तब उस समय आत्मा यीशु को जंगल में ले गया ताकि इब्लीस से उस की परीक्षा हो।
Tab us samay aatma Yeshu ko jangal mein le gaya taki iblees se us ki pareeksha ho.
Matthew 4 · 25 verses
तब उस समय आत्मा यीशु को जंगल में ले गया ताकि इब्लीस से उस की परीक्षा हो।
Tab us samay aatma Yeshu ko jangal mein le gaya taki iblees se us ki pareeksha ho.
वह चालीस दिन, और चालीस रात, निराहार रहा, अन्त में उसे भूख लगी।
Vah chalees din, aur chalees raat, nirahaar raha, ant mein use bhookh lagi.
तब परखने वाले ने पास आकर उस से कहा, यदि तू परमेश्वर का पुत्र है, तो कह दे, कि ये पत्थर रोटियां बन जाएं।
Tab parakhne vale ne paas aakar us se kaha, yadi tu Parmeshwar ka putra hai, to kah de, ki ye patthar rotiyan ban jayen.
उस ने उत्तर दिया; कि लिखा है कि मनुष्य केवल रोटी ही से नहीं, परन्तु हर एक वचन से जो परमेश्वर के मुख से निकलता है जीवित रहेगा।
Us ne uttar diya; ki likha hai ki manushya keval roti hi se nahi, parantu har ek vachan se jo Parmeshwar ke mukh se nikalta hai jeevit rahega.
तब इब्लीस उसे पवित्र नगर में ले गया और मन्दिर के कंगूरे पर खड़ा किया।
Tab iblees use pavitra nagar mein le gaya aur mandir ke kangoore par khada kiya.
और उस से कहा यदि तू परमेश्वर का पुत्र है, तो अपने आप को नीचे गिरा दे; क्योंकि लिखा है, कि वह तेरे विषय में अपने स्वर्गदूतों को आज्ञा देगा; और वे तुझे हाथों हाथ उठा लेंगे; कहीं ऐसा न हो कि तेरे पांवों में पत्थर से ठेस लगे।
Aur us se kaha yadi tu Parmeshwar ka putra hai, to apne aap ko neeche gira de; kyonki likha hai, ki vah tere vishay mein apne swargadooton ko aagya dega; aur ve tujhe hathon haath utha lenge; kahi aisa na ho ki tere panvon mein patthar se thes lage.
यीशु ने उस से कहा; यह भी लिखा है, कि तू प्रभु अपने परमेश्वर की परीक्षा न कर।
Yeshu ne us se kaha; yah bhi likha hai, ki tu Prabhu apne Parmeshwar ki pareeksha na kar.
फिर शैतान उसे एक बहुत ऊंचे पहाड़ पर ले गया और सारे जगत के राज्य और उसका विभव दिखाकर
Phir Shaitan use ek bahut oonche pahaad par le gaya aur sare jagat ke rajya aur uska vibhav dikhakar
उस से कहा, कि यदि तू गिरकर मुझे प्रणाम करे, तो मैं यह सब कुछ तुझे दे दूंगा।
Us se kaha, ki yadi tu girkar mujhe pranaam kare, to main yah sab kuchh tujhe de doonga.
तब यीशु ने उस से कहा; हे शैतान दूर हो जा, क्योंकि लिखा है, कि तू प्रभु अपने परमेश्वर को प्रणाम कर, और केवल उसी की उपासना कर।
Tab Yeshu ne us se kaha; he Shaitan door ho ja, kyonki likha hai, ki tu Prabhu apne Parmeshwar ko pranaam kar, aur keval usi ki upasna kar.
तब शैतान उसके पास से चला गया, और देखो, स्वर्गदूत आकर उस की सेवा करने लगे॥
Tab Shaitan uske paas se chala gaya, aur dekho, swargadoot aakar us ki seva karne lage.
जब उस ने यह सुना कि यूहन्ना पकड़वा दिया गया, तो वह गलील को चला गया।
Jab us ne yah suna ki Yuhanna pakadva diya gaya, to vah galeel ko chala gaya.
और नासरत को छोड़कर कफरनहूम में जो झील के किनारे जबूलून और नपताली के देश में है जाकर रहने लगा।
Aur nasrat ko chhodkar kaphranhoom mein jo jheel ke kinare jabooloon aur naptali ke desh mein hai jakar rahne laga.
ताकि जो यशायाह भविष्यद्वक्ता के द्वारा कहा गया था, वह पूरा हो।
Taki jo yashayaah bhavishyadwakta ke dwara kaha gaya tha, vah poora ho.
कि जबूलून और नपताली के देश, झील के मार्ग से यरदन के पार अन्यजातियों का गलील।
Ki jabooloon aur naptali ke desh, jheel ke maarg se yardan ke paar anyajatiyon ka galeel.
जो लोग अन्धकार में बैठे थे उन्होंने बड़ी ज्योति देखी; और जो मृत्यु के देश और छाया में बैठे थे, उन पर ज्योति चमकी॥
Jo log andhakaar mein baithe the unhonne badi jyoti dekhi; aur jo mrityu ke desh aur chhaya mein baithe the, un par jyoti chamki.
उस समय से यीशु प्रचार करना और यह कहना आरम्भ किया, कि मन फिराओ क्योंकि स्वर्ग का राज्य निकट आया है।
Us samay se Yeshu prachaar karna aur yah kahna aarambh kiya, ki man phirao kyonki swarg ka rajya nikat aaya hai.
उस ने गलील की झील के किनारे फिरते हुए दो भाइयों अर्थात शमौन को जो पतरस कहलाता है, और उसके भाई अन्द्रियास को झील में जाल डालते देखा; क्योंकि वे मछवे थे।
Us ne galeel ki jheel ke kinare phirte hue do bhaiyon arthaat Shamaun ko jo Patras kahlata hai, aur uske bhai andriyaas ko jheel mein jaal dalte dekha; kyonki ve machhve the.
और उन से कहा, मेरे पीछे चले आओ, तो मैं तुम को मनुष्यों के पकड़ने वाले बनाऊंगा।
Aur un se kaha, mere peechhe chale aao, to main tum ko manushyon ke pakadne vale banaoonga.
वे तुरन्त जालों को छोड़कर उसके पीछे हो लिए।
Ve turant jalon ko chhodkar uske peechhe ho liye.
और वहां से आगे बढ़कर, उस ने और दो भाइयों अर्थात जब्दी के पुत्र याकूब और उसके भाई यूहन्ना को अपने पिता जब्दी के साथ नाव पर अपने जालों को सुधारते देखा; और उन्हें भी बुलाया
Aur vahan se aage badhkar, us ne aur do bhaiyon arthaat jabdi ke putra Yakub aur uske bhai Yuhanna ko apne pita jabdi ke saath naav par apne jalon ko sudharte dekha; aur unhein bhi bulaya
वे तुरन्त नाव और अपने पिता को छोड़कर उसके पीछे हो लिए॥
Ve turant naav aur apne pita ko chhodkar uske peechhe ho liye.
और यीशु सारे गलील में फिरता हुआ उन की सभाओं में उपदेश करता और राज्य का सुसमाचार प्रचार करता, और लोगों की हर प्रकार की बीमारी और दुर्बल्ता को दूर करता रहा।
Aur Yeshu sare galeel mein phirta huaa un ki sabhaon mein updesh karta aur rajya ka susmachaar prachaar karta, aur logon ki har prakaar ki beemari aur durbalta ko door karta raha.
और सारे सूरिया में उसका यश फैल गया; और लोग सब बीमारों को, जो नाना प्रकार की बीमारियों और दुखों में जकड़े हुए थे, और जिन में दुष्टात्माएं थीं और मिर्गी वालों और झोले के मारे हुओं को उसके पास लाए और उस ने उन्हें चंगा किया।
Aur sare sooriya mein uska yash phail gaya; aur log sab beemaron ko, jo nana prakaar ki beemariyon aur dukhon mein jakde hue the, aur jin mein dushtatmayen thi aur mirgi valon aur jhole ke mare huon ko uske paas laye aur us ne unhein changa kiya.
और गलील और दिकापुलिस और यरूशलेम और यहूदिया से और यरदन के पार से भीड़ की भीड़ उसके पीछे हो ली॥
Aur galeel aur dikapulis aur Yerushalem aur yahoodiya se aur yardan ke paar se bheed ki bheed uske peechhe ho li.