उसी घड़ी चेले यीशु के पास आकर पूछने लगे, कि स्वर्ग के राज्य में बड़ा कौन है?
Usi ghadi chele Yeshu ke paas aakar poochhne lage, ki swarg ke rajya mein bada kaun hai?
Matthew 18 · 35 verses
उसी घड़ी चेले यीशु के पास आकर पूछने लगे, कि स्वर्ग के राज्य में बड़ा कौन है?
Usi ghadi chele Yeshu ke paas aakar poochhne lage, ki swarg ke rajya mein bada kaun hai?
इस पर उस ने एक बालक को पास बुलाकर उन के बीच में खड़ा किया।
Is par us ne ek balak ko paas bulakar un ke beech mein khada kiya.
और कहा, मैं तुम से सच कहता हूं, यदि तुम न फिरो और बालकों के समान न बनो, तो स्वर्ग के राज्य में प्रवेश करने नहीं पाओगे।
Aur kaha, main tum se sach kahta hoon, yadi tum na phiro aur balkon ke samaan na bano, to swarg ke rajya mein pravesh karne nahi paoge.
जो कोई अपने आप को इस बालक के समान छोटा करेगा, वह स्वर्ग के राज्य में बड़ा होगा।
Jo koi apne aap ko is balak ke samaan chhota karega, vah swarg ke rajya mein bada hoga.
और जो कोई मेरे नाम से एक ऐसे बालक को ग्रहण करता है वह मुझे ग्रहण करता है।
Aur jo koi mere naam se ek aise balak ko grahan karta hai vah mujhe grahan karta hai.
पर जो कोई इन छोटों में से जो मुझ पर विश्वास करते हैं एक को ठोकर खिलाए, उसके लिये भला होता, कि बड़ी चक्की का पाट उसके गले में लटकाया जाता, और वह गहिरे समुद्र में डुबाया जाता।
Par jo koi in chhoton mein se jo mujh par vishwaas karte hain ek ko thokar khilaye, uske liye bhala hota, ki badi chakki ka paat uske gale mein latkaya jata, aur vah gahire samudra mein dubaya jata.
ठोकरों के कारण संसार पर हाय! ठोकरों का लगना अवश्य है; पर हाय उस मनुष्य पर जिस के द्वारा ठोकर लगती है।
Thokron ke karan sansaar par haay! Thokron ka lagna avashya hai; par haay us manushya par jis ke dwara thokar lagti hai.
यदि तेरा हाथ या तेरा पांव तुझे ठोकर खिलाए, तो काटकर फेंक दे; टुण्डा या लंगड़ा होकर जीवन में प्रवेश करना तेरे लिये इस से भला है, कि दो हाथ या दो पांव रहते हुए तू अनन्त आग में डाला जाए।
Yadi tera haath ya tera paanv tujhe thokar khilaye, to katkar phenk de; tunda ya langda hokar jeevan mein pravesh karna tere liye is se bhala hai, ki do haath ya do paanv rahte hue tu anant aag mein dala jaye.
और यदि तेरी आंख तुझे ठोकर खिलाए, तो उसे निकालकर फेंक दे।
Aur yadi teri aankh tujhe thokar khilaye, to use nikalkar phenk de.
काना होकर जीवन में प्रवेश करना तेरे लिये इस से भला है, कि दो आंख रहते हुए तू नरक की आग में डाला जाए।
Kana hokar jeevan mein pravesh karna tere liye is se bhala hai, ki do aankh rahte hue tu narak ki aag mein dala jaye.
देखो, तुम इन छोटों में से किसी को तुच्छ न जानना; क्योंकि मैं तुम से कहता हूं, कि स्वर्ग में उन के दूत मेरे स्वर्गीय पिता का मुंह सदा देखते हैं।
Dekho, tum in chhoton mein se kisi ko tuchchh na janna; kyonki main tum se kahta hoon, ki swarg mein un ke doot mere swargeeya pita ka munh sada dekhte hain.
तुम क्या समझते हो यदि किसी मनुष्य की सौ भेड़ें हों, और उन में से एक भटक जाए, तो क्या निन्नानवे को छोड़कर, और पहाड़ों पर जाकर, उस भटकी हुई को न ढूंढ़ेगा?
Tum kya samajhte ho yadi kisi manushya ki sau bhedein hon, aur un mein se ek bhatak jaye, to kya ninnanve ko chhodkar, aur pahadon par jakar, us bhatki hui ko na dhoondhega?
और यदि ऐसा हो कि उसे पाए, तो मैं तुम से सच कहता हूं, कि वह उन निन्नानवे भेड़ों के लिये जो भटकी नहीं थीं इतना आनन्द नहीं करेगा, जितना कि इस भेड़ के लिये करेगा।
Aur yadi aisa ho ki use paye, to main tum se sach kahta hoon, ki vah un ninnanve bhedon ke liye jo bhatki nahi thi itna aanand nahi karega, jitna ki is bhed ke liye karega.
ऐसा ही तुम्हारे पिता की जो स्वर्ग में है यह इच्छा नहीं, कि इन छोटों में से एक भी नाश हो।
Aisa hi tumhare pita ki jo swarg mein hai yah ichchha nahi, ki in chhoton mein se ek bhi naash ho.
यदि तेरा भाई तेरा अपराध करे, तो जा और अकेले में बातचीत करके उसे समझा; यदि वह तेरी सुने तो तू ने अपने भाई को पा लिया।
Yadi tera bhai tera apraadh kare, to ja aur akele mein batcheet karke use samjha; yadi vah teri sune to tu ne apne bhai ko pa liya.
और यदि वह न सुने, तो और एक दो जन को अपने साथ ले जा, कि हर एक बात दो या तीन गवाहों के मुंह से ठहराई जाए।
Aur yadi vah na sune, to aur ek do jan ko apne saath le ja, ki har ek baat do ya teen gavahon ke munh se thahrai jaye.
यदि वह उन की भी न माने, तो कलीसिया से कह दे, परन्तु यदि वह कलीसिया की भी न माने, तो तू उसे अन्य जाति और महसूल लेने वाले के ऐसा जान।
Yadi vah un ki bhi na mane, to kaleesiya se kah de, parantu yadi vah kaleesiya ki bhi na mane, to tu use anya jati aur mahsool lene vale ke aisa jaan.
मैं तुम से सच कहता हूं, जो कुछ तुम पृथ्वी पर बान्धोगे, वह स्वर्ग में बन्धेगा और जो कुछ तुम पृथ्वी पर खोलोगे, वह स्वर्ग में खुलेगा।
Main tum se sach kahta hoon, jo kuchh tum prithvi par bandhoge, vah swarg mein bandhega aur jo kuchh tum prithvi par khologe, vah swarg mein khulega.
फिर मैं तुम से कहता हूं, यदि तुम में से दो जन पृथ्वी पर किसी बात के लिये जिसे वे मांगें, एक मन के हों, तो वह मेरे पिता की ओर से स्वर्ग में है उन के लिये हो जाएगी।
Phir main tum se kahta hoon, yadi tum mein se do jan prithvi par kisi baat ke liye jise ve mangein, ek man ke hon, to vah mere pita ki or se swarg mein hai un ke liye ho jayegi.
क्योंकि जहां दो या तीन मेरे नाम पर इकट्ठे होते हैं वहां मैं उन के बीच में होता हूं॥
Kyonki jahan do ya teen mere naam par ikatthe hote hain vahan main un ke beech mein hota hoon.
तब पतरस ने पास आकर, उस से कहा, हे प्रभु, यदि मेरा भाई अपराध करता रहे, तो मैं कितनी बार उसे क्षमा करूं, क्या सात बार तक?
Tab Patras ne paas aakar, us se kaha, he Prabhu, yadi mera bhai apraadh karta rahe, to main kitni baar use kshama karun, kya saat baar tak?
यीशु ने उस से कहा, मैं तुझ से यह नहीं कहता, कि सात बार, वरन सात बार के सत्तर गुने तक।
Yeshu ne us se kaha, main tujh se yah nahi kahta, ki saat baar, varan saat baar ke sattar gune tak.
इसलिये स्वर्ग का राज्य उस राजा के समान है, जिस ने अपने दासों से लेखा लेना चाहा।
Isliye swarg ka rajya us raja ke samaan hai, jis ne apne dason se lekha lena chaha.
जब वह लेखा लेने लगा, तो एक जन उसके साम्हने लाया गया जो दस हजार तोड़े धारता था।
Jab vah lekha lene laga, to ek jan uske samhane laya gaya jo das hajaar tode dharta tha.
जब कि चुकाने को उसके पास कुछ न था, तो उसके स्वामी ने कहा, कि यह और इस की पत्नी और लड़के बाले और जो कुछ इस का है सब बेचा जाए, और वह कर्ज चुका दिया जाए।
Jab ki chukane ko uske paas kuchh na tha, to uske swami ne kaha, ki yah aur is ki patni aur ladke bale aur jo kuchh is ka hai sab becha jaye, aur vah karj chuka diya jaye.
इस पर उस दास ने गिरकर उसे प्रणाम किया, और कहा; हे स्वामी, धीरज धर, मैं सब कुछ भर दूंगा।
Is par us daas ne girkar use pranaam kiya, aur kaha; he swami, dheeraj dhar, main sab kuchh bhar doonga.
तब उस दास के स्वामी ने तरस खाकर उसे छोड़ दिया, और उसका धार क्षमा किया।
Tab us daas ke swami ne taras khakar use chhod diya, aur uska dhaar kshama kiya.
परन्तु जब वह दास बाहर निकला, तो उसके संगी दासों में से एक उस को मिला, जो उसके सौ दीनार धारता था; उस ने उसे पकड़कर उसका गला घोंटा, और कहा; जो कुछ तू धारता है भर दे।
Parantu jab vah daas bahar nikla, to uske sangi dason mein se ek us ko mila, jo uske sau deenaar dharta tha; us ne use pakadkar uska gala ghonta, aur kaha; jo kuchh tu dharta hai bhar de.
इस पर उसका संगी दास गिरकर, उस से बिनती करने लगा; कि धीरज धर मैं सब भर दूंगा।
Is par uska sangi daas girkar, us se binti karne laga; ki dheeraj dhar main sab bhar doonga.
उस ने न माना, परन्तु जाकर उसे बन्दीगृह में डाल दिया; कि जब तक कर्ज को भर न दे, तब तक वहीं रहे।
Us ne na mana, parantu jakar use bandeegrih mein daal diya; ki jab tak karj ko bhar na de, tab tak vahi rahe.
उसके संगी दास यह जो हुआ था देखकर बहुत उदास हुए, और जाकर अपने स्वामी को पूरा हाल बता दिया।
Uske sangi daas yah jo huaa tha dekhkar bahut udaas hue, aur jakar apne swami ko poora haal bata diya.
तब उसके स्वामी ने उस को बुलाकर उस से कहा, हे दुष्ट दास, तू ने जो मुझ से बिनती की, तो मैं ने तो तेरा वह पूरा कर्ज क्षमा किया।
Tab uske swami ne us ko bulakar us se kaha, he dusht daas, tu ne jo mujh se binti ki, to main ne to tera vah poora karj kshama kiya.
सो जैसा मैं ने तुझ पर दया की, वैसे ही क्या तुझे भी अपने संगी दास पर दया करना नहीं चाहिए था?
So jaisa main ne tujh par daya ki, vaise hi kya tujhe bhi apne sangi daas par daya karna nahi chahiye tha?
और उसके स्वामी ने क्रोध में आकर उसे दण्ड देने वालों के हाथ में सौंप दिया, कि जब तक वह सब कर्जा भर न दे, तब तक उन के हाथ में रहे।
Aur uske swami ne krodh mein aakar use dand dene valon ke haath mein saump diya, ki jab tak vah sab karja bhar na de, tab tak un ke haath mein rahe.
इसी प्रकार यदि तुम में से हर एक अपने भाई को मन से क्षमा न करेगा, तो मेरा पिता जो स्वर्ग में है, तुम से भी वैसा ही करेगा॥
Isi prakaar yadi tum mein se har ek apne bhai ko man se kshama na karega, to mera pita jo swarg mein hai, tum se bhi vaisa hi karega.