Matthew 19 · 30 verses

मत्ती 19 Matthew 19 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Matti 19.

1

जब यीशु ये बातें कह चुका, तो गलील से चला गया; और यहूदिया के देश में यरदन के पार आया।

Jab Yeshu ye batein kah chuka, to galeel se chala gaya; aur yahoodiya ke desh mein yardan ke paar aaya.

2

और बड़ी भीड़ उसके पीछे हो ली, और उस ने उन्हें वहां चंगा किया॥

Aur badi bheed uske peechhe ho li, aur us ne unhein vahan changa kiya.

3

तब फरीसी उस की परीक्षा करने के लिये पास आकर कहने लगे, क्या हर एक कारण से अपनी पत्नी को त्यागना उचित है?

Tab phareesi us ki pareeksha karne ke liye paas aakar kahne lage, kya har ek karan se apni patni ko tyagna uchit hai?

4

उस ने उत्तर दिया, क्या तुम ने नहीं पढ़ा, कि जिस ने उन्हें बनाया, उस ने आरम्भ से नर और नारी बनाकर कहा।

Us ne uttar diya, kya tum ne nahi padha, ki jis ne unhein banaya, us ne aarambh se nar aur nari banakar kaha.

5

कि इस कारण मनुष्य अपने माता पिता से अलग होकर अपनी पत्नी के साथ रहेगा और वे दोनों एक तन होंगे?

Ki is karan manushya apne mata pita se alag hokar apni patni ke saath rahega aur ve donon ek tan honge?

6

सो व अब दो नहीं, परन्तु एक तन हैं: इसलिये जिसे परमेश्वर ने जोड़ा है, उसे मनुष्य अलग न करे।

So va ab do nahi, parantu ek tan hain: isliye jise Parmeshwar ne joda hai, use manushya alag na kare.

7

उन्होंने उस से कहा, फिर मूसा ने क्यों यह ठहराया, कि त्यागपत्र देकर उसे छोड़ दे?

Unhonne us se kaha, phir Musa ne kyon yah thahraya, ki tyagpatra dekar use chhod de?

8

उस ने उन से कहा, मूसा ने तुम्हारे मन की कठोरता के कारण तुम्हें अपनी अपनी पत्नी को छोड़ देने की आज्ञा दी, परन्तु आरम्भ में ऐसा नहीं था।

Us ne un se kaha, Musa ne tumhare man ki kathorta ke karan tumhein apni apni patni ko chhod dene ki aagya di, parantu aarambh mein aisa nahi tha.

9

और मैं तुम से कहता हूं, कि जो कोई व्यभिचार को छोड़ और किसी कारण से अपनी पत्नी को त्यागकर, दूसरी से ब्याह करे, वह व्यभिचार करता है: और जो उस छोड़ी हुई को ब्याह करे, वह भी व्यभिचार करता है।

Aur main tum se kahta hoon, ki jo koi vyabhichaar ko chhod aur kisi karan se apni patni ko tyagkar, doosri se byaah kare, vah vyabhichaar karta hai: aur jo us chhodi hui ko byaah kare, vah bhi vyabhichaar karta hai.

10

चेलों ने उस से कहा, यदि पुरूष का स्त्री के साथ ऐसा सम्बन्ध है, तो ब्याह करना अच्छा नहीं।

Chelon ne us se kaha, yadi puroosh ka stri ke saath aisa sambandh hai, to byaah karna achchha nahi.

11

उस ने उन से कहा, सब यह वचन ग्रहण नहीं कर सकते, केवल वे जिन को यह दान दिया गया है।

Us ne un se kaha, sab yah vachan grahan nahi kar sakte, keval ve jin ko yah daan diya gaya hai.

12

क्योंकि कुछ नपुंसक ऐसे हैं जो माता के गर्भ ही से ऐसे जन्मे; और कुछ नंपुसक ऐसे हैं, जिन्हें मनुष्य ने नपुंसक बनाया: और कुछ नपुंसक ऐसे हैं, जिन्हों ने स्वर्ग के राज्य के लिये अपने आप को नपुंसक बनाया है, जो इस को ग्रहण कर सकता है, वह ग्रहण करे।

Kyonki kuchh napunsak aise hain jo mata ke garbh hi se aise janme; aur kuchh nampusak aise hain, jinhein manushya ne napunsak banaya: aur kuchh napunsak aise hain, jinhon ne swarg ke rajya ke liye apne aap ko napunsak banaya hai, jo is ko grahan kar sakta hai, vah grahan kare.

13

तब लोग बालकों को उसके पास लाए, कि वह उन पर हाथ रखे और प्रार्थना करे; पर चेलों ने उन्हें डांटा।

Tab log balkon ko uske paas laye, ki vah un par haath rakhe aur prarthana kare; par chelon ne unhein danta.

14

यीशु ने कहा, बालकों को मेरे पास आने दो: और उन्हें मना न करो, क्योंकि स्वर्ग का राज्य ऐसों ही का है।

Yeshu ne kaha, balkon ko mere paas aane do: aur unhein mana na karo, kyonki swarg ka rajya aison hi ka hai.

15

और वह उन पर हाथ रखकर, वहां से चला गया।

Aur vah un par haath rakhkar, vahan se chala gaya.

16

और देखो, एक मनुष्य ने पास आकर उस से कहा, हे गुरू; मैं कौन सा भला काम करूं, कि अनन्त जीवन पाऊं?

Aur dekho, ek manushya ne paas aakar us se kaha, he guru; main kaun sa bhala kaam karun, ki anant jeevan paun?

17

उस ने उस से कहा, तू मुझ से भलाई के विषय में क्यों पूछता है? भला तो एक ही है; पर यदि तू जीवन में प्रवेश करना चाहता है, तो आज्ञाओं को माना कर।

Us ne us se kaha, tu mujh se bhalai ke vishay mein kyon poochhta hai? Bhala to ek hi hai; par yadi tu jeevan mein pravesh karna chahta hai, to aagyaon ko mana kar.

18

उस ने उस से कहा, कौन सी आज्ञाएं? यीशु ने कहा, यह कि हत्या न करना, व्यभिचार न करना, चोरी न करना, झूठी गवाही न देना।

Us ne us se kaha, kaun si aagyayen? Yeshu ne kaha, yah ki hatya na karna, vyabhichaar na karna, chori na karna, jhoothi gavahi na dena.

19

अपने पिता और अपनी माता का आदर करना, और अपने पड़ोसी से अपने समान प्रेम रखना।

Apne pita aur apni mata ka aadar karna, aur apne padosi se apne samaan prem rakhna.

20

उस जवान ने उस से कहा, इन सब को तो मैं ने माना है अब मुझ में किस बात की घटी है?

Us javaan ne us se kaha, in sab ko to main ne mana hai ab mujh mein kis baat ki ghati hai?

21

यीशु ने उस से कहा, यदि तू सिद्ध होना चाहता है; तो जा, अपना माल बेचकर कंगालों को दे; और तुझे स्वर्ग में धन मिलेगा; और आकर मेरे पीछे हो ले।

Yeshu ne us se kaha, yadi tu siddh hona chahta hai; to ja, apna maal bechkar kangalon ko de; aur tujhe swarg mein dhan milega; aur aakar mere peechhe ho le.

22

परन्तु वह जवान यह बात सुन उदास होकर चला गया, क्योंकि वह बहुत धनी था॥

Parantu vah javaan yah baat sun udaas hokar chala gaya, kyonki vah bahut dhani tha.

23

तब यीशु ने अपने चेलों से कहा, मैं तुम से सच कहता हूं, कि धनवान का स्वर्ग के राज्य में प्रवेश करना कठिन है।

Tab Yeshu ne apne chelon se kaha, main tum se sach kahta hoon, ki dhanvaan ka swarg ke rajya mein pravesh karna kathin hai.

24

फिर तुम से कहता हूं, कि परमेश्वर के राज्य में धनवान के प्रवेश करने से ऊंट का सूई के नाके में से निकल जाना सहज है।

Phir tum se kahta hoon, ki Parmeshwar ke rajya mein dhanvaan ke pravesh karne se oont ka sooi ke nake mein se nikal jana sahaj hai.

25

यह सुनकर, चेलों ने बहुत चकित होकर कहा, फिर किस का उद्धार हो सकता है?

Yah sunkar, chelon ne bahut chakit hokar kaha, phir kis ka uddhaar ho sakta hai?

26

यीशु ने उन की ओर देखकर कहा, मनुष्यों से तो यह नहीं हो सकता, परन्तु परमेश्वर से सब कुछ हो सकता है।

Yeshu ne un ki or dekhkar kaha, manushyon se to yah nahi ho sakta, parantu Parmeshwar se sab kuchh ho sakta hai.

27

इस पर पतरस ने उस से कहा, कि देख, हम तो सब कुछ छोड़ के तेरे पीछे हो लिये हैं: तो हमें क्या मिलेगा?

Is par Patras ne us se kaha, ki dekh, ham to sab kuchh chhod ke tere peechhe ho liye hain: to hamein kya milega?

28

यीशु ने उन से कहा, मैं तुम से सच कहता हूं, कि नई उत्पत्ति से जब मनुष्य का पुत्र अपनी महिमा के सिहांसन पर बैठेगा, तो तुम भी जो मेरे पीछे हो लिये हो, बारह सिंहासनों पर बैठकर इस्राएल के बारह गोत्रों का न्याय करोगे।

Yeshu ne un se kaha, main tum se sach kahta hoon, ki nai utpatti se jab manushya ka putra apni mahima ke sihansan par baithega, to tum bhi jo mere peechhe ho liye ho, barah sinhasnon par baithkar Israel ke barah gotron ka nyaay karoge.

29

और जिस किसी ने घरों या भाइयों या बहिनों या पिता या माता या लड़केबालों या खेतों को मेरे नाम के लिये छोड़ दिया है, उस को सौ गुना मिलेगा: और वह अनन्त जीवन का अधिकारी होगा।

Aur jis kisi ne gharon ya bhaiyon ya bahinon ya pita ya mata ya ladkebalon ya kheton ko mere naam ke liye chhod diya hai, us ko sau guna milega: aur vah anant jeevan ka adhikari hoga.

30

परन्तु बहुतेरे जो पहिले हैं, पिछले होंगे; और जो पिछले हैं, पहिले होंगे॥

Parantu bahutere jo pahile hain, pichhle honge; aur jo pichhle hain, pahile honge.