जब भोर हुई, तो सब महायाजकों और लोगों के पुरनियों ने यीशु के मार डालने की सम्मति की।
Jab bhor hui, to sab mahayajkon aur logon ke purniyon ne Yeshu ke maar dalne ki sammati ki.
Matthew 27 · 66 verses
जब भोर हुई, तो सब महायाजकों और लोगों के पुरनियों ने यीशु के मार डालने की सम्मति की।
Jab bhor hui, to sab mahayajkon aur logon ke purniyon ne Yeshu ke maar dalne ki sammati ki.
और उन्होंने उसे बान्धा और ले जाकर पीलातुस हाकिम के हाथ में सौंप दिया॥
Aur unhonne use bandha aur le jakar peelatus hakim ke haath mein saump diya.
जब उसके पकड़वाने वाले यहूदा ने देखा कि वह दोषी ठहराया गया है तो वह पछताया और वे तीस चान्दी के सिक्के महायाजकों और पुरनियों के पास फेर लाया।
Jab uske pakadvane vale Yahuda ne dekha ki vah doshi thahraya gaya hai to vah pachhtaya aur ve tees chandi ke sikke mahayajkon aur purniyon ke paas pher laya.
और कहा, मैं ने निर्दोषी को घात के लिये पकड़वाकर पाप किया है? उन्होंने कहा, हमें क्या? तू ही जान।
Aur kaha, main ne nirdoshi ko ghaat ke liye pakadvakar paap kiya hai? Unhonne kaha, hamein kya? Tu hi jaan.
तब वह उन सिक्कों मन्दिर में फेंककर चला गया, और जाकर अपने आप को फांसी दी।
Tab vah un sikkon mandir mein phenkkar chala gaya, aur jakar apne aap ko phansi di.
महायाजकों ने उन सिक्कों लेकर कहा, इन्हें भण्डार में रखना उचित नहीं, क्योंकि यह लोहू का दाम है।
Mahayajkon ne un sikkon lekar kaha, inhein bhandaar mein rakhna uchit nahi, kyonki yah lohu ka daam hai.
सो उन्होंने सम्मति करके उन सिक्कों से परदेशियों के गाड़ने के लिये कुम्हार का खेत मोल ले लिया।
So unhonne sammati karke un sikkon se pardeshiyon ke gadne ke liye kumhaar ka khet mol le liya.
इस कारण वह खेत आज तक लोहू का खेत कहलाता है।
Is karan vah khet aaj tak lohu ka khet kahlata hai.
तब जो वचन यिर्मयाह भविष्यद्वक्ता के द्वारा कहा गया था वह पूरा हुआ; कि उन्होंने वे तीस सिक्के अर्थात उस ठहराए हुए मूल्य को (जिसे इस्त्राएल की सन्तान में से कितनों ने ठहराया था) ले लिए।
Tab jo vachan yirmayaah bhavishyadwakta ke dwara kaha gaya tha vah poora huaa; ki unhonne ve tees sikke arthaat us thahraye hue moolya ko (jise istrayel ki santaan mein se kitnon ne thahraya tha) le liye.
और जैसे प्रभु ने मुझे आज्ञा दी थी वैसे ही उन्हें कुम्हार के खेत के मूल्य में दे दिया॥
Aur jaise Prabhu ne mujhe aagya di thi vaise hi unhein kumhaar ke khet ke moolya mein de diya.
जब यीशु हाकिम के साम्हने खड़ा था, तो हाकिम ने उस से पूछा; कि क्या तू यहूदियों का राजा है? यीशु ने उस से कहा, तू आप ही कह रहा है।
Jab Yeshu hakim ke samhane khada tha, to hakim ne us se poochha; ki kya tu Yahudiyon ka raja hai? Yeshu ne us se kaha, tu aap hi kah raha hai.
जब महायाजक और पुरिनए उस पर दोष लगा रहे थे, तो उस ने कुछ उत्तर नहीं दिया।
Jab mahayajak aur purinaye us par dosh laga rahe the, to us ne kuchh uttar nahi diya.
इस पर पीलातुस ने उस से कहा: क्या तू नहीं सुनता, कि ये तेरे विरोध में कितनी गवाहियां दे रहे हैं?
Is par peelatus ne us se kaha: kya tu nahi sunta, ki ye tere virodh mein kitni gavahiyan de rahe hain?
परन्तु उस ने उस को एक बात का भी उत्तर नहीं दिया, यहां तक कि हाकिम को बड़ा आश्चर्य हुआ।
Parantu us ne us ko ek baat ka bhi uttar nahi diya, yahan tak ki hakim ko bada aashcharya huaa.
और हाकिम की यह रीति थी, कि उस पर्व्व में लोगों के लिये किसी एक बन्धुए को जिसे वे चाहते थे, छोड़ देता था।
Aur hakim ki yah reeti thi, ki us parvva mein logon ke liye kisi ek bandhue ko jise ve chahte the, chhod deta tha.
उस समय बरअब्बा नाम उन्हीं में का एक नामी बन्धुआ था।
Us samay baraabba naam unhi mein ka ek nami bandhuaa tha.
सो जब वे इकट्ठे हुए, तो पीलातुस ने उन से कहा; तुम किस को चाहते हो, कि मैं तुम्हारे लिये छोड़ दूं? बरअब्बा को, या यीशु को जो मसीह कहलाता है?
So jab ve ikatthe hue, to peelatus ne un se kaha; tum kis ko chahte ho, ki main tumhare liye chhod dun? Baraabba ko, ya Yeshu ko jo Masih kahlata hai?
क्योंकि वह जानता था कि उन्होंने उसे डाह से पकड़वाया है।
Kyonki vah janta tha ki unhonne use daah se pakadvaya hai.
जब वह न्याय की गद्दी पर बैठा हुआ था तो उस की पत्नी ने उसे कहला भेजा, कि तू उस धर्मी के मामले में हाथ न डालना; क्योंकि मैं ने आज स्वप्न में उसके कारण बहुत दुख उठाया है।
Jab vah nyaay ki gaddi par baitha huaa tha to us ki patni ne use kahla bheja, ki tu us dharmi ke mamle mein haath na dalna; kyonki main ne aaj swapn mein uske karan bahut dukh uthaya hai.
महायाजकों और पुरनियों ने लोगों को उभारा, कि वे बरअब्बा को मांग ले, और यीशु को नाश कराएं।
Mahayajkon aur purniyon ne logon ko ubhara, ki ve baraabba ko maang le, aur Yeshu ko naash karayen.
हाकिम ने उन से पूछा, कि इन दोनों में से किस को चाहते हो, कि तुम्हारे लिये छोड़ दूं? उन्होंने कहा; बरअब्बा को।
Hakim ne un se poochha, ki in donon mein se kis ko chahte ho, ki tumhare liye chhod dun? Unhonne kaha; baraabba ko.
पीलातुस ने उन से पूछा; फिर यीशु को जो मसीह कहलाता है, क्या करूं? सब ने उस से कहा, वह क्रूस पर चढ़ाया जाए।
Peelatus ne un se poochha; phir Yeshu ko jo Masih kahlata hai, kya karun? Sab ne us se kaha, vah kroos par chadhaya jaye.
हाकिम ने कहा; क्यों उस ने क्या बुराई की है? परन्तु वे और भी चिल्ला, चिल्लाकर कहने लगे, “वह क्रूस पर चढ़ाया जाए”।
Hakim ne kaha; kyon us ne kya burai ki hai? Parantu ve aur bhi chilla, chillakar kahne lage, “vah kroos par chadhaya jaye”.
जब पीलातुस ने देखा, कि कुछ बन नहीं पड़ता परन्तु इस के विपरीत हुल्लड़ होता जाता है, तो उस ने पानी लेकर भीड़ के साम्हने अपने हाथ धोए, और कहा; मैं इस धर्मी के लोहू से निर्दोष हूं; तुम ही जानो।
Jab peelatus ne dekha, ki kuchh ban nahi padta parantu is ke vipreet hullad hota jata hai, to us ne pani lekar bheed ke samhane apne haath dhoye, aur kaha; main is dharmi ke lohu se nirdosh hoon; tum hi jano.
सब लोगों ने उत्तर दिया, कि इस का लोहू हम पर और हमारी सन्तान पर हो।
Sab logon ne uttar diya, ki is ka lohu ham par aur hamari santaan par ho.
इस पर उस ने बरअब्बा को उन के लिये छोड़ दिया, और यीशु को कोड़े लगवाकर सौंप दिया, कि क्रूस पर चढ़ाया जाए॥
Is par us ne baraabba ko un ke liye chhod diya, aur Yeshu ko kode lagvakar saump diya, ki kroos par chadhaya jaye.
तब हाकिम के सिपाहियों ने यीशु को किले में ले जाकर सारी पलटन उसके चहुं ओर इकट्ठी की।
Tab hakim ke sipahiyon ne Yeshu ko kile mein le jakar sari paltan uske chahun or ikatthi ki.
और उसके कपड़े उतारकर उसे किरिमजी बागा पहिनाया।
Aur uske kapde utarkar use kirimji baga pahinaya.
और कांटों को मुकुट गूंथकर उसके सिर पर रखा; और उसके दाहिने हाथ में सरकण्डा दिया और उसके आगे घुटने टेककर उसे ठट्ठे में उड़ाने लगे, कि हे यहूदियों के राजा नमस्कार।
Aur kanton ko mukut goonthkar uske sir par rakha; aur uske dahine haath mein sarkanda diya aur uske aage ghutne tekkar use thatthe mein udane lage, ki he Yahudiyon ke raja namaskaar.
और उस पर थूका; और वही सरकण्डा लेकर उसके सिर पर मारने लगे।
Aur us par thooka; aur vahi sarkanda lekar uske sir par marne lage.
जब वे उसका ठट्ठा कर चुके, तो वह बागा उस पर से उतारकर फिर उसी के कपड़े उसे पहिनाए, और क्रूस पर चढ़ाने के लिये ले चले॥
Jab ve uska thattha kar chuke, to vah baga us par se utarkar phir usi ke kapde use pahinaye, aur kroos par chadhane ke liye le chale.
बाहर जाते हुए उन्हें शमौन नाम एक कुरेनी मनुष्य मिला, उन्होंने उसे बेगार में पकड़ा कि उसका क्रूस उठा ले चले।
Bahar jate hue unhein Shamaun naam ek kureni manushya mila, unhonne use begaar mein pakda ki uska kroos utha le chale.
और उस स्थान पर जो गुलगुता नाम की जगह अर्थात खोपड़ी का स्थान कहलाता है पहुंचकर।
Aur us sthaan par jo gulguta naam ki jagah arthaat khopdi ka sthaan kahlata hai pahunchkar.
उन्होंने पित्त मिलाया हुआ दाखरस उसे पीने को दिया, परन्तु उस ने चखकर पीना न चाहा।
Unhonne pitt milaya huaa dakhras use peene ko diya, parantu us ne chakhkar peena na chaha.
तब उन्होंने उसे क्रूस पर चढ़ाया; और चिट्ठियां डालकर उसके कपड़े बांट लिए।
Tab unhonne use kroos par chadhaya; aur chitthiyan dalkar uske kapde baant liye.
और वहां बैठकर उसका पहरा देने लगे।
Aur vahan baithkar uska pahra dene lage.
और उसका दोषपत्र, उसके सिर के ऊपर लगाया, कि “यह यहूदियों का राजा यीशु है”।
Aur uska doshpatra, uske sir ke oopar lagaya, ki “yah Yahudiyon ka raja Yeshu hai”.
तब उसके साथ दो डाकू एक दाहिने और एक बाएं क्रूसों पर चढ़ाए गए।
Tab uske saath do daku ek dahine aur ek bayen krooson par chadhaye gaye.
और आने जाने वाले सिर हिला हिलाकर उस की निन्दा करते थे।
Aur aane jane vale sir hila hilakar us ki ninda karte the.
और यह कहते थे, कि हे मन्दिर के ढाने वाले और तीन दिन में बनाने वाले, अपने आप को तो बचा; यदि तू परमेश्वर का पुत्र है, तो क्रूस पर से उतर आ।
Aur yah kahte the, ki he mandir ke dhane vale aur teen din mein banane vale, apne aap ko to bacha; yadi tu Parmeshwar ka putra hai, to kroos par se utar aa.
इसी रीति से महायाजक भी शास्त्रियों और पुरनियों समेत ठट्ठा कर करके कहते थे, इस ने औरों को बचाया, और अपने को नहीं बचा सकता।
Isi reeti se mahayajak bhi shastriyon aur purniyon samet thattha kar karke kahte the, is ne auron ko bachaya, aur apne ko nahi bacha sakta.
यह तो “इस्राएल का राजा है”। अब क्रूस पर से उतर आए, तो हम उस पर विश्वास करें।
Yah to “Israel ka raja hai”. Ab kroos par se utar aaye, to ham us par vishwaas karein.
उस ने परमेश्वर का भरोसा रखा है, यदि वह इस को चाहता है, तो अब इसे छुड़ा ले, क्योंकि इस ने कहा था, कि “मैं परमेश्वर का पुत्र हूं”।
Us ne Parmeshwar ka bharosa rakha hai, yadi vah is ko chahta hai, to ab ise chhuda le, kyonki is ne kaha tha, ki “main Parmeshwar ka putra hoon”.
इसी प्रकार डाकू भी जो उसके साथ क्रूसों पर चढ़ाए गए थे उस की निन्दा करते थे॥
Isi prakaar daku bhi jo uske saath krooson par chadhaye gaye the us ki ninda karte the.
दोपहर से लेकर तीसरे पहर तक उस सारे देश में अन्धेरा छाया रहा।
Dophar se lekar teesre pahar tak us sare desh mein andhera chhaya raha.
तीसरे पहर के निकट यीशु ने बड़े शब्द से पुकारकर कहा, एली, एली, लमा शबक्तनी अर्थात हे मेरे परमेश्वर, हे मेरे परमेश्वर, तू ने मुझे क्यों छोड़ दिया?
Teesre pahar ke nikat Yeshu ne bade shabd se pukarkar kaha, eli, eli, lama shabaktani arthaat he mere Parmeshwar, he mere Parmeshwar, tu ne mujhe kyon chhod diya?
जो वहां खड़े थे, उन में से कितनों ने यह सुनकर कहा, वह तो एलिय्याह को पुकारता है।
Jo vahan khade the, un mein se kitnon ne yah sunkar kaha, vah to eliyyaah ko pukarta hai.
उन में से एक तुरन्त दौड़ा, और स्पंज लेकर सिरके में डुबोया, और सरकण्डे पर रखकर उसे चुसाया।
Un mein se ek turant dauda, aur spanj lekar sirke mein duboya, aur sarkande par rakhkar use chusaya.
औरों ने कहा, रह जाओ, देखें, एलिय्याह उसे बचाने आता है कि नहीं।
Auron ne kaha, rah jao, dekhein, eliyyaah use bachane aata hai ki nahi.
तब यीशु ने फिर बड़े शब्द से चिल्लाकर प्राण छोड़ दिए।
Tab Yeshu ne phir bade shabd se chillakar praan chhod diye.
और देखो मन्दिर का परदा ऊपर से नीचे तक फट कर दो टुकड़े हो गया: और धरती डोल गई और चटानें तड़क गईं।
Aur dekho mandir ka parda oopar se neeche tak phat kar do tukde ho gaya: aur dharti dol gai aur chatanein tadak gai.
और कब्रें खुल गईं; और सोए हुए पवित्र लोगों की बहुत लोथें जी उठीं।
Aur kabrein khul gai; aur soye hue pavitra logon ki bahut lothein ji uthi.
और उसके जी उठने के बाद वे कब्रों में से निकलकर पवित्र नगर में गए, और बहुतों को दिखाई दिए।
Aur uske ji uthne ke baad ve kabron mein se nikalkar pavitra nagar mein gaye, aur bahuton ko dikhai diye.
तब सूबेदार और जो उसके साथ यीशु का पहरा दे रहे थे, भुईंडोल और जो कुछ हुआ था, देखकर अत्यन्त डर गए, और कहा, सचमुच “यह परमेश्वर का पुत्र था”।
Tab soobedaar aur jo uske saath Yeshu ka pahra de rahe the, bhuindol aur jo kuchh huaa tha, dekhkar atyant dar gaye, aur kaha, sachmuch “yah Parmeshwar ka putra tha”.
वहां बहुत सी स्त्रियां जो गलील से यीशु की सेवा करती हुईं उसके साथ आईं थीं, दूर से यह देख रही थीं।
Vahan bahut si striyan jo galeel se Yeshu ki seva karti hui uske saath aai thi, door se yah dekh rahi thi.
उन में मरियम मगदलीली और याकूब और योसेस की माता मरियम और जब्दी के पुत्रों की माता थीं।
Un mein Mariyam magadleeli aur Yakub aur yoses ki mata Mariyam aur jabdi ke putron ki mata thi.
जब सांझ हुई तो यूसुफ नाम अरिमतियाह का एक धनी मनुष्य जो आप ही यीशु का चेला था आया: उस ने पीलातुस के पास जाकर यीशु की लोथ मांगी।
Jab saanjh hui to Yusuf naam arimtiyaah ka ek dhani manushya jo aap hi Yeshu ka chela tha aaya: us ne peelatus ke paas jakar Yeshu ki loth mangi.
इस पर पीलातुस ने दे देने की आज्ञा दी।
Is par peelatus ne de dene ki aagya di.
यूसुफ ने लोथ को लेकर उसे उज्ज़वल चादर में लपेटा।
Yusuf ne loth ko lekar use ujzaval chadar mein lapeta.
और उसे अपनी नई कब्र में रखा, जो उस ने चट्टान में खुदवाई थी, और कब्र के द्वार पर बड़ा पत्थर लुढ़काकर चला गया।
Aur use apni nai kabra mein rakha, jo us ne chattaan mein khudvai thi, aur kabra ke dwaar par bada patthar ludhkakar chala gaya.
और मरियम मगदलीनी और दूसरी मरियम वहां कब्र के साम्हने बैठी थीं॥
Aur Mariyam magadleeni aur doosri Mariyam vahan kabra ke samhane baithi thi.
दूसरे दिन जो तैयारी के दिन के बाद का दिन था, महायाजकों और फरीसियों ने पीलातुस के पास इकट्ठे होकर कहा।
Doosre din jo taiyari ke din ke baad ka din tha, mahayajkon aur phareesiyon ne peelatus ke paas ikatthe hokar kaha.
हे महाराज, हमें स्मरण है, कि उस भरमाने वाले ने अपने जीते जी कहा था, कि मैं तीन दिन के बाद जी उठूंगा।
He maharaaj, hamein smaran hai, ki us bharmane vale ne apne jeete ji kaha tha, ki main teen din ke baad ji uthoonga.
सो आज्ञा दे कि तीसरे दिन तक कब्र की रखवाली की जाए, ऐसा न हो कि उसके चेले आकर उसे चुरा ले जाएं, और लोगों से कहने लगें, कि वह मरे हुओं में से जी उठा है: तब पिछला धोखा पहिले से भी बुरा होगा।
So aagya de ki teesre din tak kabra ki rakhvali ki jaye, aisa na ho ki uske chele aakar use chura le jayen, aur logon se kahne lagein, ki vah mare huon mein se ji utha hai: tab pichhla dhokha pahile se bhi bura hoga.
पीलातुस ने उन से कहा, तुम्हारे पास पहरूए तो हैं जाओ, अपनी समझ के अनुसार रखवाली करो।
Peelatus ne un se kaha, tumhare paas pahrooye to hain jao, apni samajh ke anusaar rakhvali karo.
सो वे पहरूओं को साथ ले कर गए, और पत्थर पर मुहर लगाकर कब्र की रखवाली की॥
So ve pahrooon ko saath le kar gaye, aur patthar par muhar lagakar kabra ki rakhvali ki.