Matthew 22 · 46 verses

मत्ती 22 Matthew 22 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Matti 22.

1

इस पर यीशु फिर उन से दृष्टान्तों में कहने लगा।

Is par Yeshu phir un se drishtanton mein kahne laga.

2

स्वर्ग का राज्य उस राजा के समान है, जिस ने अपने पुत्र का ब्याह किया।

Swarg ka rajya us raja ke samaan hai, jis ne apne putra ka byaah kiya.

3

और उस ने अपने दासों को भेजा, कि नेवताहारियों को ब्याह के भोज में बुलाएं; परन्तु उन्होंने आना न चाहा।

Aur us ne apne dason ko bheja, ki nevtahariyon ko byaah ke bhoj mein bulayen; parantu unhonne aana na chaha.

4

फिर उस ने और दासों को यह कहकर भेजा, कि नेवताहारियों से कहो, देखो; मैं भोज तैयार कर चुका हूं, और मेरे बैल और पले हुए पशु मारे गए हैं: और सब कुछ तैयार है; ब्याह के भोज में आओ।

Phir us ne aur dason ko yah kahkar bheja, ki nevtahariyon se kaho, dekho; main bhoj taiyaar kar chuka hoon, aur mere bail aur pale hue pashu mare gaye hain: aur sab kuchh taiyaar hai; byaah ke bhoj mein aao.

5

परन्तु वे बेपरवाई करके चल दिए: कोई अपने खेत को, कोई अपने व्यापार को।

Parantu ve beparvai karke chal diye: koi apne khet ko, koi apne vyapaar ko.

6

औरों ने जो बच रहे थे उसके दासों को पकड़कर उन का अनादर किया और मार डाला।

Auron ne jo bach rahe the uske dason ko pakadkar un ka anadar kiya aur maar dala.

7

राजा ने क्रोध किया, और अपनी सेना भेजकर उन हत्यारों को नाश किया, और उन के नगर को फूंक दिया।

Raja ne krodh kiya, aur apni sena bhejkar un hatyaron ko naash kiya, aur un ke nagar ko phoonk diya.

8

तब उस ने अपने दासों से कहा, ब्याह का भोज तो तैयार है, परन्तु नेवताहारी योग्य न ठहरे।

Tab us ne apne dason se kaha, byaah ka bhoj to taiyaar hai, parantu nevtahari yogya na thahre.

9

इसलिये चौराहों में जाओ, और जितने लोग तुम्हें मिलें, सब को ब्याह के भोज में बुला लाओ।

Isliye chaurahon mein jao, aur jitne log tumhein milein, sab ko byaah ke bhoj mein bula lao.

10

सो उन दासों ने सड़कों पर जाकर क्या बुरे, क्या भले, जितने मिले, सब को इकट्ठे किया; और ब्याह का घर जेवनहारों से भर गया।

So un dason ne sadkon par jakar kya bure, kya bhale, jitne mile, sab ko ikatthe kiya; aur byaah ka ghar jevanharon se bhar gaya.

11

जब राजा जेवनहारों के देखने को भीतर आया; तो उस ने वहां एक मनुष्य को देखा, जो ब्याह का वस्त्र नहीं पहिने था।

Jab raja jevanharon ke dekhne ko bheetar aaya; to us ne vahan ek manushya ko dekha, jo byaah ka vastra nahi pahine tha.

12

उस ने उससे पूछा हे मित्र; तू ब्याह का वस्त्र पहिने बिना यहां क्यों आ गया? उसका मुंह बन्द हो गया।

Us ne usse poochha he mitra; tu byaah ka vastra pahine bina yahan kyon aa gaya? Uska munh band ho gaya.

13

तब राजा ने सेवकों से कहा, इस के हाथ पांव बान्धकर उसे बाहर अन्धियारे में डाल दो, वहां रोना, और दांत पीसना होगा।

Tab raja ne sevkon se kaha, is ke haath paanv bandhakar use bahar andhiyare mein daal do, vahan rona, aur daant peesna hoga.

14

क्योंकि बुलाए हुए तो बहुत परन्तु चुने हुए थोड़े हैं॥

Kyonki bulaye hue to bahut parantu chune hue thode hain.

15

तब फरीसियों ने जाकर आपस में विचार किया, कि उस को किस प्रकार बातों में फंसाएं।

Tab phareesiyon ne jakar aapas mein vichaar kiya, ki us ko kis prakaar baton mein phansayen.

16

सो उन्हों ने अपने चेलों को हेरोदियों के साथ उसके पास यह कहने को भेजा, कि हे गुरू; हम जानते हैं, कि तू सच्चा है; और परमेश्वर का मार्ग सच्चाई से सिखाता है; और किसी की परवा नहीं करता, क्योंकि तू मनुष्यों का मुंह देखकर बातें नही करता।

So unhon ne apne chelon ko herodiyon ke saath uske paas yah kahne ko bheja, ki he guru; ham jante hain, ki tu sachcha hai; aur Parmeshwar ka maarg sachchai se sikhata hai; aur kisi ki parva nahi karta, kyonki tu manushyon ka munh dekhkar batein nahi karta.

17

इस लिये हमें बता तू क्या समझता है? कैसर को कर देना उचित है, कि नहीं।

Is liye hamein bata tu kya samajhta hai? Kaisar ko kar dena uchit hai, ki nahi.

18

यीशु ने उन की दुष्टता जानकर कहा, हे कपटियों; मुझे क्यों परखते हो?

Yeshu ne un ki dushtata jankar kaha, he kaptiyon; mujhe kyon parakhte ho?

19

कर का सिक्का मुझे दिखाओ: तब वे उसके पास एक दीनार ले आए।

Kar ka sikka mujhe dikhao: tab ve uske paas ek deenaar le aaye.

20

उस ने, उन से पूछा, यह मूर्ति और नाम किस का है?

Us ne, un se poochha, yah moorti aur naam kis ka hai?

21

उन्होंने उस से कहा, कैसर का; तब उस ने, उन से कहा; जो कैसर का है, वह कैसर को; और जो परमेश्वर का है, वह परमेश्वर को दो।

Unhonne us se kaha, kaisar ka; tab us ne, un se kaha; jo kaisar ka hai, vah kaisar ko; aur jo Parmeshwar ka hai, vah Parmeshwar ko do.

22

यह सुनकर उन्होंने अचम्भा किया, और उसे छोड़कर चले गए॥

Yah sunkar unhonne achambha kiya, aur use chhodkar chale gaye.

23

उसी दिन सदूकी जो कहते हैं कि मरे हुओं का पुनरुत्थान है ही नहीं उसके पास आए, और उस से पूछा।

Usi din sadooki jo kahte hain ki mare huon ka punrutthaan hai hi nahi uske paas aaye, aur us se poochha.

24

कि हे गुरू; मूसा ने कहा था, कि यदि कोई बिना सन्तान मर जाए, तो उसका भाई उस की पत्नी को ब्याह करके अपने भाई के लिये वंश उत्पन्न करे।

Ki he guru; Musa ne kaha tha, ki yadi koi bina santaan mar jaye, to uska bhai us ki patni ko byaah karke apne bhai ke liye vansh utpann kare.

25

अब हमारे यहां सात भाई थे; पहिला ब्याह करके मर गया; और सन्तान न होने के कारण अपनी पत्नी को अपने भाई के लिये छोड़ गया।

Ab hamare yahan saat bhai the; pahila byaah karke mar gaya; aur santaan na hone ke karan apni patni ko apne bhai ke liye chhod gaya.

26

इसी प्रकार दूसरे और तीसरे ने भी किया, और सातों तक यही हुआ।

Isi prakaar doosre aur teesre ne bhi kiya, aur saton tak yahi huaa.

27

सब के बाद वह स्त्री भी मर गई।

Sab ke baad vah stri bhi mar gai.

28

सो जी उठने पर, वह उन सातों में से किस की पत्नी होगी? क्योंकि वह सब की पत्नी हो चुकी थी।

So ji uthne par, vah un saton mein se kis ki patni hogi? Kyonki vah sab ki patni ho chuki thi.

29

यीशु ने उन्हें उत्तर दिया, कि तुम पवित्र शास्त्र और परमेश्वर की सामर्थ नहीं जानते; इस कारण भूल में पड़ गए हो।

Yeshu ne unhein uttar diya, ki tum pavitra shastra aur Parmeshwar ki samarth nahi jante; is karan bhool mein pad gaye ho.

30

क्योंकि जी उठने पर ब्याह शादी न होगी; परन्तु वे स्वर्ग में परमेश्वर के दूतों की नाईं होंगे।

Kyonki ji uthne par byaah shadi na hogi; parantu ve swarg mein Parmeshwar ke dooton ki nai honge.

31

परन्तु मरे हुओं के जी उठने के विषय में क्या तुम ने यह वचन नहीं पढ़ा जो परमेश्वर ने तुम से कहा।

Parantu mare huon ke ji uthne ke vishay mein kya tum ne yah vachan nahi padha jo Parmeshwar ne tum se kaha.

32

कि मैं इब्राहीम का परमेश्वर, और इसहाक का परमेश्वर, और याकूब का परमेश्वर हूं वह तो मरे हुओं का नहीं, परन्तु जीवतों का परमेश्वर है।

Ki main Ibrahim ka Parmeshwar, aur Ishaq ka Parmeshwar, aur Yakub ka Parmeshwar hoon vah to mare huon ka nahi, parantu jeevton ka Parmeshwar hai.

33

यह सुनकर लोग उसके उपदेश से चकित हुए।

Yah sunkar log uske updesh se chakit hue.

34

जब फरीसियों ने सुना, कि उस ने सदूकियों का मुंह बन्द कर दिया; तो वे इकट्ठे हुए।

Jab phareesiyon ne suna, ki us ne sadookiyon ka munh band kar diya; to ve ikatthe hue.

35

और उन में से एक व्यवस्थापक ने परखने के लिये, उस से पूछा।

Aur un mein se ek vyavasthapak ne parakhne ke liye, us se poochha.

36

हे गुरू; व्यवस्था में कौन सी आज्ञा बड़ी है?

He guru; vyavastha mein kaun si aagya badi hai?

37

उस ने उस से कहा, तू परमेश्वर अपने प्रभु से अपने सारे मन और अपने सारे प्राण और अपनी सारी बुद्धि के साथ प्रेम रख।

Us ne us se kaha, tu Parmeshwar apne Prabhu se apne sare man aur apne sare praan aur apni sari buddhi ke saath prem rakh.

38

बड़ी और मुख्य आज्ञा तो यही है।

Badi aur mukhya aagya to yahi hai.

39

और उसी के समान यह दूसरी भी है, कि तू अपने पड़ोसी से अपने समान प्रेम रख।

Aur usi ke samaan yah doosri bhi hai, ki tu apne padosi se apne samaan prem rakh.

40

ये ही दो आज्ञाएं सारी व्यवस्था और भविष्यद्वक्ताओं का आधार है॥

Ye hi do aagyayen sari vyavastha aur bhavishyadwaktaon ka aadhaar hai.

41

जब फरीसी इकट्ठे थे, तो यीशु ने उन से पूछा।

Jab phareesi ikatthe the, to Yeshu ne un se poochha.

42

कि मसीह के विषय में तुम क्या समझते हो? वह किस का सन्तान है? उन्होंने उस से कहा, दाऊद का।

Ki Masih ke vishay mein tum kya samajhte ho? Vah kis ka santaan hai? Unhonne us se kaha, Daud ka.

43

उस ने उन से पूछा, तो दाऊद आत्मा में होकर उसे प्रभु क्यों कहता है?

Us ne un se poochha, to Daud aatma mein hokar use Prabhu kyon kahta hai?

44

कि प्रभु ने, मेरे प्रभु से कहा; मेरे दाहिने बैठ, जब तक कि मैं तेरे बैरियों को तेरे पांवों के नीचे न कर दूं।

Ki Prabhu ne, mere Prabhu se kaha; mere dahine baith, jab tak ki main tere bairiyon ko tere panvon ke neeche na kar dun.

45

भला, जब दाऊद उसे प्रभु कहता है, तो वह उसका पुत्र क्योंकर ठहरा?

Bhala, jab Daud use Prabhu kahta hai, to vah uska putra kyonkar thahra?

46

उसके उत्तर में कोई भी एक बात न कह सका; परन्तु उस दिन से किसी को फिर उस से कुछ पूछने का हियाव न हुआ॥

Uske uttar mein koi bhi ek baat na kah saka; parantu us din se kisi ko phir us se kuchh poochhne ka hiyaav na huaa.