जब यीशु ये सब बातें कह चुका, तो अपने चेलों से कहने लगा।
Jab Yeshu ye sab batein kah chuka, to apne chelon se kahne laga.
Matthew 26 · 75 verses
जब यीशु ये सब बातें कह चुका, तो अपने चेलों से कहने लगा।
Jab Yeshu ye sab batein kah chuka, to apne chelon se kahne laga.
तुम जानते हो, कि दो दिन के बाद फसह का पर्व्व होगा; और मनुष्य का पुत्र क्रूस पर चढ़ाए जाने के लिये पकड़वाया जाएगा।
Tum jante ho, ki do din ke baad phasah ka parvva hoga; aur manushya ka putra kroos par chadhaye jane ke liye pakadvaya jayega.
तब महायाजक और प्रजा के पुरिनए काइफा नाम महायाजक के आंगन में इकट्ठे हुए।
Tab mahayajak aur praja ke purinaye kaipha naam mahayajak ke aangan mein ikatthe hue.
और आपस में विचार करने लगे कि यीशु को छल से पकड़कर मार डालें।
Aur aapas mein vichaar karne lage ki Yeshu ko chhal se pakadkar maar dalein.
परन्तु वे कहते थे, कि पर्व्व के समय नहीं; कहीं ऐसा न हो कि लोगों में बलवा मच जाए।
Parantu ve kahte the, ki parvva ke samay nahi; kahi aisa na ho ki logon mein balva mach jaye.
जब यीशु बैतनिय्याह में शमौन कोढ़ी के घर में था।
Jab Yeshu baitniyyaah mein Shamaun kodhi ke ghar mein tha.
तो एक स्त्री संगमरमर के पात्र में बहुमोल इत्र लेकर उसके पास आई, और जब वह भोजन करने बैठा था, तो उसके सिर पर उण्डेल दिया।
To ek stri sangmarmar ke patra mein bahumol itra lekar uske paas aai, aur jab vah bhojan karne baitha tha, to uske sir par undel diya.
यह देखकर, उसके चेले रिसयाए और कहने लगे, इस का क्यों सत्यनाश किया गया?
Yah dekhkar, uske chele risyaye aur kahne lage, is ka kyon satyanaash kiya gaya?
यह तो अच्छे दाम पर बिक कर कंगालों को बांटा जा सकता था।
Yah to achchhe daam par bik kar kangalon ko banta ja sakta tha.
यह जानकर यीशु ने उन से कहा, स्त्री को क्यों सताते हो? उस ने मेरे साथ भलाई की है।
Yah jankar Yeshu ne un se kaha, stri ko kyon satate ho? Us ne mere saath bhalai ki hai.
कंगाल तुम्हारे साथ सदा रहते हैं, परन्तु मैं तुम्हारे साथ सदैव न रहूंगा।
Kangaal tumhare saath sada rahte hain, parantu main tumhare saath sadaiv na rahoonga.
उस ने मेरी देह पर जो यह इत्र उण्डेला है, वह मेरे गाड़े जाने के लिये किया है
Us ne meri deh par jo yah itra undela hai, vah mere gade jane ke liye kiya hai
मैं तुम से सच कहता हूं, कि सारे जगत में जहां कहीं यह सुसमाचार प्रचार किया जाएगा, वहां उसके इस काम का वर्णन भी उसके स्मरण में किया जाएगा।
Main tum se sach kahta hoon, ki sare jagat mein jahan kahi yah susmachaar prachaar kiya jayega, vahan uske is kaam ka varnan bhi uske smaran mein kiya jayega.
तब यहूदा इस्करियोती नाम बारह चेलों में से एक ने महायाजकों के पास जाकर कहा।
Tab Yahuda iskariyoti naam barah chelon mein se ek ne mahayajkon ke paas jakar kaha.
यदि मैं उसे तुम्हारे हाथ पकड़वा दूं, तो मुझे क्या दोगे? उन्होंने उसे तीस चान्दी के सिक्के तौलकर दे दिए।
Yadi main use tumhare haath pakadva dun, to mujhe kya doge? Unhonne use tees chandi ke sikke taulkar de diye.
और वह उसी समय से उसे पकड़वाने का अवसर ढूंढ़ने लगा॥
Aur vah usi samay se use pakadvane ka avsar dhoondhne laga.
अखमीरी रोटी के पर्व्व के पहिले दिन, चेले यीशु के पास आकर पूछने लगे; तू कहां चाहता है कि हम तेरे लिये फसह खाने की तैयारी करें?
Akhmeeri roti ke parvva ke pahile din, chele Yeshu ke paas aakar poochhne lage; tu kahan chahta hai ki ham tere liye phasah khane ki taiyari karein?
उस ने कहा, नगर में फुलाने के पास जाकर उस से कहो, कि गुरू कहता है, कि मेरा समय निकट है, मैं अपने चेलों के साथ तेरे यहां पर्व्व मनाऊंगा।
Us ne kaha, nagar mein phulane ke paas jakar us se kaho, ki guru kahta hai, ki mera samay nikat hai, main apne chelon ke saath tere yahan parvva manaoonga.
सो चेलों ने यीशु की आज्ञा मानी, और फसह तैयार किया।
So chelon ne Yeshu ki aagya mani, aur phasah taiyaar kiya.
जब सांझ हुई, तो वह बारहों के साथ भोजन करने के लिये बैठा।
Jab saanjh hui, to vah barhon ke saath bhojan karne ke liye baitha.
जब वे खा रहे थे, तो उस ने कहा, मैं तुम से सच कहता हूं, कि तुम में से एक मुझे पकड़वाएगा।
Jab ve kha rahe the, to us ne kaha, main tum se sach kahta hoon, ki tum mein se ek mujhe pakadvayega.
इस पर वे बहुत उदास हुए, और हर एक उस से पूछने लगा, हे गुरू, क्या वह मैं हूं?
Is par ve bahut udaas hue, aur har ek us se poochhne laga, he guru, kya vah main hoon?
उस ने उत्तर दिया, कि जिस ने मेरे साथ थाली में हाथ डाला है, वही मुझे पकड़वाएगा।
Us ne uttar diya, ki jis ne mere saath thali mein haath dala hai, vahi mujhe pakadvayega.
मनुष्य का पुत्र तो जैसा उसके विषय में लिखा है, जाता ही है; परन्तु उस मनुष्य के लिये शोक है जिस के द्वारा मनुष्य का पुत्र पकड़वाया जाता है: यदि उस मनुष्य का जन्म न होता, तो उसके लिये भला होता।
Manushya ka putra to jaisa uske vishay mein likha hai, jata hi hai; parantu us manushya ke liye shok hai jis ke dwara manushya ka putra pakadvaya jata hai: yadi us manushya ka janm na hota, to uske liye bhala hota.
तब उसके पकड़वाने वाले यहूदा ने कहा कि हे रब्बी, क्या वह मैं हूं?
Tab uske pakadvane vale Yahuda ne kaha ki he rabbi, kya vah main hoon?
उस ने उस से कहा, तू कह चुका: जब वे खा रहे थे, तो यीशु ने रोटी ली, और आशीष मांग कर तोड़ी, और चेलों को देकर कहा, लो, खाओ; यह मेरी देह है।
Us ne us se kaha, tu kah chuka: jab ve kha rahe the, to Yeshu ne roti li, aur aasheesh maang kar todi, aur chelon ko dekar kaha, lo, khao; yah meri deh hai.
फिर उस ने कटोरा लेकर, धन्यवाद किया, और उन्हें देकर कहा, तुम सब इस में से पीओ।
Phir us ne katora lekar, dhanyavaad kiya, aur unhein dekar kaha, tum sab is mein se peeo.
क्योंकि यह वाचा का मेरा वह लोहू है, जो बहुतों के लिये पापों की क्षमा के निमित्त बहाया जाता है।
Kyonki yah vacha ka mera vah lohu hai, jo bahuton ke liye papon ki kshama ke nimitt bahaya jata hai.
मैं तुम से कहता हूं, कि दाख का यह रस उस दिन तक कभी न पीऊंगा, जब तक तुम्हारे साथ अपने पिता के राज्य में नया न पीऊं॥
Main tum se kahta hoon, ki daakh ka yah ras us din tak kabhi na peeoonga, jab tak tumhare saath apne pita ke rajya mein naya na peeun.
फिर वे भजन गाकर जैतून पहाड़ पर गए॥
Phir ve bhajan gakar jaitoon pahaad par gaye.
तब यीशु ने उन से कहा; तुम सब आज ही रात को मेरे विषय में ठोकर खाओगे; क्योंकि लिखा है, कि मैं चरवाहे को मारूंगा; और झुण्ड की भेड़ें तित्तर बित्तर हो जाएंगी।
Tab Yeshu ne un se kaha; tum sab aaj hi raat ko mere vishay mein thokar khaoge; kyonki likha hai, ki main charvahe ko maroonga; aur jhund ki bhedein tittar bittar ho jayengi.
परन्तु मैं अपने जी उठने के बाद तुम से पहले गलील को जाऊंगा।
Parantu main apne ji uthne ke baad tum se pahle galeel ko jaoonga.
इस पर पतरस ने उस से कहा, यदि सब तेरे विषय में ठोकर खाएं तो खाएं, परन्तु मैं कभी भी ठोकर न खाऊंगा।
Is par Patras ne us se kaha, yadi sab tere vishay mein thokar khayen to khayen, parantu main kabhi bhi thokar na khaoonga.
यीशु ने उस से कहा, मैं तुम से सच कहता हूं, कि आज ही रात को मुर्गे के बांग देने से पहिले, तू तीन बार मुझ से मुकर जाएगा।
Yeshu ne us se kaha, main tum se sach kahta hoon, ki aaj hi raat ko murge ke baang dene se pahile, tu teen baar mujh se mukar jayega.
पतरस ने उस से कहा, यदि मुझे तेरे साथ मरना भी हो, तौभी, मैं तुझ से कभी न मुकरूंगा: और ऐसा ही सब चेलों ने भी कहा॥
Patras ne us se kaha, yadi mujhe tere saath marna bhi ho, taubhi, main tujh se kabhi na mukroonga: aur aisa hi sab chelon ne bhi kaha.
तब यीशु ने अपने चेलों के साथ गतसमनी नाम एक स्थान में आया और अपने चेलों से कहने लगा कि यहीं बैठे रहना, जब तक कि मैं वहां जाकर प्रार्थना करूं।
Tab Yeshu ne apne chelon ke saath gatsamni naam ek sthaan mein aaya aur apne chelon se kahne laga ki yahi baithe rahna, jab tak ki main vahan jakar prarthana karun.
और वह पतरस और जब्दी के दोनों पुत्रों को साथ ले गया, और उदास और व्याकुल होने लगा।
Aur vah Patras aur jabdi ke donon putron ko saath le gaya, aur udaas aur vyakul hone laga.
तब उस ने उन से कहा; मेरा जी बहुत उदास है, यहां तक कि मेरे प्राण निकला चाहते: तुम यहीं ठहरो, और मेरे साथ जागते रहो।
Tab us ne un se kaha; mera ji bahut udaas hai, yahan tak ki mere praan nikla chahte: tum yahi thahro, aur mere saath jagte raho.
फिर वह थोड़ा और आगे बढ़कर मुंह के बल गिरा, और यह प्रार्थना करने लगा, कि हे मेरे पिता, यदि हो सके, तो यह कटोरा मुझ से टल जाए; तौभी जैसा मैं चाहता हूं वैसा नहीं, परन्तु जैसा तू चाहता है वैसा ही हो।
Phir vah thoda aur aage badhkar munh ke bal gira, aur yah prarthana karne laga, ki he mere pita, yadi ho sake, to yah katora mujh se tal jaye; taubhi jaisa main chahta hoon vaisa nahi, parantu jaisa tu chahta hai vaisa hi ho.
फिर चेलों के पास आकर उन्हें सोते पाया, और पतरस से कहा; क्या तुम मेरे साथ एक घड़ी भी न जाग सके?
Phir chelon ke paas aakar unhein sote paya, aur Patras se kaha; kya tum mere saath ek ghadi bhi na jaag sake?
जागते रहो, और प्रार्थना करते रहो, कि तुम परीक्षा में न पड़ो: आत्मा तो तैयार है, परन्तु शरीर दुर्बल है।
Jagte raho, aur prarthana karte raho, ki tum pareeksha mein na pado: aatma to taiyaar hai, parantu shareer durbal hai.
फिर उस ने दूसरी बार जाकर यह प्रार्थना की; कि हे मेरे पिता, यदि यह मेरे पीए बिना नहीं हट सकता तो तेरी इच्छा पूरी हो।
Phir us ne doosri baar jakar yah prarthana ki; ki he mere pita, yadi yah mere peeye bina nahi hat sakta to teri ichchha poori ho.
तब उस ने आकर उन्हें फिर सोते पाया, क्योंकि उन की आंखें नींद से भरी थीं।
Tab us ne aakar unhein phir sote paya, kyonki un ki aankhein neend se bhari thi.
और उन्हें छोड़कर फिर चला गया, और वही बात फिर कहकर, तीसरी बार प्रार्थना की।
Aur unhein chhodkar phir chala gaya, aur vahi baat phir kahkar, teesri baar prarthana ki.
तब उस ने चेलों के पास आकर उन से कहा; अब सोते रहो, और विश्राम करो: देखो, घड़ी आ पहुंची है, और मनुष्य का पुत्र पापियों के हाथ पकड़वाया जाता है।
Tab us ne chelon ke paas aakar un se kaha; ab sote raho, aur vishraam karo: dekho, ghadi aa pahunchi hai, aur manushya ka putra papiyon ke haath pakadvaya jata hai.
उठो, चलें; देखो, मेरा पकड़वाने वाला निकट आ पहुंचा है॥
Utho, chalein; dekho, mera pakadvane vala nikat aa pahuncha hai.
वह यह कह ही रहा था, कि देखो यहूदा जो बारहों में से एक था, आया, और उसके साथ महायाजकों और लोगों के पुरनियों की ओर से बड़ी भीड़, तलवारें और लाठियां लिए हुए आई।
Vah yah kah hi raha tha, ki dekho Yahuda jo barhon mein se ek tha, aaya, aur uske saath mahayajkon aur logon ke purniyon ki or se badi bheed, talvarein aur lathiyan liye hue aai.
उसके पकड़वाने वाले ने उन्हें यह पता दिया था कि जिस को मैं चूम लूं वही है; उसे पकड़ लेना।
Uske pakadvane vale ne unhein yah pata diya tha ki jis ko main choom lun vahi hai; use pakad lena.
और तुरन्त यीशु के पास आकर कहा; हे रब्बी नमस्कार; और उस को बहुत चूमा।
Aur turant Yeshu ke paas aakar kaha; he rabbi namaskaar; aur us ko bahut chooma.
यीशु ने उस से कहा; हे मित्र, जिस काम के लिये तू आया है, उसे कर ले। तब उन्होंने पास आकर यीशु पर हाथ डाले, और उसे पकड़ लिया।
Yeshu ne us se kaha; he mitra, jis kaam ke liye tu aaya hai, use kar le. Tab unhonne paas aakar Yeshu par haath dale, aur use pakad liya.
और देखो, यीशु के साथियों में से एक ने हाथ बढ़ाकर अपनी तलवार खींच ली और महायाजक के दास पर चलाकर उस का कान उड़ा दिया।
Aur dekho, Yeshu ke sathiyon mein se ek ne haath badhakar apni talvaar kheench li aur mahayajak ke daas par chalakar us ka kaan uda diya.
तब यीशु ने उस से कहा; अपनी तलवार काठी में रख ले क्योंकि जो तलवार चलाते हैं, वे सब तलवार से नाश किए जाएंगे।
Tab Yeshu ne us se kaha; apni talvaar kathi mein rakh le kyonki jo talvaar chalate hain, ve sab talvaar se naash kiye jayenge.
क्या तू नहीं समझता, कि मैं अपने पिता से बिनती कर सकता हूं, और वह स्वर्गदूतों की बारह पलटन से अधिक मेरे पास अभी उपस्थित कर देगा?
Kya tu nahi samajhta, ki main apne pita se binti kar sakta hoon, aur vah swargadooton ki barah paltan se adhik mere paas abhi upasthit kar dega?
परन्तु पवित्र शास्त्र की वे बातें कि ऐसा ही होना अवश्य है, क्योंकर पूरी होंगी?
Parantu pavitra shastra ki ve batein ki aisa hi hona avashya hai, kyonkar poori hongi?
उसी घड़ी यीशु ने भीड़ से कहा; क्या तुम तलवारें और लाठियां लेकर मुझे डाकू के समान पकड़ने के लिये निकले हो? मैं हर दिन मन्दिर में बैठकर उपदेश दिया करता था, और तुम ने मुझे नहीं पकड़ा।
Usi ghadi Yeshu ne bheed se kaha; kya tum talvarein aur lathiyan lekar mujhe daku ke samaan pakadne ke liye nikle ho? Main har din mandir mein baithkar updesh diya karta tha, aur tum ne mujhe nahi pakda.
परन्तु यह सब इसलिये हुआ है, कि भविष्यद्वक्ताओं के वचन के पूरे हों: तब सब चेले उसे छोड़कर भाग गए॥
Parantu yah sab isliye huaa hai, ki bhavishyadwaktaon ke vachan ke poore hon: tab sab chele use chhodkar bhaag gaye.
और यीशु के पकड़ने वाले उस को काइफा नाम महायाजक के पास ले गए, जहां शास्त्री और पुरिनए इकट्ठे हुए थे।
Aur Yeshu ke pakadne vale us ko kaipha naam mahayajak ke paas le gaye, jahan shastri aur purinaye ikatthe hue the.
और पतरस दूर से उसके पीछे पीछे महायाजक के आंगन तक गया, और भीतर जाकर अन्त देखने को प्यादों के साथ बैठ गया।
Aur Patras door se uske peechhe peechhe mahayajak ke aangan tak gaya, aur bheetar jakar ant dekhne ko pyadon ke saath baith gaya.
महायाजक और सारी महासभा यीशु को मार डालने के लिये उसके विरोध में झूठी गवाही की खोज में थे।
Mahayajak aur sari mahasbha Yeshu ko maar dalne ke liye uske virodh mein jhoothi gavahi ki khoj mein the.
परन्तु बहुत से झूठे गवाहों के आने पर भी न पाई।
Parantu bahut se jhoothe gavahon ke aane par bhi na pai.
अन्त में दो जनों ने आकर कहा, कि उस ने कहा है; कि मैं परमेश्वर के मन्दिर को ढा सकता हूं और उसे तीन दिन में बना सकता हूं।
Ant mein do janon ne aakar kaha, ki us ne kaha hai; ki main Parmeshwar ke mandir ko dha sakta hoon aur use teen din mein bana sakta hoon.
तब महायाजक ने खड़े होकर उस से कहा, क्या तू कोई उत्तर नहीं देता? ये लोग तेरे विरोध में क्या गवाही देते हैं? परन्तु यीशु चुप रहा: महायाजक ने उस से कहा।
Tab mahayajak ne khade hokar us se kaha, kya tu koi uttar nahi deta? Ye log tere virodh mein kya gavahi dete hain? Parantu Yeshu chup raha: mahayajak ne us se kaha.
मैं तुझे जीवते परमेश्वर की शपथ देता हूं, कि यदि तू परमेश्वर का पुत्र मसीह है, तो हम से कह दे।
Main tujhe jeevte Parmeshwar ki shapath deta hoon, ki yadi tu Parmeshwar ka putra Masih hai, to ham se kah de.
यीशु ने उस से कहा; तू ने आप ही कह दिया: वरन मैं तुम से यह भी कहता हूं, कि अब से तुम मनुष्य के पुत्र को सर्वशक्तिमान की दाहिनी ओर बैठे, और आकाश के बादलों पर आते देखोगे।
Yeshu ne us se kaha; tu ne aap hi kah diya: varan main tum se yah bhi kahta hoon, ki ab se tum manushya ke putra ko sarvashaktimaan ki dahini or baithe, aur aakaash ke badlon par aate dekhoge.
तब महायाजक ने अपने वस्त्र फाड़कर कहा, इस ने परमेश्वर की निन्दा की है, अब हमें गवाहों का क्या प्रयोजन?
Tab mahayajak ne apne vastra phadkar kaha, is ne Parmeshwar ki ninda ki hai, ab hamein gavahon ka kya prayojan?
देखो, तुम ने अभी यह निन्दा सुनी है! तुम क्या समझते हो? उन्होंने उत्तर दिया, यह वध होने के योग्य है।
Dekho, tum ne abhi yah ninda suni hai! Tum kya samajhte ho? Unhonne uttar diya, yah vadh hone ke yogya hai.
तब उन्होंने उस के मुंह पर थूका, और उसे घूंसे मारे, औरों ने थप्पड़ मार के कहा।
Tab unhonne us ke munh par thooka, aur use ghoonse mare, auron ne thappad maar ke kaha.
हे मसीह, हम से भविष्यद्ववाणी करके कह: कि किस ने तुझे मारा?
He Masih, ham se bhavishyadwavani karke kah: ki kis ne tujhe mara?
और पतरस बाहर आंगन में बैठा हुआ था: कि एक लौंडी ने उसके पास आकर कहा; तू भी यीशु गलीली के साथ था।
Aur Patras bahar aangan mein baitha huaa tha: ki ek laundi ne uske paas aakar kaha; tu bhi Yeshu galeeli ke saath tha.
उस ने सब के साम्हने यह कह कर इन्कार किया और कहा, मैं नहीं जानता तू क्या कह रही है।
Us ne sab ke samhane yah kah kar inkaar kiya aur kaha, main nahi janta tu kya kah rahi hai.
जब वह बाहर डेवढ़ी में चला गया, तो दूसरी ने उसे देखकर उन से जो वहां थे कहा; यह भी तो यीशु नासरी के साथ था।
Jab vah bahar devdhi mein chala gaya, to doosri ne use dekhkar un se jo vahan the kaha; yah bhi to Yeshu nasri ke saath tha.
उस ने शपथ खाकर फिर इन्कार किया कि मैं उस मनुष्य को नहीं जानता।
Us ne shapath khakar phir inkaar kiya ki main us manushya ko nahi janta.
थोड़ी देर के बाद, जो वहां खड़े थे, उन्होंने पतरस के पास आकर उस से कहा, सचमुच तू भी उन में से एक है; क्योंकि तेरी बोली तेरा भेद खोल देती है।
Thodi der ke baad, jo vahan khade the, unhonne Patras ke paas aakar us se kaha, sachmuch tu bhi un mein se ek hai; kyonki teri boli tera bhed khol deti hai.
तब वह धिक्कार देने और शपथ खाने लगा, कि मैं उस मनुष्य को नहीं जानता; और तुरन्त मुर्ग ने बांग दी।
Tab vah dhikkaar dene aur shapath khane laga, ki main us manushya ko nahi janta; aur turant murg ne baang di.
तब पतरस को यीशु की कही हुई बात स्मरण आई की मुर्ग के बांग देने से पहिले तू तीन बार मेरा इन्कार करेगा और वह बाहर जाकर फूट फूट कर रोने लगा॥
Tab Patras ko Yeshu ki kahi hui baat smaran aai ki murg ke baang dene se pahile tu teen baar mera inkaar karega aur vah bahar jakar phoot phoot kar rone laga.