वहां से निकलकर वह अपने देश में आया, और उसके चेले उसके पीछे हो लिए।
Vahan se nikalkar vah apne desh mein aaya, aur uske chele uske peechhe ho liye.
Mark 6 · 56 verses
वहां से निकलकर वह अपने देश में आया, और उसके चेले उसके पीछे हो लिए।
Vahan se nikalkar vah apne desh mein aaya, aur uske chele uske peechhe ho liye.
सब्त के दिन वह आराधनालय में उपदेश करने लगा; और बहुत लोग सुनकर चकित हुए और कहने लगे, इस को ये बातें कहां से आ गईं? और यह कौन सा ज्ञान है जो उस को दिया गया है? और कैसे सामर्थ के काम इसके हाथों से प्रगट होते हैं?
Sabt ke din vah aaradhnalay mein updesh karne laga; aur bahut log sunkar chakit hue aur kahne lage, is ko ye batein kahan se aa gai? Aur yah kaun sa gyaan hai jo us ko diya gaya hai? Aur kaise samarth ke kaam iske hathon se pragat hote hain?
क्या यह वही बढ़ई नहीं, जो मरियम का पुत्र, और याकूब और योसेस और यहूदा और शमौन का भाई है? और क्या उस की बहिनें यहां हमारे बीच में नहीं रहतीं? इसलिये उन्होंने उसके विषय में ठोकर खाई।
Kya yah vahi badhai nahi, jo Mariyam ka putra, aur Yakub aur yoses aur Yahuda aur Shamaun ka bhai hai? Aur kya us ki bahinein yahan hamare beech mein nahi rahti? Isliye unhonne uske vishay mein thokar khai.
यीशु ने उन से कहा, कि भविष्यद्वक्ता अपने देश और अपने कुटुम्ब और अपने घर को छोड़ और कहीं भी निरादर नहीं होता।
Yeshu ne un se kaha, ki bhavishyadwakta apne desh aur apne kutumb aur apne ghar ko chhod aur kahi bhi niradar nahi hota.
और वह वहां कोई सामर्थ का काम न कर सका, केवल थोड़े बीमारों पर हाथ रखकर उन्हें चंगा किया॥
Aur vah vahan koi samarth ka kaam na kar saka, keval thode beemaron par haath rakhkar unhein changa kiya.
और उस ने उन के अविश्वास पर आश्चर्य किया और चारों ओर के गावों में उपदेश करता फिरा॥
Aur us ne un ke avishwaas par aashcharya kiya aur charon or ke gavon mein updesh karta phira.
और वह बारहों को अपने पास बुलाकर उन्हें दो दो करके भेजने लगा; और उन्हें अशुद्ध आत्माओं पर अधिकार दिया।
Aur vah barhon ko apne paas bulakar unhein do do karke bhejne laga; aur unhein ashuddh aatmaon par adhikaar diya.
और उस ने उन्हें आज्ञा दी, कि मार्ग के लिये लाठी छोड़ और कुछ न लो; न तो रोटी, न झोली, न पटुके में पैसे।
Aur us ne unhein aagya di, ki maarg ke liye lathi chhod aur kuchh na lo; na to roti, na jholi, na patuke mein paise.
परन्तु जूतियां पहिनो और दो दो कुरते न पहिनो।
Parantu jootiyan pahino aur do do kurte na pahino.
और उस ने उन से कहा; जहां कहीं तुम किसी घर में उतरो तो जब तक वहां से विदा न हो, तब तक उसी में ठहरे रहो।
Aur us ne un se kaha; jahan kahi tum kisi ghar mein utro to jab tak vahan se vida na ho, tab tak usi mein thahre raho.
जिस स्थान के लोग तुम्हें ग्रहण न करें, और तुम्हारी न सुनें, वहां से चलते ही अपने तलवों की धूल झाड़ डालो, कि उन पर गवाही हो।
Jis sthaan ke log tumhein grahan na karein, aur tumhari na sunein, vahan se chalte hi apne talvon ki dhool jhaad dalo, ki un par gavahi ho.
और उन्होंने जाकर प्रचार किया, कि मन फिराओ।
Aur unhonne jakar prachaar kiya, ki man phirao.
और बहुतेरे दुष्टात्माओं को निकाला, और बहुत बीमारों पर तेल मलकर उन्हें चंगा किया॥
Aur bahutere dushtatmaon ko nikala, aur bahut beemaron par tel malkar unhein changa kiya.
और हेरोदेस राजा ने उस की चर्चा सुनी, क्योंकि उसका नाम फैल गया था, और उस ने कहा, कि यूहन्ना बपतिस्मा देनेवाला मरे हुओं में से जी उठा है, इसी लिये उस से ये सामर्थ के काम प्रगट होते हैं।
Aur herodes raja ne us ki charcha suni, kyonki uska naam phail gaya tha, aur us ne kaha, ki Yuhanna baptisma denevala mare huon mein se ji utha hai, isi liye us se ye samarth ke kaam pragat hote hain.
और औरों ने कहा, यह एलिय्याह है, परन्तु औरों ने कहा, भविष्यद्वक्ता या भविष्यद्वक्ताओं में से किसी एक के समान है।
Aur auron ne kaha, yah eliyyaah hai, parantu auron ne kaha, bhavishyadwakta ya bhavishyadwaktaon mein se kisi ek ke samaan hai.
हेरोदेस ने यह सुन कर कहा, जिस यूहन्ना का सिर मैं ने कटवाया था, वही जी उठा है।
Herodes ne yah sun kar kaha, jis Yuhanna ka sir main ne katvaya tha, vahi ji utha hai.
क्योंकि हेरोदेस ने आप अपने भाई फिलेप्पुस की पत्नी हेरोदियास के कारण, जिस से उस ने ब्याह किया था, लोगों को भेजकर यूहन्ना को पकड़वा कर बन्दीगृह में डाल दिया था।
Kyonki herodes ne aap apne bhai phileppus ki patni herodiyaas ke karan, jis se us ne byaah kiya tha, logon ko bhejkar Yuhanna ko pakadva kar bandeegrih mein daal diya tha.
क्योंकि यूहन्ना ने हेरोदेस से कहा था, कि अपने भाई की पत्नी को रखना तुझे उचित नहीं।
Kyonki Yuhanna ne herodes se kaha tha, ki apne bhai ki patni ko rakhna tujhe uchit nahi.
इसलिये हेरोदियास उस से बैर रखती थी और यह चाहती थी, कि उसे मरवा डाले, परन्तु ऐसा न हो सका।
Isliye herodiyaas us se bair rakhti thi aur yah chahti thi, ki use marva dale, parantu aisa na ho saka.
क्योंकि हेरोदेस यूहन्ना को धर्मी और पवित्र पुरूष जानकर उस से डरता था, और उसे बचाए रखता था, और उस की सुनकर बहुत घबराता था, पर आनन्द से सुनता था।
Kyonki herodes Yuhanna ko dharmi aur pavitra puroosh jankar us se darta tha, aur use bachaye rakhta tha, aur us ki sunkar bahut ghabrata tha, par aanand se sunta tha.
और ठीक अवसर पर जब हेरोदेस ने अपने जन्म दिन में अपने प्रधानों और सेनापतियों, और गलील के बड़े लोगों के लिये जेवनार की।
Aur theek avsar par jab herodes ne apne janm din mein apne pradhanon aur senaptiyon, aur galeel ke bade logon ke liye jevnaar ki.
और उसी हेरोदियास की बेटी भीतर आई, और नाचकर हेरोदेस को और उसके साथ बैठने वालों को प्रसन्न किया; तब राजा ने लड़की से कहा, तू जो चाहे मुझ से मांग मैं तुझे दूंगा।
Aur usi herodiyaas ki beti bheetar aai, aur nachkar herodes ko aur uske saath baithne valon ko prasann kiya; tab raja ne ladki se kaha, tu jo chahe mujh se maang main tujhe doonga.
और उस ने शपथ खाई, कि मैं अपने आधे राज्य तक जो कुछ तू मुझ से मांगेगी मैं तुझे दूंगा।
Aur us ne shapath khai, ki main apne aadhe rajya tak jo kuchh tu mujh se mangegi main tujhe doonga.
उस ने बाहर जाकर अपनी माता से पूछा, कि मैं क्या मांगूं? वह बोली; यूहन्ना बपतिस्मा देने वाले का सिर।
Us ne bahar jakar apni mata se poochha, ki main kya mangun? Vah boli; Yuhanna baptisma dene vale ka sir.
वह तुरन्त राजा के पास भीतर आई, और उस से बिनती की; मैं चाहती हूं, कि तू अभी यूहन्ना बपतिस्मा देने वाले का सिर एक थाल में मुझे मंगवा दे।
Vah turant raja ke paas bheetar aai, aur us se binti ki; main chahti hoon, ki tu abhi Yuhanna baptisma dene vale ka sir ek thaal mein mujhe mangva de.
तब राजा बहुत उदास हुआ, परन्तु अपनी शपथ के कारण और साथ बैठने वालों के कारण उसे टालना न चाहा।
Tab raja bahut udaas huaa, parantu apni shapath ke karan aur saath baithne valon ke karan use talna na chaha.
और राजा ने तुरन्त एक सिपाही को आज्ञा देकर भेजा, कि उसका सिर काट लाए।
Aur raja ne turant ek sipahi ko aagya dekar bheja, ki uska sir kaat laye.
उस ने जेलखाने में जाकर उसका सिर काटा, और एक थाल में रखकर लाया और लड़की को दिया, और लड़की ने अपनी मां को दिया।
Us ne jelkhane mein jakar uska sir kata, aur ek thaal mein rakhkar laya aur ladki ko diya, aur ladki ne apni maa ko diya.
यह सुनकर उसके चेले आए, और उस की लोथ को उठाकर कब्र में रखा।
Yah sunkar uske chele aaye, aur us ki loth ko uthakar kabra mein rakha.
प्रेरितों ने यीशु के पास इकट्ठे होकर, जो कुछ उन्होंने किया, और सिखाया था, सब उस को बता दिया।
Preriton ne Yeshu ke paas ikatthe hokar, jo kuchh unhonne kiya, aur sikhaya tha, sab us ko bata diya.
उस ने उन से कहा; तुम आप अलग किसी जंगली स्थान में आकर थोड़ा विश्राम करो; क्योंकि बहुत लोग आते जाते थे, और उन्हें खाने का अवसर भी नहीं मिलता था।
Us ne un se kaha; tum aap alag kisi jangli sthaan mein aakar thoda vishraam karo; kyonki bahut log aate jate the, aur unhein khane ka avsar bhi nahi milta tha.
इसलिये वे नाव पर चढ़कर, सुनसान जगह में अलग चले गए।
Isliye ve naav par chadhkar, sunsaan jagah mein alag chale gaye.
और बहुतों ने उन्हें जाते देखकर पहिचान लिया, और सब नगरों से इकट्ठे होकर वहां पैदल दौड़े और उन से पहिले जा पहुंचे।
Aur bahuton ne unhein jate dekhkar pahichaan liya, aur sab nagron se ikatthe hokar vahan paidal daude aur un se pahile ja pahunche.
उस ने निकलकर बड़ी भीड़ देखी, और उन पर तरस खाया, क्योंकि वे उन भेड़ों के समान थे, जिन का कोई रखवाला न हो; और वह उन्हें बहुत सी बातें सिखाने लगा।
Us ne nikalkar badi bheed dekhi, aur un par taras khaya, kyonki ve un bhedon ke samaan the, jin ka koi rakhvala na ho; aur vah unhein bahut si batein sikhane laga.
जब दिन बहुत ढल गया, तो उसके चेले उसके पास आकर कहने लगे; यह सुनसान जगह है, और दिन बहुत ढल गया है।
Jab din bahut dhal gaya, to uske chele uske paas aakar kahne lage; yah sunsaan jagah hai, aur din bahut dhal gaya hai.
उन्हें विदा कर, कि चारों ओर के गांवों और बस्तियों में जाकर, अपने लिये कुछ खाने को मोल लें।
Unhein vida kar, ki charon or ke ganvon aur bastiyon mein jakar, apne liye kuchh khane ko mol lein.
उस ने उन्हें उत्तर दिया; कि तुम ही उन्हें खाने को दो: उन्हों ने उस से कहा; क्या हम सौ दीनार की रोटियां मोल लें, और उन्हें खिलाएं?
Us ne unhein uttar diya; ki tum hi unhein khane ko do: unhon ne us se kaha; kya ham sau deenaar ki rotiyan mol lein, aur unhein khilayen?
उस ने उन से कहा; जाकर देखो तुम्हारे पास कितनी रोटियां हैं? उन्होंने मालूम करके कहा; पांच और दो मछली भी।
Us ne un se kaha; jakar dekho tumhare paas kitni rotiyan hain? Unhonne maloom karke kaha; paanch aur do machhli bhi.
तब उस ने उन्हें आज्ञा दी, कि सब को हरी घास पर पांति पांति से बैठा दो।
Tab us ne unhein aagya di, ki sab ko hari ghaas par panti panti se baitha do.
वे सौ सौ और पचास पचास करके पांति पांति बैठ गए।
Ve sau sau aur pachaas pachaas karke panti panti baith gaye.
और उस ने उन पांच रोटियों को और दो मछिलयों को लिया, और स्वर्ग की ओर देखकर धन्यवाद किया और रोटियां तोड़ तोड़ कर चेलों को देता गया, कि वे लोगों को परोसें, और वे दो मछिलयां भी उन सब में बांट दीं।
Aur us ne un paanch rotiyon ko aur do machhilyon ko liya, aur swarg ki or dekhkar dhanyavaad kiya aur rotiyan tod tod kar chelon ko deta gaya, ki ve logon ko parosein, aur ve do machhilyan bhi un sab mein baant di.
और सब खाकर तृप्त हो गए।
Aur sab khakar tript ho gaye.
और उन्होंने टुकड़ों से बारह टोकरियां भर कर उठाई, और कुछ मछिलयों से भी।
Aur unhonne tukdon se barah tokriyan bhar kar uthai, aur kuchh machhilyon se bhi.
जिन्हों ने रोटियां खाईं, वे पांच हजार पुरूष थे॥
Jinhon ne rotiyan khai, ve paanch hajaar puroosh the.
तब उस ने तुरन्त अपने चेलों को बरबस नाव पर चढ़ाया, कि वे उस से पहिले उस पार बैतसैदा को चले जांए, जब तक कि वह लोगों को विदा करे।
Tab us ne turant apne chelon ko barbas naav par chadhaya, ki ve us se pahile us paar baitsaida ko chale janye, jab tak ki vah logon ko vida kare.
और उन्हें विदा करके पहाड़ पर प्रार्थना करने को गया।
Aur unhein vida karke pahaad par prarthana karne ko gaya.
और जब सांझ हुई, तो नाव झील के बीच में थी, और वह अकेला भूमि पर था।
Aur jab saanjh hui, to naav jheel ke beech mein thi, aur vah akela bhoomi par tha.
और जब उस ने देखा, कि वे खेते खेते घबरा गए हैं, क्योंकि हवा उनके विरूद्ध थी, तो रात के चौथे पहर के निकट वह झील पर चलते हुए उन के पास आया; और उन से आगे निकल जाना चाहता था।
Aur jab us ne dekha, ki ve khete khete ghabra gaye hain, kyonki hava unke virooddh thi, to raat ke chauthe pahar ke nikat vah jheel par chalte hue un ke paas aaya; aur un se aage nikal jana chahta tha.
परन्तु उन्होंने उसे झील पर चलते देखकर समझा, कि भूत है, और चिल्ला उठे, क्योंकि सब उसे देखकर घबरा गए थे।
Parantu unhonne use jheel par chalte dekhkar samjha, ki bhoot hai, aur chilla uthe, kyonki sab use dekhkar ghabra gaye the.
पर उस ने तुरन्त उन से बातें कीं और कहा; ढाढ़स बान्धो: मैं हूं; डरो मत।
Par us ne turant un se batein ki aur kaha; dhadhas bandho: main hoon; daro mat.
तब वह उन के पास नाव पर आया, और हवा थम गई: और वे बहुत ही आश्चर्य करने लगे।
Tab vah un ke paas naav par aaya, aur hava tham gai: aur ve bahut hi aashcharya karne lage.
क्योंकि वे उन रोटियों के विषय में ने समझे थे परन्तु उन के मन कठोर हो गए थे॥
Kyonki ve un rotiyon ke vishay mein ne samjhe the parantu un ke man kathor ho gaye the.
और वे पार उतरकर गन्नेसरत में पहुंचे, और नाव घाट पर लगाई।
Aur ve paar utarkar gannesrat mein pahunche, aur naav ghaat par lagai.
और जब वे नाव पर से उतरे, तो लोग तुरन्त उस को पहचान कर।
Aur jab ve naav par se utre, to log turant us ko pahchaan kar.
आसपास के सारे देश में दौड़े, और बीमारों को खाटों पर डालकर, जहां जहां समाचार पाया कि वह है, वहां वहां लिए फिरे।
Aaspaas ke sare desh mein daude, aur beemaron ko khaton par dalkar, jahan jahan samachaar paya ki vah hai, vahan vahan liye phire.
और जहां कहीं वह गांवों, नगरों, या बस्तियों में जाता था, तो लोग बीमारों को बाजारों में रखकर उस से बिनती करते थे, कि वह उन्हें अपने वस्त्र के आंचल ही को छू लेने दे: और जितने उसे छूते थे, सब चंगे हो जाते थे॥
Aur jahan kahi vah ganvon, nagron, ya bastiyon mein jata tha, to log beemaron ko bajaron mein rakhkar us se binti karte the, ki vah unhein apne vastra ke aanchal hi ko chhu lene de: aur jitne use chhoote the, sab change ho jate the.