Matthew 20 · 34 verses

मत्ती 20 Matthew 20 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Matti 20.

1

स्वर्ग का राज्य किसी गृहस्थ के समान है, जो सबेरे निकला, कि अपने दाख की बारी में मजदूरों को लगाए।

Swarg ka rajya kisi grihasth ke samaan hai, jo sabere nikla, ki apne daakh ki bari mein majdooron ko lagaye.

2

और उस ने मजदूरों से एक दीनार रोज पर ठहराकर, उन्हें अपने दाख की बारी में भेजा।

Aur us ne majdooron se ek deenaar roj par thahrakar, unhein apne daakh ki bari mein bheja.

3

फिर पहर एक दिन चढ़े, निकल कर, और औरों को बाजार में बेकार खड़े देखकर,

Phir pahar ek din chadhe, nikal kar, aur auron ko bajaar mein bekaar khade dekhkar,

4

उन से कहा, तुम भी दाख की बारी में जाओ, और जो कुछ ठीक है, तुम्हें दूंगा; सो वे भी गए।

Un se kaha, tum bhi daakh ki bari mein jao, aur jo kuchh theek hai, tumhein doonga; so ve bhi gaye.

5

फिर उस ने दूसरे और तीसरे पहर के निकट निकलकर वैसा ही किया।

Phir us ne doosre aur teesre pahar ke nikat nikalkar vaisa hi kiya.

6

और एक घंटा दिन रहे फिर निकलकर औरों को खड़े पाया, और उन से कहा; तुम क्यों यहां दिन भर बेकार खड़े रहे? उन्हों ने उस से कहा, इसलिये, कि किसी ने हमें मजदूरी पर नहीं लगाया।

Aur ek ghanta din rahe phir nikalkar auron ko khade paya, aur un se kaha; tum kyon yahan din bhar bekaar khade rahe? Unhon ne us se kaha, isliye, ki kisi ne hamein majdoori par nahi lagaya.

7

उस ने उन से कहा, तुम भी दाख की बारी में जाओ।

Us ne un se kaha, tum bhi daakh ki bari mein jao.

8

सांझ को दाख बारी के स्वामी ने अपने भण्डारी से कहा, मजदूरों को बुलाकर पिछलों से लेकर पहिलों तक उन्हें मजदूरी दे दे।

Saanjh ko daakh bari ke swami ne apne bhandari se kaha, majdooron ko bulakar pichhlon se lekar pahilon tak unhein majdoori de de.

9

सो जब वे आए, जो घंटा भर दिन रहे लगाए गए थे, तो उन्हें एक एक दीनार मिला।

So jab ve aaye, jo ghanta bhar din rahe lagaye gaye the, to unhein ek ek deenaar mila.

10

जो पहिले आए, उन्होंने यह समझा, कि हमें अधिक मिलेगा; परन्तु उन्हें भी एक ही एक दीनार मिला।

Jo pahile aaye, unhonne yah samjha, ki hamein adhik milega; parantu unhein bhi ek hi ek deenaar mila.

11

जब मिला, तो वह गृहस्थ पर कुडकुड़ा के कहने लगे।

Jab mila, to vah grihasth par kudkuda ke kahne lage.

12

कि इन पिछलों ने एक ही घंटा काम किया, और तू ने उन्हें हमारे बराबर कर दिया, जिन्हों ने दिन भर का भार उठाया और घाम सहा?

Ki in pichhlon ne ek hi ghanta kaam kiya, aur tu ne unhein hamare barabar kar diya, jinhon ne din bhar ka bhaar uthaya aur ghaam saha?

13

उस ने उन में से एक को उत्तर दिया, कि हे मित्र, मैं तुझ से कुछ अन्याय नहीं करता; क्या तू ने मुझ से एक दीनार न ठहराया?

Us ne un mein se ek ko uttar diya, ki he mitra, main tujh se kuchh anyaay nahi karta; kya tu ne mujh se ek deenaar na thahraya?

14

जो तेरा है, उठा ले, और चला जा; मेरी इच्छा यह है कि जितना तुझे, उतना ही इस पिछले को भी दूं।

Jo tera hai, utha le, aur chala ja; meri ichchha yah hai ki jitna tujhe, utna hi is pichhle ko bhi dun.

15

क्या उचित नहीं कि मैं अपने माल से जो चाहूं सो करूं? क्या तू मेरे भले होने के कारण बुरी दृष्टि से देखता है?

Kya uchit nahi ki main apne maal se jo chahun so karun? Kya tu mere bhale hone ke karan buri drishti se dekhta hai?

16

इसी रीति से जो पिछले हैं, वह पहिले होंगे, और जो पहिले हैं, वे पिछले होंगे॥

Isi reeti se jo pichhle hain, vah pahile honge, aur jo pahile hain, ve pichhle honge.

17

यीशु यरूशलेम को जाते हुए बारह चेलों को एकान्त में ले गया, और मार्ग में उन से कहने लगा।

Yeshu Yerushalem ko jate hue barah chelon ko ekaant mein le gaya, aur maarg mein un se kahne laga.

18

कि देखो, हम यरूशलेम को जाते हैं; और मनुष्य का पुत्र महायाजकों और शास्त्रियों के हाथ पकड़वाया जाएगा और वे उस को घात के योग्य ठहराएंगे।

Ki dekho, ham Yerushalem ko jate hain; aur manushya ka putra mahayajkon aur shastriyon ke haath pakadvaya jayega aur ve us ko ghaat ke yogya thahrayenge.

19

और उस को अन्यजातियों के हाथ सोंपेंगे, कि वे उसे ठट्ठों में उड़ाएं, और कोड़े मारें, और क्रूस पर चढ़ाएं, और वह तीसरे दिन जिलाया जाएगा॥

Aur us ko anyajatiyon ke haath sompenge, ki ve use thatthon mein udayen, aur kode marein, aur kroos par chadhayen, aur vah teesre din jilaya jayega.

20

तब जब्दी के पुत्रों की माता ने अपने पुत्रों के साथ उसके पास आकर प्रणाम किया, और उस से कुछ मांगने लगी।

Tab jabdi ke putron ki mata ne apne putron ke saath uske paas aakar pranaam kiya, aur us se kuchh mangne lagi.

21

उस ने उस से कहा, तू क्या चाहती है? वह उस से बोली, यह कह, कि मेरे ये दो पुत्र तेरे राज्य में एक तेरे दाहिने और एक तेरे बाएं बैठें।

Us ne us se kaha, tu kya chahti hai? Vah us se boli, yah kah, ki mere ye do putra tere rajya mein ek tere dahine aur ek tere bayen baithein.

22

यीशु ने उत्तर दिया, तुम नहीं जानते कि क्या मांगते हो? जो कटोरा मैं पीने पर हूं, क्या तुम पी सकते हो? उन्होंने उस से कहा, पी सकते हैं।

Yeshu ne uttar diya, tum nahi jante ki kya mangte ho? Jo katora main peene par hoon, kya tum pi sakte ho? Unhonne us se kaha, pi sakte hain.

23

उस ने उन से कहा, तुम मेरा कटोरा तो पीओगे पर अपने दाहिने बाएं किसी को बिठाना मेरा काम नहीं, पर जिन के लिये मेरे पिता की ओर से तैयार किया गया, उन्हें के लिये है।

Us ne un se kaha, tum mera katora to peeoge par apne dahine bayen kisi ko bithana mera kaam nahi, par jin ke liye mere pita ki or se taiyaar kiya gaya, unhein ke liye hai.

24

यह सुनकर, दसों चेले उन दोनों भाइयों पर क्रुद्ध हुए।

Yah sunkar, dason chele un donon bhaiyon par kruddh hue.

25

यीशु ने उन्हें पास बुलाकर कहा, तुम जानते हो, कि अन्य जातियों के हाकिम उन पर प्रभुता करते हैं; और जो बड़े हैं, वे उन पर अधिकार जताते हैं।

Yeshu ne unhein paas bulakar kaha, tum jante ho, ki anya jatiyon ke hakim un par prabhuta karte hain; aur jo bade hain, ve un par adhikaar jatate hain.

26

परन्तु तुम में ऐसा न होगा; परन्तु जो कोई तुम में बड़ा होना चाहे, वह तुम्हारा सेवक बने।

Parantu tum mein aisa na hoga; parantu jo koi tum mein bada hona chahe, vah tumhara sevak bane.

27

और जो तुम में प्रधान होना चाहे वह तुम्हारा दास बने।

Aur jo tum mein pradhaan hona chahe vah tumhara daas bane.

28

जैसे कि मनुष्य का पुत्र, वह इसलिये नहीं आया कि उस की सेवा टहल की जाए, परन्तु इसलिये आया कि आप सेवा टहल करे और बहुतों की छुडौती के लिये अपने प्राण दे॥

Jaise ki manushya ka putra, vah isliye nahi aaya ki us ki seva tahal ki jaye, parantu isliye aaya ki aap seva tahal kare aur bahuton ki chhudauti ke liye apne praan de.

29

जब वे यरीहो से निकल रहे थे, तो एक बड़ी भीड़ उसके पीछे हो ली।

Jab ve yareeho se nikal rahe the, to ek badi bheed uske peechhe ho li.

30

और देखो, दो अन्धे, जो सड़क के किनारे बैठे थे, यह सुनकर कि यीशु जा रहा है, पुकारकर कहने लगे; कि हे प्रभु, दाऊद की सन्तान, हम पर दया कर।

Aur dekho, do andhe, jo sadak ke kinare baithe the, yah sunkar ki Yeshu ja raha hai, pukarkar kahne lage; ki he Prabhu, Daud ki santaan, ham par daya kar.

31

लोगों ने उन्हें डांटा, कि चुप रहें, पर वे और भी चिल्लाकर बोले, हे प्रभु, दाऊद की सन्तान, हम पर दया कर।

Logon ne unhein danta, ki chup rahein, par ve aur bhi chillakar bole, he Prabhu, Daud ki santaan, ham par daya kar.

32

तब यीशु ने खड़े होकर, उन्हें बुलाया, और कहा;

Tab Yeshu ne khade hokar, unhein bulaya, aur kaha;

33

तुम क्या चाहते हो कि मैं तुम्हारे लिये करूं? उन्हों ने उस से कहा, हे प्रभु; यह कि हमारी आंखे खुल जाएं।

Tum kya chahte ho ki main tumhare liye karun? Unhon ne us se kaha, he Prabhu; yah ki hamari aankhe khul jayen.

34

यीशु ने तरस खाकर उन की आंखे छूई, और वे तुरन्त देखने लगे; और उसके पीछे हो लिए॥

Yeshu ne taras khakar un ki aankhe chhooi, aur ve turant dekhne lage; aur uske peechhe ho liye.