Mark 12 · 44 verses

मरकुस 12 Mark 12 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Markus 12.

1

फिर वह दृष्टान्त में उन से बातें करने लगा: कि किसी मनुष्य ने दाख की बारी लगाई, और उसके चारों ओर बाड़ा बान्धा, और रस का कुंड खोदा, और गुम्मट बनाया; और किसानों को उसका ठेका देकर पर देश चला गया।

Phir vah drishtaant mein un se batein karne laga: ki kisi manushya ne daakh ki bari lagai, aur uske charon or bada bandha, aur ras ka kund khoda, aur gummat banaya; aur kisanon ko uska theka dekar par desh chala gaya.

2

फिर फल के मौसम में उस ने किसानों के पास एक दास को भेजा कि किसान से दाख की बारी के फलों का भाग ले।

Phir phal ke mausam mein us ne kisanon ke paas ek daas ko bheja ki kisaan se daakh ki bari ke phalon ka bhaag le.

3

पर उन्होंने उसे पकड़कर पीटा और छूछे हाथ लौटा दिया।

Par unhonne use pakadkar peeta aur chhoochhe haath lauta diya.

4

फिर उस ने एक और दास को उन के पास भेजा और उन्होंने उसका सिर फोड़ डाला और उसका अपमान किया।

Phir us ne ek aur daas ko un ke paas bheja aur unhonne uska sir phod dala aur uska apmaan kiya.

5

फिर उस ने एक और को भेजा, और उन्होंने उसे मार डाला: तब उस ने और बहुतों को भेजा: उन में से उन्होंने कितनों को पीटा, और कितनों को मार डाला।

Phir us ne ek aur ko bheja, aur unhonne use maar dala: tab us ne aur bahuton ko bheja: un mein se unhonne kitnon ko peeta, aur kitnon ko maar dala.

6

अब एक ही रह गया था, जो उसका प्रिय पुत्र था; अन्त में उस ने उसे भी उन के पास यह सोचकर भेजा कि वे मेरे पुत्र का आदर करेंगे।

Ab ek hi rah gaya tha, jo uska priya putra tha; ant mein us ne use bhi un ke paas yah sochkar bheja ki ve mere putra ka aadar karenge.

7

पर उन किसानों ने आपस में कहा; यही तो वारिस है; आओ, हम उसे मार डालें, तब मीरास हमारी हो जाएगी।

Par un kisanon ne aapas mein kaha; yahi to varis hai; aao, ham use maar dalein, tab meeraas hamari ho jayegi.

8

और उन्होंने उसे पकड़कर मार डाला, और दाख की बारी के बाहर फेंक दिया।

Aur unhonne use pakadkar maar dala, aur daakh ki bari ke bahar phenk diya.

9

इसलिये दाख की बारी का स्वामी क्या करेगा? वह आकर उन किसानों को नाश करेगा, और दाख की बारी औरों को दे देगा।

Isliye daakh ki bari ka swami kya karega? Vah aakar un kisanon ko naash karega, aur daakh ki bari auron ko de dega.

10

क्या तुम ने पवित्र शास्त्र में यह वचन नहीं पढ़ा, कि जिस पत्थर को राजमिस्त्रयों ने निकम्मा ठहराया था, वही को ने का सिरा हो गया?

Kya tum ne pavitra shastra mein yah vachan nahi padha, ki jis patthar ko rajmistrayon ne nikamma thahraya tha, vahi ko ne ka sira ho gaya?

11

यह प्रभु की ओर से हुआ, और हमारी दृष्टि मे अद्भुत है।

Yah Prabhu ki or se huaa, aur hamari drishti me adbhut hai.

12

तब उन्होंने उसे पकड़ना चाहा; क्योंकि समझ गए थे, कि उस ने हमारे विरोध में यह दृष्टान्त कहा है: पर वे लोगों से डरे; और उसे छोड़ कर चले गए॥

Tab unhonne use pakadna chaha; kyonki samajh gaye the, ki us ne hamare virodh mein yah drishtaant kaha hai: par ve logon se dare; aur use chhod kar chale gaye.

13

तब उन्होंने उसे बातों में फंसाने के लिये कई एक फरीसियों और हेरोदियों को उसके पास भेजा।

Tab unhonne use baton mein phansane ke liye kai ek phareesiyon aur herodiyon ko uske paas bheja.

14

और उन्होंने आकर उस से कहा; हे गुरू, हम जानते हैं, कि तू सच्चा है, और किसी की परवाह नहीं करता; क्योंकि तू मनुष्यों का मुंह देख कर बातें नहीं करता, परन्तु परमेश्वर का मार्ग सच्चाई से बताता है।

Aur unhonne aakar us se kaha; he guru, ham jante hain, ki tu sachcha hai, aur kisi ki parvaah nahi karta; kyonki tu manushyon ka munh dekh kar batein nahi karta, parantu Parmeshwar ka maarg sachchai se batata hai.

15

तो क्या कैसर को कर देना उचित है, कि नहीं? हम दें, या न दें? उस ने उन का कपट जानकर उन से कहा; मुझे क्यों परखते हो? एक दीनार मेरे पास लाओ, कि मैं देखूं।

To kya kaisar ko kar dena uchit hai, ki nahi? Ham dein, ya na dein? Us ne un ka kapat jankar un se kaha; mujhe kyon parakhte ho? Ek deenaar mere paas lao, ki main dekhun.

16

वे ले आए, और उस ने उन से कहा; यह मूर्ति और नाम किस का है? उन्होंने कहा, कैसर का।

Ve le aaye, aur us ne un se kaha; yah moorti aur naam kis ka hai? Unhonne kaha, kaisar ka.

17

यीशु ने उन से कहा; जो कैसर का है वह कैसर को, और जो परमेश्वर का है परमेश्वर को दो: तब वे उस पर बहुत अचम्भा करने लगे॥

Yeshu ne un se kaha; jo kaisar ka hai vah kaisar ko, aur jo Parmeshwar ka hai Parmeshwar ko do: tab ve us par bahut achambha karne lage.

18

फिर सदूकियों ने भी, जो कहते हैं कि मरे हुओं का जी उठना है ही नहीं, उसके पास आकर उस से पूछा।

Phir sadookiyon ne bhi, jo kahte hain ki mare huon ka ji uthna hai hi nahi, uske paas aakar us se poochha.

19

कि हे गुरू, मूसा ने हमारे लिये लिखा है, कि यदि किसी का भाई बिना सन्तान मर जाए, और उस की पत्नी रह जाए, तो उसका भाई उस की पत्नी को ब्याह ले और अपने भाई के लिये वंश उत्पन्न करे: सात भाई थे।

Ki he guru, Musa ne hamare liye likha hai, ki yadi kisi ka bhai bina santaan mar jaye, aur us ki patni rah jaye, to uska bhai us ki patni ko byaah le aur apne bhai ke liye vansh utpann kare: saat bhai the.

20

पहिला भाई ब्याह करके बिना सन्तान मर गया।

Pahila bhai byaah karke bina santaan mar gaya.

21

तब दूसरे भाई ने उस स्त्री को ब्याह लिया और बिना सन्तान मर गया; और वैसे ही तीसरे ने भी।

Tab doosre bhai ne us stri ko byaah liya aur bina santaan mar gaya; aur vaise hi teesre ne bhi.

22

और सातों से सन्तान न हुई: सब के पीछे वह स्त्री भी मर गई।

Aur saton se santaan na hui: sab ke peechhe vah stri bhi mar gai.

23

सो जी उठने पर वह उन में से किस की पत्नी होगी? क्योंकि वह सातों की पत्नी हो चुकी थी।

So ji uthne par vah un mein se kis ki patni hogi? Kyonki vah saton ki patni ho chuki thi.

24

यीशु ने उन से कहा; क्या तुम इस कारण से भूल में नहीं पड़े हो, कि तुम न तो पवित्र शास्त्र ही को जानते हो, और न परमेश्वर की सामर्थ को।

Yeshu ne un se kaha; kya tum is karan se bhool mein nahi pade ho, ki tum na to pavitra shastra hi ko jante ho, aur na Parmeshwar ki samarth ko.

25

क्योंकि जब वे मरे हुओं में से जी उठेंगे, तो उन में ब्याह शादी न होगी; पर स्वर्ग में दूतों की नाईं होंगे।

Kyonki jab ve mare huon mein se ji uthenge, to un mein byaah shadi na hogi; par swarg mein dooton ki nai honge.

26

मरे हुओं के जी उठने के विषय में क्या तुम ने मूसा की पुस्तक में झाड़ी की कथा में नहीं पढ़ा, कि परमेश्वर ने उस से कहा, मैं इब्राहीम का परमेश्वर, और इसहाक का परमेश्वर, और याकूब का परमेश्वर हूं?

Mare huon ke ji uthne ke vishay mein kya tum ne Musa ki pustak mein jhadi ki katha mein nahi padha, ki Parmeshwar ne us se kaha, main Ibrahim ka Parmeshwar, aur Ishaq ka Parmeshwar, aur Yakub ka Parmeshwar hoon?

27

परमेश्वर मरे हुओं का नहीं, वरन जीवतों का परमेश्वर है: सो तुम बड़ी भूल में पड़े हो॥

Parmeshwar mare huon ka nahi, varan jeevton ka Parmeshwar hai: so tum badi bhool mein pade ho.

28

और शास्त्रियों में से एक ने आकर उन्हें विवाद करते सुना, और यह जानकर कि उस ने उन्हें अच्छी रीति से उत्तर दिया; उस से पूछा, सब से मुख्य आज्ञा कौन सी है?

Aur shastriyon mein se ek ne aakar unhein vivaad karte suna, aur yah jankar ki us ne unhein achchhi reeti se uttar diya; us se poochha, sab se mukhya aagya kaun si hai?

29

यीशु ने उसे उत्तर दिया, सब आज्ञाओं में से यह मुख्य है; हे इस्राएल सुन; प्रभु हमारा परमेश्वर एक ही प्रभु है।

Yeshu ne use uttar diya, sab aagyaon mein se yah mukhya hai; he Israel sun; Prabhu hamara Parmeshwar ek hi Prabhu hai.

30

और तू प्रभु अपने परमेश्वर से अपने सारे मन से और अपने सारे प्राण से, और अपनी सारी बुद्धि से, और अपनी सारी शक्ति से प्रेम रखना।

Aur tu Prabhu apne Parmeshwar se apne sare man se aur apne sare praan se, aur apni sari buddhi se, aur apni sari shakti se prem rakhna.

31

और दूसरी यह है, कि तू अपने पड़ोसी से अपने समान प्रेम रखना: इस से बड़ी और कोई आज्ञा नहीं।

Aur doosri yah hai, ki tu apne padosi se apne samaan prem rakhna: is se badi aur koi aagya nahi.

32

शास्त्री ने उस से कहा; हे गुरू, बहुत ठीक! तू ने सच कहा, कि वह एक ही है, और उसे छोड़ और कोई नहीं।

Shastri ne us se kaha; he guru, bahut theek! Tu ne sach kaha, ki vah ek hi hai, aur use chhod aur koi nahi.

33

और उस से सारे मन और सारी बुद्धि और सारे प्राण और सारी शक्ति के साथ प्रेम रखना और पड़ोसी से अपने समान प्रेम रखना, सारे होमों और बलिदानों से बढ़कर है।

Aur us se sare man aur sari buddhi aur sare praan aur sari shakti ke saath prem rakhna aur padosi se apne samaan prem rakhna, sare homon aur balidanon se badhkar hai.

34

जब यीशु ने देखा कि उस ने समझ से उत्तर दिया, तो उस से कहा; तू परमेश्वर के राज्य से दूर नहीं: और किसी को फिर उस से कुछ पूछने का साहस न हुआ॥

Jab Yeshu ne dekha ki us ne samajh se uttar diya, to us se kaha; tu Parmeshwar ke rajya se door nahi: aur kisi ko phir us se kuchh poochhne ka sahas na huaa.

35

फिर यीशु ने मन्दिर में उपदेश करते हुए यह कहा, कि शास्त्री क्योंकर कहते हैं, कि मसीह दाऊद का पुत्र है?

Phir Yeshu ne mandir mein updesh karte hue yah kaha, ki shastri kyonkar kahte hain, ki Masih Daud ka putra hai?

36

दाऊद ने आप ही पवित्र आत्मा में होकर कहा है, कि प्रभु ने मेरे प्रभु से कहा; मेरे दाहिने बैठ, जब तक कि मैं तेरे बैरियों को तेरे पांवों की पीढ़ी न कर दूं।

Daud ne aap hi pavitra aatma mein hokar kaha hai, ki Prabhu ne mere Prabhu se kaha; mere dahine baith, jab tak ki main tere bairiyon ko tere panvon ki peedhi na kar dun.

37

दाऊद तो आप ही उसे प्रभु कहता है, फिर वह उसका पुत्र कहां से ठहरा? और भीड़ के लोग उस की आनन्द से सुनते थे॥

Daud to aap hi use Prabhu kahta hai, phir vah uska putra kahan se thahra? Aur bheed ke log us ki aanand se sunte the.

38

उस ने अपने उपदेश में उन से कहा, शास्त्रियों से चौकस रहो, जो लम्बे वस्त्र पहिने हुए फिरना।

Us ne apne updesh mein un se kaha, shastriyon se chaukas raho, jo lambe vastra pahine hue phirna.

39

और बाजारों में नमस्कार, और आराधनालयों में मुख्य मुख्य आसन और जेवनारों में मुख्य मुख्य स्थान भी चाहते हैं।

Aur bajaron mein namaskaar, aur aaradhnalyon mein mukhya mukhya aasan aur jevnaron mein mukhya mukhya sthaan bhi chahte hain.

40

वे विधवाओं के घरों को खा जाते हैं, और दिखाने के लिये बड़ी देर तक प्रार्थना करते रहते हैं, ये अधिक दण्ड पाएंगे॥

Ve vidhvaon ke gharon ko kha jate hain, aur dikhane ke liye badi der tak prarthana karte rahte hain, ye adhik dand payenge.

41

और वह मन्दिर के भण्डार के साम्हने बैठकर देख रहा था, कि लोग मन्दिर के भण्डार में किस प्रकार पैसे डालते हैं, और बहुत धनवानों ने बहुत कुछ डाला।

Aur vah mandir ke bhandaar ke samhane baithkar dekh raha tha, ki log mandir ke bhandaar mein kis prakaar paise dalte hain, aur bahut dhanvanon ne bahut kuchh dala.

42

इतने में एक कंगाल विधवा ने आकर दो दमड़ियां, जो एक अधेले के बराबर होती है, डालीं।

Itne mein ek kangaal vidhva ne aakar do damdiyan, jo ek adhele ke barabar hoti hai, dali.

43

तब उस ने अपने चेलों को पास बुलाकर उन से कहा; मैं तुम से सच कहता हूं, कि मन्दिर के भण्डार में डालने वालों में से इस कंगाल विधवा ने सब से बढ़कर डाला है।

Tab us ne apne chelon ko paas bulakar un se kaha; main tum se sach kahta hoon, ki mandir ke bhandaar mein dalne valon mein se is kangaal vidhva ne sab se badhkar dala hai.

44

क्योंकि सब ने अपने धन की बढ़ती में से डाला है, परन्तु इस ने अपनी घटी में से जो कुछ उसका था, अर्थात अपनी सारी जीविका डाल दी है।

Kyonki sab ne apne dhan ki badhti mein se dala hai, parantu is ne apni ghati mein se jo kuchh uska tha, arthaat apni sari jeevika daal di hai.