उस समय यीशु सब्त के दिन खेतों में से होकर जा रहा था, और उसके चेलों को भूख लगी, सो वे बालें तोड़ तोड़ कर खाने लगे।
Us samay Yeshu sabt ke din kheton mein se hokar ja raha tha, aur uske chelon ko bhookh lagi, so ve balein tod tod kar khane lage.
Matthew 12 · 50 verses
उस समय यीशु सब्त के दिन खेतों में से होकर जा रहा था, और उसके चेलों को भूख लगी, सो वे बालें तोड़ तोड़ कर खाने लगे।
Us samay Yeshu sabt ke din kheton mein se hokar ja raha tha, aur uske chelon ko bhookh lagi, so ve balein tod tod kar khane lage.
फरीसियों ने यह देखकर उस से कहा, देख तेरे चेले वह काम कर रहे हैं, जो सब्त के दिन करना उचित नहीं।
Phareesiyon ne yah dekhkar us se kaha, dekh tere chele vah kaam kar rahe hain, jo sabt ke din karna uchit nahi.
उस ने उन से कहा; क्या तुम ने नहीं पढ़ा, कि दाऊद ने, जब वह और उसके साथी भूखे हुए तो क्या किया?
Us ne un se kaha; kya tum ne nahi padha, ki Daud ne, jab vah aur uske sathi bhookhe hue to kya kiya?
वह क्योंकर परमेश्वर के घर में गया, और भेंट की रोटियां खाईं, जिन्हें खाना न तो उसे और उसके साथियों को, पर केवल याजकों को उचित था?
Vah kyonkar Parmeshwar ke ghar mein gaya, aur bhent ki rotiyan khai, jinhein khana na to use aur uske sathiyon ko, par keval yajkon ko uchit tha?
या तुम ने व्यवस्था में नहीं पढ़ा, कि याजक सब्त के दिन मन्दिर में सब्त के दिन के विधि को तोड़ने पर भी निर्दोष ठहरते हैं।
Ya tum ne vyavastha mein nahi padha, ki yajak sabt ke din mandir mein sabt ke din ke vidhi ko todne par bhi nirdosh thaharte hain.
पर मैं तुम से कहता हूं, कि यहां वह है, जो मन्दिर से भी बड़ा है।
Par main tum se kahta hoon, ki yahan vah hai, jo mandir se bhi bada hai.
यदि तुम इस का अर्थ जानते कि मैं दया से प्रसन्न हूं, बलिदान से नहीं, तो तुम निर्दोष को दोषी न ठहराते।
Yadi tum is ka arth jante ki main daya se prasann hoon, balidaan se nahi, to tum nirdosh ko doshi na thahrate.
मनुष्य का पुत्र तो सब्त के दिन का भी प्रभु है॥
Manushya ka putra to sabt ke din ka bhi Prabhu hai.
वहां से चलकर वह उन की सभा के घर में आया।
Vahan se chalkar vah un ki sabha ke ghar mein aaya.
और देखो, एक मनुष्य था, जिस का हाथ सूखा हुआ था; और उन्होंने उस पर दोष लगाने के लिये उस से पूछा, कि क्या सब्त के दिन चंगा करना उचित है?
Aur dekho, ek manushya tha, jis ka haath sookha huaa tha; aur unhonne us par dosh lagane ke liye us se poochha, ki kya sabt ke din changa karna uchit hai?
उस ने उन से कहा; तुम में ऐसा कौन है, जिस की एक ही भेड़ हो, और वह सब्त के दिन गड़हे में गिर जाए, तो वह उसे पकड़कर न निकाले?
Us ne un se kaha; tum mein aisa kaun hai, jis ki ek hi bhed ho, aur vah sabt ke din gadhe mein gir jaye, to vah use pakadkar na nikale?
भला, मनुष्य का मूल्य भेड़ से कितना बढ़ कर है; इसलिये सब्त के दिन भलाई करना उचित है: तब उस ने उस मनुष्य से कहा, अपना हाथ बढ़ा।
Bhala, manushya ka moolya bhed se kitna badh kar hai; isliye sabt ke din bhalai karna uchit hai: tab us ne us manushya se kaha, apna haath badha.
उस ने बढ़ाया, और वह फिर दूसरे हाथ की नाईं अच्छा हो गया।
Us ne badhaya, aur vah phir doosre haath ki nai achchha ho gaya.
तब फरीसियों ने बाहर जाकर उसके विरोध में सम्मति की, कि उसे किस प्रकार नाश करें?
Tab phareesiyon ne bahar jakar uske virodh mein sammati ki, ki use kis prakaar naash karein?
यह जानकर यीशु वहां से चला गया; और बहुत लोग उसके पीछे हो लिये; और उस ने सब को चंगा किया।
Yah jankar Yeshu vahan se chala gaya; aur bahut log uske peechhe ho liye; aur us ne sab ko changa kiya.
और उन्हें चिताया, कि मुझे प्रगट न करना।
Aur unhein chitaya, ki mujhe pragat na karna.
कि जो वचन यशायाह भविष्यद्वक्ता के द्वारा कहा गया था, वह पूरा हो।
Ki jo vachan yashayaah bhavishyadwakta ke dwara kaha gaya tha, vah poora ho.
कि देखो, यह मेरा सेवक है, जिसे मैं ने चुना है; मेरा प्रिय, जिस से मेरा मन प्रसन्न है: मैं अपना आत्मा उस पर डालूंगा; और वह अन्यजातियों को न्याय का समाचार देगा।
Ki dekho, yah mera sevak hai, jise main ne chuna hai; mera priya, jis se mera man prasann hai: main apna aatma us par daloonga; aur vah anyajatiyon ko nyaay ka samachaar dega.
वह न झगड़ा करेगा, और न धूम मचाएगा; और न बाजारों में कोई उसका शब्द सुनेगा।
Vah na jhagda karega, aur na dhoom machayega; aur na bajaron mein koi uska shabd sunega.
वह कुचले हुए सरकण्डे को न तोड़ेगा; और धूआं देती हुई बत्ती को न बुझाएगा, जब तक न्याय को प्रबल न कराए।
Vah kuchle hue sarkande ko na todega; aur dhooaan deti hui batti ko na bujhayega, jab tak nyaay ko prabal na karaye.
और अन्यजातियां उसके नाम पर आशा रखेंगी।
Aur anyajatiyan uske naam par aasha rakhengi.
तब लोग एक अन्धे-गूंगे को जिस में दुष्टात्मा थी, उसके पास लाए; और उस ने उसे अच्छा किया; और वह गूंगा बोलने और देखने लगा।
Tab log ek andhe-goonge ko jis mein dushtatma thi, uske paas laye; aur us ne use achchha kiya; aur vah goonga bolne aur dekhne laga.
इस पर सब लोग चकित होकर कहने लगे, यह क्या दाऊद की सन्तान का है?
Is par sab log chakit hokar kahne lage, yah kya Daud ki santaan ka hai?
परन्तु फरीसियों ने यह सुनकर कहा, यह तो दुष्टात्माओं के सरदार शैतान की सहायता के बिना दुष्टात्माओं को नहीं निकालता।
Parantu phareesiyon ne yah sunkar kaha, yah to dushtatmaon ke sardaar Shaitan ki sahayta ke bina dushtatmaon ko nahi nikalta.
उस ने उन के मन की बात जानकर उन से कहा; जिस किसी राज्य में फूट होती है, वह उजड़ जाता है, और कोई नगर या घराना जिस में फूट होती है, बना न रहेगा।
Us ne un ke man ki baat jankar un se kaha; jis kisi rajya mein phoot hoti hai, vah ujad jata hai, aur koi nagar ya gharana jis mein phoot hoti hai, bana na rahega.
और यदि शैतान ही शैतान को निकाले, तो वह अपना ही विरोधी हो गया है; फिर उसका राज्य क्योंकर बना रहेगा?
Aur yadi Shaitan hi Shaitan ko nikale, to vah apna hi virodhi ho gaya hai; phir uska rajya kyonkar bana rahega?
भला, यदि मैं शैतान की सहायता से दुष्टात्माओं को निकालता हूं, तो तुम्हारे वंश किस की सहायता से निकालते हैं? इसलिये वे ही तुम्हारा न्याय चुकाएंगे।
Bhala, yadi main Shaitan ki sahayta se dushtatmaon ko nikalta hoon, to tumhare vansh kis ki sahayta se nikalte hain? Isliye ve hi tumhara nyaay chukayenge.
पर यदि मैं परमेश्वर के आत्मा की सहायता से दुष्टात्माओं को निकालता हूं, तो परमेश्वर का राज्य तुम्हारे पास आ पहुंचा है।
Par yadi main Parmeshwar ke aatma ki sahayta se dushtatmaon ko nikalta hoon, to Parmeshwar ka rajya tumhare paas aa pahuncha hai.
या क्योंकर कोई मनुष्य किसी बलवन्त के घर में घुसकर उसका माल लूट सकता है जब तक कि पहिले उस बलवन्त को न बान्ध ले और तब वह उसका घर लूट लेगा।
Ya kyonkar koi manushya kisi balvant ke ghar mein ghuskar uska maal loot sakta hai jab tak ki pahile us balvant ko na baandh le aur tab vah uska ghar loot lega.
जो मेरे साथ नहीं, वह मेरे विरोध में है; और जो मेरे साथ नहीं बटोरता, वह बिथराता है।
Jo mere saath nahi, vah mere virodh mein hai; aur jo mere saath nahi batorta, vah bithrata hai.
इसलिये मैं तुम से कहता हूं, कि मनुष्य का सब प्रकार का पाप और निन्दा क्षमा की जाएगी, पर आत्मा की निन्दा क्षमा न की जाएगी।
Isliye main tum se kahta hoon, ki manushya ka sab prakaar ka paap aur ninda kshama ki jayegi, par aatma ki ninda kshama na ki jayegi.
जो कोई मनुष्य के पुत्र के विरोध में कोई बात कहेगा, उसका यह अपराध क्षमा किया जाएगा, परन्तु जो कोई पवित्र-आत्मा के विरोध में कुछ कहेगा, उसका अपराध न तो इस लोक में और न पर लोक में क्षमा किया जाएगा।
Jo koi manushya ke putra ke virodh mein koi baat kahega, uska yah apraadh kshama kiya jayega, parantu jo koi pavitra-aatma ke virodh mein kuchh kahega, uska apraadh na to is lok mein aur na par lok mein kshama kiya jayega.
यदि पेड़ को अच्छा कहो, तो उसके फल को भी अच्छा कहो; या पेड़ को निकम्मा कहो, तो उसके फल को भी निक्कमा कहो; क्योंकि पेड़ फल ही से पहचाना जाता है।
Yadi ped ko achchha kaho, to uske phal ko bhi achchha kaho; ya ped ko nikamma kaho, to uske phal ko bhi nikkama kaho; kyonki ped phal hi se pahchana jata hai.
हे सांप के बच्चों, तुम बुरे होकर क्योंकर अच्छी बातें कह सकते हो? क्योंकि जो मन में भरा है, वही मुंह पर आता है।
He saamp ke bachchon, tum bure hokar kyonkar achchhi batein kah sakte ho? Kyonki jo man mein bhara hai, vahi munh par aata hai.
भला, मनुष्य मन के भले भण्डार से भली बातें निकालता है; और बुरा मनुष्य बुरे भण्डार से बुरी बातें निकालता है।
Bhala, manushya man ke bhale bhandaar se bhali batein nikalta hai; aur bura manushya bure bhandaar se buri batein nikalta hai.
और मै तुम से कहता हूं, कि जो जो निकम्मी बातें मनुष्य कहेंगे, न्याय के दिन हर एक बात का लेखा देंगे।
Aur mai tum se kahta hoon, ki jo jo nikammi batein manushya kahenge, nyaay ke din har ek baat ka lekha denge.
क्योंकि तू अपनी बातों के कारण निर्दोष और अपनी बातों ही के कारण दोषी ठहराया जाएगा॥
Kyonki tu apni baton ke karan nirdosh aur apni baton hi ke karan doshi thahraya jayega.
इस पर कितने शास्त्रियों और फरीसियों ने उस से कहा, हे गुरू, हम तुझ से एक चिन्ह देखना चाहते हैं।
Is par kitne shastriyon aur phareesiyon ne us se kaha, he guru, ham tujh se ek chinh dekhna chahte hain.
उस ने उन्हें उत्तर दिया, कि इस युग के बुरे और व्यभिचारी लोग चिन्ह ढूंढ़ते हैं; परन्तु यूनुस भविष्यद्वक्ता के चिन्ह को छोड़ कोई और चिन्ह उन को न दिया जाएगा।
Us ne unhein uttar diya, ki is yug ke bure aur vyabhichari log chinh dhoondhte hain; parantu yoonus bhavishyadwakta ke chinh ko chhod koi aur chinh un ko na diya jayega.
यूनुस तीन रात दिन जल-जन्तु के पेट में रहा, वैसे ही मनुष्य का पुत्र तीन रात दिन पृथ्वी के भीतर रहेगा।
Yoonus teen raat din jal-jantu ke pet mein raha, vaise hi manushya ka putra teen raat din prithvi ke bheetar rahega.
नीनवे के लोग न्याय के दिन इस युग के लोगों के साथ उठकर उन्हें दोषी ठहराएंगे, क्योंकि उन्होंने यूनुस का प्रचार सुनकर, मन फिराया और देखो, यहां वह है जो यूनुस से भी बड़ा है।
Neenve ke log nyaay ke din is yug ke logon ke saath uthkar unhein doshi thahrayenge, kyonki unhonne yoonus ka prachaar sunkar, man phiraya aur dekho, yahan vah hai jo yoonus se bhi bada hai.
दक्खिन की रानी न्याय के दिन इस युग के लोगों के साथ उठकर उन्हें दोषी ठहराएगी, क्योंकि वह सुलैमान का ज्ञान सुनने के लिये पृथ्वी की छोर से आई, और देखो, यहां वह है जो सुलैमान से भी बड़ा है।
Dakkhin ki rani nyaay ke din is yug ke logon ke saath uthkar unhein doshi thahrayegi, kyonki vah sulaimaan ka gyaan sunne ke liye prithvi ki chhor se aai, aur dekho, yahan vah hai jo sulaimaan se bhi bada hai.
जब अशुद्ध आत्मा मनुष्य में से निकल जाती है, तो सूखी जगहों में विश्राम ढूंढ़ती फिरती है, और पाती नहीं।
Jab ashuddh aatma manushya mein se nikal jati hai, to sookhi jaghon mein vishraam dhoondhti phirti hai, aur pati nahi.
तब कहती है, कि मैं अपने उसी घर में जहां से निकली थी, लौट जाऊंगी, और आकर उसे सूना, झाड़ा-बुहारा और सजा सजाया पाती है।
Tab kahti hai, ki main apne usi ghar mein jahan se nikli thi, laut jaoongi, aur aakar use soona, jhada-buhara aur saja sajaya pati hai.
तब वह जाकर अपने से और बुरी सात आत्माओं को अपने साथ ले आती है, और वे उस में पैठकर वहां वास करती है, और उस मनुष्य की पिछली दशा पहिले से भी बुरी हो जाती है; इस युग के बुरे लोगों की दशा भी ऐसी ही होगी।
Tab vah jakar apne se aur buri saat aatmaon ko apne saath le aati hai, aur ve us mein paithkar vahan vaas karti hai, aur us manushya ki pichhli dasha pahile se bhi buri ho jati hai; is yug ke bure logon ki dasha bhi aisi hi hogi.
जब वह भीड़ से बातें कर ही रहा था, तो देखो, उस की माता और भाई बाहर खड़े थे, और उस से बातें करना चाहते थे।
Jab vah bheed se batein kar hi raha tha, to dekho, us ki mata aur bhai bahar khade the, aur us se batein karna chahte the.
किसी ने उस से कहा; देख तेरी माता और तेरे भाई बाहर खड़े हैं, और तुझ से बातें करना चाहते हैं।
Kisi ne us se kaha; dekh teri mata aur tere bhai bahar khade hain, aur tujh se batein karna chahte hain.
यह सुन उस ने कहने वाले को उत्तर दिया; कौन है मेरी माता?
Yah sun us ne kahne vale ko uttar diya; kaun hai meri mata?
और कौन है मेरे भाई? और अपने चेलों की ओर अपना हाथ बढ़ा कर कहा; देखो, मेरी माता और मेरे भाई ये हैं।
Aur kaun hai mere bhai? Aur apne chelon ki or apna haath badha kar kaha; dekho, meri mata aur mere bhai ye hain.
क्योंकि जो कोई मेरे स्वर्गीय पिता की इच्छा पर चले, वही मेरा भाई और बहिन और माता है॥
Kyonki jo koi mere swargeeya pita ki ichchha par chale, vahi mera bhai aur bahin aur mata hai.