni shapath ko poori karna.

34

परन्तु मैं तुम से यह कहता हूं, कि कभी शपथ न खाना; न तो स्वर्ग की, क्योंकि वह परमेश्वर का सिंहासन है।

Parantu main tum se yah kahta hoon, ki kabhi shapath na khana; na to swarg ki, kyonki vah Parmeshwar ka sinhasan hai.

35

न धरती की, क्योंकि वह उसके पांवों की चौकी है; न यरूशलेम की, क्योंकि वह महाराजा का नगर है।

Na dharti ki, kyonki vah uske panvon ki chauki hai; na Yerushalem ki, kyonki vah maharaja ka nagar hai.

36

अपने सिर की भी शपथ न खाना क्योंकि तू एक बाल को भी न उजला, न काला कर सकता है।

Apne sir ki bhi shapath na khana kyonki tu ek baal ko bhi na ujla, na kala kar sakta hai.

37

परन्तु तुम्हारी बात हां की हां, या नहीं की नहीं हो; क्योंकि जो कुछ इस से अधिक होता है वह बुराई से होता है॥

Parantu tumhari baat han ki han, ya nahi ki nahi ho; kyonki jo kuchh is se adhik hota hai vah burai se hota hai.

38

तुम सुन चुके हो, कि कहा गया था, कि आंख के बदले आंख, और दांत के बदले दांत।

Tum sun chuke ho, ki kaha gaya tha, ki aankh ke badle aankh, aur daant ke badle daant.

39

परन्तु मैं तुम से यह कहता हूं, कि बुरे का सामना न करना; परन्तु जो कोई तेरे दाहिने गाल पर थप्पड़ मारे, उस की ओर दूसरा भी फेर दे।

Parantu main tum se yah kahta hoon, ki bure ka samna na karna; parantu jo koi tere dahine gaal par thappad mare, us ki or doosra bhi pher de.

40

और यदि कोई तुझ पर नालिश करके तेरा कुरता लेना चाहे, तो उसे दोहर भी ले लेने दे।

Aur yadi koi tujh par nalish karke tera kurta lena chahe, to use dohar bhi le lene de.

41

और जो कोई तुझे कोस भर बेगार में ले जाए तो उसके साथ दो कोस चला जा।

Aur jo koi tujhe kos bhar begaar mein le jaye to uske saath do kos chala ja.

42

जो कोई तुझ से मांगे, उसे दे; और जो तुझ से उधार लेना चाहे, उस से मुंह न मोड़॥

Jo koi tujh se mange, use de; aur jo tujh se udhaar lena chahe, us se munh na mod.

43

तुम सुन चुके हो, कि कहा गया था; कि अपने पड़ोसी से प्रेम रखना, और अपने बैरी से बैर।

Tum sun chuke ho, ki kaha gaya tha; ki apne padosi se prem rakhna, aur apne bairi se bair.

44

परन्तु मैं तुम से यह कहता हूं, कि अपने बैरियों से प्रेम रखो और अपने सताने वालों के लिये प्रार्थना करो।

Parantu main tum se yah kahta hoon, ki apne bairiyon se prem rakho aur apne satane valon ke liye prarthana karo.

45

जिस से तुम अपने स्वर्गीय पिता की सन्तान ठहरोगे क्योंकि वह भलों और बुरों दोनो पर अपना सूर्य उदय करता है, और धर्मियों और अधर्मियों दोनों पर मेंह बरसाता है।

Jis se tum apne swargeeya pita ki santaan thahroge kyonki vah bhalon aur buron dono par apna soorya uday karta hai, aur dharmiyon aur adharmiyon donon par menh barsata hai.

46

क्योंकि यदि तुम अपने प्रेम रखने वालों ही से प्रेम रखो, तो तुम्हारे लिये क्या फल होगा? क्या महसूल लेने वाले भी ऐसा ही नहीं करते?

Kyonki yadi tum apne prem rakhne valon hi se prem rakho, to tumhare liye kya phal hoga? Kya mahsool lene vale bhi aisa hi nahi karte?

47

और यदि तुम केवल अपने भाइयों ही को नमस्कार करो, तो कौन सा बड़ा काम करते हो? क्या अन्यजाति भी ऐसा नहीं करते?

Aur yadi tum keval apne bhaiyon hi ko namaskaar karo, to kaun sa bada kaam karte ho? Kya anyajati bhi aisa nahi karte?

48

इसलिये चाहिये कि तुम सिद्ध बनो, जैसा तुम्हारा स्वर्गीय पिता सिद्ध है॥

Isliye chahiye ki tum siddh bano, jaisa tumhara swargeeya pita siddh hai.