Matthew 21 · 46 verses

मत्ती 21 Matthew 21 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Matti 21.

1

जब वे यरूशलेम के निकट पहुंचे और जैतून पहाड़ पर बैतफगे के पास आए, तो यीशु ने दो चेलों को यह कहकर भेजा।

Jab ve Yerushalem ke nikat pahunche aur jaitoon pahaad par baitaphge ke paas aaye, to Yeshu ne do chelon ko yah kahkar bheja.

2

कि अपने साम्हने के गांव में जाओ, वहां पंहुचते ही एक गदही बन्धी हुई, और उसके साथ बच्चा तुम्हें मिलेगा; उन्हें खोलकर, मेरे पास ले आओ।

Ki apne samhane ke gaanv mein jao, vahan panhuchte hi ek gadhi bandhi hui, aur uske saath bachcha tumhein milega; unhein kholkar, mere paas le aao.

3

यदि तुम में से कोई कुछ कहे, तो कहो, कि प्रभु को इन का प्रयोजन है: तब वह तुरन्त उन्हें भेज देगा।

Yadi tum mein se koi kuchh kahe, to kaho, ki Prabhu ko in ka prayojan hai: tab vah turant unhein bhej dega.

4

यह इसलिये हुआ, कि जो वचन भविष्यद्वक्ता के द्वारा कहा गया था, वह पूरा हो;

Yah isliye huaa, ki jo vachan bhavishyadwakta ke dwara kaha gaya tha, vah poora ho;

5

कि सिय्योन की बेटी से कहो, देख, तेरा राजा तेरे पास आता है; वह नम्र है और गदहे पर बैठा है; वरन लादू के बच्चे पर।

Ki siyyon ki beti se kaho, dekh, tera raja tere paas aata hai; vah namra hai aur gadhe par baitha hai; varan ladu ke bachche par.

6

चेलों ने जाकर, जैसा यीशु ने उन से कहा था, वैसा ही किया।

Chelon ne jakar, jaisa Yeshu ne un se kaha tha, vaisa hi kiya.

7

और गदही और बच्चे को लाकर, उन पर अपने कपड़े डाले, और वह उन पर बैठ गया।

Aur gadhi aur bachche ko lakar, un par apne kapde dale, aur vah un par baith gaya.

8

और बहुतेरे लोगों ने अपने कपड़े मार्ग में बिछाए, और और लोगों ने पेड़ों से डालियां काट कर मार्ग में बिछाईं।

Aur bahutere logon ne apne kapde maarg mein bichhaye, aur aur logon ne pedon se daliyan kaat kar maarg mein bichhai.

9

और जो भीड़ आगे आगे जाती और पीछे पीछे चली आती थी, पुकार पुकार कर कहती थी, कि दाऊद की सन्तान को होशाना; धन्य है वह जो प्रभु के नाम से आता है, आकाश में होशाना।

Aur jo bheed aage aage jati aur peechhe peechhe chali aati thi, pukaar pukaar kar kahti thi, ki Daud ki santaan ko hoshana; dhanya hai vah jo Prabhu ke naam se aata hai, aakaash mein hoshana.

10

जब उस ने यरूशलेम में प्रवेश किया, तो सारे नगर में हलचल मच गई; और लोग कहने लगे, यह कौन है?

Jab us ne Yerushalem mein pravesh kiya, to sare nagar mein halchal mach gai; aur log kahne lage, yah kaun hai?

11

लोगों ने कहा, यह गलील के नासरत का भविष्यद्वक्ता यीशु है॥

Logon ne kaha, yah galeel ke nasrat ka bhavishyadwakta Yeshu hai.

12

यीशु ने परमेश्वर के मन्दिर में जाकर, उन सब को, जो मन्दिर में लेन देन कर रहे थे, निकाल दिया; और सर्राफों के पीढ़े और कबूतरों के बेचने वालों की चौकियां उलट दीं।

Yeshu ne Parmeshwar ke mandir mein jakar, un sab ko, jo mandir mein len den kar rahe the, nikaal diya; aur sarraphon ke peedhe aur kabootron ke bechne valon ki chaukiyan ulat di.

13

और उन से कहा, लिखा है, कि मेरा घर प्रार्थना का घर कहलाएगा; परन्तु तुम उसे डाकुओं की खोह बनाते हो।

Aur un se kaha, likha hai, ki mera ghar prarthana ka ghar kahlayega; parantu tum use dakuon ki khoh banate ho.

14

और अन्धे और लंगड़े, मन्दिर में उसके पास लाए, और उस ने उन्हें चंगा किया।

Aur andhe aur langde, mandir mein uske paas laye, aur us ne unhein changa kiya.

15

परन्तु जब महायाजकों और शास्त्रियों ने इन अद्भुत कामों को, जो उस ने किए, और लड़कों को मन्दिर में दाऊद की सन्तान को होशाना पुकारते हुए देखा, तो क्रोधित होकर उस से कहने लगे, क्या तू सुनता है कि ये क्या कहते हैं?

Parantu jab mahayajkon aur shastriyon ne in adbhut kamon ko, jo us ne kiye, aur ladkon ko mandir mein Daud ki santaan ko hoshana pukarte hue dekha, to krodhit hokar us se kahne lage, kya tu sunta hai ki ye kya kahte hain?

16

यीशु ने उन से कहा, हां; क्या तुम ने यह कभी नहीं पढ़ा, कि बालकों और दूध पीते बच्चों के मुंह से तु ने स्तुति सिद्ध कराई?

Yeshu ne un se kaha, han; kya tum ne yah kabhi nahi padha, ki balkon aur doodh peete bachchon ke munh se tu ne stuti siddh karai?

17

तब वह उन्हें छोड़कर नगर के बाहर बैतनिय्याह को गया, ओर वहां रात बिताई॥

Tab vah unhein chhodkar nagar ke bahar baitniyyaah ko gaya, or vahan raat bitai.

18

भोर को जब वह नगर को लौट रहा था, तो उसे भूख लगी।

Bhor ko jab vah nagar ko laut raha tha, to use bhookh lagi.

19

और अंजीर का एक पेड़ सड़क के किनारे देखकर वह उसके पास गया, और पत्तों को छोड़ उस में और कुछ न पाकर उस से कहा, अब से तुझ में फिर कभी फल न लगे; और अंजीर का पेड़ तुरन्त सुख गया।

Aur anjeer ka ek ped sadak ke kinare dekhkar vah uske paas gaya, aur patton ko chhod us mein aur kuchh na pakar us se kaha, ab se tujh mein phir kabhi phal na lage; aur anjeer ka ped turant sukh gaya.

20

यह देखकर चेलों ने अचम्भा किया, और कहा, यह अंजीर का पेड़ क्योंकर तुरन्त सूख गया?

Yah dekhkar chelon ne achambha kiya, aur kaha, yah anjeer ka ped kyonkar turant sookh gaya?

21

यीशु ने उन को उत्तर दिया, कि मैं तुम से सच कहता हूं; यदि तुम विश्वास रखो, और सन्देह न करो; तो न केवल यह करोगे, जो इस अंजीर के पेड़ से किया गया है; परन्तु यदि इस पहाड़ से भी कहोगे, कि उखड़ जो; और समुद्र में जा पड़, तो यह हो जाएगा।

Yeshu ne un ko uttar diya, ki main tum se sach kahta hoon; yadi tum vishwaas rakho, aur sandeh na karo; to na keval yah karoge, jo is anjeer ke ped se kiya gaya hai; parantu yadi is pahaad se bhi kahoge, ki ukhad jo; aur samudra mein ja pad, to yah ho jayega.

22

और जो कुछ तुम प्रार्थना में विश्वास से मांगोगे वह सब तुम को मिलेगा॥

Aur jo kuchh tum prarthana mein vishwaas se mangoge vah sab tum ko milega.

23

वह मन्दिर में जाकर उपदेश कर रहा था, कि महायाजकों और लोगों के पुरनियों ने उसके पास आकर पूछा, तू ये काम किस के अधिकार से करता है? और तुझे यह अधिकार किस ने दिया है?

Vah mandir mein jakar updesh kar raha tha, ki mahayajkon aur logon ke purniyon ne uske paas aakar poochha, tu ye kaam kis ke adhikaar se karta hai? Aur tujhe yah adhikaar kis ne diya hai?

24

यीशु ने उन को उत्तर दिया, कि मैं भी तुम से एक बात पूछता हूं; यदि वह मुझे बताओगे, तो मैं भी तुम्हें बताऊंगा; कि ये काम किस अधिकार से करता हूं।

Yeshu ne un ko uttar diya, ki main bhi tum se ek baat poochhta hoon; yadi vah mujhe bataoge, to main bhi tumhein bataoonga; ki ye kaam kis adhikaar se karta hoon.

25

यूहन्ना का बपतिस्मा कहां से था? स्वर्ग की ओर से या मनुष्यों की ओर से था? तब वे आपस में विवाद करने लगे, कि यदि हम कहें स्वर्ग की ओर से, तो वह हम से कहेगा, फिर तुम ने उस की प्रतीति क्यों न की?

Yuhanna ka baptisma kahan se tha? Swarg ki or se ya manushyon ki or se tha? Tab ve aapas mein vivaad karne lage, ki yadi ham kahein swarg ki or se, to vah ham se kahega, phir tum ne us ki prateeti kyon na ki?

26

और यदि कहें मनुष्यों की ओर से तो हमें भीड़ का डर है; क्योंकि वे सब युहन्ना को भविष्यद्वक्ता जानते हैं।

Aur yadi kahein manushyon ki or se to hamein bheed ka dar hai; kyonki ve sab yuhanna ko bhavishyadwakta jante hain.

27

सो उन्होंने यीशु को उत्तर दिया, कि हम नहीं जानते; उस ने भी उन से कहा, तो मैं भी तुम्हें नहीं बताता, कि ये काम किस अधिकार से करता हूं।

So unhonne Yeshu ko uttar diya, ki ham nahi jante; us ne bhi un se kaha, to main bhi tumhein nahi batata, ki ye kaam kis adhikaar se karta hoon.

28

तुम क्या समझते हो? किसी मनुष्य के दो पुत्र थे; उस ने पहिले के पास जाकर कहा; हे पुत्र आज दाख की बारी में काम कर।

Tum kya samajhte ho? Kisi manushya ke do putra the; us ne pahile ke paas jakar kaha; he putra aaj daakh ki bari mein kaam kar.

29

उस ने उत्तर दिया, मैं नहीं जाऊंगा, परन्तु पीछे पछता कर गया।

Us ne uttar diya, main nahi jaoonga, parantu peechhe pachhta kar gaya.

30

फिर दूसरे के पास जाकर ऐसा ही कहा, उस ने उत्तर दिया, जी हां जाता हूं, परन्तु नहीं गया।

Phir doosre ke paas jakar aisa hi kaha, us ne uttar diya, ji han jata hoon, parantu nahi gaya.

31

इन दोनों में से किस ने पिता की इच्छा पूरी की? उन्होंने कहा, पहिले ने: यीशु ने उन से कहा, मैं तुम से सच कहता हूं, कि महसूल लेने वाले और वेश्या तुम से पहिले परमेश्वर के राज्य में प्रवेश करते हैं।

In donon mein se kis ne pita ki ichchha poori ki? Unhonne kaha, pahile ne: Yeshu ne un se kaha, main tum se sach kahta hoon, ki mahsool lene vale aur veshya tum se pahile Parmeshwar ke rajya mein pravesh karte hain.

32

क्योंकि यूहन्ना धर्म के मार्ग से तुम्हारे पास आया, और तुम ने उस की प्रतीति न की: पर महसूल लेने वालों और वेश्याओं ने उस की प्रतीति की: और तुम यह देखकर पीछे भी न पछताए कि उस की प्रतीति कर लेते॥

Kyonki Yuhanna dharm ke maarg se tumhare paas aaya, aur tum ne us ki prateeti na ki: par mahsool lene valon aur veshyaon ne us ki prateeti ki: aur tum yah dekhkar peechhe bhi na pachhtaye ki us ki prateeti kar lete.

33

एक और दृष्टान्त सुनो: एक गृहस्थ था, जिस ने दाख की बारी लगाई; और उसके चारों ओर बाड़ा बान्धा; और उस में रस का कुंड खोदा; और गुम्मट बनाया; और किसानों को उसका ठेका देकर पर देश चला गया।

Ek aur drishtaant suno: ek grihasth tha, jis ne daakh ki bari lagai; aur uske charon or bada bandha; aur us mein ras ka kund khoda; aur gummat banaya; aur kisanon ko uska theka dekar par desh chala gaya.

34

जब फल का समय निकट आया, तो उस ने अपने दासों को उसका फल लेने के लिये किसानों के पास भेजा।

Jab phal ka samay nikat aaya, to us ne apne dason ko uska phal lene ke liye kisanon ke paas bheja.

35

पर किसानों ने उसके दासों को पकड़ के, किसी को पीटा, और किसी को मार डाला; और किसी को पत्थरवाह किया।

Par kisanon ne uske dason ko pakad ke, kisi ko peeta, aur kisi ko maar dala; aur kisi ko pattharvaah kiya.

36

फिर उस ने और दासों को भेजा, जो पहिलों से अधिक थे; और उन्होंने उन से भी वैसा ही किया।

Phir us ne aur dason ko bheja, jo pahilon se adhik the; aur unhonne un se bhi vaisa hi kiya.

37

अन्त में उस ने अपने पुत्र को उन के पास यह कहकर भेजा, कि वे मेरे पुत्र का आदर करेंगे।

Ant mein us ne apne putra ko un ke paas yah kahkar bheja, ki ve mere putra ka aadar karenge.

38

परन्तु किसानों ने पुत्र को देखकर आपस में कहा, यह तो वारिस है, आओ, उसे मार डालें: और उस की मीरास ले लें।

Parantu kisanon ne putra ko dekhkar aapas mein kaha, yah to varis hai, aao, use maar dalein: aur us ki meeraas le lein.

39

और उन्होंने उसे पकड़ा और दाख की बारी से बाहर निकालकर मार डाला।

Aur unhonne use pakda aur daakh ki bari se bahar nikalkar maar dala.

40

इसलिये जब दाख की बारी का स्वामी आएगा, तो उन किसानों के साथ क्या करेगा?

Isliye jab daakh ki bari ka swami aayega, to un kisanon ke saath kya karega?

41

उन्होंने उस से कहा, वह उन बुरे लोगों को बुरी रीति से नाश करेगा; और दाख की बारी का ठेका और किसानों को देगा, जो समय पर उसे फल दिया करेंगे।

Unhonne us se kaha, vah un bure logon ko buri reeti se naash karega; aur daakh ki bari ka theka aur kisanon ko dega, jo samay par use phal diya karenge.

42

यीशु ने उन से कहा, क्या तुम ने कभी पवित्र शास्त्र में यह नहीं पढ़ा, कि जिस पत्थर को राजमिस्त्रियों ने निकम्मा ठहराया था, वही को ने के सिरे का पत्थर हो गया?

Yeshu ne un se kaha, kya tum ne kabhi pavitra shastra mein yah nahi padha, ki jis patthar ko rajmistriyon ne nikamma thahraya tha, vahi ko ne ke sire ka patthar ho gaya?

43

यह प्रभु की ओर से हुआ, और हमारे देखने में अद्भुत है, इसलिये मैं तुम से कहता हूं, कि परमेश्वर का राज्य तुम से ले लिया जाएगा; और ऐसी जाति को जो उसका फल लाए, दिया जाएगा।

Yah Prabhu ki or se huaa, aur hamare dekhne mein adbhut hai, isliye main tum se kahta hoon, ki Parmeshwar ka rajya tum se le liya jayega; aur aisi jati ko jo uska phal laye, diya jayega.

44

जो इस पत्थर पर गिरेगा, वह चकनाचूर हो जाएगा: और जिस पर वह गिरेगा, उस को पीस डालेगा।

Jo is patthar par girega, vah chaknachoor ho jayega: aur jis par vah girega, us ko pees dalega.

45

महायाजक और फरीसी उसके दृष्टान्तों को सुनकर समझ गए, कि वह हमारे विषय में कहता है।

Mahayajak aur phareesi uske drishtanton ko sunkar samajh gaye, ki vah hamare vishay mein kahta hai.

46

और उन्हों ने उसे पकड़ना चाहा, परन्तु लोगों से डर गए क्योंकि वे उसे भविष्यद्वक्ता जानते थे॥

Aur unhon ne use pakadna chaha, parantu logon se dar gaye kyonki ve use bhavishyadwakta jante the.