और वे झील के पार गिरासेनियों के देश में पहुंचे।
Aur ve jheel ke paar giraseniyon ke desh mein pahunche.
Mark 5 · 43 verses
और वे झील के पार गिरासेनियों के देश में पहुंचे।
Aur ve jheel ke paar giraseniyon ke desh mein pahunche.
और जब वह नाव पर से उतरा तो तुरन्त एक मनुष्य जिस में अशुद्ध आत्मा थी कब्रों से निकल कर उसे मिला।
Aur jab vah naav par se utra to turant ek manushya jis mein ashuddh aatma thi kabron se nikal kar use mila.
वह कब्रों में रहा करता था। और कोई उसे सांकलों से भी न बान्ध सकता था।
Vah kabron mein raha karta tha. Aur koi use sanklon se bhi na baandh sakta tha.
क्योंकि वह बार बार बेड़ियों और सांकलों से बान्धा गया था, पर उस ने सांकलों को तोड़ दिया, और बेड़ियों के टुकड़े टुकड़े कर दिए थे, और कोई उसे वश में नहीं कर सकता था।
Kyonki vah baar baar bediyon aur sanklon se bandha gaya tha, par us ne sanklon ko tod diya, aur bediyon ke tukde tukde kar diye the, aur koi use vash mein nahi kar sakta tha.
वह लगातार रात-दिन कब्रों और पहाड़ो में चिल्लाता, और अपने को पत्थरों से घायल करता था।
Vah lagataar raat-din kabron aur pahado mein chillata, aur apne ko pattharon se ghayal karta tha.
वह यीशु को दूर ही से देखकर दौड़ा, और उसे प्रणाम किया।
Vah Yeshu ko door hi se dekhkar dauda, aur use pranaam kiya.
और ऊंचे शब्द से चिल्लाकर कहा; हे यीशु, परमप्रधान परमेश्वर के पुत्र, मुझे तुझ से क्या काम? मैं तुझे परमेश्वर की शपथ देता हूं, कि मुझे पीड़ा न दे।
Aur oonche shabd se chillakar kaha; he Yeshu, parmapradhaan Parmeshwar ke putra, mujhe tujh se kya kaam? Main tujhe Parmeshwar ki shapath deta hoon, ki mujhe peeda na de.
क्योंकि उस ने उस से कहा था, हे अशुद्ध आत्मा, इस मनुष्य में से निकल आ।
Kyonki us ne us se kaha tha, he ashuddh aatma, is manushya mein se nikal aa.
उस ने उस से पूछा; तेरा क्या नाम है? उस ने उस से कहा; मेरा नाम सेना है; क्योंकि हम बहुत हैं।
Us ne us se poochha; tera kya naam hai? Us ne us se kaha; mera naam sena hai; kyonki ham bahut hain.
और उस ने उस से बहुत बिनती की, हमें इस देश से बाहर न भेज।
Aur us ne us se bahut binti ki, hamein is desh se bahar na bhej.
वहां पहाड़ पर सूअरों का एक बड़ा झुण्ड चर रहा था।
Vahan pahaad par sooaron ka ek bada jhund char raha tha.
और उन्होंने उस से बिनती करके कहा, कि हमें उन सूअरों में भेज दे, कि हम उन के भीतर जाएं।
Aur unhonne us se binti karke kaha, ki hamein un sooaron mein bhej de, ki ham un ke bheetar jayen.
सो उस ने उन्हें आज्ञा दी और अशुद्ध आत्मा निकलकर सूअरों के भीतर पैठ गई और झुण्ड, जो कोई दो हजार का था, कड़ाडे पर से झपटकर झील में जा पड़ा, और डूब मरा।
So us ne unhein aagya di aur ashuddh aatma nikalkar sooaron ke bheetar paith gai aur jhund, jo koi do hajaar ka tha, kadade par se jhapatkar jheel mein ja pada, aur doob mara.
और उन के चरवाहों ने भागकर नगर और गांवों में समाचार सुनाया।
Aur un ke charvahon ne bhagkar nagar aur ganvon mein samachaar sunaya.
और जो हुआ था, लोग उसे देखने आए। और यीशु के पास आकर, वे उस को जिस में दुष्टात्माएं थीं, अर्थात जिस में सेना समाई थी, कपड़े पहिने और सचेत बैठे देखकर, डर गए।
Aur jo huaa tha, log use dekhne aaye. Aur Yeshu ke paas aakar, ve us ko jis mein dushtatmayen thi, arthaat jis mein sena samai thi, kapde pahine aur sachet baithe dekhkar, dar gaye.
और देखने वालों ने उसका जिस में दुष्टात्माएं थीं, और सूअरों का पूरा हाल, उन को कह सुनाया।
Aur dekhne valon ne uska jis mein dushtatmayen thi, aur sooaron ka poora haal, un ko kah sunaya.
और वे उस से बिनती कर के कहने लगे, कि हमारे सिवानों से चला जा।
Aur ve us se binti kar ke kahne lage, ki hamare sivanon se chala ja.
और जब वह नाव पर चढ़ने लगा, तो वह जिस में पहिले दुष्टात्माएं थीं, उस से बिनती करने लगा, कि मुझे अपने साथ रहने दे।
Aur jab vah naav par chadhne laga, to vah jis mein pahile dushtatmayen thi, us se binti karne laga, ki mujhe apne saath rahne de.
परन्तु उस ने उसे आज्ञा न दी, और उस से कहा, अपने घर जाकर अपने लोगों को बता, कि तुझ पर दया करके प्रभु ने तेरे लिये कैसे बड़े काम किए हैं।
Parantu us ne use aagya na di, aur us se kaha, apne ghar jakar apne logon ko bata, ki tujh par daya karke Prabhu ne tere liye kaise bade kaam kiye hain.
वह जाकर दिकपुलिस में इस बात का प्रचार करने लगा, कि यीशु ने मेरे लिये कैसे बड़े काम किए; और सब अचम्भा करते थे॥
Vah jakar dikpulis mein is baat ka prachaar karne laga, ki Yeshu ne mere liye kaise bade kaam kiye; aur sab achambha karte the.
जब यीशु फिर नाव से पार गया, तो एक बड़ी भीड़ उसके पास इकट्ठी हो गई; और वह झील के किनारे था।
Jab Yeshu phir naav se paar gaya, to ek badi bheed uske paas ikatthi ho gai; aur vah jheel ke kinare tha.
और याईर नाम आराधनालय के सरदारों में से एक आया, और उसे देखकर, उसके पांवों पर गिरा।
Aur yair naam aaradhnalay ke sardaron mein se ek aaya, aur use dekhkar, uske panvon par gira.
और उस ने यह कहकर बहुत बिनती की, कि मेरी छोटी बेटी मरने पर है: तू आकर उस पर हाथ रख, कि वह चंगी होकर जीवित रहे।
Aur us ne yah kahkar bahut binti ki, ki meri chhoti beti marne par hai: tu aakar us par haath rakh, ki vah changi hokar jeevit rahe.
तब वह उसके साथ चला; और बड़ी भीड़ उसके पीछे हो ली, यहां तक कि लोग उस पर गिरे पड़ते थे॥
Tab vah uske saath chala; aur badi bheed uske peechhe ho li, yahan tak ki log us par gire padte the.
और एक स्त्री, जिस को बारह वर्ष से लोहू बहने का रोग था।
Aur ek stri, jis ko barah varsh se lohu bahne ka rog tha.
और जिस ने बहुत वैद्यों से बड़ा दुख उठाया और अपना सब माल व्यय करने पर भी कुछ लाभ न उठाया था, परन्तु और भी रोगी हो गई थी।
Aur jis ne bahut vaidyon se bada dukh uthaya aur apna sab maal vyay karne par bhi kuchh laabh na uthaya tha, parantu aur bhi rogi ho gai thi.
यीशु की चर्चा सुनकर, भीड़ में उसके पीछे से आई, और उसके वस्त्र को छू लिया।
Yeshu ki charcha sunkar, bheed mein uske peechhe se aai, aur uske vastra ko chhu liya.
क्योंकि वह कहती थी, यदि मैं उसके वस्त्र ही को छू लूंगी, तो चंगी हो जाऊंगी।
Kyonki vah kahti thi, yadi main uske vastra hi ko chhu loongi, to changi ho jaoongi.
और तुरन्त उसका लोहू बहना बन्द हो गया; और उस ने अपनी देह में जान लिया, कि मैं उस बीमारी से अच्छी हो गई।
Aur turant uska lohu bahna band ho gaya; aur us ne apni deh mein jaan liya, ki main us beemari se achchhi ho gai.
यीशु ने तुरन्त अपने में जान लिया, कि मुझ में से सामर्थ निकली है, और भीड़ में पीछे फिरकर पूछा; मेरा वस्त्र किस ने छूआ?
Yeshu ne turant apne mein jaan liya, ki mujh mein se samarth nikli hai, aur bheed mein peechhe phirkar poochha; mera vastra kis ne chhooaa?
उसके चेलों ने उस से कहा; तू देखता है, कि भीड़ तुझ पर गिरी पड़ती है, और तू कहता है; कि किस ने मुझे छुआ?
Uske chelon ne us se kaha; tu dekhta hai, ki bheed tujh par giri padti hai, aur tu kahta hai; ki kis ne mujhe chhuaa?
तब उस ने उसे देखने के लिये जिस ने यह काम किया था, चारों ओर दृष्टि की।
Tab us ne use dekhne ke liye jis ne yah kaam kiya tha, charon or drishti ki.
तब वह स्त्री यह जानकर, कि मेरी कैसी भलाई हुई है, डरती और कांपती हुई आई, और उसके पांवों पर गिरकर, उस से सब हाल सच सच कह दिया।
Tab vah stri yah jankar, ki meri kaisi bhalai hui hai, darti aur kampti hui aai, aur uske panvon par girkar, us se sab haal sach sach kah diya.
उस ने उस से कहा; पुत्री तेरे विश्वास ने तुझे चंगा किया है: कुशल से जा, और अपनी इस बीमारी से बची रह॥
Us ne us se kaha; putri tere vishwaas ne tujhe changa kiya hai: kushal se ja, aur apni is beemari se bachi rah.
वह यह कह ही रहा था, कि आराधनालय के सरदार के घर से लोगों ने आकर कहा, कि तेरी बेटी तो मर गई; अब गुरू को क्यों दुख देता है?
Vah yah kah hi raha tha, ki aaradhnalay ke sardaar ke ghar se logon ne aakar kaha, ki teri beti to mar gai; ab guru ko kyon dukh deta hai?
जो बात वे कह रहे थे, उस को यीशु ने अनसुनी करके, आराधनालय के सरदार से कहा; मत डर; केवल विश्वास रख।
Jo baat ve kah rahe the, us ko Yeshu ne ansuni karke, aaradhnalay ke sardaar se kaha; mat dar; keval vishwaas rakh.
और उस ने पतरस और याकूब और याकूब के भाई यूहन्ना को छोड़, और किसी को अपने साथ आने न दिया।
Aur us ne Patras aur Yakub aur Yakub ke bhai Yuhanna ko chhod, aur kisi ko apne saath aane na diya.
और अराधनालय के सरदार के घर में पहुंचकर, उस ने लोगों को बहुत रोते और चिल्लाते देखा।
Aur aradhnalay ke sardaar ke ghar mein pahunchkar, us ne logon ko bahut rote aur chillate dekha.
तब उस ने भीतर जाकर उस से कहा, तुम क्यों हल्ला मचाते और रोते हो? लड़की मरी नहीं, परन्तु सो रही है।
Tab us ne bheetar jakar us se kaha, tum kyon halla machate aur rote ho? Ladki mari nahi, parantu so rahi hai.
वे उस की हंसी करने लगे, परन्तु उस ने सब को निकालकर लड़की के माता-पिता और अपने साथियों को लेकर, भीतर जहां लड़की पड़ी थी, गया।
Ve us ki hansi karne lage, parantu us ne sab ko nikalkar ladki ke mata-pita aur apne sathiyon ko lekar, bheetar jahan ladki padi thi, gaya.
और लड़की का हाथ पकड़कर उस से कहा, ‘तलीता कूमी’; जिस का अर्थ यह है कि ‘हे लड़की, मैं तुझ से कहता हूं, उठ’।
Aur ladki ka haath pakadkar us se kaha, ‘taleeta koomi’; jis ka arth yah hai ki ‘he ladki, main tujh se kahta hoon, uth’.
और लड़की तुरन्त उठकर चलने फिरने लगी; क्योंकि वह बारह वर्ष की थी। और इस पर लोग बहुत चकित हो गए।
Aur ladki turant uthkar chalne phirne lagi; kyonki vah barah varsh ki thi. Aur is par log bahut chakit ho gaye.
फिर उस ने उन्हें चिताकर आज्ञा दी कि यह बात कोई जानने न पाए और कहा; कि उसे कुछ खाने को दिया जाए॥
Phir us ne unhein chitakar aagya di ki yah baat koi janne na paye aur kaha; ki use kuchh khane ko diya jaye.