Mark 2 · 28 verses

मरकुस 2 Mark 2 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Markus 2.

1

कई दिन के बाद वह फिर कफरनहूम में आया और सुना गया, कि वह घर में है।

Kai din ke baad vah phir kaphranhoom mein aaya aur suna gaya, ki vah ghar mein hai.

2

फिर इतने लोग इकट्ठे हुए, कि द्वार के पास भी जगह नहीं मिली; और वह उन्हें वचन सुना रहा था।

Phir itne log ikatthe hue, ki dwaar ke paas bhi jagah nahi mili; aur vah unhein vachan suna raha tha.

3

और लोग एक झोले के मारे हुए को चार मनुष्यों से उठवाकर उसके पास ले आए।

Aur log ek jhole ke mare hue ko chaar manushyon se uthvakar uske paas le aaye.

4

परन्तु जब वे भीड़ के कारण उसके निकट न पंहुच सके, तो उन्होंने उस छत को जिस के नीचे वह था, खोल दिया और जब उसे उधेड़ चुके, तो उस खाट को जिस पर झोले का मारा हुआ पड़ा था, लटका दिया।

Parantu jab ve bheed ke karan uske nikat na panhuch sake, to unhonne us chhat ko jis ke neeche vah tha, khol diya aur jab use udhed chuke, to us khaat ko jis par jhole ka mara huaa pada tha, latka diya.

5

यीशु ने, उन का विश्वास देखकर, उस झोले के मारे हुए से कहा; हे पुत्र, तेरे पाप क्षमा हुए।

Yeshu ne, un ka vishwaas dekhkar, us jhole ke mare hue se kaha; he putra, tere paap kshama hue.

6

तब कई एक शास्त्री जो वहां बैठे थे, अपने अपने मन में विचार करने लगे।

Tab kai ek shastri jo vahan baithe the, apne apne man mein vichaar karne lage.

7

कि यह मनुष्य क्यों ऐसा कहता है? यह तो परमेश्वर की निन्दा करता है, परमेश्वर को छोड़ और कौन पाप क्षमा कर सकता है?

Ki yah manushya kyon aisa kahta hai? Yah to Parmeshwar ki ninda karta hai, Parmeshwar ko chhod aur kaun paap kshama kar sakta hai?

8

यीशु ने तुरन्त अपनी आत्मा में जान लिया, कि वे अपने अपने मन में ऐसा विचार कर रहे हैं, और उन से कहा, तुम अपने अपने मन में यह विचार क्यों कर रहे हो?

Yeshu ne turant apni aatma mein jaan liya, ki ve apne apne man mein aisa vichaar kar rahe hain, aur un se kaha, tum apne apne man mein yah vichaar kyon kar rahe ho?

9

सहज क्या है? क्या झोले के मारे से यह कहना कि तेरे पाप क्षमा हुए, या यह कहना, कि उठ अपनी खाट उठा कर चल फिर?

Sahaj kya hai? Kya jhole ke mare se yah kahna ki tere paap kshama hue, ya yah kahna, ki uth apni khaat utha kar chal phir?

10

परन्तु जिस से तुम जान लो कि मनुष्य के पुत्र को पृथ्वी पर पाप क्षमा करने का भी अधिकार है (उस ने उस झोले के मारे हुए से कहा)।

Parantu jis se tum jaan lo ki manushya ke putra ko prithvi par paap kshama karne ka bhi adhikaar hai (us ne us jhole ke mare hue se kaha).

11

मैं तुझ से कहता हूं; उठ, अपनी खाट उठाकर अपने घर चला जा।

Main tujh se kahta hoon; uth, apni khaat uthakar apne ghar chala ja.

12

और वह उठा, और तुरन्त खाट उठाकर और सब के साम्हने से निकलकर चला गया, इस पर सब चकित हुए, और परमेश्वर की बड़ाई करके कहने लगे, कि हम ने ऐसा कभी नहीं देखा॥

Aur vah utha, aur turant khaat uthakar aur sab ke samhane se nikalkar chala gaya, is par sab chakit hue, aur Parmeshwar ki badai karke kahne lage, ki ham ne aisa kabhi nahi dekha.

13

वह फिर निकलकर झील के किनारे गया, और सारी भीड़ उसके पास आई, और वह उन्हें उपदेश देने लगा।

Vah phir nikalkar jheel ke kinare gaya, aur sari bheed uske paas aai, aur vah unhein updesh dene laga.

14

जाते हुए उस ने हलफई के पुत्र लेवी को चुंगी की चौकी पर बैठे देखा, और उस से कहा; मेरे पीछे हो ले।

Jate hue us ne halphai ke putra levi ko chungi ki chauki par baithe dekha, aur us se kaha; mere peechhe ho le.

15

और वह उठकर, उसके पीछे हो लिया: और वह उसके घर में भोजन करने बैठा, और बहुत से चुंगी लेने वाले और पापी यीशु और उसके चेलों के साथ भोजन करने बैठे; क्योंकि वे बहुत से थे, और उसके पीछे हो लिये थे।

Aur vah uthkar, uske peechhe ho liya: aur vah uske ghar mein bhojan karne baitha, aur bahut se chungi lene vale aur papi Yeshu aur uske chelon ke saath bhojan karne baithe; kyonki ve bahut se the, aur uske peechhe ho liye the.

16

और शास्त्रियों और फरीसियों ने यह देखकर, कि वह तो पापियों और चुंगी लेने वालों के साथ भोजन कर रहा है, उसके चेलों से कहा; वह तो चुंगी लेने वालों और पापियों के साथ खाता पीता है!!

Aur shastriyon aur phareesiyon ne yah dekhkar, ki vah to papiyon aur chungi lene valon ke saath bhojan kar raha hai, uske chelon se kaha; vah to chungi lene valon aur papiyon ke saath khata peeta hai!!

17

यीशु ने यह सुनकर, उन से कहा, भले चंगों को वैद्य की आवश्यकता नहीं, परन्तु बीमारों को है: मैं धर्मियों को नहीं, परन्तु पापियों को बुलाने आया हूं॥

Yeshu ne yah sunkar, un se kaha, bhale changon ko vaidya ki aavashyakta nahi, parantu beemaron ko hai: main dharmiyon ko nahi, parantu papiyon ko bulane aaya hoon.

18

यूहन्ना के चेले, और फरीसी उपवास करते थे; सो उन्होंने आकर उस से यह कहा; कि यूहन्ना के चेले और फरीसियों के चेले क्यों उपवास रखते हैं? परन्तु तेरे चेले उपवास नहीं रखते।

Yuhanna ke chele, aur phareesi upvaas karte the; so unhonne aakar us se yah kaha; ki Yuhanna ke chele aur phareesiyon ke chele kyon upvaas rakhte hain? Parantu tere chele upvaas nahi rakhte.

19

यीशु ने उन से कहा, जब तक दुल्हा बरातियों के साथ रहता है क्या वे उपवास कर सकते हैं? सो जब तक दूल्हा उन के साथ है, तब तक वे उपवास नहीं कर सकते।

Yeshu ne un se kaha, jab tak dulha baratiyon ke saath rahta hai kya ve upvaas kar sakte hain? So jab tak doolha un ke saath hai, tab tak ve upvaas nahi kar sakte.

20

परन्तु वे दिन आएंगे, कि दूल्हा उन से अलग किया जाएगा; उस समय वे उपवास करेंगे।

Parantu ve din aayenge, ki doolha un se alag kiya jayega; us samay ve upvaas karenge.

21

कोरे कपड़े का पैबन्द पुराने पहिरावन पर कोई नहीं लगाता; नहीं तो वह पैबन्द उस में से कुछ खींच लेगा, अर्थात नया, पुराने से, और वह और फट जाएगा।

Kore kapde ka paiband purane pahiravan par koi nahi lagata; nahi to vah paiband us mein se kuchh kheench lega, arthaat naya, purane se, aur vah aur phat jayega.

22

नये दाखरस को पुरानी मश्कों में कोई नहीं रखता, नहीं तो दाखरस मश्कों को फाड़ देगा, और दाखरस और मश्कें दोनों नष्ट हो जाएंगी; परन्तु दाख का नया रस नई मश्कों में भरा जाता है॥

Naye dakhras ko purani mashkon mein koi nahi rakhta, nahi to dakhras mashkon ko phaad dega, aur dakhras aur mashkein donon nasht ho jayengi; parantu daakh ka naya ras nai mashkon mein bhara jata hai.

23

और ऐसा हुआ कि वह सब्त के दिन खेतों में से होकर जा रहा था; और उसके चेले चलते हुए बालें तोड़ने लगे।

Aur aisa huaa ki vah sabt ke din kheton mein se hokar ja raha tha; aur uske chele chalte hue balein todne lage.

24

तब फरीसियों ने उस से कहा, देख; ये सब्त के दिन वह काम क्यों करते हैं जो उचित नहीं?

Tab phareesiyon ne us se kaha, dekh; ye sabt ke din vah kaam kyon karte hain jo uchit nahi?

25

उस ने उन से कहा, क्या तुम ने कभी नहीं पढ़ा, कि जब दाऊद को आवश्यकता हुई और जब वह और उसके साथी भूखे हुए, तब उस ने क्या किया था?

Us ne un se kaha, kya tum ne kabhi nahi padha, ki jab Daud ko aavashyakta hui aur jab vah aur uske sathi bhookhe hue, tab us ne kya kiya tha?

26

उस ने क्योंकर अबियातार महायाजक के समय, परमेश्वर के भवन में जाकर, भेंट की रोटियां खाईं, जिसका खाना याजकों को छोड़ और किसी को भी उचित नहीं, और अपने साथियों को भी दीं?

Us ne kyonkar abiyataar mahayajak ke samay, Parmeshwar ke bhavan mein jakar, bhent ki rotiyan khai, jiska khana yajkon ko chhod aur kisi ko bhi uchit nahi, aur apne sathiyon ko bhi di?

27

और उस ने उन से कहा; सब्त का दिन मनुष्य के लिये बनाया गया है, न कि मनुष्य सब्त के दिन के लिये।

Aur us ne un se kaha; sabt ka din manushya ke liye banaya gaya hai, na ki manushya sabt ke din ke liye.

28

इसलिये मनुष्य का पुत्र सब्त के दिन का भी स्वामी है॥

Isliye manushya ka putra sabt ke din ka bhi swami hai.