उसी दिन यीशु घर से निकलकर झील के किनारे जा बैठा।
Usi din Yeshu ghar se nikalkar jheel ke kinare ja baitha.
Matthew 13 · 58 verses
उसी दिन यीशु घर से निकलकर झील के किनारे जा बैठा।
Usi din Yeshu ghar se nikalkar jheel ke kinare ja baitha.
और उसके पास ऐसी बड़ी भीड़ इकट्ठी हुई कि वह नाव पर चढ़ गया, और सारी भीड़ किनारे पर खड़ी रही।
Aur uske paas aisi badi bheed ikatthi hui ki vah naav par chadh gaya, aur sari bheed kinare par khadi rahi.
और उस ने उन से दृष्टान्तों में बहुत सी बातें कही, कि देखो, एक बोने वाला बीज बोने निकला।
Aur us ne un se drishtanton mein bahut si batein kahi, ki dekho, ek bone vala beej bone nikla.
बोते समय कुछ बीज मार्ग के किनारे गिरे और पक्षियों ने आकर उन्हें चुग लिया।
Bote samay kuchh beej maarg ke kinare gire aur pakshiyon ne aakar unhein chug liya.
कुछ पत्थरीली भूमि पर गिरे, जहां उन्हें बहुत मिट्टी न मिली और गहरी मिट्टी न मिलने के कारण वे जल्द उग आए।
Kuchh patthareeli bhoomi par gire, jahan unhein bahut mitti na mili aur gahri mitti na milne ke karan ve jald ug aaye.
पर सूरज निकलने पर वे जल गए, और जड़ न पकड़ने से सूख गए।
Par sooraj nikalne par ve jal gaye, aur jad na pakadne se sookh gaye.
कुछ झाड़ियों में गिरे, और झाड़ियों ने बढ़कर उन्हें दबा डाला।
Kuchh jhadiyon mein gire, aur jhadiyon ne badhkar unhein daba dala.
पर कुछ अच्छी भूमि पर गिरे, और फल लाए, कोई सौ गुना, कोई साठ गुना, कोई तीस गुना।
Par kuchh achchhi bhoomi par gire, aur phal laye, koi sau guna, koi saath guna, koi tees guna.
जिस के कान हों वह सुन ले॥
Jis ke kaan hon vah sun le.
और चेलों ने पास आकर उस से कहा, तू उन से दृष्टान्तों में क्यों बातें करता है?
Aur chelon ne paas aakar us se kaha, tu un se drishtanton mein kyon batein karta hai?
उस ने उत्तर दिया, कि तुम को स्वर्ग के राज्य के भेदों की समझ दी गई है, पर उन को नहीं।
Us ne uttar diya, ki tum ko swarg ke rajya ke bhedon ki samajh di gai hai, par un ko nahi.
क्योंकि जिस के पास है, उसे दिया जाएगा; और उसके पास बहुत हो जाएगा; पर जिस के पास कुछ नहीं है, उस से जो कुछ उसके पास है, वह भी ले लिया जाएगा।
Kyonki jis ke paas hai, use diya jayega; aur uske paas bahut ho jayega; par jis ke paas kuchh nahi hai, us se jo kuchh uske paas hai, vah bhi le liya jayega.
मैं उन से दृष्टान्तों में इसलिये बातें करता हूं, कि वे देखते हुए नहीं देखते; और सुनते हुए नहीं सुनते; और नहीं समझते।
Main un se drishtanton mein isliye batein karta hoon, ki ve dekhte hue nahi dekhte; aur sunte hue nahi sunte; aur nahi samajhte.
और उन के विषय में यशायाह की यह भविष्यद्ववाणी पूरी होती है, कि तुम कानों से तो सुनोगे, पर समझोगे नहीं; और आंखों से तो देखोगे, पर तुम्हें न सूझेगा।
Aur un ke vishay mein yashayaah ki yah bhavishyadwavani poori hoti hai, ki tum kanon se to sunoge, par samjhoge nahi; aur aankhon se to dekhoge, par tumhein na soojhega.
क्योंकि इन लोगों का मन मोटा हो गया है, और वे कानों से ऊंचा सुनते हैं और उन्होंने अपनी आंखें मूंद लीं हैं; कहीं ऐसा न हो कि वे आंखों से देखें, और कानों से सुनें और मन से समझें, और फिर जाएं, और मैं उन्हें चंगा करूं।
Kyonki in logon ka man mota ho gaya hai, aur ve kanon se ooncha sunte hain aur unhonne apni aankhein moond li hain; kahi aisa na ho ki ve aankhon se dekhein, aur kanon se sunein aur man se samjhein, aur phir jayen, aur main unhein changa karun.
पर धन्य है तुम्हारी आंखें, कि वे देखती हैं; और तुम्हारे कान, कि वे सुनते हैं।
Par dhanya hai tumhari aankhein, ki ve dekhti hain; aur tumhare kaan, ki ve sunte hain.
क्योंकि मैं तुम से सच कहता हूं, कि बहुत से भविष्यद्वक्ताओं ने और धर्मियों ने चाहा कि जो बातें तुम देखते हो, देखें पर न देखीं; और जो बातें तुम सुनते हो, सुनें, पर न सुनीं।
Kyonki main tum se sach kahta hoon, ki bahut se bhavishyadwaktaon ne aur dharmiyon ne chaha ki jo batein tum dekhte ho, dekhein par na dekhi; aur jo batein tum sunte ho, sunein, par na suni.
सो तुम बोने वाले का दृष्टान्त सुनो।
So tum bone vale ka drishtaant suno.
जो कोई राज्य का वचन सुनकर नहीं समझता, उसके मन में जो कुछ बोया गया था, उसे वह दुष्ट आकर छीन ले जाता है; यह वही है, जो मार्ग के किनारे बोया गया था।
Jo koi rajya ka vachan sunkar nahi samajhta, uske man mein jo kuchh boya gaya tha, use vah dusht aakar chheen le jata hai; yah vahi hai, jo maarg ke kinare boya gaya tha.
और जो पत्थरीली भूमि पर बोया गया, यह वह है, जो वचन सुनकर तुरन्त आनन्द के साथ मान लेता है।
Aur jo patthareeli bhoomi par boya gaya, yah vah hai, jo vachan sunkar turant aanand ke saath maan leta hai.
पर अपने में जड़ न रखने के कारण वह थोड़े ही दिन का है, और जब वचन के कारण क्लेश या उपद्रव होता है, तो तुरन्त ठोकर खाता है।
Par apne mein jad na rakhne ke karan vah thode hi din ka hai, aur jab vachan ke karan klesh ya upadrav hota hai, to turant thokar khata hai.
जो झाड़ियों में बोया गया, यह वह है, जो वचन को सुनता है, पर इस संसार की चिन्ता और धन का धोखा वचन को दबाता है, और वह फल नहीं लाता।
Jo jhadiyon mein boya gaya, yah vah hai, jo vachan ko sunta hai, par is sansaar ki chinta aur dhan ka dhokha vachan ko dabata hai, aur vah phal nahi lata.
जो अच्छी भूमि में बोया गया, यह वह है, जो वचन को सुनकर समझता है, और फल लाता है कोई सौ गुना, कोई साठ गुना, कोई तीस गुना।
Jo achchhi bhoomi mein boya gaya, yah vah hai, jo vachan ko sunkar samajhta hai, aur phal lata hai koi sau guna, koi saath guna, koi tees guna.
उस ने उन्हें एक और दृष्टान्त दिया कि स्वर्ग का राज्य उस मनुष्य के समान है जिस ने अपने खेत में अच्छा बीज बोया।
Us ne unhein ek aur drishtaant diya ki swarg ka rajya us manushya ke samaan hai jis ne apne khet mein achchha beej boya.
पर जब लोग सो रहे थे तो उसका बैरी आकर गेहूं के बीच जंगली बीज बोकर चला गया।
Par jab log so rahe the to uska bairi aakar gehun ke beech jangli beej bokar chala gaya.
जब अंकुर निकले और बालें लगीं, तो जंगली दाने भी दिखाई दिए।
Jab ankur nikle aur balein lagi, to jangli dane bhi dikhai diye.
इस पर गृहस्थ के दासों ने आकर उस से कहा, हे स्वामी, क्या तू ने अपने खेत में अच्छा बीज न बोया था फिर जंगली दाने के पौधे उस में कहां से आए?
Is par grihasth ke dason ne aakar us se kaha, he swami, kya tu ne apne khet mein achchha beej na boya tha phir jangli dane ke paudhe us mein kahan se aaye?
उस ने उन से कहा, यह किसी बैरी का काम है। दासों ने उस से कहा क्या तेरी इच्छा है, कि हम जाकर उन को बटोर लें?
Us ne un se kaha, yah kisi bairi ka kaam hai. Dason ne us se kaha kya teri ichchha hai, ki ham jakar un ko bator lein?
उस ने कहा, ऐसा नहीं, न हो कि जंगली दाने के पौधे बटोरते हुए उन के साथ गेहूं भी उखाड़ लो।
Us ne kaha, aisa nahi, na ho ki jangli dane ke paudhe batorte hue un ke saath gehun bhi ukhaad lo.
कटनी तक दोनों को एक साथ बढ़ने दो, और कटनी के समय मैं काटने वालों से कहूंगा; पहिले जंगली दाने के पौधे बटोरकर जलाने के लिये उन के गट्ठे बान्ध लो, और गेहूं को मेरे खत्ते में इकट्ठा करो॥
Katni tak donon ko ek saath badhne do, aur katni ke samay main katne valon se kahoonga; pahile jangli dane ke paudhe batorkar jalane ke liye un ke gatthe baandh lo, aur gehun ko mere khatte mein ikattha karo.
उस ने उन्हें एक और दृष्टान्त दिया; कि स्वर्ग का राज्य राई के एक दाने के समान है, जिसे किसी मनुष्य ने लेकर अपने खेत में बो दिया।
Us ne unhein ek aur drishtaant diya; ki swarg ka rajya rai ke ek dane ke samaan hai, jise kisi manushya ne lekar apne khet mein bo diya.
वह सब बीजों से छोटा तो है पर जब बढ़ जाता है तब सब साग पात से बड़ा होता है; और ऐसा पेड़ हो जाता है, कि आकाश के पक्षी आकर उस की डालियों पर बसेरा करते हैं॥
Vah sab beejon se chhota to hai par jab badh jata hai tab sab saag paat se bada hota hai; aur aisa ped ho jata hai, ki aakaash ke pakshi aakar us ki daliyon par basera karte hain.
उस ने एक और दृष्टान्त उन्हें सुनाया; कि स्वर्ग का राज्य खमीर के समान है जिस को किसी स्त्री ने लेकर तीन पसेरी आटे में मिला दिया और होते होते वह सब खमीर हो गया॥
Us ne ek aur drishtaant unhein sunaya; ki swarg ka rajya khameer ke samaan hai jis ko kisi stri ne lekar teen paseri aate mein mila diya aur hote hote vah sab khameer ho gaya.
ये सब बातें यीशु ने दृष्टान्तों में लोगों से कहीं, और बिना दृष्टान्त वह उन से कुछ न कहता था।
Ye sab batein Yeshu ne drishtanton mein logon se kahi, aur bina drishtaant vah un se kuchh na kahta tha.
कि जो वचन भविष्यद्वक्ता के द्वारा कहा गया था, वह पूरा हो कि मैं दृष्टान्त कहने को अपना मुंह खोलूंगा: मैं उन बातों को जो जगत की उत्पत्ति से गुप्त रही हैं प्रगट करूंगा॥
Ki jo vachan bhavishyadwakta ke dwara kaha gaya tha, vah poora ho ki main drishtaant kahne ko apna munh kholoonga: main un baton ko jo jagat ki utpatti se gupt rahi hain pragat karoonga.
तब वह भीड़ को छोड़ कर घर में आया, और उसके चेलों ने उसके पास आकर कहा, खेत के जंगली दाने का दृष्टान्त हमें समझा दे।
Tab vah bheed ko chhod kar ghar mein aaya, aur uske chelon ne uske paas aakar kaha, khet ke jangli dane ka drishtaant hamein samjha de.
उस ने उन को उत्तर दिया, कि अच्छे बीज का बोने वाला मनुष्य का पुत्र है।
Us ne un ko uttar diya, ki achchhe beej ka bone vala manushya ka putra hai.
खेत संसार है, अच्छा बीज राज्य के सन्तान, और जंगली बीज दुष्ट के सन्तान हैं।
Khet sansaar hai, achchha beej rajya ke santaan, aur jangli beej dusht ke santaan hain.
जिस बैरी ने उन को बोया वह शैतान है; कटनी जगत का अन्त है: और काटने वाले स्वर्गदूत हैं।
Jis bairi ne un ko boya vah Shaitan hai; katni jagat ka ant hai: aur katne vale swargadoot hain.
सो जैसे जंगली दाने बटोरे जाते और जलाए जाते हैं वैसा ही जगत के अन्त में होगा।
So jaise jangli dane batore jate aur jalaye jate hain vaisa hi jagat ke ant mein hoga.
मनुष्य का पुत्र अपने स्वर्गदूतों को भेजेगा, और वे उसके राज्य में से सब ठोकर के कारणों को और कुकर्म करने वालों को इकट्ठा करेंगे।
Manushya ka putra apne swargadooton ko bhejega, aur ve uske rajya mein se sab thokar ke karnon ko aur kukarm karne valon ko ikattha karenge.
और उन्हें आग के कुंड में डालेंगे, वहां रोना और दांत पीसना होगा।
Aur unhein aag ke kund mein dalenge, vahan rona aur daant peesna hoga.
उस समय धर्मी अपने पिता के राज्य में सूर्य की नाईं चमकेंगे; जिस के कान हों वह सुन ले॥
Us samay dharmi apne pita ke rajya mein soorya ki nai chamkenge; jis ke kaan hon vah sun le.
स्वर्ग का राज्य खेत में छिपे हुए धन के समान है, जिसे किसी मनुष्य ने पाकर छिपा दिया, और मारे आनन्द के जाकर और अपना सब कुछ बेचकर उस खेत को मोल लिया॥
Swarg ka rajya khet mein chhipe hue dhan ke samaan hai, jise kisi manushya ne pakar chhipa diya, aur mare aanand ke jakar aur apna sab kuchh bechkar us khet ko mol liya.
फिर स्वर्ग का राज्य एक व्यापारी के समान है जो अच्छे मोतियों की खोज में था।
Phir swarg ka rajya ek vyapari ke samaan hai jo achchhe motiyon ki khoj mein tha.
जब उसे एक बहुमूल्य मोती मिला तो उस ने जाकर अपना सब कुछ बेच डाला और उसे मोल ले लिया॥
Jab use ek bahumoolya moti mila to us ne jakar apna sab kuchh bech dala aur use mol le liya.
फिर स्वर्ग का राज्य उस बड़े जाल के समान है, जो समुद्र में डाला गया, और हर प्रकार की मछिलयों को समेट लाया।
Phir swarg ka rajya us bade jaal ke samaan hai, jo samudra mein dala gaya, aur har prakaar ki machhilyon ko samet laya.
और जब भर गया, तो उस को किनारे पर खींच लाए, और बैठकर अच्छी अच्छी तो बरतनों में इकट्ठा किया और निकम्मी, निकम्मी फेंक दी।
Aur jab bhar gaya, to us ko kinare par kheench laye, aur baithkar achchhi achchhi to baratnon mein ikattha kiya aur nikammi, nikammi phenk di.
जगत के अन्त में ऐसा ही होगा: स्वर्गदूत आकर दुष्टों को धर्मियों से अलग करेंगे, और उन्हें आग के कुंड में डालेंगे।
Jagat ke ant mein aisa hi hoga: swargadoot aakar dushton ko dharmiyon se alag karenge, aur unhein aag ke kund mein dalenge.
वहां रोना और दांत पीसना होगा।
Vahan rona aur daant peesna hoga.
क्या तुम ने ये सब बातें समझीं?
Kya tum ne ye sab batein samjhi?
उन्होंने उस से कहा, हां; उस ने उन से कहा, इसलिये हर एक शास्त्री जो स्वर्ग के राज्य का चेला बना है, उस गृहस्थ के समान है जो अपने भण्डार से नई और पुरानी वस्तुएं निकालता है॥
Unhonne us se kaha, han; us ne un se kaha, isliye har ek shastri jo swarg ke rajya ka chela bana hai, us grihasth ke samaan hai jo apne bhandaar se nai aur purani vastuein nikalta hai.
जब यीशु ये सब दृष्टान्त कह चुका, तो वहां से चला गया।
Jab Yeshu ye sab drishtaant kah chuka, to vahan se chala gaya.
और अपने देश में आकर उन की सभा में उन्हें ऐसा उपदेश देने लगा; कि वे चकित होकर कहने लगे; कि इस को यह ज्ञान और सामर्थ के काम कहां से मिले?
Aur apne desh mein aakar un ki sabha mein unhein aisa updesh dene laga; ki ve chakit hokar kahne lage; ki is ko yah gyaan aur samarth ke kaam kahan se mile?
क्या यह बढ़ई का बेटा नहीं? और क्या इस की माता का नाम मरियम और इस के भाइयों के नाम याकूब और यूसुफ और शमौन और यहूदा नहीं?
Kya yah badhai ka beta nahi? Aur kya is ki mata ka naam Mariyam aur is ke bhaiyon ke naam Yakub aur Yusuf aur Shamaun aur Yahuda nahi?
और क्या इस की सब बहिनें हमारे बीच में नहीं रहतीं? फिर इस को यह सब कहां से मिला?
Aur kya is ki sab bahinein hamare beech mein nahi rahti? Phir is ko yah sab kahan se mila?
सो उन्होंने उसके कारण ठोकर खाई, पर यीशु ने उन से कहा, भविष्यद्वक्ता अपने देश और अपने घर को छोड़ और कहीं निरादर नहीं होता।
So unhonne uske karan thokar khai, par Yeshu ne un se kaha, bhavishyadwakta apne desh aur apne ghar ko chhod aur kahi niradar nahi hota.
और उस ने वहां उन के अविश्वास के कारण बहुत सामर्थ के काम नहीं किए॥
Aur us ne vahan un ke avishwaas ke karan bahut samarth ke kaam nahi kiye.