जब यीशु अपने बारह चेलों को आज्ञा दे चुका, तो वह उन के नगरों में उपदेश और प्रचार करने को वहां से चला गया॥
Jab Yeshu apne barah chelon ko aagya de chuka, to vah un ke nagron mein updesh aur prachaar karne ko vahan se chala gaya.
Matthew 11 · 30 verses
जब यीशु अपने बारह चेलों को आज्ञा दे चुका, तो वह उन के नगरों में उपदेश और प्रचार करने को वहां से चला गया॥
Jab Yeshu apne barah chelon ko aagya de chuka, to vah un ke nagron mein updesh aur prachaar karne ko vahan se chala gaya.
यूहन्ना ने बन्दीगृह में मसीह के कामों का समाचार सुनकर अपने चेलों को उस से यह पूछने भेजा।
Yuhanna ne bandeegrih mein Masih ke kamon ka samachaar sunkar apne chelon ko us se yah poochhne bheja.
कि क्या आनेवाला तू ही है: या हम दूसरे की बाट जोहें?
Ki kya aanevala tu hi hai: ya ham doosre ki baat johein?
यीशु ने उत्तर दिया, कि जो कुछ तुम सुनते हो और देखते हो, वह सब जाकर यूहन्ना से कह दो।
Yeshu ne uttar diya, ki jo kuchh tum sunte ho aur dekhte ho, vah sab jakar Yuhanna se kah do.
कि अन्धे देखते हैं और लंगड़े चलते फिरते हैं; कोढ़ी शुद्ध किए जाते हैं और बहिरे सुनते हैं, मुर्दे जिलाए जाते हैं; और कंगालों को सुसमाचार सुनाया जाता है।
Ki andhe dekhte hain aur langde chalte phirte hain; kodhi shuddh kiye jate hain aur bahire sunte hain, murde jilaye jate hain; aur kangalon ko susmachaar sunaya jata hai.
और धन्य है वह, जो मेरे कारण ठोकर न खाए।
Aur dhanya hai vah, jo mere karan thokar na khaye.
जब वे वहां से चल दिए, तो यीशु यूहन्ना के विषय में लोगों से कहने लगा; तुम जंगल में क्या देखने गए थे? क्या हवा से हिलते हुए सरकण्डे को?
Jab ve vahan se chal diye, to Yeshu Yuhanna ke vishay mein logon se kahne laga; tum jangal mein kya dekhne gaye the? Kya hava se hilte hue sarkande ko?
फिर तुम क्या देखने गए थे? क्या कोमल वस्त्र पहिने हुए मनुष्य को? देखो, जो कोमल वस्त्र पहिनते हैं, वे राजभवनों में रहते हैं।
Phir tum kya dekhne gaye the? Kya komal vastra pahine hue manushya ko? Dekho, jo komal vastra pahinte hain, ve rajbhavnon mein rahte hain.
तो फिर क्यों गए थे? क्या किसी भविष्यद्वक्ता को देखने को? हां; मैं तुम से कहता हूं, वरन भविष्यद्वक्ता से भी बड़े को।
To phir kyon gaye the? Kya kisi bhavishyadwakta ko dekhne ko? Han; main tum se kahta hoon, varan bhavishyadwakta se bhi bade ko.
यह वही है, जिस के विषय में लिखा है, कि देख; मैं अपने दूत को तेरे आगे भेजता हूं, जो तेरे आगे तेरा मार्ग तैयार करेगा।
Yah vahi hai, jis ke vishay mein likha hai, ki dekh; main apne doot ko tere aage bhejta hoon, jo tere aage tera maarg taiyaar karega.
मैं तुम से सच कहता हूं, कि जो स्त्रियों से जन्मे हैं, उन में से यूहन्ना बपतिस्मा देने वाले से कोई बड़ा नहीं हुआ; पर जो स्वर्ग के राज्य में छोटे से छोटा है वह उस से बड़ा है।
Main tum se sach kahta hoon, ki jo striyon se janme hain, un mein se Yuhanna baptisma dene vale se koi bada nahi huaa; par jo swarg ke rajya mein chhote se chhota hai vah us se bada hai.
यूहन्ना बपतिस्मा देने वाले के दिनों से अब तक स्वर्ग के राज्य पर जोर होता रहा है, और बलवान उसे छीन लेते हैं।
Yuhanna baptisma dene vale ke dinon se ab tak swarg ke rajya par jor hota raha hai, aur balvaan use chheen lete hain.
यूहन्ना तक सारे भविष्यद्वक्ता और व्यवस्था भविष्यद्ववाणी करते रहे।
Yuhanna tak sare bhavishyadwakta aur vyavastha bhavishyadwavani karte rahe.
और चाहो तो मानो, एलिय्याह जो आनेवाला था, वह यही है।
Aur chaho to mano, eliyyaah jo aanevala tha, vah yahi hai.
जिस के सुनने के कान हों, वह सुन ले।
Jis ke sunne ke kaan hon, vah sun le.
मैं इस समय के लोगों की उपमा किस से दूं? वे उन बालकों के समान हैं, जो बाजारों में बैठे हुए एक दूसरे से पुकारकर कहते हैं।
Main is samay ke logon ki upma kis se dun? Ve un balkon ke samaan hain, jo bajaron mein baithe hue ek doosre se pukarkar kahte hain.
कि हम ने तुम्हारे लिये बांसली बजाई, और तुम न नाचे; हम ने विलाप किया, और तुम ने छाती नहीं पीटी।
Ki ham ne tumhare liye bansli bajai, aur tum na nache; ham ne vilaap kiya, aur tum ne chhati nahi peeti.
क्योंकि यूहन्ना न खाता आया और न पीता, और वे कहते हैं कि उस में दुष्टात्मा है।
Kyonki Yuhanna na khata aaya aur na peeta, aur ve kahte hain ki us mein dushtatma hai.
मनुष्य का पुत्र खाता-पीता आया, और वे कहते हैं कि देखो, पेटू और पियक्कड़ मनुष्य, महसूल लेने वालों और पापियों का मित्र; पर ज्ञान अपने कामों में सच्चा ठहराया गया है।
Manushya ka putra khata-peeta aaya, aur ve kahte hain ki dekho, petu aur piyakkad manushya, mahsool lene valon aur papiyon ka mitra; par gyaan apne kamon mein sachcha thahraya gaya hai.
तब वह उन नगरों को उलाहना देने लगा, जिन में उस ने बहुतेरे सामर्थ के काम किए थे; क्योंकि उन्होंने अपना मन नहीं फिराया था।
Tab vah un nagron ko ulahna dene laga, jin mein us ne bahutere samarth ke kaam kiye the; kyonki unhonne apna man nahi phiraya tha.
हाय, खुराजीन; हाय, बैतसैदा; जो सामर्थ के काम तुम में किए गए, यदि वे सूर और सैदा में किए जाते, तो टाट ओढ़कर, और राख में बैठकर, वे कब के मन फिरा लेते।
Haay, khurajeen; haay, baitsaida; jo samarth ke kaam tum mein kiye gaye, yadi ve soor aur saida mein kiye jate, to taat odhkar, aur raakh mein baithkar, ve kab ke man phira lete.
परन्तु मैं तुम से कहता हूं; कि न्याय के दिन तुम्हारी दशा से सूर और सैदा की दशा अधिक सहने योग्य होगी।
Parantu main tum se kahta hoon; ki nyaay ke din tumhari dasha se soor aur saida ki dasha adhik sahne yogya hogi.
और हे कफरनहूम, क्या तू स्वर्ग तक ऊंचा किया जाएगा? तू तो अधोलोक तक नीचे जाएगा; जो सामर्थ के काम तुझ में किए गए है, यदि सदोम में किए जाते, तो वह आज तक बना रहता।
Aur he kaphranhoom, kya tu swarg tak ooncha kiya jayega? Tu to adholok tak neeche jayega; jo samarth ke kaam tujh mein kiye gaye hai, yadi sadom mein kiye jate, to vah aaj tak bana rahta.
पर मैं तुम से कहता हूं, कि न्याय के दिन तेरी दशा से सदोम के देश की दशा अधिक सहने योग्य होगी।
Par main tum se kahta hoon, ki nyaay ke din teri dasha se sadom ke desh ki dasha adhik sahne yogya hogi.
उसी समय यीशु ने कहा, हे पिता, स्वर्ग और पृथ्वी के प्रभु; मैं तेरा धन्यवाद करता हूं, कि तू ने इन बातों को ज्ञानियों और समझदारों से छिपा रखा, और बालकों पर प्रगट किया है।
Usi samay Yeshu ne kaha, he pita, swarg aur prithvi ke Prabhu; main tera dhanyavaad karta hoon, ki tu ne in baton ko gyaniyon aur samajhdaron se chhipa rakha, aur balkon par pragat kiya hai.
हां, हे पिता, क्योंकि तुझे यही अच्छा लगा।
Han, he pita, kyonki tujhe yahi achchha laga.
मेरे पिता ने मुझे सब कुछ सौंपा है, और कोई पुत्र को नहीं जानता, केवल पिता; और कोई पिता को नहीं जानता, केवल पुत्र और वह जिस पर पुत्र उसे प्रगट करना चाहे।
Mere pita ne mujhe sab kuchh saumpa hai, aur koi putra ko nahi janta, keval pita; aur koi pita ko nahi janta, keval putra aur vah jis par putra use pragat karna chahe.
हे सब परिश्रम करने वालों और बोझ से दबे लोगों, मेरे पास आओ; मैं तुम्हें विश्राम दूंगा।
He sab parishram karne valon aur bojh se dabe logon, mere paas aao; main tumhein vishraam doonga.
मेरा जूआ अपने ऊपर उठा लो; और मुझ से सीखो; क्योंकि मैं नम्र और मन में दीन हूं: और तुम अपने मन में विश्राम पाओगे।
Mera jooaa apne oopar utha lo; aur mujh se seekho; kyonki main namra aur man mein deen hoon: aur tum apne man mein vishraam paoge.
क्योंकि मेरा जूआ सहज और मेरा बोझ हल्का है॥
Kyonki mera jooaa sahaj aur mera bojh halka hai.