Mark 9 · 50 verses

मरकुस 9 Mark 9 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Markus 9.

1

और उस ने उन से कहा; मैं तुम से सच कहता हूं, कि जो यहां खड़े हैं, उन में से कोई कोई ऐसे हैं, कि जब तक परमेश्वर के राज्य को सामर्थ सहित आता हुआ न देख लें, तब तक मृत्यु का स्वाद कदापि न चखेंगे॥

Aur us ne un se kaha; main tum se sach kahta hoon, ki jo yahan khade hain, un mein se koi koi aise hain, ki jab tak Parmeshwar ke rajya ko samarth sahit aata huaa na dekh lein, tab tak mrityu ka swaad kadapi na chakhenge.

2

छ: दिन के बाद यीशु ने पतरस और याकूब और यूहन्ना को साथ लिया, और एकान्त में किसी ऊंचे पहाड़ पर ले गया; और उन के साम्हने उसका रूप बदल गया।

Chha: din ke baad Yeshu ne Patras aur Yakub aur Yuhanna ko saath liya, aur ekaant mein kisi oonche pahaad par le gaya; aur un ke samhane uska roop badal gaya.

3

और उसका वस्त्र ऐसा चमकने लगा और यहां तक अति उज्ज़वल हुआ, कि पृथ्वी पर कोई धोबी भी वैसा उज्ज़वल नहीं कर सकता।

Aur uska vastra aisa chamakne laga aur yahan tak ati ujzaval huaa, ki prithvi par koi dhobi bhi vaisa ujzaval nahi kar sakta.

4

और उन्हें मूसा के साथ एलिय्याह दिखाई दिया; और वे यीशु के साथ बातें करते थे।

Aur unhein Musa ke saath eliyyaah dikhai diya; aur ve Yeshu ke saath batein karte the.

5

इस पर पतरस ने यीशु से कहा; हे रब्बी, हमारा यहां रहना अच्छा है: इसलिये हम तीन मण्डप बनाएं; एक तेरे लिये, एक मूसा के लिये, और एक एलिय्याह के लिये।

Is par Patras ne Yeshu se kaha; he rabbi, hamara yahan rahna achchha hai: isliye ham teen mandap banayen; ek tere liye, ek Musa ke liye, aur ek eliyyaah ke liye.

6

क्योंकि वह न जानता था, कि क्या उत्तर दे; इसलिये कि वे बहुत डर गए थे।

Kyonki vah na janta tha, ki kya uttar de; isliye ki ve bahut dar gaye the.

7

तब एक बादल ने उन्हें छा लिया, और उस बादल में से यह शब्द निकला, कि यह मेरा प्रिय पुत्र है; उस की सुनो।

Tab ek badal ne unhein chha liya, aur us badal mein se yah shabd nikla, ki yah mera priya putra hai; us ki suno.

8

तब उन्होंने एकाएक चारों ओर दृष्टि की, और यीशु को छोड़ अपने साथ और किसी को न देखा॥

Tab unhonne ekayek charon or drishti ki, aur Yeshu ko chhod apne saath aur kisi ko na dekha.

9

पहाड़ से उतरते हुए, उस ने उन्हें आज्ञा दी, कि जब तक मनुष्य का पुत्र मरे हुओं में से जी न उठे, तब तक जो कुछ तुम ने देखा है वह किसी से न कहना।

Pahaad se utarte hue, us ne unhein aagya di, ki jab tak manushya ka putra mare huon mein se ji na uthe, tab tak jo kuchh tum ne dekha hai vah kisi se na kahna.

10

उन्होंने इस बात को स्मरण रखा; और आपस में वाद-विवाद करने लगे, कि मरे हुओं में से जी उठने का क्या अर्थ है?

Unhonne is baat ko smaran rakha; aur aapas mein vaad-vivaad karne lage, ki mare huon mein se ji uthne ka kya arth hai?

11

और उन्होंने उस से पूछा, शास्त्री क्यों कहते हैं, कि एलिय्याह का पहिले आना अवश्य है?

Aur unhonne us se poochha, shastri kyon kahte hain, ki eliyyaah ka pahile aana avashya hai?

12

उस ने उन्हें उत्तर दिया कि एलिय्याह सचमुच पहिले आकर सब कुछ सुधारेगा, परन्तु मनुष्य के पुत्र के विषय में यह क्यों लिखा है, कि वह बहुत दुख उठाएगा, और तुच्छ गिना जाएगा?

Us ne unhein uttar diya ki eliyyaah sachmuch pahile aakar sab kuchh sudharega, parantu manushya ke putra ke vishay mein yah kyon likha hai, ki vah bahut dukh uthayega, aur tuchchh gina jayega?

13

परन्तु मैं तुम से कहता हूं, कि एलिय्याह तो आ चुका, और जैसा उसके विषय में लिखा है, उन्होंने जो कुछ चाहा उसके साथ किया॥

Parantu main tum se kahta hoon, ki eliyyaah to aa chuka, aur jaisa uske vishay mein likha hai, unhonne jo kuchh chaha uske saath kiya.

14

और जब वह चेलों के पास आया, तो देखा कि उन के चारों ओर बड़ी भीड़ लगी है और शास्त्री उन के साथ विवाद कर रहें हैं।

Aur jab vah chelon ke paas aaya, to dekha ki un ke charon or badi bheed lagi hai aur shastri un ke saath vivaad kar rahein hain.

15

और उसे देखते ही सब बहुत ही आश्चर्य करने लगे, और उस की ओर दौड़कर उसे नमस्कार किया।

Aur use dekhte hi sab bahut hi aashcharya karne lage, aur us ki or daudkar use namaskaar kiya.

16

उस ने उन से पूछा; तुम इन से क्या विवाद कर रहे हो?

Us ne un se poochha; tum in se kya vivaad kar rahe ho?

17

भीड़ में से एक ने उसे उत्तर दिया, कि हे गुरू, मैं अपने पुत्र को, जिस में गूंगी आत्मा समाई है, तेरे पास लाया था।

Bheed mein se ek ne use uttar diya, ki he guru, main apne putra ko, jis mein goongi aatma samai hai, tere paas laya tha.

18

जहां कहीं वह उसे पकड़ती है, वहीं पटक देती है: और वह मुंह में फेन भर लाता, और दांत पीसता, और सूखता जाता है: और मैं ने चेलों से कहा कि वे उसे निकाल दें परन्तु वह निकाल न सके।

Jahan kahi vah use pakadti hai, vahi patak deti hai: aur vah munh mein phen bhar lata, aur daant peesta, aur sookhta jata hai: aur main ne chelon se kaha ki ve use nikaal dein parantu vah nikaal na sake.

19

यह सुनकर उस ने उन से उत्तर देके कहा: कि हे अविश्वासी लोगों, मैं कब तक तुम्हारे साथ रहूंगा और कब तक तुम्हारी सहूंगा? उसे मेरे पास लाओ।

Yah sunkar us ne un se uttar deke kaha: ki he avishwasi logon, main kab tak tumhare saath rahoonga aur kab tak tumhari sahoonga? Use mere paas lao.

20

तब वे उसे उसके पास ले आए: और जब उस ने उसे देखा, तो उस आत्मा ने तुरन्त उसे मरोड़ा; और वह भूमि पर गिरा, और मुंह से फेन बहाते हुए लोटने लगा।

Tab ve use uske paas le aaye: aur jab us ne use dekha, to us aatma ne turant use maroda; aur vah bhoomi par gira, aur munh se phen bahate hue lotne laga.

21

उस ने उसके पिता से पूछा; इस की यह दशा कब से है?

Us ne uske pita se poochha; is ki yah dasha kab se hai?

22

उस ने कहा, बचपन से: उस ने इसे नाश करने के लिये कभी आग और कभी पानी में गिराया; परन्तु यदि तू कुछ कर सके, तो हम पर तरस खाकर हमारा उपकार कर।

Us ne kaha, bachpan se: us ne ise naash karne ke liye kabhi aag aur kabhi pani mein giraya; parantu yadi tu kuchh kar sake, to ham par taras khakar hamara upkaar kar.

23

यीशु ने उस से कहा; यदि तू कर सकता है; यह क्या बता है विश्वास करने वाले के लिये सब कुछ हो सकता है।

Yeshu ne us se kaha; yadi tu kar sakta hai; yah kya bata hai vishwaas karne vale ke liye sab kuchh ho sakta hai.

24

बालक के पिता ने तुरन्त गिड़िगड़ाकर कहा; हे प्रभु, मैं विश्वास करता हूं, मेरे अविश्वास का उपाय कर।

Balak ke pita ne turant gidigdakar kaha; he Prabhu, main vishwaas karta hoon, mere avishwaas ka upaay kar.

25

जब यीशु ने देखा, कि लोग दौड़कर भीड़ लगा रहे हैं, तो उस ने अशुद्ध आत्मा को यह कहकर डांटा, कि हे गूंगी और बहिरी आत्मा, मैं तुझे आज्ञा देता हूं, उस में से निकल आ, और उस में फिर कभी प्रवेश न कर।

Jab Yeshu ne dekha, ki log daudkar bheed laga rahe hain, to us ne ashuddh aatma ko yah kahkar danta, ki he goongi aur bahiri aatma, main tujhe aagya deta hoon, us mein se nikal aa, aur us mein phir kabhi pravesh na kar.

26

तब वह चिल्लाकर, और उसे बहुत मरोड़ कर, निकल आई; और बालक मरा हुआ सा हो गया, यहां तक कि बहुत लोग कहने लगे, कि वह मर गया।

Tab vah chillakar, aur use bahut marod kar, nikal aai; aur balak mara huaa sa ho gaya, yahan tak ki bahut log kahne lage, ki vah mar gaya.

27

परन्तु यीशु ने उसका हाथ पकड़ के उसे उठाया, और वह खड़ा हो गया।

Parantu Yeshu ne uska haath pakad ke use uthaya, aur vah khada ho gaya.

28

जब वह घर में आया, तो उसके चेलों ने एकान्त में उस से पूछा, हम उसे क्यों न निकाल सके?

Jab vah ghar mein aaya, to uske chelon ne ekaant mein us se poochha, ham use kyon na nikaal sake?

29

उस ने उन से कहा, कि यह जाति बिना प्रार्थना किसी और उपाय से निकल नहीं सकती॥

Us ne un se kaha, ki yah jati bina prarthana kisi aur upaay se nikal nahi sakti.

30

फिर वे वहां से चले, और गलील में होकर जा रहे थे, और वह नहीं चाहता था कि कोई जाने॥

Phir ve vahan se chale, aur galeel mein hokar ja rahe the, aur vah nahi chahta tha ki koi jane.

31

क्योंकि वह अपने चेलों को उपदेश देता और उन से कहता था, कि मनुष्य का पुत्र मनुष्यों के हाथ में पकड़वाया जाएगा, और वे उसे मार डालेंगे, और वह मरने के तीन दिन बाद जी उठेगा।

Kyonki vah apne chelon ko updesh deta aur un se kahta tha, ki manushya ka putra manushyon ke haath mein pakadvaya jayega, aur ve use maar dalenge, aur vah marne ke teen din baad ji uthega.

32

पर यह बात उन की समझ में नहीं आई, और वे उस से पूछने से डरते थे॥

Par yah baat un ki samajh mein nahi aai, aur ve us se poochhne se darte the.

33

फिर वे कफरनहूम में आए; और घर में आकर उस ने उन से पूछा कि रास्ते में तुम किस बात पर विवाद करते थे?

Phir ve kaphranhoom mein aaye; aur ghar mein aakar us ne un se poochha ki raste mein tum kis baat par vivaad karte the?

34

वे चुप रहे, क्योंकि मार्ग में उन्होंने आपस में यह वाद-विवाद किया था, कि हम में से बड़ा कौन है?

Ve chup rahe, kyonki maarg mein unhonne aapas mein yah vaad-vivaad kiya tha, ki ham mein se bada kaun hai?

35

तब उस ने बैठकर बारहों को बुलाया, और उन से कहा, यदि कोई बड़ा होना चाहे, तो सब से छोटा और सब का सेवक बने।

Tab us ne baithkar barhon ko bulaya, aur un se kaha, yadi koi bada hona chahe, to sab se chhota aur sab ka sevak bane.

36

और उस ने एक बालक को लेकर उन के बीच में खड़ा किया, और उसे गोद में लेकर उन से कहा।

Aur us ne ek balak ko lekar un ke beech mein khada kiya, aur use god mein lekar un se kaha.

37

जो कोई मेरे नाम से ऐसे बालकों में से किसी एक को भी ग्रहण करता है, वह मुझे ग्रहण करता है; और जो कोई मुझे ग्रहण करता, वह मुझे नहीं, वरन मेरे भेजने वाले को ग्रहण करता है॥

Jo koi mere naam se aise balkon mein se kisi ek ko bhi grahan karta hai, vah mujhe grahan karta hai; aur jo koi mujhe grahan karta, vah mujhe nahi, varan mere bhejne vale ko grahan karta hai.

38

तब यूहन्ना ने उस से कहा, हे गुरू हम ने एक मनुष्य को तेरे नाम से दुष्टात्माओं को निकालते देखा और हम उसे मना करने लगे, क्योंकि वह हमारे पीछे नहीं हो लेता था।

Tab Yuhanna ne us se kaha, he guru ham ne ek manushya ko tere naam se dushtatmaon ko nikalte dekha aur ham use mana karne lage, kyonki vah hamare peechhe nahi ho leta tha.

39

यीशु ने कहा, उस को मत मना करो; क्योंकि ऐसा कोई नहीं जो मेरे नाम से सामर्थ का काम करे, और जल्दी से मुझे बुरा कह सके।

Yeshu ne kaha, us ko mat mana karo; kyonki aisa koi nahi jo mere naam se samarth ka kaam kare, aur jaldi se mujhe bura kah sake.

40

क्योंकि जो हमारे विरोध में नहीं, वह हमारी ओर है।

Kyonki jo hamare virodh mein nahi, vah hamari or hai.

41

जो कोई एक कटोरा पानी तुम्हें इसलिये पिलाए कि तुम मसीह के हो तो मैं तुम से सच कहता हूं कि वह अपना प्रतिफल किसी रीति से न खोएगा।

Jo koi ek katora pani tumhein isliye pilaye ki tum Masih ke ho to main tum se sach kahta hoon ki vah apna pratiphal kisi reeti se na khoyega.

42

पर जो कोई इन छोटों में से जो मुझ पर विश्वास करते हैं, किसी को ठोकर खिलाए तो उसके लिये भला यह है कि एक बड़ी चक्की का पाट उसके गले में लटकाया जाए और वह समुद्र में डाल दिया जाए।

Par jo koi in chhoton mein se jo mujh par vishwaas karte hain, kisi ko thokar khilaye to uske liye bhala yah hai ki ek badi chakki ka paat uske gale mein latkaya jaye aur vah samudra mein daal diya jaye.

43

यदि तेरा हाथ तुझे ठोकर खिलाए तो उसे काट डाल टुण्डा होकर जीवन में प्रवेश करना, तेरे लिये इस से भला है कि दो हाथ रहते हुए नरक के बीच उस आग में डाला जाए जो कभी बुझने की नहीं।

Yadi tera haath tujhe thokar khilaye to use kaat daal tunda hokar jeevan mein pravesh karna, tere liye is se bhala hai ki do haath rahte hue narak ke beech us aag mein dala jaye jo kabhi bujhne ki nahi.

44

जहां उन का कीड़ा नहीं मरता और आग नहीं बुझती।

Jahan un ka keeda nahi marta aur aag nahi bujhti.

45

और यदि तेरा पांव तुझे ठोकर खिलाए तो उसे काट डाल।

Aur yadi tera paanv tujhe thokar khilaye to use kaat daal.

46

लंगड़ा होकर जीवन में प्रवेश करना तेरे लिये इस से भला है, कि दो पांव रहते हुए नरक में डाला जाए।

Langda hokar jeevan mein pravesh karna tere liye is se bhala hai, ki do paanv rahte hue narak mein dala jaye.

47

और यदि तेरी आंख तुझे ठोकर खिलाए तो उसे निकाल डाल, काना होकर परमेश्वर के राज्य में प्रवेश करना तेरे लिये इस से भला है, कि दो आंख रहते हुए तू नरक में डाला जाए।

Aur yadi teri aankh tujhe thokar khilaye to use nikaal daal, kana hokar Parmeshwar ke rajya mein pravesh karna tere liye is se bhala hai, ki do aankh rahte hue tu narak mein dala jaye.

48

जहां उन का कीड़ा नहीं मरता और आग नहीं बुझती।

Jahan un ka keeda nahi marta aur aag nahi bujhti.

49

क्योंकि हर एक जन आग से नमकीन किया जाएगा।

Kyonki har ek jan aag se namkeen kiya jayega.

50

नमक अच्छा है,पर यदि नमक की नमकीनी जाती रहे, तो उसे किस से स्वादित करोगे? अपने में नमक रखो, और आपस में मेल मिलाप से रहो॥

Namak achchha hai,par yadi namak ki namkeeni jati rahe, to use kis se swadit karoge? Apne mein namak rakho, aur aapas mein mel milaap se raho.