Matthew 15 · 39 verses

मत्ती 15 Matthew 15 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Matti 15.

1

तब यरूशलेम से कितने फरीसी और शास्त्री यीशु के पास आकर कहने लगे।

Tab Yerushalem se kitne phareesi aur shastri Yeshu ke paas aakar kahne lage.

2

तेरे चेले पुरनियों की रीतों को क्यों टालते हैं, कि बिना हाथ धोए रोटी खाते हैं?

Tere chele purniyon ki reeton ko kyon talte hain, ki bina haath dhoye roti khate hain?

3

उस ने उन को उत्तर दिया, कि तुम भी अपनी रीतों के कारण क्यों परमेश्वर की आज्ञा टालते हो?

Us ne un ko uttar diya, ki tum bhi apni reeton ke karan kyon Parmeshwar ki aagya talte ho?

4

क्योंकि परमेश्वर ने कहा था, कि अपने पिता और अपनी माता का आदर करना: और जो कोई पिता या माता को बुरा कहे, वह मार डाला जाए।

Kyonki Parmeshwar ne kaha tha, ki apne pita aur apni mata ka aadar karna: aur jo koi pita ya mata ko bura kahe, vah maar dala jaye.

5

पर तुम कहते हो, कि यदि कोई अपने पिता या माता से कहे, कि जो कुछ तुझे मुझ से लाभ पहुंच सकता था, वह परमेश्वर को भेंट चढ़ाई जा चुकी।

Par tum kahte ho, ki yadi koi apne pita ya mata se kahe, ki jo kuchh tujhe mujh se laabh pahunch sakta tha, vah Parmeshwar ko bhent chadhai ja chuki.

6

तो वह अपने पिता का आदर न करे, सो तुम ने अपनी रीतों के कारण परमेश्वर का वचन टाल दिया।

To vah apne pita ka aadar na kare, so tum ne apni reeton ke karan Parmeshwar ka vachan taal diya.

7

हे कपटियों, यशायाह ने तुम्हारे विषय में यह भविष्यद्वाणी ठीक की।

He kaptiyon, yashayaah ne tumhare vishay mein yah bhavishyadwani theek ki.

8

कि ये लोग होठों से तो मेरा आदर करते हैं, पर उन का मन मुझ से दूर रहता है।

Ki ye log hothon se to mera aadar karte hain, par un ka man mujh se door rahta hai.

9

और ये व्यर्थ मेरी उपासना करते हैं, क्योंकि मनुष्यों की विधियों को धर्मोपदेश करके सिखाते हैं।

Aur ye vyarth meri upasna karte hain, kyonki manushyon ki vidhiyon ko dharmopdesh karke sikhate hain.

10

और उस ने लोगों को अपने पास बुलाकर उन से कहा, सुनो; और समझो।

Aur us ne logon ko apne paas bulakar un se kaha, suno; aur samjho.

11

जो मुंह में जाता है, वह मनुष्य को अशुद्ध नहीं करता, पर जो मुंह से निकलता है, वही मनुष्य को अशुद्ध करता है।

Jo munh mein jata hai, vah manushya ko ashuddh nahi karta, par jo munh se nikalta hai, vahi manushya ko ashuddh karta hai.

12

तब चेलों ने आकर उस से कहा, क्या तू जानता है कि फरीसियों ने यह वचन सुनकर ठोकर खाई?

Tab chelon ne aakar us se kaha, kya tu janta hai ki phareesiyon ne yah vachan sunkar thokar khai?

13

उस ने उत्तर दिया, हर पौधा जो मेरे स्वर्गीय पिता ने नहीं लगाया, उखाड़ा जाएगा।

Us ne uttar diya, har paudha jo mere swargeeya pita ne nahi lagaya, ukhada jayega.

14

उन को जाने दो; वे अन्धे मार्ग दिखाने वाले हैं: और अन्धा यदि अन्धे को मार्ग दिखाए, तो दोनों गड़हे में गिर पड़ेंगे।

Un ko jane do; ve andhe maarg dikhane vale hain: aur andha yadi andhe ko maarg dikhaye, to donon gadhe mein gir padenge.

15

यह सुनकर, पतरस ने उस से कहा, यह दृष्टान्त हमें समझा दे।

Yah sunkar, Patras ne us se kaha, yah drishtaant hamein samjha de.

16

उस ने कहा, क्या तुम भी अब तक ना समझ हो?

Us ne kaha, kya tum bhi ab tak na samajh ho?

17

क्या नहीं समझते, कि जो कुछ मुंह में जाता, वह पेट में पड़ता है, और सण्डास में निकल जाता है?

Kya nahi samajhte, ki jo kuchh munh mein jata, vah pet mein padta hai, aur sandaas mein nikal jata hai?

18

पर जो कुछ मुंह से निकलता है, वह मन से निकलता है, और वही मनुष्य को अशुद्ध करता है।

Par jo kuchh munh se nikalta hai, vah man se nikalta hai, aur vahi manushya ko ashuddh karta hai.

19

क्योंकि कुचिन्ता, हत्या, पर स्त्रीगमन, व्यभिचार, चोरी, झूठी गवाही और निन्दा मन ही से निकलती है।

Kyonki kuchinta, hatya, par streegman, vyabhichaar, chori, jhoothi gavahi aur ninda man hi se nikalti hai.

20

यही हैं जो मनुष्य को अशुद्ध करती हैं, परन्तु हाथ बिना धोए भोजन करना मनुष्य को अशुद्ध नहीं करता॥

Yahi hain jo manushya ko ashuddh karti hain, parantu haath bina dhoye bhojan karna manushya ko ashuddh nahi karta.

21

यीशु वहां से निकलकर, सूर और सैदा के देशों की ओर चला गया।

Yeshu vahan se nikalkar, soor aur saida ke deshon ki or chala gaya.

22

और देखो, उस देश से एक कनानी स्त्री निकली, और चिल्लाकर कहने लगी; हे प्रभु दाऊद के सन्तान, मुझ पर दया कर, मेरी बेटी को दुष्टात्मा बहुत सता रहा है।

Aur dekho, us desh se ek kanani stri nikli, aur chillakar kahne lagi; he Prabhu Daud ke santaan, mujh par daya kar, meri beti ko dushtatma bahut sata raha hai.

23

पर उस ने उसे कुछ उत्तर न दिया, और उसके चेलों ने आकर उस से बिनती कर कहा; इसे विदा कर; क्योंकि वह हमारे पीछे चिल्लाती आती है।

Par us ne use kuchh uttar na diya, aur uske chelon ne aakar us se binti kar kaha; ise vida kar; kyonki vah hamare peechhe chillati aati hai.

24

उस ने उत्तर दिया, कि इस्राएल के घराने की खोई हुई भेड़ों को छोड़ मैं किसी के पास नहीं भेजा गया।

Us ne uttar diya, ki Israel ke gharane ki khoi hui bhedon ko chhod main kisi ke paas nahi bheja gaya.

25

पर वह आई, और उसे प्रणाम करके कहने लगी; हे प्रभु, मेरी सहायता कर।

Par vah aai, aur use pranaam karke kahne lagi; he Prabhu, meri sahayta kar.

26

उस ने उत्तर दिया, कि लड़कों की रोटी लेकर कुत्तों के आगे डालना अच्छा नहीं।

Us ne uttar diya, ki ladkon ki roti lekar kutton ke aage dalna achchha nahi.

27

उस ने कहा, सत्य है प्रभु; पर कुत्ते भी वह चूरचार खाते हैं, जो उन के स्वामियों की मेज से गिरते हैं।

Us ne kaha, satya hai Prabhu; par kutte bhi vah choorchaar khate hain, jo un ke swamiyon ki mej se girte hain.

28

इस पर यीशु ने उस को उत्तर देकर कहा, कि हे स्त्री, तेरा विश्वास बड़ा है: जैसा तू चाहती है, तेरे लिये वैसा ही हो; और उस की बेटी उसी घड़ी से चंगी हो गई॥

Is par Yeshu ne us ko uttar dekar kaha, ki he stri, tera vishwaas bada hai: jaisa tu chahti hai, tere liye vaisa hi ho; aur us ki beti usi ghadi se changi ho gai.

29

यीशु वहां से चलकर, गलील की झील के पास आया, और पहाड़ पर चढ़कर वहां बैठ गया।

Yeshu vahan se chalkar, galeel ki jheel ke paas aaya, aur pahaad par chadhkar vahan baith gaya.

30

और भीड़ पर भीड़ लंगड़ों, अन्धों, गूंगों, टुंडों, और बहुत औरों को लेकर उसके पास आए; और उन्हें उस के पांवों पर डाल दिया, और उस ने उन्हें चंगा किया।

Aur bheed par bheed langdon, andhon, goongon, tundon, aur bahut auron ko lekar uske paas aaye; aur unhein us ke panvon par daal diya, aur us ne unhein changa kiya.

31

सो जब लोगों ने देखा, कि गूंगे बोलते और टुण्डे चंगे होते और लंगड़े चलते और अन्धे देखते हैं, तो अचम्भा करके इस्राएल के परमेश्वर की बड़ाई की॥

So jab logon ne dekha, ki goonge bolte aur tunde change hote aur langde chalte aur andhe dekhte hain, to achambha karke Israel ke Parmeshwar ki badai ki.

32

यीशु ने अपने चेलों को बुलाकर कहा, मुझे इस भीड़ पर तरस आता है; क्योंकि वे तीन दिन से मेरे साथ हैं और उन के पास कुछ खाने को नहीं; और मैं उन्हें भूखा विदा करना नहीं चाहता; कहीं ऐसा न हो कि मार्ग में थककर रह जाएं।

Yeshu ne apne chelon ko bulakar kaha, mujhe is bheed par taras aata hai; kyonki ve teen din se mere saath hain aur un ke paas kuchh khane ko nahi; aur main unhein bhookha vida karna nahi chahta; kahi aisa na ho ki maarg mein thakkar rah jayen.

33

चेलों ने उस से कहा, हमें जंगल में कहां से इतनी रोटी मिलेगी कि हम इतनी बड़ी भीड़ को तृप्त करें?

Chelon ne us se kaha, hamein jangal mein kahan se itni roti milegi ki ham itni badi bheed ko tript karein?

34

यीशु ने उन से पूछा, तुम्हारे पास कितनी रोटियां हैं? उन्होंने कहा; सात और थोड़ी सी छोटी मछिलयां।

Yeshu ne un se poochha, tumhare paas kitni rotiyan hain? Unhonne kaha; saat aur thodi si chhoti machhilyan.

35

तब उस ने लोगों को भूमि पर बैठने की आज्ञा दी।

Tab us ne logon ko bhoomi par baithne ki aagya di.

36

और उन सात रोटियों और मछिलयों को ले धन्यवाद करके तोड़ा और अपने चेलों को देता गया; और चेले लोगों को।

Aur un saat rotiyon aur machhilyon ko le dhanyavaad karke toda aur apne chelon ko deta gaya; aur chele logon ko.

37

सो सब खाकर तृप्त हो गए और बचे हुए टुकड़ों से भरे हुए सात टोकरे उठाए।

So sab khakar tript ho gaye aur bache hue tukdon se bhare hue saat tokre uthaye.

38

और खाने वाले स्त्रियों और बालकों को छोड़ चार हजार पुरूष थे।

Aur khane vale striyon aur balkon ko chhod chaar hajaar puroosh the.

39

तब वह भीड़ को विदा करके नाव पर चढ़ गया, और मगदन देश के सिवानों में आया॥

Tab vah bheed ko vida karke naav par chadh gaya, aur magdan desh ke sivanon mein aaya.