Mark 11 · 33 verses

मरकुस 11 Mark 11 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Markus 11.

1

जब वे यरूशलेम के निकट जैतून पहाड़ पर बैतफगे और बैतनिय्याह के पास आए, तो उस ने अपने चेलों में से दो को यह कहकर भेजा।

Jab ve Yerushalem ke nikat jaitoon pahaad par baitaphge aur baitniyyaah ke paas aaye, to us ne apne chelon mein se do ko yah kahkar bheja.

2

कि अपने साम्हने के गांव में जाओ, और उस में पंहुचते ही एक गदही का बच्चा जिस पर कभी कोई नहीं चढ़ा, बन्धा हुआ तुम्हें मिलेगा, उसे खोल लाओ।

Ki apne samhane ke gaanv mein jao, aur us mein panhuchte hi ek gadhi ka bachcha jis par kabhi koi nahi chadha, bandha huaa tumhein milega, use khol lao.

3

यदि तुम से कोई पूछे, यह क्यों करते हो? तो कहना, कि प्रभु को इस का प्रयोजन है; और वह शीघ्र उसे यहां भेज देगा।

Yadi tum se koi poochhe, yah kyon karte ho? To kahna, ki Prabhu ko is ka prayojan hai; aur vah sheeghra use yahan bhej dega.

4

उन्होंने जाकर उस बच्चे को बाहर द्वार के पास चौक में बन्धा हुआ पाया, और खोलने लगे।

Unhonne jakar us bachche ko bahar dwaar ke paas chauk mein bandha huaa paya, aur kholne lage.

5

और उन में से जो वहां खड़े थे, कोई कोई कहने लगे कि यह क्या करते हो, गदही के बच्चे को क्यों खोलते हो?

Aur un mein se jo vahan khade the, koi koi kahne lage ki yah kya karte ho, gadhi ke bachche ko kyon kholte ho?

6

उन्होंने जैसा यीशु ने कहा था, वैसा ही उन से कह दिया; तब उन्होंने उन्हें जाने दिया।

Unhonne jaisa Yeshu ne kaha tha, vaisa hi un se kah diya; tab unhonne unhein jane diya.

7

और उन्होंने बच्चे को यीशु के पास लाकर उस पर अपने कपड़े डाले और वह उस पर बैठ गया।

Aur unhonne bachche ko Yeshu ke paas lakar us par apne kapde dale aur vah us par baith gaya.

8

और बहुतों ने अपने कपड़े मार्ग में बिछाए और औरों ने खेतों में से डालियां काट काट कर फैला दीं।

Aur bahuton ne apne kapde maarg mein bichhaye aur auron ne kheton mein se daliyan kaat kaat kar phaila di.

9

और जो उसके आगे आगे जाते और पीछे पीछे चले आते थे, पुकार पुकार कर कहते जाते थे, कि होशाना; धन्य है वह जो प्रभु के नाम से आता है।

Aur jo uske aage aage jate aur peechhe peechhe chale aate the, pukaar pukaar kar kahte jate the, ki hoshana; dhanya hai vah jo Prabhu ke naam se aata hai.

10

हमारे पिता दाऊद का राज्य जो आ रहा है; धन्य है: आकाश में होशाना॥

Hamare pita Daud ka rajya jo aa raha hai; dhanya hai: aakaash mein hoshana.

11

और वह यरूशलेम पहुंचकर मन्दिर में आया, और चारों ओर सब वस्तुओं को देखकर बारहों के साथ बैतनिय्याह गया क्योंकि सांझ हो गई थी॥

Aur vah Yerushalem pahunchkar mandir mein aaya, aur charon or sab vastuon ko dekhkar barhon ke saath baitniyyaah gaya kyonki saanjh ho gai thi.

12

दूसरे दिन जब वे बैतनिय्याह से निकले तो उस को भूख लगी।

Doosre din jab ve baitniyyaah se nikle to us ko bhookh lagi.

13

और वह दूर से अंजीर का एक हरा पेड़ देखकर निकट गया, कि क्या जाने उस में कुछ पाए: पर पत्तों को छोड़ कुछ न पाया; क्योंकि फल का समय न था।

Aur vah door se anjeer ka ek hara ped dekhkar nikat gaya, ki kya jane us mein kuchh paye: par patton ko chhod kuchh na paya; kyonki phal ka samay na tha.

14

इस पर उस ने उस से कहा अब से कोई तेरा फल कभी न खाए। और उसके चेले सुन रहे थे।

Is par us ne us se kaha ab se koi tera phal kabhi na khaye. Aur uske chele sun rahe the.

15

फिर वे यरूशलेम में आए, और वह मन्दिर में गया; और वहां जो लेन-देन कर रहे थे उन्हें बाहर निकालने लगा, और सर्राफों के पीढ़े और कबूतर के बेचने वालों की चौकियां उलट दीं।

Phir ve Yerushalem mein aaye, aur vah mandir mein gaya; aur vahan jo len-den kar rahe the unhein bahar nikalne laga, aur sarraphon ke peedhe aur kabootar ke bechne valon ki chaukiyan ulat di.

16

और मन्दिर में से होकर किसी को बरतन लेकर आने जाने न दिया।

Aur mandir mein se hokar kisi ko bartan lekar aane jane na diya.

17

और उपदेश करके उन से कहा, क्या यह नहीं लिखा है, कि मेरा घर सब जातियों के लिये प्रार्थना का घर कहलाएगा? पर तुम ने इसे डाकुओं की खोह बना दी है।

Aur updesh karke un se kaha, kya yah nahi likha hai, ki mera ghar sab jatiyon ke liye prarthana ka ghar kahlayega? Par tum ne ise dakuon ki khoh bana di hai.

18

यह सुनकर महायाजक और शास्त्री उसके नाश करने का अवसर ढूंढ़ने लगे; क्योंकि उस से डरते थे, इसलिये कि सब लोग उसके उपदेश से चकित होते थे॥

Yah sunkar mahayajak aur shastri uske naash karne ka avsar dhoondhne lage; kyonki us se darte the, isliye ki sab log uske updesh se chakit hote the.

19

और प्रति दिन सांझ होते ही वह नगर से बाहर जाया करता था।

Aur prati din saanjh hote hi vah nagar se bahar jaya karta tha.

20

फिर भोर को जब वे उधर से जाते थे तो उन्होंने उस अंजीर के पेड़ को जड़ तक सूखा हुआ देखा।

Phir bhor ko jab ve udhar se jate the to unhonne us anjeer ke ped ko jad tak sookha huaa dekha.

21

पतरस को वह बात स्मरण आई, और उस ने उस से कहा, हे रब्बी, देख, यह अंजीर का पेड़ जिसे तू ने स्राप दिया था सूख गया है।

Patras ko vah baat smaran aai, aur us ne us se kaha, he rabbi, dekh, yah anjeer ka ped jise tu ne sraap diya tha sookh gaya hai.

22

यीशु ने उस को उत्तर दिया, कि परमेश्वर पर विश्वास रखो।

Yeshu ne us ko uttar diya, ki Parmeshwar par vishwaas rakho.

23

मैं तुम से सच कहता हूं कि जो कोई इस पहाड़ से कहे; कि तू उखड़ जा, और समुद्र में जा पड़, और अपने मन में सन्देह न करे, वरन प्रतीति करे, कि जो कहता हूं वह हो जाएगा, तो उसके लिये वही होगा।

Main tum se sach kahta hoon ki jo koi is pahaad se kahe; ki tu ukhad ja, aur samudra mein ja pad, aur apne man mein sandeh na kare, varan prateeti kare, ki jo kahta hoon vah ho jayega, to uske liye vahi hoga.

24

इसलिये मैं तुम से कहता हूं, कि जो कुछ तुम प्रार्थना करके मांगो तो प्रतीति कर लो कि तुम्हें मिल गया, और तुम्हारे लिये हो जाएगा।

Isliye main tum se kahta hoon, ki jo kuchh tum prarthana karke mango to prateeti kar lo ki tumhein mil gaya, aur tumhare liye ho jayega.

25

और जब कभी तुम खड़े हुए प्रार्थना करते हो, तो यदि तुम्हारे मन में किसी की ओर से कुछ विरोध, हो तो क्षमा करो: इसलिये कि तुम्हारा स्वर्गीय पिता भी तुम्हारे अपराध क्षमा करे॥

Aur jab kabhi tum khade hue prarthana karte ho, to yadi tumhare man mein kisi ki or se kuchh virodh, ho to kshama karo: isliye ki tumhara swargeeya pita bhi tumhare apraadh kshama kare.

26

और यदि तुम क्षमा न करो तो तुम्हारा पिता भी जो स्वर्ग में है, तुम्हारा अपराध क्षमा न करेगा।

Aur yadi tum kshama na karo to tumhara pita bhi jo swarg mein hai, tumhara apraadh kshama na karega.

27

वे फिर यरूशलेम में आए, और जब वह मन्दिर में टहल रहा था तो महायाजक और शास्त्री और पुरिनए उसके पास आकर पूछने लगे।

Ve phir Yerushalem mein aaye, aur jab vah mandir mein tahal raha tha to mahayajak aur shastri aur purinaye uske paas aakar poochhne lage.

28

कि तू ये काम किस अधिकार से करता है? और यह अधिकार तुझे किस ने दिया है कि तू ये काम करे?

Ki tu ye kaam kis adhikaar se karta hai? Aur yah adhikaar tujhe kis ne diya hai ki tu ye kaam kare?

29

यीशु ने उस से कहा: मैं भी तुम से एक बात पूछता हूं; मुझे उत्तर दो: तो मैं तुम्हें बताऊंगा कि ये काम किस अधिकार से करता हूं।

Yeshu ne us se kaha: main bhi tum se ek baat poochhta hoon; mujhe uttar do: to main tumhein bataoonga ki ye kaam kis adhikaar se karta hoon.

30

यूहन्ना का बपतिस्मा क्या स्वर्ग की ओर से था वा मनुष्यों की ओर से था? मुझे उत्तर दो।

Yuhanna ka baptisma kya swarg ki or se tha va manushyon ki or se tha? Mujhe uttar do.

31

तब वे आपस में विवाद करने लगे कि यदि हम कहें, स्वर्ग की ओर से, तो वह कहेगा; फिर तुम ने उस की प्रतीति क्यों नहीं की?

Tab ve aapas mein vivaad karne lage ki yadi ham kahein, swarg ki or se, to vah kahega; phir tum ne us ki prateeti kyon nahi ki?

32

और यदि हम कहें, मनुष्यों की ओर से तो लोगों का डर है, क्योंकि सब जानते हैं कि यूहन्ना सचमुच भविष्यद्वक्ता है।

Aur yadi ham kahein, manushyon ki or se to logon ka dar hai, kyonki sab jante hain ki Yuhanna sachmuch bhavishyadwakta hai.

33

सो उन्होंने यीशु को उत्तर दिया, कि हम नहीं जानते: यीशु ने उन से कहा, मैं भी तुम को नहीं बताता, कि ये काम किस अधिकार से करता हूं॥

So unhonne Yeshu ko uttar diya, ki ham nahi jante: Yeshu ne un se kaha, main bhi tum ko nahi batata, ki ye kaam kis adhikaar se karta hoon.