तब यीशु ने भीड़ से और अपने चेलों से कहा।
Tab Yeshu ne bheed se aur apne chelon se kaha.
Matthew 23 · 39 verses
तब यीशु ने भीड़ से और अपने चेलों से कहा।
Tab Yeshu ne bheed se aur apne chelon se kaha.
शास्त्री और फरीसी मूसा की गद्दी पर बैठे हैं।
Shastri aur phareesi Musa ki gaddi par baithe hain.
इसलिये वे तुम से जो कुछ कहें वह करना, और मानना; परन्तु उन के से काम मत करना; क्योंकि वे कहते तो हैं पर करते नहीं।
Isliye ve tum se jo kuchh kahein vah karna, aur manna; parantu un ke se kaam mat karna; kyonki ve kahte to hain par karte nahi.
वे एक ऐसे भारी बोझ को जिन को उठाना कठिन है, बान्धकर उन्हें मनुष्यों के कन्धों पर रखते हैं; परन्तु आप उन्हें अपनी उंगली से भी सरकाना नहीं चाहते।
Ve ek aise bhari bojh ko jin ko uthana kathin hai, bandhakar unhein manushyon ke kandhon par rakhte hain; parantu aap unhein apni ungli se bhi sarkana nahi chahte.
वे अपने सब काम लोगों को दिखाने के लिये करते हैं: वे अपने तावीजों को चौड़े करते, और अपने वस्त्रों की कोरें बढ़ाते हैं।
Ve apne sab kaam logon ko dikhane ke liye karte hain: ve apne taveejon ko chaude karte, aur apne vastron ki korein badhate hain.
जेवनारों में मुख्य मुख्य जगहें, और सभा में मुख्य मुख्य आसन।
Jevnaron mein mukhya mukhya jaghein, aur sabha mein mukhya mukhya aasan.
और बाजारों में नमस्कार और मनुष्य में रब्बी कहलाना उन्हें भाता है।
Aur bajaron mein namaskaar aur manushya mein rabbi kahlana unhein bhata hai.
परन्तु, तुम रब्बी न कहलाना; क्योंकि तुम्हारा एक ही गुरू है: और तुम सब भाई हो।
Parantu, tum rabbi na kahlana; kyonki tumhara ek hi guru hai: aur tum sab bhai ho.
और पृथ्वी पर किसी को अपना पिता न कहना, क्योंकि तुम्हारा एक ही पिता है, जो स्वर्ग में है।
Aur prithvi par kisi ko apna pita na kahna, kyonki tumhara ek hi pita hai, jo swarg mein hai.
और स्वामी भी न कहलाना, क्योंकि तुम्हारा एक ही स्वामी है, अर्थात मसीह।
Aur swami bhi na kahlana, kyonki tumhara ek hi swami hai, arthaat Masih.
जो तुम में बड़ा हो, वह तुम्हारा सेवक बने।
Jo tum mein bada ho, vah tumhara sevak bane.
जो कोई अपने आप को बड़ा बनाएगा, वह छोटा किया जाएगा: और जो कोई अपने आप को छोटा बनाएगा, वह बड़ा किया जाएगा॥
Jo koi apne aap ko bada banayega, vah chhota kiya jayega: aur jo koi apne aap ko chhota banayega, vah bada kiya jayega.
हे कपटी शास्त्रियों और फरीसियों तुम पर हाय!
He kapti shastriyon aur phareesiyon tum par haay!
तुम मनुष्यों के विरोध में स्वर्ग के राज्य का द्वार बन्द करते हो, न तो आप ही उस में प्रवेश करते हो और न उस में प्रवेश करने वालों को प्रवेश करने देते हो॥
Tum manushyon ke virodh mein swarg ke rajya ka dwaar band karte ho, na to aap hi us mein pravesh karte ho aur na us mein pravesh karne valon ko pravesh karne dete ho.
हे कपटी शास्त्रियों और फरीसियों तुम पर हाय! तुम एक जन को अपने मत में लाने के लिये सारे जल और थल में फिरते हो, और जब वह मत में आ जाता है, तो उसे अपने से दूना नारकीय बना देते हो॥
He kapti shastriyon aur phareesiyon tum par haay! Tum ek jan ko apne mat mein lane ke liye sare jal aur thal mein phirte ho, aur jab vah mat mein aa jata hai, to use apne se doona narkeeya bana dete ho.
हे अन्धे अगुवों, तुम पर हाय, जो कहते हो कि यदि कोई मन्दिर की शपथ खाए तो कुछ नहीं, परन्तु यदि कोई मन्दिर के सोने की सौगन्ध खाए तो उस से बन्ध जाएगा।
He andhe aguvon, tum par haay, jo kahte ho ki yadi koi mandir ki shapath khaye to kuchh nahi, parantu yadi koi mandir ke sone ki saugandh khaye to us se bandh jayega.
हे मूर्खों, और अन्धों, कौन बड़ा है, सोना या वह मन्दिर जिस से सोना पवित्र होता है?
He moorkhon, aur andhon, kaun bada hai, sona ya vah mandir jis se sona pavitra hota hai?
फिर कहते हो कि यदि कोई वेदी की शपथ खाए तो कुछ नहीं, परन्तु जो भेंट उस पर है, यदि कोई उस की शपथ खाए तो बन्ध जाएगा।
Phir kahte ho ki yadi koi vedi ki shapath khaye to kuchh nahi, parantu jo bhent us par hai, yadi koi us ki shapath khaye to bandh jayega.
हे अन्धों, कौन बड़ा है, भेंट या वेदी: जिस से भेंट पवित्र होता है?
He andhon, kaun bada hai, bhent ya vedi: jis se bhent pavitra hota hai?
इसलिये जो वेदी की शपथ खाता है, वह उस की, और जो कुछ उस पर है, उस की भी शपथ खाता है।
Isliye jo vedi ki shapath khata hai, vah us ki, aur jo kuchh us par hai, us ki bhi shapath khata hai.
और जो मन्दिर की शपथ खाता है, वह उस की और उस में रहने वालों की भी शपथ खाता है।
Aur jo mandir ki shapath khata hai, vah us ki aur us mein rahne valon ki bhi shapath khata hai.
और जो स्वर्ग की शपथ खाता है, वह परमेश्वर के सिहांसन की और उस पर बैठने वाले की भी शपथ खाता है॥
Aur jo swarg ki shapath khata hai, vah Parmeshwar ke sihansan ki aur us par baithne vale ki bhi shapath khata hai.
हे कपटी शास्त्रियों, और फरीसियों, तुम पर हाय; तुम पोदीने और सौंफ और जीरे का दसवां अंश देते हो, परन्तु तुम ने व्यवस्था की गम्भीर बातों को अर्थात न्याय, और दया, और विश्वास को छोड़ दिया है; चाहिये था कि इन्हें भी करते रहते, और उन्हें भी न छोड़ते।
He kapti shastriyon, aur phareesiyon, tum par haay; tum podeene aur saumph aur jeere ka dasvan ansh dete ho, parantu tum ne vyavastha ki gambheer baton ko arthaat nyaay, aur daya, aur vishwaas ko chhod diya hai; chahiye tha ki inhein bhi karte rahte, aur unhein bhi na chhodte.
हे अन्धे अगुवों, तुम मच्छर को तो छान डालते हो, परन्तु ऊंट को निगल जाते हो।
He andhe aguvon, tum machchhar ko to chhaan dalte ho, parantu oont ko nigal jate ho.
हे कपटी शास्त्रियों, और फरीसियों, तुम पर हाय, तुम कटोरे और थाली को ऊपर ऊपर से तो मांजते हो परन्तु वे भीतर अन्धेर असंयम से भरे हुए हैं।
He kapti shastriyon, aur phareesiyon, tum par haay, tum katore aur thali ko oopar oopar se to manjte ho parantu ve bheetar andher asanyam se bhare hue hain.
हे अन्धे फरीसी, पहिले कटोरे और थाली को भीतर से मांज कि वे बाहर से भी स्वच्छ हों॥
He andhe phareesi, pahile katore aur thali ko bheetar se maanj ki ve bahar se bhi swachchh hon.
हे कपटी शास्त्रियों, और फरीसियों, तुम पर हाय; तुम चूना फिरी हुई कब्रों के समान हो जो ऊपर से तो सुन्दर दिखाई देती हैं, परन्तु भीतर मुर्दों की हड्डियों और सब प्रकार की मलिनता से भरी हैं।
He kapti shastriyon, aur phareesiyon, tum par haay; tum choona phiri hui kabron ke samaan ho jo oopar se to sundar dikhai deti hain, parantu bheetar murdon ki haddiyon aur sab prakaar ki malinta se bhari hain.
इसी रीति से तुम भी ऊपर से मनुष्यों को धर्मी दिखाई देते हो, परन्तु भीतर कपट और अधर्म से भरे हुए हो॥
Isi reeti se tum bhi oopar se manushyon ko dharmi dikhai dete ho, parantu bheetar kapat aur adharm se bhare hue ho.
हे कपटी शास्त्रियों, और फरीसियों, तुम पर हाय; तुम भविष्यद्वक्ताओं की कब्रें संवारते और धर्मियों की कब्रें बनाते हो।
He kapti shastriyon, aur phareesiyon, tum par haay; tum bhavishyadwaktaon ki kabrein sanvarte aur dharmiyon ki kabrein banate ho.
और कहते हो, कि यदि हम अपने बाप-दादों के दिनों में होते तो भविष्यद्वक्ताओं की हत्या में उन के साझी न होते।
Aur kahte ho, ki yadi ham apne baap-dadon ke dinon mein hote to bhavishyadwaktaon ki hatya mein un ke sajhi na hote.
इस से तो तुम अपने पर आप ही गवाही देते हो, कि तुम भविष्यद्वक्ताओं के घातकों की सन्तान हो।
Is se to tum apne par aap hi gavahi dete ho, ki tum bhavishyadwaktaon ke ghatkon ki santaan ho.
सो तुम अपने बाप-दादों के पाप का घड़ा भर दो।
So tum apne baap-dadon ke paap ka ghada bhar do.
हे सांपो, हे करैतों के बच्चों, तुम नरक के दण्ड से क्योंकर बचोगे?
He sampo, he karaiton ke bachchon, tum narak ke dand se kyonkar bachoge?
इसलिये देखो, मैं तुम्हारे पास भविष्यद्वक्ताओं और बुद्धिमानों और शास्त्रियों को भेजता हूं; और तुम उन में से कितनों को मार डालोगे, और क्रूस पर चढ़ाओगे; और कितनों को अपनी सभाओं में कोड़े मारोगे, और एक नगर से दूसरे नगर में खदेड़ते फिरोगे।
Isliye dekho, main tumhare paas bhavishyadwaktaon aur buddhimanon aur shastriyon ko bhejta hoon; aur tum un mein se kitnon ko maar daloge, aur kroos par chadhaoge; aur kitnon ko apni sabhaon mein kode maroge, aur ek nagar se doosre nagar mein khadedte phiroge.
जिस से धर्मी हाबिल से लेकर बिरिक्याह के पुत्र जकरयाह तक, जिसे तुम ने मन्दिर और वेदी के बीच में मार डाला था, जितने धर्मियों का लोहू पृथ्वी पर बहाया गया है, वह सब तुम्हारे सिर पर पड़ेगा।
Jis se dharmi habil se lekar birikyaah ke putra jakaryaah tak, jise tum ne mandir aur vedi ke beech mein maar dala tha, jitne dharmiyon ka lohu prithvi par bahaya gaya hai, vah sab tumhare sir par padega.
मैं तुम से सच कहता हूं, ये सब बातें इस समय के लोगों पर आ पड़ेंगी॥
Main tum se sach kahta hoon, ye sab batein is samay ke logon par aa padengi.
हे यरूशलेम, हे यरूशलेम; तू जो भविष्यद्वक्ताओं को मार डालता है, और जो तेरे पास भेजे गए, उन्हें पत्थरवाह करता है, कितनी ही बार मैं ने चाहा कि जैसे मुर्गी अपने बच्चों को अपने पंखों के नीचे इकट्ठे करती है, वैसे ही मैं भी तेरे बालकों को इकट्ठे कर लूं, परन्तु तुम ने न चाहा।
He Yerushalem, he Yerushalem; tu jo bhavishyadwaktaon ko maar dalta hai, aur jo tere paas bheje gaye, unhein pattharvaah karta hai, kitni hi baar main ne chaha ki jaise murgi apne bachchon ko apne pankhon ke neeche ikatthe karti hai, vaise hi main bhi tere balkon ko ikatthe kar lun, parantu tum ne na chaha.
देखो, तुम्हारा घर तुम्हारे लिये उजाड़ छोड़ा जाता है।
Dekho, tumhara ghar tumhare liye ujaad chhoda jata hai.
क्योंकि मैं तुम से कहता हूं, कि अब से जब तक तुम न कहोगे, कि धन्य है वह, जो प्रभु के नाम से आता है, तब तक तुम मुझे फिर कभी न देखोगे॥
Kyonki main tum se kahta hoon, ki ab se jab tak tum na kahoge, ki dhanya hai vah, jo Prabhu ke naam se aata hai, tab tak tum mujhe phir kabhi na dekhoge.