और फरीसियों और सदूकियों ने पास आकर उसे परखने के लिये उस से कहा, कि हमें आकाश का कोई चिन्ह दिखा।
Aur phareesiyon aur sadookiyon ne paas aakar use parakhne ke liye us se kaha, ki hamein aakaash ka koi chinh dikha.
Matthew 16 · 28 verses
और फरीसियों और सदूकियों ने पास आकर उसे परखने के लिये उस से कहा, कि हमें आकाश का कोई चिन्ह दिखा।
Aur phareesiyon aur sadookiyon ne paas aakar use parakhne ke liye us se kaha, ki hamein aakaash ka koi chinh dikha.
उस ने उन को उत्तर दिया, कि सांझ को तुम कहते हो कि खुला रहेगा क्योंकि आकाश लाल है।
Us ne un ko uttar diya, ki saanjh ko tum kahte ho ki khula rahega kyonki aakaash laal hai.
और भोर को कहते हो, कि आज आन्धी आएगी क्योंकि आकाश लाल और धुमला है; तुम आकाश का लक्षण देखकर भेद बता सकते हो पर समयों के चिन्हों का भेद नहीं बता सकते?
Aur bhor ko kahte ho, ki aaj aandhi aayegi kyonki aakaash laal aur dhumla hai; tum aakaash ka lakshan dekhkar bhed bata sakte ho par samyon ke chinhon ka bhed nahi bata sakte?
इस युग के बुरे और व्यभिचारी लोग चिन्ह ढूंढ़ते हैं पर यूनुस के चिन्ह को छोड़ कोई और चिन्ह उन्हें न दिया जाएगा, और वह उन्हें छोड़कर चला गया॥
Is yug ke bure aur vyabhichari log chinh dhoondhte hain par yoonus ke chinh ko chhod koi aur chinh unhein na diya jayega, aur vah unhein chhodkar chala gaya.
और चेले पार जाते समय रोटी लेना भूल गए थे।
Aur chele paar jate samay roti lena bhool gaye the.
यीशु ने उन से कहा, देखो; फरीसियों और सदूकियों के खमीर से चौकस रहना।
Yeshu ne un se kaha, dekho; phareesiyon aur sadookiyon ke khameer se chaukas rahna.
वे आपस में विचार करने लगे, कि हम तो रोटी नहीं लाए।
Ve aapas mein vichaar karne lage, ki ham to roti nahi laye.
यह जानकर, यीशु ने उन से कहा, हे अल्पविश्वासियों, तुम आपस में क्यों विचार करते हो कि हमारे पास रोटी नहीं?
Yah jankar, Yeshu ne un se kaha, he alpavishwasiyon, tum aapas mein kyon vichaar karte ho ki hamare paas roti nahi?
क्या तुम अब तक नहीं समझे? और उन पांच हजार की पांच रोटी स्मरण नहीं करते, और न यह कि कितनी टोकरियां उठाईं थीं?
Kya tum ab tak nahi samjhe? Aur un paanch hajaar ki paanch roti smaran nahi karte, aur na yah ki kitni tokriyan uthai thi?
और न उन चार हजार की सात रोटी; और न यह कि कितने टोकरे उठाए गए थे?
Aur na un chaar hajaar ki saat roti; aur na yah ki kitne tokre uthaye gaye the?
तुम क्यों नहीं समझते कि मैं ने तुम से रोटियों के विषय में नहीं कहा फरीसियों और सदूकियों के खमीर से चौकस रहना।
Tum kyon nahi samajhte ki main ne tum se rotiyon ke vishay mein nahi kaha phareesiyon aur sadookiyon ke khameer se chaukas rahna.
तब उन को समझ में आया, कि उस ने रोटी के खमीर से नहीं, पर फरीसियों और सदूकियों की शिक्षा से चौकस रहने को कहा था।
Tab un ko samajh mein aaya, ki us ne roti ke khameer se nahi, par phareesiyon aur sadookiyon ki shiksha se chaukas rahne ko kaha tha.
यीशु कैसरिया फिलिप्पी के देश में आकर अपने चेलों से पूछने लगा, कि लोग मनुष्य के पुत्र को क्या कहते हैं?
Yeshu kaisriya philippi ke desh mein aakar apne chelon se poochhne laga, ki log manushya ke putra ko kya kahte hain?
उन्होंने कहा, कितने तो यूहन्ना बपतिस्मा देने वाला कहते हैं और कितने एलिय्याह, और कितने यिर्मयाह या भविष्यद्वक्ताओं में से कोई एक कहते हैं।
Unhonne kaha, kitne to Yuhanna baptisma dene vala kahte hain aur kitne eliyyaah, aur kitne yirmayaah ya bhavishyadwaktaon mein se koi ek kahte hain.
उस ने उन से कहा; परन्तु तुम मुझे क्या कहते हो?
Us ne un se kaha; parantu tum mujhe kya kahte ho?
शमौन पतरस ने उत्तर दिया, कि तू जीवते परमेश्वर का पुत्र मसीह है।
Shamaun Patras ne uttar diya, ki tu jeevte Parmeshwar ka putra Masih hai.
यीशु ने उस को उत्तर दिया, कि हे शमौन योना के पुत्र, तू धन्य है; क्योंकि मांस और लोहू ने नहीं, परन्तु मेरे पिता ने जो स्वर्ग में है, यह बात तुझ पर प्रगट की है।
Yeshu ne us ko uttar diya, ki he Shamaun yona ke putra, tu dhanya hai; kyonki maans aur lohu ne nahi, parantu mere pita ne jo swarg mein hai, yah baat tujh par pragat ki hai.
और मैं भी तुझ से कहता हूं, कि तू पतरस है; और मैं इस पत्थर पर अपनी कलीसिया बनाऊंगा: और अधोलोक के फाटक उस पर प्रबल न होंगे।
Aur main bhi tujh se kahta hoon, ki tu Patras hai; aur main is patthar par apni kaleesiya banaoonga: aur adholok ke phatak us par prabal na honge.
मैं तुझे स्वर्ग के राज्य की कुंजियां दूंगा: और जो कुछ तू पृथ्वी पर बान्धेगा, वह स्वर्ग में बन्धेगा; और जो कुछ तू पृथ्वी पर खोलेगा, वह स्वर्ग में खुलेगा।
Main tujhe swarg ke rajya ki kunjiyan doonga: aur jo kuchh tu prithvi par bandhega, vah swarg mein bandhega; aur jo kuchh tu prithvi par kholega, vah swarg mein khulega.
तब उस ने चेलों को चिताया, कि किसी से न कहना! कि मैं मसीह हूं।
Tab us ne chelon ko chitaya, ki kisi se na kahna! Ki main Masih hoon.
उस समय से यीशु अपने चेलों को बताने लगा, कि मुझे अवश्य है, कि यरूशलेम को जाऊं, और पुरनियों और महायाजकों और शास्त्रियों के हाथ से बहुत दुख उठाऊं; और मार डाला जाऊं; और तीसरे दिन जी उठूं।
Us samay se Yeshu apne chelon ko batane laga, ki mujhe avashya hai, ki Yerushalem ko jaun, aur purniyon aur mahayajkon aur shastriyon ke haath se bahut dukh uthaun; aur maar dala jaun; aur teesre din ji uthun.
इस पर पतरस उसे अलग ले जाकर झिड़कने लगा कि हे प्रभु, परमेश्वर न करे; तुझ पर ऐसा कभी न होगा।
Is par Patras use alag le jakar jhidakne laga ki he Prabhu, Parmeshwar na kare; tujh par aisa kabhi na hoga.
उस ने फिरकर पतरस से कहा, हे शैतान, मेरे साम्हने से दूर हो: तू मेरे लिये ठोकर का कारण है; क्योंकि तू परमेश्वर की बातें नहीं, पर मनुष्यों की बातों पर मन लगाता है।
Us ne phirkar Patras se kaha, he Shaitan, mere samhane se door ho: tu mere liye thokar ka karan hai; kyonki tu Parmeshwar ki batein nahi, par manushyon ki baton par man lagata hai.
तब यीशु ने अपने चेलों से कहा; यदि कोई मेरे पीछे आना चाहे, तो अपने आप का इन्कार करे और अपना क्रूस उठाए, और मेरे पीछे हो ले।
Tab Yeshu ne apne chelon se kaha; yadi koi mere peechhe aana chahe, to apne aap ka inkaar kare aur apna kroos uthaye, aur mere peechhe ho le.
क्योंकि जो कोई अपना प्राण बचाना चाहे, वह उसे खोएगा; और जो कोई मेरे लिये अपना प्राण खोएगा, वह उसे पाएगा।
Kyonki jo koi apna praan bachana chahe, vah use khoyega; aur jo koi mere liye apna praan khoyega, vah use payega.
यदि मनुष्य सारे जगत को प्राप्त करे, और अपने प्राण की हानि उठाए, तो उसे क्या लाभ होगा? या मनुष्य अपने प्राण के बदले में क्या देगा?
Yadi manushya sare jagat ko praapt kare, aur apne praan ki hani uthaye, to use kya laabh hoga? Ya manushya apne praan ke badle mein kya dega?
मनुष्य का पुत्र अपने स्वर्गदूतों के साथ अपने पिता की महिमा में आएगा, और उस समय वह हर एक को उसके कामों के अनुसार प्रतिफल देगा।
Manushya ka putra apne swargadooton ke saath apne pita ki mahima mein aayega, aur us samay vah har ek ko uske kamon ke anusaar pratiphal dega.
मैं तुम से सच कहता हूं, कि जो यहां खड़े हैं, उन में से कितने ऐसे हैं; कि जब तक मनुष्य के पुत्र को उसके राज्य में आते हुए न देख लेंगे, तब तक मृत्यु का स्वाद कभी न चखेंगे।
Main tum se sach kahta hoon, ki jo yahan khade hain, un mein se kitne aise hain; ki jab tak manushya ke putra ko uske rajya mein aate hue na dekh lenge, tab tak mrityu ka swaad kabhi na chakhenge.