Matthew 2 · 23 verses

मत्ती 2 Matthew 2 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Matti 2.

1

हेरोदेस राजा के दिनों में जब यहूदिया के बैतलहम में यीशु का जन्म हुआ, तो देखो, पूर्व से कई ज्योतिषी यरूशलेम में आकर पूछने लगे।

Herodes raja ke dinon mein jab yahoodiya ke baitalham mein Yeshu ka janm huaa, to dekho, poorva se kai jyotishi Yerushalem mein aakar poochhne lage.

2

कि यहूदियों का राजा जिस का जन्म हुआ है, कहां है? क्योंकि हम ने पूर्व में उसका तारा देखा है और उस को प्रणाम करने आए हैं।

Ki Yahudiyon ka raja jis ka janm huaa hai, kahan hai? Kyonki ham ne poorva mein uska tara dekha hai aur us ko pranaam karne aaye hain.

3

यह सुनकर हेरोदेस राजा और उसके साथ सारा यरूशलेम घबरा गया।

Yah sunkar herodes raja aur uske saath sara Yerushalem ghabra gaya.

4

और उस ने लोगों के सब महायाजकों और शास्त्रियों को इकट्ठे करके उन से पूछा, कि मसीह का जन्म कहाँ होना चाहिए?

Aur us ne logon ke sab mahayajkon aur shastriyon ko ikatthe karke un se poochha, ki Masih ka janm kahan hona chahiye?

5

उन्होंने उस से कहा, यहूदिया के बैतलहम में; क्योंकि भविष्यद्वक्ता के द्वारा यों लिखा है।

Unhonne us se kaha, yahoodiya ke baitalham mein; kyonki bhavishyadwakta ke dwara yon likha hai.

6

कि हे बैतलहम, जो यहूदा के देश में है, तू किसी रीति से यहूदा के अधिकारियों में सब से छोटा नहीं; क्योंकि तुझ में से एक अधिपति निकलेगा, जो मेरी प्रजा इस्राएल की रखवाली करेगा।

Ki he baitalham, jo Yahuda ke desh mein hai, tu kisi reeti se Yahuda ke adhikariyon mein sab se chhota nahi; kyonki tujh mein se ek adhipti niklega, jo meri praja Israel ki rakhvali karega.

7

तब हेरोदेस ने ज्योतिषियों को चुपके से बुलाकर उन से पूछा, कि तारा ठीक किस समय दिखाई दिया था।

Tab herodes ne jyotishiyon ko chupke se bulakar un se poochha, ki tara theek kis samay dikhai diya tha.

8

और उस ने यह कहकर उन्हें बैतलहम भेजा, कि जाकर उस बालक के विषय में ठीक ठीक मालूम करो और जब वह मिल जाए तो मुझे समाचार दो ताकि मैं भी आकर उस को प्रणाम करूं।

Aur us ne yah kahkar unhein baitalham bheja, ki jakar us balak ke vishay mein theek theek maloom karo aur jab vah mil jaye to mujhe samachaar do taki main bhi aakar us ko pranaam karun.

9

वे राजा की बात सुनकर चले गए, और देखो, जो तारा उन्होंने पूर्व में देखा था, वह उन के आगे आगे चला, और जंहा बालक था, उस जगह के ऊपर पंहुचकर ठहर गया॥

Ve raja ki baat sunkar chale gaye, aur dekho, jo tara unhonne poorva mein dekha tha, vah un ke aage aage chala, aur janha balak tha, us jagah ke oopar panhuchkar thahar gaya.

10

उस तारे को देखकर वे अति आनन्दित हुए।

Us tare ko dekhkar ve ati aanandit hue.

11

और उस घर में पहुंचकर उस बालक को उस की माता मरियम के साथ देखा, और मुंह के बल गिरकर उसे प्रणाम किया; और अपना अपना थैला खोलकर उसे सोना, और लोहबान, और गन्धरस की भेंट चढ़ाई।

Aur us ghar mein pahunchkar us balak ko us ki mata Mariyam ke saath dekha, aur munh ke bal girkar use pranaam kiya; aur apna apna thaila kholkar use sona, aur lohbaan, aur gandharas ki bhent chadhai.

12

और स्वप्न में यह चितौनी पाकर कि हेरोदेस के पास फिर न जाना, वे दूसरे मार्ग से होकर अपने देश को चले गए॥

Aur swapn mein yah chitauni pakar ki herodes ke paas phir na jana, ve doosre maarg se hokar apne desh ko chale gaye.

13

उन के चले जाने के बाद देखो, प्रभु के एक दूत ने स्वप्न में यूसुफ को दिखाई देकर कहा, उठ; उस बालक को और उस की माता को लेकर मिस्र देश को भाग जा; और जब तक मैं तुझ से न कहूं, तब तक वहीं रहना; क्योंकि हेरोदेस इस बालक को ढूंढ़ने पर है कि उसे मरवा डाले।

Un ke chale jane ke baad dekho, Prabhu ke ek doot ne swapn mein Yusuf ko dikhai dekar kaha, uth; us balak ko aur us ki mata ko lekar Misr desh ko bhaag ja; aur jab tak main tujh se na kahun, tab tak vahi rahna; kyonki herodes is balak ko dhoondhne par hai ki use marva dale.

14

वह रात ही को उठकर बालक और उस की माता को लेकर मिस्र को चल दिया।

Vah raat hi ko uthkar balak aur us ki mata ko lekar Misr ko chal diya.

15

और हेरोदेस के मरने तक वहीं रहा; इसलिये कि वह वचन जो प्रभु ने भविष्यद्वक्ता के द्वारा कहा था कि मैं ने अपने पुत्र को मिस्र से बुलाया पूरा हो।

Aur herodes ke marne tak vahi raha; isliye ki vah vachan jo Prabhu ne bhavishyadwakta ke dwara kaha tha ki main ne apne putra ko Misr se bulaya poora ho.

16

जब हेरोदेस ने यह देखा, कि ज्योतिषियों ने मेरे साथ ठट्ठा किया है, तब वह क्रोध से भर गया; और लोगों को भेजकर ज्योतिषियों से ठीक ठीक पूछे हुए समय के अनुसार बैतलहम और उसके आस पास के सब लड़कों को जो दो वर्ष के, वा उस से छोटे थे, मरवा डाला।

Jab herodes ne yah dekha, ki jyotishiyon ne mere saath thattha kiya hai, tab vah krodh se bhar gaya; aur logon ko bhejkar jyotishiyon se theek theek poochhe hue samay ke anusaar baitalham aur uske aas paas ke sab ladkon ko jo do varsh ke, va us se chhote the, marva dala.

17

तब जो वचन यिर्मयाह भविष्यद्वक्ता के द्वारा कहा गया था, वह पूरा हुआ,

Tab jo vachan yirmayaah bhavishyadwakta ke dwara kaha gaya tha, vah poora huaa,

18

कि रामाह में एक करूण-नाद सुनाई दिया, रोना और बड़ा विलाप, राहेल अपने बालकों के लिये रो रही थी, और शान्त होना न चाहती थी, क्योंकि वे हैं नहीं॥

Ki ramaah mein ek karoon-naad sunai diya, rona aur bada vilaap, rahel apne balkon ke liye ro rahi thi, aur shaant hona na chahti thi, kyonki ve hain nahi.

19

हेरोदेस के मरने के बाद देखो, प्रभु के दूत ने मिस्र में यूसुफ को स्वप्न में दिखाई देकर कहा।

Herodes ke marne ke baad dekho, Prabhu ke doot ne Misr mein Yusuf ko swapn mein dikhai dekar kaha.

20

कि उठ, बालक और उस की माता को लेकर इस्राएल के देश में चला जा; क्योंकि जो बालक के प्राण लेना चाहते थे, वे मर गए।

Ki uth, balak aur us ki mata ko lekar Israel ke desh mein chala ja; kyonki jo balak ke praan lena chahte the, ve mar gaye.

21

वह उठा, और बालक और उस की माता को साथ लेकर इस्राएल के देश में आया।

Vah utha, aur balak aur us ki mata ko saath lekar Israel ke desh mein aaya.

22

परन्तु यह सुनकर कि अरिखलाउस अपने पिता हेरोदेस की जगह यहूदिया पर राज्य कर रहा है, वहां जाने से डरा; और स्वप्न में चितौनी पाकर गलील देश में चला गया।

Parantu yah sunkar ki arikhlaus apne pita herodes ki jagah yahoodiya par rajya kar raha hai, vahan jane se dara; aur swapn mein chitauni pakar galeel desh mein chala gaya.

23

और नासरत नाम नगर में जा बसा; ताकि वह वचन पूरा हो, जो भविष्यद्वक्ताओं के द्वारा कहा गया था, कि वह नासरी कहलाएगा॥

Aur nasrat naam nagar mein ja basa; taki vah vachan poora ho, jo bhavishyadwaktaon ke dwara kaha gaya tha, ki vah nasri kahlayega.