Mark 15 · 47 verses

मरकुस 15 Mark 15 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Markus 15.

1

और भोर होते ही तुरन्त महायाजकों, पुरनियों, और शास्त्रियों ने वरन सारी महासभा ने सलाह करके यीशु को बन्धवाया, और उसे ले जाकर पीलातुस के हाथ सौंप दिया।

Aur bhor hote hi turant mahayajkon, purniyon, aur shastriyon ne varan sari mahasbha ne salaah karke Yeshu ko bandhavaya, aur use le jakar peelatus ke haath saump diya.

2

और पीलातुस ने उस से पूछा, क्या तू यहूदियों का राजा है? उस ने उस को उत्तर दिया; कि तू आप ही कह रहा है।

Aur peelatus ne us se poochha, kya tu Yahudiyon ka raja hai? Us ne us ko uttar diya; ki tu aap hi kah raha hai.

3

और महायाजक उस पर बहुत बातों का दोष लगा रहे थे।

Aur mahayajak us par bahut baton ka dosh laga rahe the.

4

पीलातुस ने उस से फिर पूछा, क्या तू कुछ उत्तर नहीं देता, देख ये तुझ पर कितनी बातों का दोष लगाते हैं?

Peelatus ne us se phir poochha, kya tu kuchh uttar nahi deta, dekh ye tujh par kitni baton ka dosh lagate hain?

5

यीशु ने फिर कुछ उत्तर नहीं दिया; यहां तक कि पीलातुस को बड़ा आश्चर्य हुआ॥

Yeshu ne phir kuchh uttar nahi diya; yahan tak ki peelatus ko bada aashcharya huaa.

6

और वह उस पर्व्व में किसी एक बन्धुए को जिसे वे चाहते थे, उन के लिये छोड़ दिया करता था।

Aur vah us parvva mein kisi ek bandhue ko jise ve chahte the, un ke liye chhod diya karta tha.

7

और बरअब्बा नाम का एक मनुष्य उन बलवाइयों के साथ बन्धुआ था, जिन्हों ने बलवे में हत्या की थी।

Aur baraabba naam ka ek manushya un balvaiyon ke saath bandhuaa tha, jinhon ne balve mein hatya ki thi.

8

और भीड़ ऊपर जाकर उस से बिनती करने लगी, कि जैसा तू हमारे लिये करता आया है वैसा ही कर।

Aur bheed oopar jakar us se binti karne lagi, ki jaisa tu hamare liye karta aaya hai vaisa hi kar.

9

पीलातुस ने उन को यह उत्तर दिया, क्या तुम चाहते हो, कि मैं तुम्हारे लिये यहूदियों के राजा को छोड़ दूं?

Peelatus ne un ko yah uttar diya, kya tum chahte ho, ki main tumhare liye Yahudiyon ke raja ko chhod dun?

10

क्योंकि वह जानता था, कि महायाजकों ने उसे डाह से पकड़वाया था।

Kyonki vah janta tha, ki mahayajkon ne use daah se pakadvaya tha.

11

परन्तु महायाजकों ने लोगों को उभारा, कि वह बरअब्बा ही को उन के लिये छोड़ दे।

Parantu mahayajkon ne logon ko ubhara, ki vah baraabba hi ko un ke liye chhod de.

12

यह सुन पीलातुस ने उन से फिर पूछा; तो जिसे तुम यहूदियों का राजा कहते हो, उस को मैं क्या करूं? वे फिर चिल्लाए, कि उसे क्रूस पर चढ़ा दे।

Yah sun peelatus ne un se phir poochha; to jise tum Yahudiyon ka raja kahte ho, us ko main kya karun? Ve phir chillaye, ki use kroos par chadha de.

13

पीलातुस ने उन से कहा; क्यों, इस ने क्या बुराई की है?

Peelatus ne un se kaha; kyon, is ne kya burai ki hai?

14

परन्तु वे और भी चिल्लाए, कि उसे क्रूस पर चढ़ा दे।

Parantu ve aur bhi chillaye, ki use kroos par chadha de.

15

तक पीलातुस ने भीड़ को प्रसन्न करने की इच्छा से, बरअब्बा को उन के लिये छोड़ दिया, और यीशु को कोड़े लगवाकर सौंप दिया, कि क्रूस पर चढ़ाया जाए।

Tak peelatus ne bheed ko prasann karne ki ichchha se, baraabba ko un ke liye chhod diya, aur Yeshu ko kode lagvakar saump diya, ki kroos par chadhaya jaye.

16

और सिपाही उसे किले के भीतर आंगन में ले गए जो प्रीटोरियुन कहलाता है, और सारी पलटन को बुला लाए।

Aur sipahi use kile ke bheetar aangan mein le gaye jo preetoriyun kahlata hai, aur sari paltan ko bula laye.

17

और उन्होंने उसे बैंजनी वस्त्र पहिनाया और कांटों का मुकुट गूंथकर उसके सिर पर रखा।

Aur unhonne use bainjni vastra pahinaya aur kanton ka mukut goonthkar uske sir par rakha.

18

और यह कहकर उसे नमस्कार करने लगे, कि हे यहूदियों के राजा, नमस्कार!

Aur yah kahkar use namaskaar karne lage, ki he Yahudiyon ke raja, namaskaar!

19

और वे उसके सिर पर सरकण्डे मारते, और उस पर थूकते, और घुटने टेककर उसे प्रणाम करते रहे।

Aur ve uske sir par sarkande marte, aur us par thookte, aur ghutne tekkar use pranaam karte rahe.

20

और जब वे उसका ठट्ठा कर चुके, तो उस पर से बैंजनी वस्त्र उतारकर उसी के कपड़े पहिनाए; और तब उसे क्रूस पर चढ़ाने के लिये बाहर ले गए।

Aur jab ve uska thattha kar chuke, to us par se bainjni vastra utarkar usi ke kapde pahinaye; aur tab use kroos par chadhane ke liye bahar le gaye.

21

और सिकन्दर और रूफुस का पिता, शमौन नाम एक कुरेनी मनुष्य, जो गांव से आ रहा था उधर से निकला; उन्होंने उसे बेगार में पकड़ा, कि उसका क्रूस उठा ले चले।

Aur sikandar aur roophus ka pita, Shamaun naam ek kureni manushya, jo gaanv se aa raha tha udhar se nikla; unhonne use begaar mein pakda, ki uska kroos utha le chale.

22

और वे उसे गुलगुता नाम जगह पर जिस का अर्थ खोपड़ी की जगह है लाए।

Aur ve use gulguta naam jagah par jis ka arth khopdi ki jagah hai laye.

23

और उसे मुर्र मिला हुआ दाखरस देने लगे, परन्तु उस ने नहीं लिया।

Aur use murra mila huaa dakhras dene lage, parantu us ne nahi liya.

24

तब उन्होंने उस को क्रूस पर चढ़ाया, और उसके कपड़ों पर चिट्ठियां डालकर, कि किस को क्या मिले, उन्हें बांट लिया।

Tab unhonne us ko kroos par chadhaya, aur uske kapdon par chitthiyan dalkar, ki kis ko kya mile, unhein baant liya.

25

और पहर दिन चढ़ा था, जब उन्होंने उस को क्रूस पर चढ़ाया।

Aur pahar din chadha tha, jab unhonne us ko kroos par chadhaya.

26

और उसका दोषपत्र लिखकर उसके ऊपर लगा दिया गया कि “यहूदियों का राजा”।

Aur uska doshpatra likhkar uske oopar laga diya gaya ki “Yahudiyon ka raja”.

27

और उन्होंने उसके साथ दो डाकू, एक उस की दाहिनी और एक उस की बाईं ओर क्रूस पर चढ़ाए।

Aur unhonne uske saath do daku, ek us ki dahini aur ek us ki bai or kroos par chadhaye.

28

तब धर्मशास्त्र का वह वचन कि वह अपराधियों के संग गिना गया पूरा हुआ।

Tab dharmashastra ka vah vachan ki vah apradhiyon ke sang gina gaya poora huaa.

29

और मार्ग में जाने वाले सिर हिला हिलाकर और यह कहकर उस की निन्दा करते थे, कि वाह! मन्दिर के ढाने वाले, और तीन दिन में बनाने वाले! क्रूस पर से उतर कर अपने आप को बचा ले।

Aur maarg mein jane vale sir hila hilakar aur yah kahkar us ki ninda karte the, ki vaah! Mandir ke dhane vale, aur teen din mein banane vale! Kroos par se utar kar apne aap ko bacha le.

30

इसी रीति से महायाजक भी, शास्त्रियों समेत,

Isi reeti se mahayajak bhi, shastriyon samet,

31

आपस में ठट्ठे से कहते थे; कि इस ने औरों को बचाया, और अपने को नहीं बचा सकता।

Aapas mein thatthe se kahte the; ki is ne auron ko bachaya, aur apne ko nahi bacha sakta.

32

इस्राएल का राजा मसीह अब क्रूस पर से उतर आए कि हम देखकर विश्वास करें: और जो उसके साथ क्रूसों पर चढ़ाए गए थे, वे भी उस की निन्दा करते थे॥

Israel ka raja Masih ab kroos par se utar aaye ki ham dekhkar vishwaas karein: aur jo uske saath krooson par chadhaye gaye the, ve bhi us ki ninda karte the.

33

और दोपहर होने पर, सारे देश में अन्धियारा छा गया; और तीसरे पहर तक रहा।

Aur dophar hone par, sare desh mein andhiyara chha gaya; aur teesre pahar tak raha.

34

तीसरे पहर यीशु ने बड़े शब्द से पुकार कर कहा, इलोई, इलोई, लमा शबक्तनी जिस का अर्थ यह है; हे मेरे परमेश्वर, हे मेरे परमेश्वर, तू ने मुझे क्यों छोड़ दिया?

Teesre pahar Yeshu ne bade shabd se pukaar kar kaha, iloi, iloi, lama shabaktani jis ka arth yah hai; he mere Parmeshwar, he mere Parmeshwar, tu ne mujhe kyon chhod diya?

35

जो पास खड़े थे, उन में से कितनों ने यह सुनकर कहा: देखो यह एलिय्याह को पुकारता है।

Jo paas khade the, un mein se kitnon ne yah sunkar kaha: dekho yah eliyyaah ko pukarta hai.

36

और एक ने दौड़कर इस्पंज को सिरके में डुबोया, और सरकण्डे पर रखकर उसे चुसाया; और कहा, ठहर जाओ, देखें, कि एलिय्याह उसे उतारने कि लिये आता है कि नहीं।

Aur ek ne daudkar ispanj ko sirke mein duboya, aur sarkande par rakhkar use chusaya; aur kaha, thahar jao, dekhein, ki eliyyaah use utarne ki liye aata hai ki nahi.

37

तब यीशु ने बड़े शब्द से चिल्लाकर प्राण छोड़ दिये।

Tab Yeshu ne bade shabd se chillakar praan chhod diye.

38

और मन्दिर का पर्दा ऊपर से नीचे तक फटकर दो टुकड़े हो गया।

Aur mandir ka parda oopar se neeche tak phatkar do tukde ho gaya.

39

जो सूबेदार उसके साम्हने खड़ा था, जब उसे यूं चिल्लाकर प्राण छोड़ते हुए देखा, तो उस ने कहा, सचमुच यह मनुष्य, परमेश्वर का पुत्र था।

Jo soobedaar uske samhane khada tha, jab use yun chillakar praan chhodte hue dekha, to us ne kaha, sachmuch yah manushya, Parmeshwar ka putra tha.

40

कई स्त्रियां भी दूर से देख रही थीं: उन में मरियम मगदलीनी और छोटे याकूब की और योसेस की माता मरियम और शलोमी थीं।

Kai striyan bhi door se dekh rahi thi: un mein Mariyam magadleeni aur chhote Yakub ki aur yoses ki mata Mariyam aur shalomi thi.

41

जब वह गलील में था, तो ये उसके पीछे हो लेती थीं और उस की सेवा-टहल किया करती थीं; और और भी बहुत सी स्त्रियां थीं, जो उसके साथ यरूशलेम में आई थीं॥

Jab vah galeel mein tha, to ye uske peechhe ho leti thi aur us ki seva-tahal kiya karti thi; aur aur bhi bahut si striyan thi, jo uske saath Yerushalem mein aai thi.

42

जब संध्या हो गई, तो इसलिये कि तैयारी का दिन था, जो सब्त के एक दिन पहिले होता है।

Jab sandhya ho gai, to isliye ki taiyari ka din tha, jo sabt ke ek din pahile hota hai.

43

अरिमतिया का रहेनवाला यूसुफ आया, जो प्रतिष्ठित मंत्री और आप भी परमेश्वर के राज्य की बाट जोहता था; वह हियाव करके पीलातुस के पास गया और यीशु की लोथ मांगी।

Arimtiya ka rahenvala Yusuf aaya, jo pratishthit mantri aur aap bhi Parmeshwar ke rajya ki baat johta tha; vah hiyaav karke peelatus ke paas gaya aur Yeshu ki loth mangi.

44

पीलातुस ने आश्चर्य किया, कि वह इतना शीघ्र मर गया; और सूबेदार को बुलाकर पूछा, कि क्या उस को मरे हुए देर हुई?

Peelatus ne aashcharya kiya, ki vah itna sheeghra mar gaya; aur soobedaar ko bulakar poochha, ki kya us ko mare hue der hui?

45

सो जब सूबेदार के द्वारा हाल जान लिया, तो लोथ यूसुफ को दिला दी।

So jab soobedaar ke dwara haal jaan liya, to loth Yusuf ko dila di.

46

तब उस ने एक पतली चादर मोल ली, और लोथ को उतारकर उस चादर में लपेटा, और एक कब्र मे जो चट्टान में खोदी गई थी रखा, और कब्र के द्वार पर एक पत्थर लुढ़का दिया।

Tab us ne ek patli chadar mol li, aur loth ko utarkar us chadar mein lapeta, aur ek kabra me jo chattaan mein khodi gai thi rakha, aur kabra ke dwaar par ek patthar ludhka diya.

47

और मरियम मगदलीनी और योसेस की माता मरियम देख रही थीं, कि वह कहां रखा गया है॥

Aur Mariyam magadleeni aur yoses ki mata Mariyam dekh rahi thi, ki vah kahan rakha gaya hai.