Mark 14 · 72 verses

मरकुस 14 Mark 14 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Markus 14.

1

दो दिन के बाद फसह और अखमीरी रोटी का पर्व्व होनेवाला था: और महायाजक और शास्त्री इस बात की खोज में थे कि उसे क्योंकर छल से पकड़ कर मार डालें।

Do din ke baad phasah aur akhmeeri roti ka parvva honevala tha: aur mahayajak aur shastri is baat ki khoj mein the ki use kyonkar chhal se pakad kar maar dalein.

2

परन्तु कहते थे, कि पर्व्व के दिन नहीं, कहीं ऐसा न हो कि लोगों में बलवा मचे॥

Parantu kahte the, ki parvva ke din nahi, kahi aisa na ho ki logon mein balva mache.

3

जब वह बैतनिय्याह में शमौन कोढ़ी के घर भोजन करने बैठा हुआ था तब एक स्त्री संगमरमर के पात्र में जटामांसी का बहुमूल्य शुद्ध इत्र लेकर आई; और पात्र तोड़ कर इत्र को उसके सिर पर उण्डेला।

Jab vah baitniyyaah mein Shamaun kodhi ke ghar bhojan karne baitha huaa tha tab ek stri sangmarmar ke patra mein jatamansi ka bahumoolya shuddh itra lekar aai; aur patra tod kar itra ko uske sir par undela.

4

परन्तु कोई कोई अपने मन में रिसयाकर कहने लगे, इस इत्र को क्यों सत्यनाश किया गया?

Parantu koi koi apne man mein risyakar kahne lage, is itra ko kyon satyanaash kiya gaya?

5

क्योंकि यह इत्र तो तीन सौ दीनार से अधिक मूल्य में बेचकर कंगालों को बांटा जा सकता था, ओर वे उस को झिड़कने लगे।

Kyonki yah itra to teen sau deenaar se adhik moolya mein bechkar kangalon ko banta ja sakta tha, or ve us ko jhidakne lage.

6

यीशु ने कहा; उसे छोड़ दो; उसे क्यों सताते हो? उस ने तो मेरे साथ भलाई की है।

Yeshu ne kaha; use chhod do; use kyon satate ho? Us ne to mere saath bhalai ki hai.

7

कंगाल तुम्हारे साथ सदा रहते हैं: और तुम जब चाहो तब उन से भलाई कर सकते हो; पर मैं तुम्हारे साथ सदा न रहूंगा।

Kangaal tumhare saath sada rahte hain: aur tum jab chaho tab un se bhalai kar sakte ho; par main tumhare saath sada na rahoonga.

8

जो कुछ वह कर सकी, उस ने किया; उस ने मेरे गाड़े जाने की तैयारी में पहिले से मेरी देह पर इत्र मला है।

Jo kuchh vah kar saki, us ne kiya; us ne mere gade jane ki taiyari mein pahile se meri deh par itra mala hai.

9

मैं तुम से सच कहता हूं, कि सारे जगत में जहां कहीं सुसमाचार प्रचार किया जाएगा, वहां उसके इस काम की चर्चा भी उसके स्मरण में की जाएगी॥

Main tum se sach kahta hoon, ki sare jagat mein jahan kahi susmachaar prachaar kiya jayega, vahan uske is kaam ki charcha bhi uske smaran mein ki jayegi.

10

तब यहूदा इस्करियोती जो बारह में से एक था, महायाजकों के पास गया, कि उसे उन के हाथ पकड़वा दे।

Tab Yahuda iskariyoti jo barah mein se ek tha, mahayajkon ke paas gaya, ki use un ke haath pakadva de.

11

वे यह सुनकर आनन्दित हुए, और उस को रूपये देना स्वीकार किया, और यह अवसर ढूंढ़ने लगा कि उसे किसी प्रकार पकड़वा दे॥

Ve yah sunkar aanandit hue, aur us ko roopye dena sweekaar kiya, aur yah avsar dhoondhne laga ki use kisi prakaar pakadva de.

12

अखमीरी रोटी के पर्व्व के पहिले दिन, जिस में वे फसह का बलिदान करते थे, उसके चेलों ने उस से पूछा, तू कहां चाहता है, कि हम जाकर तेरे लिये फसह खाने की तैयारी करें?

Akhmeeri roti ke parvva ke pahile din, jis mein ve phasah ka balidaan karte the, uske chelon ne us se poochha, tu kahan chahta hai, ki ham jakar tere liye phasah khane ki taiyari karein?

13

उस ने अपने चेलों में से दो को यह कहकर भेजा, कि नगर में जाओ, और एक मनुष्य जल का घड़ा उठाए, हुए तुम्हें मिलेगा, उसके पीछे हो लेना।

Us ne apne chelon mein se do ko yah kahkar bheja, ki nagar mein jao, aur ek manushya jal ka ghada uthaye, hue tumhein milega, uske peechhe ho lena.

14

और वह जिस घर में जाए उस घर के स्वामी से कहना; गुरू कहता है, कि मेरी पाहुनशाला जिस में मैं अपने चेलों के साथ फसह खाऊं कहां है?

Aur vah jis ghar mein jaye us ghar ke swami se kahna; guru kahta hai, ki meri pahunshala jis mein main apne chelon ke saath phasah khaun kahan hai?

15

वह तुम्हें एक सजी सजाई, और तैयार की हुई बड़ी अटारी दिखा देगा, वहां हमारे लिये तैयारी करो।

Vah tumhein ek saji sajai, aur taiyaar ki hui badi atari dikha dega, vahan hamare liye taiyari karo.

16

सो चेले निकलकर नगर में आये और जैसा उस ने उन से कहा था, वैसा ही पाया, और फसह तैयार किया॥

So chele nikalkar nagar mein aaye aur jaisa us ne un se kaha tha, vaisa hi paya, aur phasah taiyaar kiya.

17

जब सांझ हुई, तो वह बारहों के साथ आया।

Jab saanjh hui, to vah barhon ke saath aaya.

18

और जब वे बैठे भोजन कर रहे थे, तो यीशु ने कहा; मैं तुम से सच कहता हूं, कि तुम में से एक, जो मेरे साथ भोजन कर रहा है, मुझे पकड़वाएगा।

Aur jab ve baithe bhojan kar rahe the, to Yeshu ne kaha; main tum se sach kahta hoon, ki tum mein se ek, jo mere saath bhojan kar raha hai, mujhe pakadvayega.

19

उन पर उदासी छा गई और वे एक एक करके उस से कहने लगे; क्या वह मैं हूं?

Un par udasi chha gai aur ve ek ek karke us se kahne lage; kya vah main hoon?

20

उस ने उन से कहा, वह बारहों में से एक है, जो मेरे साथ थाली में हाथ डालता है।

Us ne un se kaha, vah barhon mein se ek hai, jo mere saath thali mein haath dalta hai.

21

क्योंकि मनुष्य का पुत्र तो, जैसा उसके विषय में लिखा है, जाता ही है; परन्तु उस मनुष्य पर हाय जिस के द्वारा मनुष्य का पुत्र पकड़वाया जाता है! यदि उस मनुष्य का जन्म ही न होता, तो उसके लिये भला होता॥

Kyonki manushya ka putra to, jaisa uske vishay mein likha hai, jata hi hai; parantu us manushya par haay jis ke dwara manushya ka putra pakadvaya jata hai! Yadi us manushya ka janm hi na hota, to uske liye bhala hota.

22

और जब वे खा ही रहे थे तो उस ने रोटी ली, और आशीष मांगकर तोड़ी, और उन्हें दी, और कहा, लो, यह मेरी देह है।

Aur jab ve kha hi rahe the to us ne roti li, aur aasheesh mangkar todi, aur unhein di, aur kaha, lo, yah meri deh hai.

23

फिर उस ने कटोरा लेकर धन्यवाद किया, और उन्हें दिया; और उन सब ने उस में से पीया।

Phir us ne katora lekar dhanyavaad kiya, aur unhein diya; aur un sab ne us mein se peeya.

24

और उस ने उन से कहा, यह वाचा का मेरा वह लोहू है, जो बहुतों के लिये बहाया जाता है।

Aur us ne un se kaha, yah vacha ka mera vah lohu hai, jo bahuton ke liye bahaya jata hai.

25

मैं तुम से सच कहता हूं, कि दाख का रस उस दिन तक फिर कभी न पीऊंगा, जब तक परमेश्वर के राज्य में नया न पीऊं॥

Main tum se sach kahta hoon, ki daakh ka ras us din tak phir kabhi na peeoonga, jab tak Parmeshwar ke rajya mein naya na peeun.

26

फिर वे भजन गाकर बाहर जैतून के पहाड़ पर गए॥

Phir ve bhajan gakar bahar jaitoon ke pahaad par gaye.

27

तब यीशु ने उन से कहा; तुम सब ठोकर खाओगे, क्योंकि लिखा है, कि मैं रखवाले को मारूंगा, और भेड़ तित्तर बित्तर हो जाएंगी।

Tab Yeshu ne un se kaha; tum sab thokar khaoge, kyonki likha hai, ki main rakhvale ko maroonga, aur bhed tittar bittar ho jayengi.

28

परन्तु मैं अपने जी उठने के बाद तुम से पहिले गलील को जाऊंगा।

Parantu main apne ji uthne ke baad tum se pahile galeel ko jaoonga.

29

पतरस ने उस से कहा; यदि सब ठोकर खाएं तो खांए, पर मैं ठोकर नहीं खाऊंगा।

Patras ne us se kaha; yadi sab thokar khayen to khanye, par main thokar nahi khaoonga.

30

यीशु ने उस से कहा; मैं तुझ से सच कहता हूं, कि आज ही इसी रात को मुर्गे के दो बार बांग देने से पहिले, तू तीन बार मुझ से मुकर जाएगा।

Yeshu ne us se kaha; main tujh se sach kahta hoon, ki aaj hi isi raat ko murge ke do baar baang dene se pahile, tu teen baar mujh se mukar jayega.

31

पर उस ने और भी जोर देकर कहा, यदि मुझे तेरे साथ मरना भी पड़े तौभी तेरा इन्कार कभी न करूंगा: इसी प्रकार और सब ने भी कहा॥

Par us ne aur bhi jor dekar kaha, yadi mujhe tere saath marna bhi pade taubhi tera inkaar kabhi na karoonga: isi prakaar aur sab ne bhi kaha.

32

फिर वे गतसमने नाम एक जगह में आए, और उस ने अपने चेलों से कहा, यहां बैठे रहो, जब तक मैं प्रार्थना करूं।

Phir ve gatsamne naam ek jagah mein aaye, aur us ne apne chelon se kaha, yahan baithe raho, jab tak main prarthana karun.

33

और वह पतरस और याकूब और यूहन्ना को अपने साथ ले गया: और बहुत ही अधीर, और व्याकुल होने लगा।

Aur vah Patras aur Yakub aur Yuhanna ko apne saath le gaya: aur bahut hi adheer, aur vyakul hone laga.

34

और उन से कहा; मेरा मन बहुत उदास है, यहां तक कि मैं मरने पर हूं: तुम यहां ठहरो, और जागते रहो।

Aur un se kaha; mera man bahut udaas hai, yahan tak ki main marne par hoon: tum yahan thahro, aur jagte raho.

35

और वह थोड़ा आगे बढ़ा, और भूमि पर गिरकर प्रार्थना करने लगा, कि यदि हो सके तो यह घड़ी मुझ पर से टल जाए।

Aur vah thoda aage badha, aur bhoomi par girkar prarthana karne laga, ki yadi ho sake to yah ghadi mujh par se tal jaye.

36

और कहा, हे अब्बा, हे पिता, तुझ से सब कुछ हो सकता है; इस कटोरे को मेरे पास से हटा ले: तौभी जैसा मैं चाहता हूं वैसा नहीं, पर जो तू चाहता है वही हो।

Aur kaha, he abba, he pita, tujh se sab kuchh ho sakta hai; is katore ko mere paas se hata le: taubhi jaisa main chahta hoon vaisa nahi, par jo tu chahta hai vahi ho.

37

फिर वह आया, और उन्हें सोते पाकर पतरस से कहा; हे शमौन तू सो रहा है? क्या तू एक घड़ी भी न जाग सका?

Phir vah aaya, aur unhein sote pakar Patras se kaha; he Shamaun tu so raha hai? Kya tu ek ghadi bhi na jaag saka?

38

जागते और प्रार्थना करते रहो कि तुम परीक्षा में न पड़ो: आत्मा तो तैयार है, पर शरीर दुर्बल है।

Jagte aur prarthana karte raho ki tum pareeksha mein na pado: aatma to taiyaar hai, par shareer durbal hai.

39

और वह फिर चला गया, और वही बात कहकर प्रार्थना की।

Aur vah phir chala gaya, aur vahi baat kahkar prarthana ki.

40

और फिर आकर उन्हें सोते पाया, क्योंकि उन की आंखे नींद से भरी थीं; और नहीं जानते थे कि उसे क्या उत्तर दें।

Aur phir aakar unhein sote paya, kyonki un ki aankhe neend se bhari thi; aur nahi jante the ki use kya uttar dein.

41

फिर तीसरी बार आकर उन से कहा; अब सोते रहो और विश्राम करो, बस, घड़ी आ पहुंची; देखो मनुष्य का पुत्र पापियों के हाथ पकड़वाया जाता है।

Phir teesri baar aakar un se kaha; ab sote raho aur vishraam karo, bas, ghadi aa pahunchi; dekho manushya ka putra papiyon ke haath pakadvaya jata hai.

42

उठो, चलें: देखो, मेरा पकड़वाने वाला निकट आ पहुंचा है॥

Utho, chalein: dekho, mera pakadvane vala nikat aa pahuncha hai.

43

वह यह कह ही रहा था, कि यहूदा जो बारहों में से था, अपने साथ महायाजकों और शास्त्रियों और पुरनियों की ओर से एक बड़ी भीड़ तलवारें और लाठियां लिए हुए तुरन्त आ पहुंची।

Vah yah kah hi raha tha, ki Yahuda jo barhon mein se tha, apne saath mahayajkon aur shastriyon aur purniyon ki or se ek badi bheed talvarein aur lathiyan liye hue turant aa pahunchi.

44

और उसके पकड़ने वाले ने उन्हें यह पता दिया था, कि जिस को मैं चूमूं वही है, उसे पकड़ कर यत्न से ले जाना।

Aur uske pakadne vale ne unhein yah pata diya tha, ki jis ko main choomun vahi hai, use pakad kar yatn se le jana.

45

और वह आया, और तुरन्त उसके पास जाकर कहा; हे रब्बी और उस को बहुत चूमा।

Aur vah aaya, aur turant uske paas jakar kaha; he rabbi aur us ko bahut chooma.

46

तब उन्होंने उस पर हाथ डालकर उसे पकड़ लिया।

Tab unhonne us par haath dalkar use pakad liya.

47

उन में से जो पास खड़े थे, एक ने तलवार खींच कर महायाजक के दास पर चलाई, और उसका कान उड़ा दिया।

Un mein se jo paas khade the, ek ne talvaar kheench kar mahayajak ke daas par chalai, aur uska kaan uda diya.

48

यीशु ने उन से कहा; क्या तुम डाकू जानकर मेरे पकड़ने के लिये तलवारें और लाठियां लेकर निकले हो?

Yeshu ne un se kaha; kya tum daku jankar mere pakadne ke liye talvarein aur lathiyan lekar nikle ho?

49

मैं तो हर दिन मन्दिर में तुम्हारे साथ रहकर उपदेश दिया करता था, और तब तुम ने मुझे न पकड़ा: परन्तु यह इसलिये हुआ है कि पवित्र शास्त्र की बातें पूरी हों।

Main to har din mandir mein tumhare saath rahkar updesh diya karta tha, aur tab tum ne mujhe na pakda: parantu yah isliye huaa hai ki pavitra shastra ki batein poori hon.

50

इस पर सब चेले उसे छोड़कर भाग गए॥

Is par sab chele use chhodkar bhaag gaye.

51

और एक जवान अपनी नंगी देह पर चादर ओढ़े हुए उसके पीछे हो लिया; और लोगों ने उसे पकड़ा।

Aur ek javaan apni nangi deh par chadar odhe hue uske peechhe ho liya; aur logon ne use pakda.

52

पर वह चादर छोड़कर नंगा भाग गया॥

Par vah chadar chhodkar nanga bhaag gaya.

53

फिर वे यीशु को महायाजक के पास ले गए; और सब महायाजक और पुरिनए और शास्त्री उसके यहां इकट्ठे हो गए।

Phir ve Yeshu ko mahayajak ke paas le gaye; aur sab mahayajak aur purinaye aur shastri uske yahan ikatthe ho gaye.

54

पतरस दूर ही दूर से उसके पीछे पीछे महायाजक के आंगन के भीतर तक गया, और प्यादों के साथ बैठ कर आग तापने लगा।

Patras door hi door se uske peechhe peechhe mahayajak ke aangan ke bheetar tak gaya, aur pyadon ke saath baith kar aag tapne laga.

55

महायाजक और सारी महासभा यीशु के मार डालने के लिये उसके विरोध में गवाही की खोज में थे, पर न मिली।

Mahayajak aur sari mahasbha Yeshu ke maar dalne ke liye uske virodh mein gavahi ki khoj mein the, par na mili.

56

क्योंकि बहुतेरे उसके विरोध में झूठी गवाही दे रहे थे, पर उन की गवाही एक सी न थी।

Kyonki bahutere uske virodh mein jhoothi gavahi de rahe the, par un ki gavahi ek si na thi.

57

तब कितनों ने उठकर उस पर यह झूठी गवाही दी।

Tab kitnon ne uthkar us par yah jhoothi gavahi di.

58

कि हम ने इसे यह कहते सुना है कि मैं इस हाथ के बनाए हुए मन्दिर को ढा दूंगा, और तीन दिन में दूसरा बनाऊंगा, जो हाथ से न बना हो।

Ki ham ne ise yah kahte suna hai ki main is haath ke banaye hue mandir ko dha doonga, aur teen din mein doosra banaoonga, jo haath se na bana ho.

59

इस पर भी उन की गवाही एक सी न निकली।

Is par bhi un ki gavahi ek si na nikli.

60

तब महायाजक ने बीच में खड़े होकर यीशु से पूछा; कि तू कोई उत्तर नहीं देता? ये लोग तेरे विरोध में क्या गवाही देते हैं?

Tab mahayajak ne beech mein khade hokar Yeshu se poochha; ki tu koi uttar nahi deta? Ye log tere virodh mein kya gavahi dete hain?

61

परन्तु वह मौन साधे रहा, और कुछ उत्तर न दिया: महायाजक ने उस से फिर पूछा, क्या तू उस पर म धन्य का पुत्र मसीह है?

Parantu vah maun sadhe raha, aur kuchh uttar na diya: mahayajak ne us se phir poochha, kya tu us par ma dhanya ka putra Masih hai?

62

यीशु ने कहा; हां मैं हूं: और तुम मनुष्य के पुत्र को सर्वशक्तिमान की दाहिनी और बैठे, और आकाश के बादलों के साथ आते देखोगे।

Yeshu ne kaha; han main hoon: aur tum manushya ke putra ko sarvashaktimaan ki dahini aur baithe, aur aakaash ke badlon ke saath aate dekhoge.

63

तब महायाजक ने अपने वस्त्र फाड़कर कहा; अब हमें गवाहों का और क्या प्रयोजन है

Tab mahayajak ne apne vastra phadkar kaha; ab hamein gavahon ka aur kya prayojan hai

64

तुम ने यह निन्दा सुनी: तुम्हारी क्या राय है? उन सब ने कहा, वह वध के योग्य है।

Tum ne yah ninda suni: tumhari kya raay hai? Un sab ne kaha, vah vadh ke yogya hai.

65

तब कोई तो उस पर थूकने, और कोई उसका मुंह ढांपने और उसे घूसे मारने, और उस से कहने लगे, कि भविष्यद्वाणी कर: और प्यादों ने उसे लेकर थप्पड़ मारे॥

Tab koi to us par thookne, aur koi uska munh dhampne aur use ghoose marne, aur us se kahne lage, ki bhavishyadwani kar: aur pyadon ne use lekar thappad mare.

66

जब पतरस नीचे आंगन में था, तो महायाजक की लौंडियों में से एक वहां आई।

Jab Patras neeche aangan mein tha, to mahayajak ki laundiyon mein se ek vahan aai.

67

और पतरस को आग तापते देखकर उस पर टकटकी लगाकर देखा और कहने लगी, तू भी तो उस नासरी यीशु के साथ था।

Aur Patras ko aag tapte dekhkar us par takatki lagakar dekha aur kahne lagi, tu bhi to us nasri Yeshu ke saath tha.

68

वह मुकर गया, और कहा, कि मैं तो नहीं जानता और नहीं समझता कि तू क्या कह रही है: फिर वह बाहर डेवढ़ी में गया; और मुर्गे ने बांग दी।

Vah mukar gaya, aur kaha, ki main to nahi janta aur nahi samajhta ki tu kya kah rahi hai: phir vah bahar devdhi mein gaya; aur murge ne baang di.

69

वह लौंडी उसे देखकर उन से जो पास खड़े थे, फिर कहने लगी, कि वह उन में से एक है।

Vah laundi use dekhkar un se jo paas khade the, phir kahne lagi, ki vah un mein se ek hai.

70

परन्तु वह फिर मुकर गया और थोड़ी देर बाद उन्होंने जो पास खड़े थे फिर पतरस से कहा; निश्चय तू उन में से एक है; क्योंकि तू गलीली भी है।

Parantu vah phir mukar gaya aur thodi der baad unhonne jo paas khade the phir Patras se kaha; nishchay tu un mein se ek hai; kyonki tu galeeli bhi hai.

71

तब वह धिक्कारने देने और शपथ खाने लगा, कि मैं उस मनुष्य को, जिस की तुम चर्चा करते हो, नहीं जानता।

Tab vah dhikkarne dene aur shapath khane laga, ki main us manushya ko, jis ki tum charcha karte ho, nahi janta.

72

तब तुरन्त दूसरी बार मुर्ग ने बांग दी: पतरस को वह बात जो यीशु ने उस से कही थी स्मरण आई, कि मुर्ग के दो बार बांग देने से पहिले तू तीन बार मेरा इन्कार करेगा: वह इस बात को सोचकर रोने लगा॥

Tab turant doosri baar murg ne baang di: Patras ko vah baat jo Yeshu ne us se kahi thi smaran aai, ki murg ke do baar baang dene se pahile tu teen baar mera inkaar karega: vah is baat ko sochkar rone laga.