Mark 10 · 52 verses

मरकुस 10 Mark 10 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Markus 10.

1

फिर वह वहां से उठकर यहूदिया के सिवानों में और यरदन के पार आया, और भीड़ उसके पास फिर इकट्ठी हो गई, और वह अपनी रीति के अनुसार उन्हें फिर उपदेश देने लगा।

Phir vah vahan se uthkar yahoodiya ke sivanon mein aur yardan ke paar aaya, aur bheed uske paas phir ikatthi ho gai, aur vah apni reeti ke anusaar unhein phir updesh dene laga.

2

तब फरीसियों ने उसके पास आकर उस की परीक्षा करने को उस से पूछा, क्या यह उचित है, कि पुरूष अपनी पत्नी को त्यागे?

Tab phareesiyon ne uske paas aakar us ki pareeksha karne ko us se poochha, kya yah uchit hai, ki puroosh apni patni ko tyage?

3

उस ने उन को उत्तर दिया, कि मूसा ने तुम्हें क्या आज्ञा दी है?

Us ne un ko uttar diya, ki Musa ne tumhein kya aagya di hai?

4

उन्होंने कहा, मूसा ने त्याग पत्र लिखने और त्यागने की आज्ञा दी है।

Unhonne kaha, Musa ne tyaag patra likhne aur tyagne ki aagya di hai.

5

यीशु ने उन से कहा, कि तुम्हारे मन की कठोरता के कारण उस ने तुम्हारे लिये यह आज्ञा लिखी।

Yeshu ne un se kaha, ki tumhare man ki kathorta ke karan us ne tumhare liye yah aagya likhi.

6

पर सृष्टि के आरम्भ से परमेश्वर ने नर और नारी करके उन को बनाया है।

Par srishti ke aarambh se Parmeshwar ne nar aur nari karke un ko banaya hai.

7

इस कारण मनुष्य अपने माता-पिता से अलग होकर अपनी पत्नी के साथ रहेगा, और वे दोनों एक तन होंगे।

Is karan manushya apne mata-pita se alag hokar apni patni ke saath rahega, aur ve donon ek tan honge.

8

इसलिये वे अब दो नहीं पर एक तन हैं।

Isliye ve ab do nahi par ek tan hain.

9

इसलिये जिसे परमेश्वर ने जोड़ा है उसे मनुष्य अलग न करे।

Isliye jise Parmeshwar ne joda hai use manushya alag na kare.

10

और घर में चेलों ने इस के विषय में उस से फिर पूछा।

Aur ghar mein chelon ne is ke vishay mein us se phir poochha.

11

उस ने उन से कहा, जो कोई अपनी पत्नी को त्यागकर दूसरी से ब्याह करे तो वह उस पहिली के विरोध में व्यभिचार करता है।

Us ne un se kaha, jo koi apni patni ko tyagkar doosri se byaah kare to vah us pahili ke virodh mein vyabhichaar karta hai.

12

और यदि पत्नी अपने पति को छोड़कर दूसरे से ब्याह करे, तो वह व्यभिचार करती है।

Aur yadi patni apne pati ko chhodkar doosre se byaah kare, to vah vyabhichaar karti hai.

13

फिर लोग बालकों को उसके पास लाने लगे, कि वह उन पर हाथ रखे, पर चेलों ने उन को डांटा।

Phir log balkon ko uske paas lane lage, ki vah un par haath rakhe, par chelon ne un ko danta.

14

यीशु ने यह देख क्रुद्ध होकर उन से कहा, बालकों को मेरे पास आने दो और उन्हें मना न करो, क्योंकि परमेश्वर का राज्य ऐसों ही का है।

Yeshu ne yah dekh kruddh hokar un se kaha, balkon ko mere paas aane do aur unhein mana na karo, kyonki Parmeshwar ka rajya aison hi ka hai.

15

मैं तुम से सच कहता हूं, कि जो कोई परमेश्वर के राज्य को बालक की नाईं ग्रहण न करे, वह उस में कभी प्रवेश करने न पाएगा।

Main tum se sach kahta hoon, ki jo koi Parmeshwar ke rajya ko balak ki nai grahan na kare, vah us mein kabhi pravesh karne na payega.

16

और उस ने उन्हें गोद में लिया, और उन पर हाथ रखकर उन्हें आशीष दी॥

Aur us ne unhein god mein liya, aur un par haath rakhkar unhein aasheesh di.

17

और जब वह निकलकर मार्ग में जाता था, तो एक मनुष्य उसके पास दौड़ता हुआ आया, और उसके आगे घुटने टेककर उस से पूछा हे उत्तम गुरू, अनन्त जीवन का अधिकारी होने के लिये मैं क्या करूं?

Aur jab vah nikalkar maarg mein jata tha, to ek manushya uske paas daudta huaa aaya, aur uske aage ghutne tekkar us se poochha he uttam guru, anant jeevan ka adhikari hone ke liye main kya karun?

18

यीशु ने उस से कहा, तू मुझे उत्तम क्यों कहता है? कोई उत्तम नहीं, केवल एक अर्थात परमेश्वर।

Yeshu ne us se kaha, tu mujhe uttam kyon kahta hai? Koi uttam nahi, keval ek arthaat Parmeshwar.

19

तू आज्ञाओं को तो जानता है; हत्या न करना, व्यभिचार न करना, चोरी न करना, झूठी गवाही न देना, छल न करना, अपने पिता और अपनी माता का आदर करना।

Tu aagyaon ko to janta hai; hatya na karna, vyabhichaar na karna, chori na karna, jhoothi gavahi na dena, chhal na karna, apne pita aur apni mata ka aadar karna.

20

उस ने उस से कहा, हे गुरू, इन सब को मैं लड़कपन से मानता आया हूं।

Us ne us se kaha, he guru, in sab ko main ladakpan se manta aaya hoon.

21

यीशु ने उस पर दृष्टि करके उस से प्रेम किया, और उस से कहा, तुझ में एक बात की घटी है; जा, जो कुछ तेरा है, उसे बेच कर कंगालों को दे, और तुझे स्वर्ग में धन मिलेगा, और आकर मेरे पीछे हो ले।

Yeshu ne us par drishti karke us se prem kiya, aur us se kaha, tujh mein ek baat ki ghati hai; ja, jo kuchh tera hai, use bech kar kangalon ko de, aur tujhe swarg mein dhan milega, aur aakar mere peechhe ho le.

22

इस बात से उसके चेहरे पर उदासी छा गई, और वह शोक करता हुआ चला गया, क्योंकि वह बहुत धनी था।

Is baat se uske chehre par udasi chha gai, aur vah shok karta huaa chala gaya, kyonki vah bahut dhani tha.

23

यीशु ने चारों ओर देखकर अपने चेलों से कहा, धनवानों को परमेश्वर के राज्य में प्रवेश करना कैसा कठिन है!

Yeshu ne charon or dekhkar apne chelon se kaha, dhanvanon ko Parmeshwar ke rajya mein pravesh karna kaisa kathin hai!

24

चेले उस की बातों से अचम्भित हुए, इस पर यीशु ने फिर उन को उत्तर दिया, हे बाल को, जो धन पर भरोसा रखते हैं, उन के लिये परमेश्वर के राज्य में प्रवेश करना कैसा कठिन है!

Chele us ki baton se achambhit hue, is par Yeshu ne phir un ko uttar diya, he baal ko, jo dhan par bharosa rakhte hain, un ke liye Parmeshwar ke rajya mein pravesh karna kaisa kathin hai!

25

परमेश्वर के राज्य में धनवान के प्रवेश करने से ऊंट का सूई के नाके में से निकल जाना सहज है!

Parmeshwar ke rajya mein dhanvaan ke pravesh karne se oont ka sooi ke nake mein se nikal jana sahaj hai!

26

वे बहुत ही चकित होकर आपस में कहने लगे तो फिर किस का उद्धार हो सकता है?

Ve bahut hi chakit hokar aapas mein kahne lage to phir kis ka uddhaar ho sakta hai?

27

यीशु ने उन की ओर देखकर कहा, मनुष्यों से तो यह नहीं हो सकता, परन्तु परमेश्वर से हो सकता है; क्योंकि परमेश्वर से सब कुछ हो सकता है।

Yeshu ne un ki or dekhkar kaha, manushyon se to yah nahi ho sakta, parantu Parmeshwar se ho sakta hai; kyonki Parmeshwar se sab kuchh ho sakta hai.

28

पतरस उस से कहने लगा, कि देख, हम तो सब कुछ छोड़कर तेरे पीछे हो लिये हैं।

Patras us se kahne laga, ki dekh, ham to sab kuchh chhodkar tere peechhe ho liye hain.

29

यीशु ने कहा, मैं तुम से सच कहता हूं, कि ऐसा कोई नहीं, जिस ने मेरे और सुसमाचार के लिये घर या भाइयों या बहिनों या माता या पिता या लड़के-बालों या खेतों को छोड़ दिया हो।

Yeshu ne kaha, main tum se sach kahta hoon, ki aisa koi nahi, jis ne mere aur susmachaar ke liye ghar ya bhaiyon ya bahinon ya mata ya pita ya ladke-balon ya kheton ko chhod diya ho.

30

और अब इस समय सौ गुणा न पाए, घरों और भाइयों और बहिनों और माताओं और लड़के-बालों और खेतों को पर उपद्रव के साथ और परलोक में अनन्त जीवन।

Aur ab is samay sau guna na paye, gharon aur bhaiyon aur bahinon aur mataon aur ladke-balon aur kheton ko par upadrav ke saath aur parlok mein anant jeevan.

31

पर बहुतेरे जो पहिले हैं, पिछले होंगे; और जो पिछले हैं, वे पहिले होंगे।

Par bahutere jo pahile hain, pichhle honge; aur jo pichhle hain, ve pahile honge.

32

और वे यरूशलेम को जाते हुए मार्ग में थे, और यीशु उन के आगे आगे जा रहा था: और वे अचम्भा करने लगे और जो उसके पीछे पीछे चलते थे डरने लगे, तब वह फिर उन बारहों को लेकर उन से वे बातें कहने लगा, जो उस पर आने वाली थीं।

Aur ve Yerushalem ko jate hue maarg mein the, aur Yeshu un ke aage aage ja raha tha: aur ve achambha karne lage aur jo uske peechhe peechhe chalte the darne lage, tab vah phir un barhon ko lekar un se ve batein kahne laga, jo us par aane vali thi.

33

कि देखो, हम यरूशलेम को जाते हैं, और मनुष्य का पुत्र महायाजकों और शास्त्रियों के हाथ पकड़वाया जाएगा, और वे उस को घात के योग्य ठहराएंगे, और अन्यजातियों के हाथ में सौंपेंगे।

Ki dekho, ham Yerushalem ko jate hain, aur manushya ka putra mahayajkon aur shastriyon ke haath pakadvaya jayega, aur ve us ko ghaat ke yogya thahrayenge, aur anyajatiyon ke haath mein saumpenge.

34

और वे उस को ठट्ठों में उड़ाएंगे, और उस पर थूकेंगे, और उसे कोड़े मारेंगे, और उसे घात करेंगे, और तीन दिन के बाद वह जी उठेगा॥

Aur ve us ko thatthon mein udayenge, aur us par thookenge, aur use kode marenge, aur use ghaat karenge, aur teen din ke baad vah ji uthega.

35

तब जब्दी के पुत्र याकूब और यूहन्ना ने उसके पास आकर कहा, हे गुरू, हम चाहते हैं, कि जो कुछ हम तुझ से मांगे, वही तू हमारे लिये करे।

Tab jabdi ke putra Yakub aur Yuhanna ne uske paas aakar kaha, he guru, ham chahte hain, ki jo kuchh ham tujh se mange, vahi tu hamare liye kare.

36

उस ने उन से कहा, तुम क्या चाहते हो कि मैं तुम्हारे लिये करूं?

Us ne un se kaha, tum kya chahte ho ki main tumhare liye karun?

37

उन्होंने उस से कहा, कि हमें यह दे, कि तेरी महिमा में हम में से एक तेरे दाहिने और दूसरा तेरे बांए बैठे।

Unhonne us se kaha, ki hamein yah de, ki teri mahima mein ham mein se ek tere dahine aur doosra tere banye baithe.

38

यीशु ने उन से कहा, तुम नहीं जानते, कि क्या मांगते हो? जो कटोरा मैं पीने पर हूं, क्या पी सकते हो? और जो बपतिस्मा मैं लेने पर हूं, क्या ले सकते हो?

Yeshu ne un se kaha, tum nahi jante, ki kya mangte ho? Jo katora main peene par hoon, kya pi sakte ho? Aur jo baptisma main lene par hoon, kya le sakte ho?

39

उन्होंने उस से कहा, हम से हो सकता है: यीशु ने उन से कहा: जो कटोरा मैं पीने पर हूं, तुम पीओगे; और जो बपतिस्मा मैं लेने पर हूं, उसे लोगे।

Unhonne us se kaha, ham se ho sakta hai: Yeshu ne un se kaha: jo katora main peene par hoon, tum peeoge; aur jo baptisma main lene par hoon, use loge.

40

पर जिन के लिये तैयार किया गया है, उन्हें छोड़ और किसी को अपने दाहिने और अपने बाएं बिठाना मेरा काम नहीं।

Par jin ke liye taiyaar kiya gaya hai, unhein chhod aur kisi ko apne dahine aur apne bayen bithana mera kaam nahi.

41

यह सुन कर दसों याकूब और यूहन्ना पर रिसयाने लगे।

Yah sun kar dason Yakub aur Yuhanna par risyane lage.

42

और यीशु ने उन को पास बुला कर उन से कहा, तुम जानते हो, कि जो अन्यजातियों के हाकिम समझे जाते हैं, वे उन पर प्रभुता करते हैं; और उन में जो बड़ें हैं, उन पर अधिकार जताते हैं।

Aur Yeshu ne un ko paas bula kar un se kaha, tum jante ho, ki jo anyajatiyon ke hakim samjhe jate hain, ve un par prabhuta karte hain; aur un mein jo badein hain, un par adhikaar jatate hain.

43

पर तुम में ऐसा नहीं है, वरन जो कोई तुम में बड़ा होना चाहे वह तुम्हारा सेवक बने।

Par tum mein aisa nahi hai, varan jo koi tum mein bada hona chahe vah tumhara sevak bane.

44

और जो कोई तुम में प्रधान होना चाहे, वह सब का दास बने।

Aur jo koi tum mein pradhaan hona chahe, vah sab ka daas bane.

45

क्योंकि मनुष्य का पुत्र इसलिये नहीं आया, कि उस की सेवा टहल की जाए, पर इसलिये आया, कि आप सेवा टहल करे, और बहुतों की छुड़ौती के लिये अपना प्राण दे॥

Kyonki manushya ka putra isliye nahi aaya, ki us ki seva tahal ki jaye, par isliye aaya, ki aap seva tahal kare, aur bahuton ki chhudauti ke liye apna praan de.

46

और वे यरीहो में आए, और जब वह और उसके चेले, और एक बड़ी भीड़ यरीहो से निकलती थी, तो तिमाई का पुत्र बरतिमाई एक अन्धा भिखारी सड़क के किनारे बैठा था।

Aur ve yareeho mein aaye, aur jab vah aur uske chele, aur ek badi bheed yareeho se nikalti thi, to timai ka putra bartimai ek andha bhikhari sadak ke kinare baitha tha.

47

वह यह सुनकर कि यीशु नासरी है, पुकार पुकार कर कहने लगा; कि हे दाऊद की सन्तान, यीशु मुझ पर दया कर।

Vah yah sunkar ki Yeshu nasri hai, pukaar pukaar kar kahne laga; ki he Daud ki santaan, Yeshu mujh par daya kar.

48

बहुतों ने उसे डांटा कि चुप रहे, पर वह और भी पुकारने लगा, कि हे दाऊद की सन्तान, मुझ पर दया कर।

Bahuton ne use danta ki chup rahe, par vah aur bhi pukarne laga, ki he Daud ki santaan, mujh par daya kar.

49

तब यीशु ने ठहरकर कहा, उसे बुलाओ; और लोगों ने उस अन्धे को बुलाकर उस से कहा, ढाढ़स बान्ध, उठ, वह तुझे बुलाता है।

Tab Yeshu ne thaharkar kaha, use bulao; aur logon ne us andhe ko bulakar us se kaha, dhadhas baandh, uth, vah tujhe bulata hai.

50

वह अपना कपड़ा फेंककर शीघ्र उठा, और यीशु के पास आया।

Vah apna kapda phenkkar sheeghra utha, aur Yeshu ke paas aaya.

51

इस पर यीशु ने उस से कहा; तू क्या चाहता है कि मैं तेरे लिये करूं? अन्धे ने उस से कहा, हे रब्बी, यह कि मैं देखने लगूं।

Is par Yeshu ne us se kaha; tu kya chahta hai ki main tere liye karun? Andhe ne us se kaha, he rabbi, yah ki main dekhne lagun.

52

यीशु ने उस से कहा; चला जा, तेरे विश्वास ने तुझे चंगा कर दिया है: और वह तुरन्त देखने लगा, और मार्ग में उसके पीछे हो लिया॥

Yeshu ne us se kaha; chala ja, tere vishwaas ne tujhe changa kar diya hai: aur vah turant dekhne laga, aur maarg mein uske peechhe ho liya.