Mark 4 · 41 verses

मरकुस 4 Mark 4 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Markus 4.

1

वह फिर झील के किनारे उपदेश देने लगा: और ऐसी बड़ी भीड़ उसके पास इकट्ठी हो गई, कि वह झील में एक नाव पर चढ़कर बैठ गया और सारी भीड़ भूमि पर झील के किनारे खड़ी रही।

Vah phir jheel ke kinare updesh dene laga: aur aisi badi bheed uske paas ikatthi ho gai, ki vah jheel mein ek naav par chadhkar baith gaya aur sari bheed bhoomi par jheel ke kinare khadi rahi.

2

और वह उन्हें दृष्टान्तों में बहुत सी बातें सिखाने लगो, और अपने उपदेश में उन से कहा।

Aur vah unhein drishtanton mein bahut si batein sikhane lago, aur apne updesh mein un se kaha.

3

सुनो: देखो, एक बोनेवाला, बीज बाने के लिये निकला!

Suno: dekho, ek bonevala, beej bane ke liye nikla!

4

और बोते समय कुछ तो मार्ग के किनारे गिरा और पक्षियों ने आकर उसे चुग लिया।

Aur bote samay kuchh to maarg ke kinare gira aur pakshiyon ne aakar use chug liya.

5

और कुछ पत्थरीली भूमि पर गिरा जहां उस को बहुत मिट्टी न मिली, और गहरी मिट्टी न मिलने के कारण जल्द उग आया।

Aur kuchh patthareeli bhoomi par gira jahan us ko bahut mitti na mili, aur gahri mitti na milne ke karan jald ug aaya.

6

और जब सूर्य निकला, तो जल गया, और जड़ न पकड़ने के कारण सूख गया।

Aur jab soorya nikla, to jal gaya, aur jad na pakadne ke karan sookh gaya.

7

और कुछ तो झाड़ियों में गिरा, और झाड़ियों ने बढ़कर उसे दबा लिया, और वह फल न लाया।

Aur kuchh to jhadiyon mein gira, aur jhadiyon ne badhkar use daba liya, aur vah phal na laya.

8

परन्तु कुछ अच्छी भूमि पर गिरा; और वह उगा, और बढ़कर फलवन्त हुआ; और कोई तीस गुणा, कोई साठ गुणा और कोई सौ गुणा फल लाया।

Parantu kuchh achchhi bhoomi par gira; aur vah uga, aur badhkar phalvant huaa; aur koi tees guna, koi saath guna aur koi sau guna phal laya.

9

और उस ने कहा; जिस के पास सुनने के लिये कान हों वह सुन ले॥

Aur us ne kaha; jis ke paas sunne ke liye kaan hon vah sun le.

10

जब वह अकेला रह गया, तो उसके साथियों ने उन बारह समेत उस से इन दृष्टान्तों के विषय में पूछा।

Jab vah akela rah gaya, to uske sathiyon ne un barah samet us se in drishtanton ke vishay mein poochha.

11

उस ने उन से कहा, तुम को तो परमेश्वर के राज्य के भेद की समझ दी गई है, परन्तु बाहर वालों के लिये सब बातें दृष्टान्तों में होती हैं।

Us ne un se kaha, tum ko to Parmeshwar ke rajya ke bhed ki samajh di gai hai, parantu bahar valon ke liye sab batein drishtanton mein hoti hain.

12

इसलिये कि वे देखते हुए देखें और उन्हें सुझाई न पड़े और सुनते हुए सुनें भी और न समझें; ऐसा न हो कि वे फिरें, और क्षमा किए जाएं।

Isliye ki ve dekhte hue dekhein aur unhein sujhai na pade aur sunte hue sunein bhi aur na samjhein; aisa na ho ki ve phirein, aur kshama kiye jayen.

13

फिर उस ने उन से कहा; क्या तुम यह दृष्टान्त नहीं समझते? तो फिर और सब दृष्टान्तों को क्योंकर समझोगे?

Phir us ne un se kaha; kya tum yah drishtaant nahi samajhte? To phir aur sab drishtanton ko kyonkar samjhoge?

14

बोने वाला वचन बोता है।

Bone vala vachan bota hai.

15

जो मार्ग के किनारे के हैं जहां वचन बोया जाता है, ये वे हैं, कि जब उन्होंने सुना, तो शैतान तुरन्त आकर वचन को जो उन में बोया गया था, उठा ले जाता है।

Jo maarg ke kinare ke hain jahan vachan boya jata hai, ye ve hain, ki jab unhonne suna, to Shaitan turant aakar vachan ko jo un mein boya gaya tha, utha le jata hai.

16

और वैसे ही जो पत्थरीली भूमि पर बोए जाते हैं, ये वे हैं, कि जो वचन को सुनकर तुरन्त आनन्द से ग्रहण कर लेते हैं।

Aur vaise hi jo patthareeli bhoomi par boye jate hain, ye ve hain, ki jo vachan ko sunkar turant aanand se grahan kar lete hain.

17

परन्तु अपने भीतर जड़ न रखने के कारण वे थोड़े ही दिनों के लिये रहते हैं; इस के बाद जब वचन के कारण उन पर क्लेश या उपद्रव होता है, तो वे तुरन्त ठोकर खाते हैं।

Parantu apne bheetar jad na rakhne ke karan ve thode hi dinon ke liye rahte hain; is ke baad jab vachan ke karan un par klesh ya upadrav hota hai, to ve turant thokar khate hain.

18

और जो झाड़ियों में बोए गए ये वे हैं जिन्होंने वचन सुना।

Aur jo jhadiyon mein boye gaye ye ve hain jinhonne vachan suna.

19

और संसार की चिन्ता, और धन का धोखा, और और वस्तुओं का लोभ उन में समाकर वचन को दबा देता है। और वह निष्फल रह जाता है।

Aur sansaar ki chinta, aur dhan ka dhokha, aur aur vastuon ka lobh un mein samakar vachan ko daba deta hai. Aur vah nishphal rah jata hai.

20

और जो अच्छी भूमि में बोए गए, ये वे हैं, जो वचन सुनकर ग्रहण करते और फल लाते हैं, कोई तीस गुणा, कोई साठ गुणा, और कोई सौ गुणा॥

Aur jo achchhi bhoomi mein boye gaye, ye ve hain, jo vachan sunkar grahan karte aur phal late hain, koi tees guna, koi saath guna, aur koi sau guna.

21

और उस ने उन से कहा; क्या दिये को इसलिये लाते हैं कि पैमाने या खाट के नीचे रखा जाए? क्या इसलिये नहीं, कि दीवट पर रखा जाए?

Aur us ne un se kaha; kya diye ko isliye late hain ki paimane ya khaat ke neeche rakha jaye? Kya isliye nahi, ki deevat par rakha jaye?

22

क्योंकि कोई वस्तु छिपी नहीं, परन्तु इसलिये कि प्रगट हो जाए;

Kyonki koi vastu chhipi nahi, parantu isliye ki pragat ho jaye;

23

और न कुछ गुप्त है पर इसलिये कि प्रगट हो जाए। यदि किसी के सुनने के कान हों, तो सुन ले।

Aur na kuchh gupt hai par isliye ki pragat ho jaye. Yadi kisi ke sunne ke kaan hon, to sun le.

24

फिर उस ने उन से कहा; चौकस रहो, कि क्या सुनते हो? जिस नाप से तुम नापते हो उसी से तुम्हारे लिये भी नापा जाएगा, और तुम को अधिक दिया जाएगा।

Phir us ne un se kaha; chaukas raho, ki kya sunte ho? Jis naap se tum napte ho usi se tumhare liye bhi napa jayega, aur tum ko adhik diya jayega.

25

क्योंकि जिस के पास है, उस को दिया जाएगा; परन्तु जिस के पास नहीं है उस से वह भी जो उसके पास है; ले लिया जाएगा॥

Kyonki jis ke paas hai, us ko diya jayega; parantu jis ke paas nahi hai us se vah bhi jo uske paas hai; le liya jayega.

26

फिर उस ने कहा; परमेश्वर का राज्य ऐसा है, जैसे कोई मनुष्य भूमि पर बीज छींटे।

Phir us ne kaha; Parmeshwar ka rajya aisa hai, jaise koi manushya bhoomi par beej chheente.

27

और रात को सोए, और दिन को जागे और वह बीज ऐसे उगे और बढ़े कि वह न जाने।

Aur raat ko soye, aur din ko jage aur vah beej aise uge aur badhe ki vah na jane.

28

पृथ्वी आप से आप फल लाती है पहिले अंकुर, तब बाल, और तब बालों में तैयार दाना।

Prithvi aap se aap phal lati hai pahile ankur, tab baal, aur tab balon mein taiyaar dana.

29

परन्तु जब दाना पक जाता है, तब वह तुरन्त हंसिया लगाता है, क्योंकि कटनी आ पहुंची है॥

Parantu jab dana pak jata hai, tab vah turant hansiya lagata hai, kyonki katni aa pahunchi hai.

30

फिर उस ने कहा, हम परमेश्वर के राज्य की उपमा किस से दें, और किस दृष्टान्त से उसका वर्णन करें?

Phir us ne kaha, ham Parmeshwar ke rajya ki upma kis se dein, aur kis drishtaant se uska varnan karein?

31

वह राई के दाने के समान है; कि जब भूमि में बोया जाता है तो भूमि के सब बीजों से छोटा होता है।

Vah rai ke dane ke samaan hai; ki jab bhoomi mein boya jata hai to bhoomi ke sab beejon se chhota hota hai.

32

परन्तु जब बोया गया, तो उगकर सब साग पात से बड़ा हो जाता है, और उसकी ऐसी बड़ी डालियां निकलती हैं, कि आकाश के पक्षी उसकी छाया में बसेरा कर सकते हैं॥

Parantu jab boya gaya, to ugkar sab saag paat se bada ho jata hai, aur uski aisi badi daliyan nikalti hain, ki aakaash ke pakshi uski chhaya mein basera kar sakte hain.

33

और वह उन्हें इस प्रकार के बहुत से दृष्टान्त दे देकर उन की समझ के अनुसार वचन सुनाता था।

Aur vah unhein is prakaar ke bahut se drishtaant de dekar un ki samajh ke anusaar vachan sunata tha.

34

और बिना दृष्टान्त कहे उन से कुछ भी नहीं कहता था; परन्तु एकान्त में वह अपने निज चेलों को सब बातों का अर्थ बताता था॥

Aur bina drishtaant kahe un se kuchh bhi nahi kahta tha; parantu ekaant mein vah apne nij chelon ko sab baton ka arth batata tha.

35

उसी दिन जब सांझ हुई, तो उस ने उन से कहा; आओ, हम पार चलें,।

Usi din jab saanjh hui, to us ne un se kaha; aao, ham paar chalein,.

36

और वे भीड़ को छोड़कर जैसा वह था, वैसा ही उसे नाव पर साथ ले चले; और उसके साथ, और भी नावें थीं।

Aur ve bheed ko chhodkar jaisa vah tha, vaisa hi use naav par saath le chale; aur uske saath, aur bhi navein thi.

37

तब बड़ी आन्धी आई, और लहरें नाव पर यहां तक लगीं, कि वह अब पानी से भरी जाती थी।

Tab badi aandhi aai, aur lahrein naav par yahan tak lagi, ki vah ab pani se bhari jati thi.

38

और वह आप पिछले भाग में गद्दी पर सो रहा था; तब उन्होंने उसे जगाकर उस से कहा; हे गुरू, क्या तुझे चिन्ता नहीं, कि हम नाश हुए जाते हैं?

Aur vah aap pichhle bhaag mein gaddi par so raha tha; tab unhonne use jagakar us se kaha; he guru, kya tujhe chinta nahi, ki ham naash hue jate hain?

39

तब उस ने उठकर आन्धी को डांटा, और पानी से कहा; “शान्त रह, थम जा”: और आन्धी थम गई और बड़ा चैन हो गया।

Tab us ne uthkar aandhi ko danta, aur pani se kaha; “shaant rah, tham ja”: aur aandhi tham gai aur bada chain ho gaya.

40

और उन से कहा; तुम क्यों डरते हो? क्या तुम्हें अब तक विश्वास नहीं?

Aur un se kaha; tum kyon darte ho? Kya tumhein ab tak vishwaas nahi?

41

और वे बहुत ही डर गए और आपस में बोले; यह कौन है, कि आन्धी और पानी भी उस की आज्ञा मानते हैं?

Aur ve bahut hi dar gaye aur aapas mein bole; yah kaun hai, ki aandhi aur pani bhi us ki aagya mante hain?