Mark 8 · 38 verses

मरकुस 8 Mark 8 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Markus 8.

1

उन दिनों में, जब फिर बड़ी भीड़ इकट्ठी हुई, और उन के पास कुछ खाने को न था, तो उस ने अपने चेलों को पास बुलाकर उन से कहा।

Un dinon mein, jab phir badi bheed ikatthi hui, aur un ke paas kuchh khane ko na tha, to us ne apne chelon ko paas bulakar un se kaha.

2

मुझे इस भीड़ पर तरस आता है, क्योंकि यह तीन दिन से बराबर मेरे साथ हैं, और उन के पास कुछ भी खाने को नहीं।

Mujhe is bheed par taras aata hai, kyonki yah teen din se barabar mere saath hain, aur un ke paas kuchh bhi khane ko nahi.

3

यदि मैं उन्हें भूखा घर भेज दूं, तो मार्ग में थक कर रह जाएंगे; क्योंकि इन में से कोई कोई दूर से आए हैं।

Yadi main unhein bhookha ghar bhej dun, to maarg mein thak kar rah jayenge; kyonki in mein se koi koi door se aaye hain.

4

उसके चेलों ने उस को उत्तर दिया, कि यहां जंगल में इतनी रोटी कोई कहां से लाए कि ये तृप्त हों?

Uske chelon ne us ko uttar diya, ki yahan jangal mein itni roti koi kahan se laye ki ye tript hon?

5

उस ने उन से पूछा; तुम्हारे पास कितनी रोटियां हैं? उन्होंने कहा, सात।

Us ne un se poochha; tumhare paas kitni rotiyan hain? Unhonne kaha, saat.

6

तब उस ने लोगों को भूमि पर बैठने की आज्ञा दी, और वे सात रोटियां लीं, और धन्यवाद करके तोड़ीं, और अपने चेलों को देता गया कि उन के आगे रखें, और उन्होंने लोगों के आगे परोस दिया

Tab us ne logon ko bhoomi par baithne ki aagya di, aur ve saat rotiyan li, aur dhanyavaad karke todi, aur apne chelon ko deta gaya ki un ke aage rakhein, aur unhonne logon ke aage paros diya

7

उन के पास थोड़ी सी छोटी मछिलयां भी थीं; और उसने धन्यवाद करके उन्हें भी लोगों के आगे रखने की आज्ञा दी।

Un ke paas thodi si chhoti machhilyan bhi thi; aur usne dhanyavaad karke unhein bhi logon ke aage rakhne ki aagya di.

8

सो वे खाकर तृप्त हो गए और शेष टुकड़ों के सात टोकरे भरकर उठाए।

So ve khakar tript ho gaye aur shesh tukdon ke saat tokre bharkar uthaye.

9

और लोग चार हजार के लगभग थे; और उस ने उन को विदा किया।

Aur log chaar hajaar ke lagbhag the; aur us ne un ko vida kiya.

10

और वह तुरन्त अपने चेलों के साथ नाव पर चढ़कर दलमनूता देश को चला गया॥

Aur vah turant apne chelon ke saath naav par chadhkar dalamnoota desh ko chala gaya.

11

फिर फरीसी निकलकर उस से वाद-विवाद करने लगे, और उसे जांचने के लिये उस से कोई स्वर्गीय चिन्ह मांगा।

Phir phareesi nikalkar us se vaad-vivaad karne lage, aur use janchne ke liye us se koi swargeeya chinh manga.

12

उस ने अपनी आत्मा में आह मार कर कहा, इस समय के लोग क्यों चिन्ह ढूंढ़ते हैं? मैं तुम से सच कहता हूं, कि इस समय के लोगों को कोई चिन्ह नहीं दिया जाएगा।

Us ne apni aatma mein aah maar kar kaha, is samay ke log kyon chinh dhoondhte hain? Main tum se sach kahta hoon, ki is samay ke logon ko koi chinh nahi diya jayega.

13

और वह उन्हें छोड़कर फिर नाव पर चढ़ गया और पार चला गया॥

Aur vah unhein chhodkar phir naav par chadh gaya aur paar chala gaya.

14

और वे रोटी लेना भूल गए थे, और नाव में उन के पास एक ही रोटी थी।

Aur ve roti lena bhool gaye the, aur naav mein un ke paas ek hi roti thi.

15

और उस ने उन्हें चिताया, कि देखो, फरीसियों के खमीर और हेरोदेस के खमीर से चौकस रहो।

Aur us ne unhein chitaya, ki dekho, phareesiyon ke khameer aur herodes ke khameer se chaukas raho.

16

वे आपस में विचार करके कहने लगे, कि हमारे पास तो रोटी नहीं है।

Ve aapas mein vichaar karke kahne lage, ki hamare paas to roti nahi hai.

17

यह जानकर यीशु ने उन से कहा; तुम क्यों आपस में यह विचार कर रहे हो कि हमारे पास रोटी नहीं? क्या अब तक नहीं जानते और नहीं समझते?

Yah jankar Yeshu ne un se kaha; tum kyon aapas mein yah vichaar kar rahe ho ki hamare paas roti nahi? Kya ab tak nahi jante aur nahi samajhte?

18

क्या तुम्हारा मन कठोर हो गया है? क्या आंखे रखते हुए भी नहीं देखते, और कान रखते हुए भी नहीं सुनते? और तुम्हें स्मरण नहीं।

Kya tumhara man kathor ho gaya hai? Kya aankhe rakhte hue bhi nahi dekhte, aur kaan rakhte hue bhi nahi sunte? Aur tumhein smaran nahi.

19

कि जब मैं ने पांच हजार के लिये पांच रोटी तोड़ी थीं तो तुम ने टुकड़ों की कितनी टोकरियां भरकर उठाईं? उन्होंने उस से कहा, बारह टोकरियां।

Ki jab main ne paanch hajaar ke liye paanch roti todi thi to tum ne tukdon ki kitni tokriyan bharkar uthai? Unhonne us se kaha, barah tokriyan.

20

और जब चार हज़ार के लिये सात रोटी थीं तो तुमने टुकड़ों के कितने टोकरे भरकर उठाए थे? उन्होंने उससे कहा, सात टोकरे।

Aur jab chaar hazaar ke liye saat roti thi to tumne tukdon ke kitne tokre bharkar uthaye the? Unhonne usse kaha, saat tokre.

21

उस ने उन से कहा, क्या तुम अब तक नहीं समझते?

Us ne un se kaha, kya tum ab tak nahi samajhte?

22

और वे बैतसैदा में आए; और लोग एक अन्धे को उसके पास ले आए और उस से बिनती की, कि उस को छूए।

Aur ve baitsaida mein aaye; aur log ek andhe ko uske paas le aaye aur us se binti ki, ki us ko chhooye.

23

वह उस अन्धे का हाथ पकड़कर उसे गांव के बाहर ले गया, और उस की आंखों में थूककर उस पर हाथ रखे, और उस से पूछा; क्या तू कुछ देखता है?

Vah us andhe ka haath pakadkar use gaanv ke bahar le gaya, aur us ki aankhon mein thookkar us par haath rakhe, aur us se poochha; kya tu kuchh dekhta hai?

24

उस ने आंख उठा कर कहा; मैं मनुष्यों को देखता हूं; क्योंकि वे मुझे चलते हुए दिखाई देते हैं, जैसे पेड़।

Us ne aankh utha kar kaha; main manushyon ko dekhta hoon; kyonki ve mujhe chalte hue dikhai dete hain, jaise ped.

25

तब उस ने फिर दोबारा उस की आंखों पर हाथ रखे, और उस ने ध्यान से देखा, और चंगा हो गया, और सब कुछ साफ साफ देखने लगा।

Tab us ne phir dobara us ki aankhon par haath rakhe, aur us ne dhyaan se dekha, aur changa ho gaya, aur sab kuchh saaph saaph dekhne laga.

26

और उस ने उस से यह कहकर घर भेजा, कि इस गांव के भीतर पांव भी न रखना॥

Aur us ne us se yah kahkar ghar bheja, ki is gaanv ke bheetar paanv bhi na rakhna.

27

यीशु और उसके चेले कैसरिया फिलिप्पी के गावों में चले गए: और मार्ग में उस ने अपने चेलों से पूछा कि लोग मुझे क्या कहते हैं?

Yeshu aur uske chele kaisriya philippi ke gavon mein chale gaye: aur maarg mein us ne apne chelon se poochha ki log mujhe kya kahte hain?

28

उन्होंने उत्तर दिया, कि यूहन्ना बपतिस्मा देनेवाला; पर कोई कोई एलिय्याह; और कोई कोई भविष्यद्वक्ताओं में से एक भी कहते हैं।

Unhonne uttar diya, ki Yuhanna baptisma denevala; par koi koi eliyyaah; aur koi koi bhavishyadwaktaon mein se ek bhi kahte hain.

29

उस ने उन से पूछा; परन्तु तुम मुझे क्या कहते हो पतरस ने उस को उत्तर दिया; तू मसीह है।

Us ne un se poochha; parantu tum mujhe kya kahte ho Patras ne us ko uttar diya; tu Masih hai.

30

तब उस ने उन्हें चिताकर कहा, कि मेरे विषय में यह किसी से न कहना।

Tab us ne unhein chitakar kaha, ki mere vishay mein yah kisi se na kahna.

31

और वह उन्हें सिखाने लगा, कि मनुष्य के पुत्र के लिये अवश्य है, कि वह बहुत दुख उठाए, और पुरिनए और महायाजक और शास्त्री उसे तुच्छ समझकर मार डालें और वह तीन दिन के बाद जी उठे।

Aur vah unhein sikhane laga, ki manushya ke putra ke liye avashya hai, ki vah bahut dukh uthaye, aur purinaye aur mahayajak aur shastri use tuchchh samajhkar maar dalein aur vah teen din ke baad ji uthe.

32

उस ने यह बात उन से साफ साफ कह दी: इस पर पतरस उसे अलग ले जाकर झिड़कने लगा।

Us ne yah baat un se saaph saaph kah di: is par Patras use alag le jakar jhidakne laga.

33

परन्तु उस ने फिरकर, और अपने चेलों की ओर देखकर पतरस को झिड़क कर कहा; कि हे शैतान, मेरे साम्हने से दूर हो; क्योंकि तू परमेश्वर की बातों पर नहीं, परन्तु मनुष्य की बातों पर मन लगाता है।

Parantu us ne phirkar, aur apne chelon ki or dekhkar Patras ko jhidak kar kaha; ki he Shaitan, mere samhane se door ho; kyonki tu Parmeshwar ki baton par nahi, parantu manushya ki baton par man lagata hai.

34

उस ने भीड़ को अपने चेलों समेत पास बुलाकर उन से कहा, जो कोई मेरे पीछे आना चाहे, वह अपने आपे से इन्कार करे और अपना क्रूस उठाकर, मेरे पीछे हो ले।

Us ne bheed ko apne chelon samet paas bulakar un se kaha, jo koi mere peechhe aana chahe, vah apne aape se inkaar kare aur apna kroos uthakar, mere peechhe ho le.

35

क्योंकि जो कोई अपना प्राण बचाना चाहे वह उसे खोएगा, पर जो कोई मेरे और सुसमाचार के लिये अपना प्राण खोएगा, वह उसे बचाएगा।

Kyonki jo koi apna praan bachana chahe vah use khoyega, par jo koi mere aur susmachaar ke liye apna praan khoyega, vah use bachayega.

36

यदि मनुष्य सारे जगत को प्राप्त करे और अपने प्राण की हानि उठाए, तो उसे क्या लाभ होगा?

Yadi manushya sare jagat ko praapt kare aur apne praan ki hani uthaye, to use kya laabh hoga?

37

और मनुष्य अपने प्राण के बदले क्या देगा?

Aur manushya apne praan ke badle kya dega?

38

जो कोई इस व्यभिचारी और पापी जाति के बीच मुझ से और मेरी बातों से लजाएगा, मनुष्य का पुत्र भी जब वह पवित्र दूतों के साथ अपने पिता की महिमा सहित आएगा, तब उस से भी लजाएगा।

Jo koi is vyabhichari aur papi jati ke beech mujh se aur meri baton se lajayega, manushya ka putra bhi jab vah pavitra dooton ke saath apne pita ki mahima sahit aayega, tab us se bhi lajayega.