और वह आराधनालय में फिर गया; और वहां एक मनुष्य था, जिस का हाथ सूख गया था।
Aur vah aaradhnalay mein phir gaya; aur vahan ek manushya tha, jis ka haath sookh gaya tha.
Mark 3 · 35 verses
और वह आराधनालय में फिर गया; और वहां एक मनुष्य था, जिस का हाथ सूख गया था।
Aur vah aaradhnalay mein phir gaya; aur vahan ek manushya tha, jis ka haath sookh gaya tha.
और वे उस पर दोष लगाने के लिये उस की घात में लगे हुए थे, कि देखें, वह सब्त के दिन में उसे चंगा करता है कि नहीं।
Aur ve us par dosh lagane ke liye us ki ghaat mein lage hue the, ki dekhein, vah sabt ke din mein use changa karta hai ki nahi.
उस ने सूखे हाथ वाले मनुष्य से कहा; बीच में खड़ा हो।
Us ne sookhe haath vale manushya se kaha; beech mein khada ho.
और उन से कहा; क्या सब्त के दिन भला करना उचित है या बुरा करना, प्राण को बचाना या मारना? पर वे चुप रहे।
Aur un se kaha; kya sabt ke din bhala karna uchit hai ya bura karna, praan ko bachana ya marna? Par ve chup rahe.
और उस ने उन के मन की कठोरता से उदास होकर, उन को क्रोध से चारों ओर देखा, और उस मनुष्य से कहा, अपना हाथ बढ़ा उस ने बढ़ाया, और उसका हाथ अच्छा हो गया।
Aur us ne un ke man ki kathorta se udaas hokar, un ko krodh se charon or dekha, aur us manushya se kaha, apna haath badha us ne badhaya, aur uska haath achchha ho gaya.
तब फरीसी बाहर जाकर तुरन्त हेरोदियों के साथ उसके विरोध में सम्मति करने लगे, कि उसे किस प्रकार नाश करें॥
Tab phareesi bahar jakar turant herodiyon ke saath uske virodh mein sammati karne lage, ki use kis prakaar naash karein.
और यीशु अपने चेलों के साथ झील की ओर चला गया: और गलील से एक बड़ी भीड़ उसके पीछे हो ली।
Aur Yeshu apne chelon ke saath jheel ki or chala gaya: aur galeel se ek badi bheed uske peechhe ho li.
और यहूदिया, और यरूशलेम और इदूमिया से, और यरदन के पार, और सूर और सैदा के आसपास से एक बड़ी भीड़ यह सुनकर, कि वह कैसे अचम्भे के काम करता है, उसके पास आई।
Aur yahoodiya, aur Yerushalem aur idoomiya se, aur yardan ke paar, aur soor aur saida ke aaspaas se ek badi bheed yah sunkar, ki vah kaise achambhe ke kaam karta hai, uske paas aai.
और उस ने अपने चेलों से कहा, भीड़ के कारण एक छोटी नाव मेरे लिये तैयार रहे ताकि वे मुझे दबा न सकें।
Aur us ne apne chelon se kaha, bheed ke karan ek chhoti naav mere liye taiyaar rahe taki ve mujhe daba na sakein.
क्योंकि उस ने बहुतों को चंगा किया था; इसलिये जितने लोग रोग से ग्रसित थे, उसे छूने के लिये उस पर गिरे पड़ते थे।
Kyonki us ne bahuton ko changa kiya tha; isliye jitne log rog se grasit the, use chhoone ke liye us par gire padte the.
और अशुद्ध आत्माएं भी, जब उसे देखती थीं, तो उसके आगे गिर पड़ती थीं, और चिल्लाकर कहती थीं कि तू परमेश्वर का पुत्र है।
Aur ashuddh aatmayen bhi, jab use dekhti thi, to uske aage gir padti thi, aur chillakar kahti thi ki tu Parmeshwar ka putra hai.
और उस ने उन्हें बहुत चिताया, कि मुझे प्रगट न करना॥
Aur us ne unhein bahut chitaya, ki mujhe pragat na karna.
फिर वह पहाड़ पर चढ़ गया, और जिन्हें वह चाहता था उन्हें अपने पास बुलाया; और वे उसके पास चले आए।
Phir vah pahaad par chadh gaya, aur jinhein vah chahta tha unhein apne paas bulaya; aur ve uske paas chale aaye.
तब उस ने बारह पुरूषों को नियुक्त किया, कि वे उसके साथ साथ रहें, और वह उन्हें भेजे, कि प्रचार करें।
Tab us ne barah purooshon ko niyukt kiya, ki ve uske saath saath rahein, aur vah unhein bheje, ki prachaar karein.
और दुष्टात्माओं के निकालने का अधिकार रखें।
Aur dushtatmaon ke nikalne ka adhikaar rakhein.
और वे ये हैं: शमौन जिस का नाम उस ने पतरस रखा।
Aur ve ye hain: Shamaun jis ka naam us ne Patras rakha.
और जब्दी का पुत्र याकूब, और याकूब का भाई यूहन्ना, जिनका नाम उस ने बूअनरिगस, अर्थात गर्जन के पुत्र रखा।
Aur jabdi ka putra Yakub, aur Yakub ka bhai Yuhanna, jinka naam us ne booanrigas, arthaat garjan ke putra rakha.
और अन्द्रियास, और फिलेप्पुस, और बरतुल्मै, और मत्ती, और थोमा, और हलफई का पुत्र याकूब; और तद्दी, और शमौन कनानी।
Aur andriyaas, aur phileppus, aur bartulmai, aur matti, aur thoma, aur halphai ka putra Yakub; aur taddi, aur Shamaun kanani.
और यहूदा इस्करियोती, जिस ने उसे पकड़वा भी दिया॥
Aur Yahuda iskariyoti, jis ne use pakadva bhi diya.
और वह घर में आया: और ऐसी भीड़ इकट्ठी हो गई, कि वे रोटी भी न खा सके।
Aur vah ghar mein aaya: aur aisi bheed ikatthi ho gai, ki ve roti bhi na kha sake.
जब उसके कुटुम्बियों ने यह सुना, तो उसे पकड़ने के लिये निकले; क्योंकि कहते थे, कि उसका चित्त ठिकाने नहीं है।
Jab uske kutumbiyon ne yah suna, to use pakadne ke liye nikle; kyonki kahte the, ki uska chitt thikane nahi hai.
और शास्त्री जो यरूशलेम से आए थे, यह कहते थे, कि उस में शैतान है, और यह भी, कि वह दुष्टात्माओं के सरदार की सहायता से दुष्टात्माओं को निकालता है।
Aur shastri jo Yerushalem se aaye the, yah kahte the, ki us mein Shaitan hai, aur yah bhi, ki vah dushtatmaon ke sardaar ki sahayta se dushtatmaon ko nikalta hai.
और वह उन्हें पास बुलाकर, उन से दृष्टान्तों में कहने लगा; शैतान क्योंकर शैतान को निकाल सकता है?
Aur vah unhein paas bulakar, un se drishtanton mein kahne laga; Shaitan kyonkar Shaitan ko nikaal sakta hai?
और यदि किसी राज्य में फूट पड़े, तो वह राज्य क्योंकर स्थिर रह सकता है?
Aur yadi kisi rajya mein phoot pade, to vah rajya kyonkar sthir rah sakta hai?
और यदि किसी घर में फूट पड़े, तो वह घर क्योंकर स्थिर रह सकेगा?
Aur yadi kisi ghar mein phoot pade, to vah ghar kyonkar sthir rah sakega?
और यदि शैतान अपना ही विरोधी होकर अपने में फूट डाले, तो वह क्योंकर बना रह सकता है? उसका तो अन्त ही हो जाता है।
Aur yadi Shaitan apna hi virodhi hokar apne mein phoot dale, to vah kyonkar bana rah sakta hai? Uska to ant hi ho jata hai.
किन्तु कोई मनुष्य किसी बलवन्त के घर में घुसकर उसका माल लूट नहीं सकता, जब तक कि वह पहिले उस बलवन्त को न बान्ध ले; और तब उसके घर को लूट लेगा।
Kintu koi manushya kisi balvant ke ghar mein ghuskar uska maal loot nahi sakta, jab tak ki vah pahile us balvant ko na baandh le; aur tab uske ghar ko loot lega.
मैं तुम से सच कहता हूं, कि मनुष्यों की सन्तान के सब पाप और निन्दा जो वे करते हैं, क्षमा की जाएगी।
Main tum se sach kahta hoon, ki manushyon ki santaan ke sab paap aur ninda jo ve karte hain, kshama ki jayegi.
परन्तु जो कोई पवित्रात्मा के विरूद्ध निन्दा करे, वह कभी भी क्षमा न किया जाएगा: वरन वह अनन्त पाप का अपराधी ठहरता है।
Parantu jo koi pavitratma ke virooddh ninda kare, vah kabhi bhi kshama na kiya jayega: varan vah anant paap ka apradhi thaharta hai.
क्योंकि वे यह कहते थे, कि उस में अशुद्ध आत्मा है॥
Kyonki ve yah kahte the, ki us mein ashuddh aatma hai.
और उस की माता और उसके भाई आए, और बाहर खड़े होकर उसे बुलवा भेजा।
Aur us ki mata aur uske bhai aaye, aur bahar khade hokar use bulva bheja.
और भीड़ उसके आसपास बैठी थी, और उन्होंने उस से कहा; देख, तेरी माता और तेरे भाई बाहर तुझे ढूंढते हैं।
Aur bheed uske aaspaas baithi thi, aur unhonne us se kaha; dekh, teri mata aur tere bhai bahar tujhe dhoondhte hain.
उस ने उन्हें उत्तर दिया, कि मेरी माता और मेरे भाई कौन हैं?
Us ne unhein uttar diya, ki meri mata aur mere bhai kaun hain?
और उन पर जो उसके आस पास बैठे थे, दृष्टि करके कहा, देखो, मेरी माता और मेरे भाई यह हैं।
Aur un par jo uske aas paas baithe the, drishti karke kaha, dekho, meri mata aur mere bhai yah hain.
क्योंकि जो कोई परमेश्वर की इच्छा पर चले, वही मेरा भाई, और बहिन और माता है॥
Kyonki jo koi Parmeshwar ki ichchha par chale, vahi mera bhai, aur bahin aur mata hai.