उस समय चौथाई देश के राजा हेरोदेस ने यीशु की चर्चा सुनी।
Us samay chauthai desh ke raja herodes ne Yeshu ki charcha suni.
Matthew 14 · 36 verses
उस समय चौथाई देश के राजा हेरोदेस ने यीशु की चर्चा सुनी।
Us samay chauthai desh ke raja herodes ne Yeshu ki charcha suni.
और अपने सेवकों से कहा, यह यूहन्ना बपतिस्मा देनेवाला है: वह मरे हुओं में से जी उठा है, इसी लिये उस से सामर्थ के काम प्रगट होते हैं।
Aur apne sevkon se kaha, yah Yuhanna baptisma denevala hai: vah mare huon mein se ji utha hai, isi liye us se samarth ke kaam pragat hote hain.
क्योंकि हेरोदेस ने अपने भाई फिलेप्पुस की पत्नी हेरोदियास के कारण, यूहन्ना को पकड़कर बान्धा, और जेलखाने में डाल दिया था।
Kyonki herodes ne apne bhai phileppus ki patni herodiyaas ke karan, Yuhanna ko pakadkar bandha, aur jelkhane mein daal diya tha.
क्योंकि यूहन्ना ने उस से कहा था, कि इस को रखना तुझे उचित नहीं है।
Kyonki Yuhanna ne us se kaha tha, ki is ko rakhna tujhe uchit nahi hai.
और वह उसे मार डालना चाहता था, पर लोगों से डरता था, क्योंकि वे उसे भविष्यद्वक्ता जानते थे।
Aur vah use maar dalna chahta tha, par logon se darta tha, kyonki ve use bhavishyadwakta jante the.
पर जब हेरोदेस का जन्म दिन आया, तो हेरोदियास की बेटी ने उत्सव में नाच दिखाकर हेरोदेस को खुश किया।
Par jab herodes ka janm din aaya, to herodiyaas ki beti ne utsav mein naach dikhakar herodes ko khush kiya.
इसलिये उस ने शपथ खाकर वचन दिया, कि जो कुछ तू मांगेगी, मैं तुझे दूंगा।
Isliye us ne shapath khakar vachan diya, ki jo kuchh tu mangegi, main tujhe doonga.
वह अपनी माता की उक्साई हुई बोली, यूहन्ना बपतिस्मा देने वाले का सिर थाल में यहीं मुझे मंगवा दे।
Vah apni mata ki uksai hui boli, Yuhanna baptisma dene vale ka sir thaal mein yahi mujhe mangva de.
राजा दुखित हुआ, पर अपनी शपथ के, और साथ बैठने वालों के कारण, आज्ञा दी, कि दे दिया जाए।
Raja dukhit huaa, par apni shapath ke, aur saath baithne valon ke karan, aagya di, ki de diya jaye.
और जेलखाने में लोगों को भेजकर यूहन्ना का सिर कटवा दिया।
Aur jelkhane mein logon ko bhejkar Yuhanna ka sir katva diya.
और उसका सिर थाल में लाया गया, और लड़की को दिया गया; और वह उस को अपनी मां के पास ले गई।
Aur uska sir thaal mein laya gaya, aur ladki ko diya gaya; aur vah us ko apni maa ke paas le gai.
और उसके चेलों ने आकर और उस की लोथ को ले जाकर गाड़ दिया और जाकर यीशु को समाचार दिया॥
Aur uske chelon ne aakar aur us ki loth ko le jakar gaad diya aur jakar Yeshu ko samachaar diya.
जब यीशु ने यह सुना, तो नाव पर चढ़कर वहां से किसी सुनसान जगह एकान्त में चला गया; और लोग यह सुनकर नगर नगर से पैदल उसके पीछे हो लिए।
Jab Yeshu ne yah suna, to naav par chadhkar vahan se kisi sunsaan jagah ekaant mein chala gaya; aur log yah sunkar nagar nagar se paidal uske peechhe ho liye.
उस ने निकलकर बड़ी भीड़ देखी; और उन पर तरस खाया; और उस ने उन के बीमारों को चंगा किया।
Us ne nikalkar badi bheed dekhi; aur un par taras khaya; aur us ne un ke beemaron ko changa kiya.
जब सांझ हुई, तो उसके चेलों ने उसके पास आकर कहा; यह तो सुनसान जगह है और देर हो रही है, लोगों को विदा किया जाए कि वे बस्तियों में जाकर अपने लिये भोजन मोल लें।
Jab saanjh hui, to uske chelon ne uske paas aakar kaha; yah to sunsaan jagah hai aur der ho rahi hai, logon ko vida kiya jaye ki ve bastiyon mein jakar apne liye bhojan mol lein.
यीशु ने उन से कहा उन का जाना आवश्यक नहीं! तुम ही इन्हें खाने को दो।
Yeshu ne un se kaha un ka jana aavashyak nahi! Tum hi inhein khane ko do.
उन्होंने उस से कहा; यहां हमारे पास पांच रोटी और दो मछिलयों को छोड़ और कुछ नहीं है।
Unhonne us se kaha; yahan hamare paas paanch roti aur do machhilyon ko chhod aur kuchh nahi hai.
उस ने कहा, उन को यहां मेरे पास ले आओ।
Us ne kaha, un ko yahan mere paas le aao.
तब उस ने लोगों को घास पर बैठने को कहा, और उन पांच रोटियों और दो मछिलयों को लिया; और स्वर्ग की ओर देखकर धन्यवाद किया और रोटियां तोड़ तोड़कर चेलों को दीं, और चेलों ने लोगों को।
Tab us ne logon ko ghaas par baithne ko kaha, aur un paanch rotiyon aur do machhilyon ko liya; aur swarg ki or dekhkar dhanyavaad kiya aur rotiyan tod todkar chelon ko di, aur chelon ne logon ko.
और सब खाकर तृप्त हो गए, और उन्होंने बचे हुए टुकड़ों से भरी हुई बारह टोकरियां उठाईं।
Aur sab khakar tript ho gaye, aur unhonne bache hue tukdon se bhari hui barah tokriyan uthai.
और खाने वाले स्त्रियों और बालकों को छोड़कर पांच हजार पुरूषों के अटकल थे॥
Aur khane vale striyon aur balkon ko chhodkar paanch hajaar purooshon ke atkal the.
और उस ने तुरन्त अपने चेलों को बरबस नाव पर चढ़ाया, कि वे उस से पहिले पार चले जाएं, जब तक कि वह लोगों को विदा करे।
Aur us ne turant apne chelon ko barbas naav par chadhaya, ki ve us se pahile paar chale jayen, jab tak ki vah logon ko vida kare.
वह लोगों को विदा करके, प्रार्थना करने को अलग पहाड़ पर चढ़ गया; और सांझ को वहां अकेला था।
Vah logon ko vida karke, prarthana karne ko alag pahaad par chadh gaya; aur saanjh ko vahan akela tha.
उस समय नाव झील के बीच लहरों से डगमगा रही थी, क्योंकि हवा साम्हने की थी।
Us samay naav jheel ke beech lahron se dagamga rahi thi, kyonki hava samhane ki thi.
और वह रात के चौथे पहर झील पर चलते हुए उन के पास आया।
Aur vah raat ke chauthe pahar jheel par chalte hue un ke paas aaya.
चेले उस को झील पर चलते हुए देखकर घबरा गए! और कहने लगे, वह भूत है; और डर के मारे चिल्ला उठे।
Chele us ko jheel par chalte hue dekhkar ghabra gaye! Aur kahne lage, vah bhoot hai; aur dar ke mare chilla uthe.
यीशु ने तुरन्त उन से बातें की, और कहा; ढाढ़स बान्धो; मैं हूं; डरो मत।
Yeshu ne turant un se batein ki, aur kaha; dhadhas bandho; main hoon; daro mat.
पतरस ने उस को उत्तर दिया, हे प्रभु, यदि तू ही है, तो मुझे अपने पास पानी पर चलकर आने की आज्ञा दे।
Patras ne us ko uttar diya, he Prabhu, yadi tu hi hai, to mujhe apne paas pani par chalkar aane ki aagya de.
उस ने कहा, आ: तब पतरस नाव पर से उतरकर यीशु के पास जाने को पानी पर चलने लगा।
Us ne kaha, aa: tab Patras naav par se utarkar Yeshu ke paas jane ko pani par chalne laga.
पर हवा को देखकर डर गया, और जब डूबने लगा, तो चिल्लाकर कहा; हे प्रभु, मुझे बचा।
Par hava ko dekhkar dar gaya, aur jab doobne laga, to chillakar kaha; he Prabhu, mujhe bacha.
यीशु ने तुरन्त हाथ बढ़ाकर उसे थाम लिया, और उस से कहा, हे अल्प-विश्वासी, तू ने क्यों सन्देह किया?
Yeshu ne turant haath badhakar use thaam liya, aur us se kaha, he alp-vishwasi, tu ne kyon sandeh kiya?
जब वे नाव पर चढ़ गए, तो हवा थम गई।
Jab ve naav par chadh gaye, to hava tham gai.
इस पर जो नाव पर थे, उन्होंने उसे दण्डवत करके कहा; सचमुच तू परमेश्वर का पुत्र है॥
Is par jo naav par the, unhonne use dandavat karke kaha; sachmuch tu Parmeshwar ka putra hai.
वे पार उतरकर गन्नेसरत देश में पहुंचे।
Ve paar utarkar gannesrat desh mein pahunche.
और वहां के लोगों ने उसे पहचानकर आस पास के सारे देश में कहला भेजा, और सब बीमारों को उसके पास लाए।
Aur vahan ke logon ne use pahchankar aas paas ke sare desh mein kahla bheja, aur sab beemaron ko uske paas laye.
और उस से बिनती करने लगे, कि वह उन्हें अपने वस्त्र के आंचल ही को छूने दे: और जितनों ने उसे छूआ, वे चंगे हो गए॥
Aur us se binti karne lage, ki vah unhein apne vastra ke aanchal hi ko chhoone de: aur jitnon ne use chhooaa, ve change ho gaye.