उन दिनों में यूहन्ना बपतिस्मा देनेवाला आकर यहूदिया के जंगल में यह प्रचार करने लगा। कि
Un dinon mein Yuhanna baptisma denevala aakar yahoodiya ke jangal mein yah prachaar karne laga. Ki
Matthew 3 · 17 verses
उन दिनों में यूहन्ना बपतिस्मा देनेवाला आकर यहूदिया के जंगल में यह प्रचार करने लगा। कि
Un dinon mein Yuhanna baptisma denevala aakar yahoodiya ke jangal mein yah prachaar karne laga. Ki
मन फिराओ; क्योंकि स्वर्ग का राज्य निकट आ गया है।
Man phirao; kyonki swarg ka rajya nikat aa gaya hai.
यह वही है जिस की चर्चा यशायाह भविष्यद्वक्ता के द्वारा की गई कि जंगल में एक पुकारने वाले का शब्द हो रहा है, कि प्रभु का मार्ग तैयार करो, उस की सड़कें सीधी करो।
Yah vahi hai jis ki charcha yashayaah bhavishyadwakta ke dwara ki gai ki jangal mein ek pukarne vale ka shabd ho raha hai, ki Prabhu ka maarg taiyaar karo, us ki sadkein seedhi karo.
यह यूहन्ना ऊंट के रोम का वस्त्र पहिने था, और अपनी कमर में चमड़े का पटुका बान्धे हुए था, और उसका भोजन टिड्डियां और बनमधु था।
Yah Yuhanna oont ke rom ka vastra pahine tha, aur apni kamar mein chamde ka patuka bandhe hue tha, aur uska bhojan tiddiyan aur banamdhu tha.
तब यरूशलेम के और सारे यहूदिया के, और यरदन के आस पास के सारे देश के लोग उसके पास निकल आए।
Tab Yerushalem ke aur sare yahoodiya ke, aur yardan ke aas paas ke sare desh ke log uske paas nikal aaye.
और अपने अपने पापों को मानकर यरदन नदी में उस से बपतिस्मा लिया।
Aur apne apne papon ko mankar yardan nadi mein us se baptisma liya.
जब उस ने बहुतेरे फरीसियों और सदूकियों को बपतिस्मा के लिये अपने पास आते देखा, तो उन से कहा, कि हे सांप के बच्चों तुम्हें किस ने जता दिया, कि आने वाले क्रोध से भागो?
Jab us ne bahutere phareesiyon aur sadookiyon ko baptisma ke liye apne paas aate dekha, to un se kaha, ki he saamp ke bachchon tumhein kis ne jata diya, ki aane vale krodh se bhago?
सो मन फिराव के योग्य फल लाओ।
So man phiraav ke yogya phal lao.
और अपने अपने मन में यह न सोचो, कि हमारा पिता इब्राहीम है; क्योंकि मैं तुम से कहता हूं, कि परमेश्वर इन पत्थरों से इब्राहीम के लिये सन्तान उत्पन्न कर सकता है।
Aur apne apne man mein yah na socho, ki hamara pita Ibrahim hai; kyonki main tum se kahta hoon, ki Parmeshwar in pattharon se Ibrahim ke liye santaan utpann kar sakta hai.
और अब कुल्हाड़ा पेड़ों की जड़ पर रखा हुआ है, इसलिये जो जो पेड़ अच्छा फल नहीं लाता, वह काटा और आग में झोंका जाता है।
Aur ab kulhada pedon ki jad par rakha huaa hai, isliye jo jo ped achchha phal nahi lata, vah kata aur aag mein jhonka jata hai.
मैं तो पानी से तुम्हें मन फिराव का बपतिस्मा देता हूं, परन्तु जो मेरे बाद आनेवाला है, वह मुझ से शक्तिशाली है; मैं उस की जूती उठाने के योग्य नहीं, वह तुम्हें पवित्र आत्मा और आग से बपतिस्मा देगा।
Main to pani se tumhein man phiraav ka baptisma deta hoon, parantu jo mere baad aanevala hai, vah mujh se shaktishali hai; main us ki jooti uthane ke yogya nahi, vah tumhein pavitra aatma aur aag se baptisma dega.
उसका सूप उस के हाथ में है, और वह अपना खलिहान अच्छी रीति से साफ करेगा, और अपने गेहूं को तो खत्ते में इकट्ठा करेगा, परन्तु भूसी को उस आग में जलाएगा जो बुझने की नहीं॥
Uska soop us ke haath mein hai, aur vah apna khalihaan achchhi reeti se saaph karega, aur apne gehun ko to khatte mein ikattha karega, parantu bhoosi ko us aag mein jalayega jo bujhne ki nahi.
उस समय यीशु गलील से यरदन के किनारे पर यूहन्ना के पास उस से बपतिस्मा लेने आया।
Us samay Yeshu galeel se yardan ke kinare par Yuhanna ke paas us se baptisma lene aaya.
परन्तु यूहन्ना यह कहकर उसे रोकने लगा, कि मुझे तेरे हाथ से बपतिस्मा लेने की आवश्यक्ता है, और तू मेरे पास आया है?
Parantu Yuhanna yah kahkar use rokne laga, ki mujhe tere haath se baptisma lene ki aavashyakta hai, aur tu mere paas aaya hai?
यीशु ने उस को यह उत्तर दिया, कि अब तो ऐसा ही होने दे, क्योंकि हमें इसी रीति से सब धार्मिकता को पूरा करना उचित है, तब उस ने उस की बात मान ली।
Yeshu ne us ko yah uttar diya, ki ab to aisa hi hone de, kyonki hamein isi reeti se sab dharmikta ko poora karna uchit hai, tab us ne us ki baat maan li.
और यीशु बपतिस्मा लेकर तुरन्त पानी में से ऊपर आया, और देखो, उसके लिये आकाश खुल गया; और उस ने परमेश्वर के आत्मा को कबूतर की नाईं उतरते और अपने ऊपर आते देखा।
Aur Yeshu baptisma lekar turant pani mein se oopar aaya, aur dekho, uske liye aakaash khul gaya; aur us ne Parmeshwar ke aatma ko kabootar ki nai utarte aur apne oopar aate dekha.
और देखो, यह आकाशवाणी हुई, कि यह मेरा प्रिय पुत्र है, जिस से मैं अत्यन्त प्रसन्न हूं॥
Aur dekho, yah aakashvani hui, ki yah mera priya putra hai, jis se main atyant prasann hoon.