Malachi 3 · 18 verses

मलाकी 3 Malachi 3 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Malaki 3.

1

देखो, मैं अपने दूत को भेजता हूं, और वह मार्ग को मेरे आगे सुधारेगा, और प्रभु, जिसे तुम ढूंढ़ते हो, वह अचानक अपने मन्दिर में आ जाएगा; हां वाचा का वह दूत, जिसे तुम चाहते हो, सुनो, वह आता है, सेनाओं के यहोवा का यही वचन है।

Dekho, main apne doot ko bhejta hoon, aur vah maarg ko mere aage sudharega, aur Prabhu, jise tum dhoondhte ho, vah achanak apne mandir mein aa jayega; han vacha ka vah doot, jise tum chahte ho, suno, vah aata hai, senaon ke Yahowa ka yahi vachan hai.

2

परन्तु उसके आने के दिन की कौन सह सकेगा? और जब वह दिखाई दे, तब कौन खड़ा रह सकेगा? क्योंकि वह सोनार की आग और धोबी के साबुन के समान है।

Parantu uske aane ke din ki kaun sah sakega? Aur jab vah dikhai de, tab kaun khada rah sakega? Kyonki vah sonaar ki aag aur dhobi ke sabun ke samaan hai.

3

वह रूपे का ताने वाला और शुद्ध करने वाला बनेगा, और लेवियों को शुद्ध करेगा और उन को सोने रूपे की नाईं निर्मल करेगा, तब वे यहोवा की भेंट धर्म से चढ़ाएंगे।

Vah roope ka tane vala aur shuddh karne vala banega, aur leviyon ko shuddh karega aur un ko sone roope ki nai nirmal karega, tab ve Yahowa ki bhent dharm se chadhayenge.

4

तब यहूदा और यरूशलेम की भेंट यहोवा को ऐसी भाएगी, जैसी पहिले दिनों में और प्राचीनकाल में भावती थी॥

Tab Yahuda aur Yerushalem ki bhent Yahowa ko aisi bhayegi, jaisi pahile dinon mein aur pracheenkaal mein bhavti thi.

5

तब मैं न्याय करने को तुम्हारे निकट आऊंगा; और टोन्हों, और व्यभिचारियों, और झूठी किरिया खाने वालों के विरुद्ध, और जो मजदूर की मजदूरी को दबाते, और विधवा और अनाथों पर अन्धेर करते, और परदेशी का न्याय बिगाड़ते, और मेरा भय नहीं मानते, उन सभों के विरुद्ध मैं तुरन्त साक्षी दूंगा, सेनाओं के यहोवा का यही वचन है॥

Tab main nyaay karne ko tumhare nikat aaoonga; aur tonhon, aur vyabhichariyon, aur jhoothi kiriya khane valon ke viruddh, aur jo majdoor ki majdoori ko dabate, aur vidhva aur anathon par andher karte, aur pardeshi ka nyaay bigadte, aur mera bhay nahi mante, un sabhon ke viruddh main turant sakshi doonga, senaon ke Yahowa ka yahi vachan hai.

6

क्योंकि मैं यहोवा बदलता नहीं; इसी कारण, हे याकूब की सन्तान तुम नाश नहीं हुए।

Kyonki main Yahowa badalta nahi; isi karan, he Yakub ki santaan tum naash nahi hue.

7

अपने पुरखाओं के दिनों से तुम लोग मेरी विधियों से हटते आए हो, ओर उनका पालन नहीं करते। तुम मेरी ओर फिरो, तब मैं भी तुम्हारी ओर फिरूंगा, सेनाओं के यहोवा का यही वचन है; परन्तु तुम पूछते हो, हम किस बात में फिरें?

Apne purkhaon ke dinon se tum log meri vidhiyon se hatte aaye ho, or unka palan nahi karte. Tum meri or phiro, tab main bhi tumhari or phiroonga, senaon ke Yahowa ka yahi vachan hai; parantu tum poochhte ho, ham kis baat mein phirein?

8

क्या मनुष्य परमेश्वर को धोखा दे सकता है? देखो, तुम मुझ को धोखा देते हो, और तौभी पूछते हो कि हम ने किस बात में तुझे लूटा है? दशमांश और उठाने की भेंटों में।

Kya manushya Parmeshwar ko dhokha de sakta hai? Dekho, tum mujh ko dhokha dete ho, aur taubhi poochhte ho ki ham ne kis baat mein tujhe loota hai? Dashmaansh aur uthane ki bhenton mein.

9

तुम पर भारी शाप पड़ा है, क्योंकि तुम मुझे लूटते हो; वरन सारी जाति ऐसा करती है।

Tum par bhari shaap pada hai, kyonki tum mujhe lootte ho; varan sari jati aisa karti hai.

10

सारे दशमांश भण्डार में ले आओ कि मेरे भवन में भोजनवस्तु रहे; और सेनाओं का यहोवा यह कहता है, कि ऐसा कर के मुझे परखो कि मैं आकाश के झरोखे तुम्हारे लिये खोल कर तुम्हारे ऊपर अपरम्पार आशीष की वर्षा करता हूं कि नहीं।

Sare dashmaansh bhandaar mein le aao ki mere bhavan mein bhojanvastu rahe; aur senaon ka Yahowa yah kahta hai, ki aisa kar ke mujhe parkho ki main aakaash ke jharokhe tumhare liye khol kar tumhare oopar aprampaar aasheesh ki varsha karta hoon ki nahi.

11

मैं तुम्हारे लिये नाश करने वाले को ऐसा घुड़कूंगा कि वह तुम्हारी भूमि की उपज नाश न करेगा, और तुम्हारी दाखलताओं के फल कच्चे न गिरेंगे, सेनाओं के यहोवा का यही वचन है॥

Main tumhare liye naash karne vale ko aisa ghudkoonga ki vah tumhari bhoomi ki upaj naash na karega, aur tumhari dakhaltaon ke phal kachche na girenge, senaon ke Yahowa ka yahi vachan hai.

12

तब सारी जातियां तुम को धन्य कहेंगी, क्योंकि तुम्हारा देश मनोहर देश होगा, सेनाओं के यहोवा का यही वचन है॥

Tab sari jatiyan tum ko dhanya kahengi, kyonki tumhara desh manohar desh hoga, senaon ke Yahowa ka yahi vachan hai.

13

यहोवा यह कहता है, तुम ने मेरे विरुद्ध ढिठाई की बातें कही हैं। परन्तु तुम पूछते हो, हम ने तेरे विरुद्ध में क्या कहा है?

Yahowa yah kahta hai, tum ne mere viruddh dhithai ki batein kahi hain. Parantu tum poochhte ho, ham ne tere viruddh mein kya kaha hai?

14

तुम ने कहा है कि परमेश्वर की सेवा करनी व्यर्थ है। हम ने जो उसके बताए हुए कामों को पूरा किया और सेनाओं के यहोवा के डर के मारे शोक का पहिरावा पहिने हुए चले हैं, इस से क्या लाभ हुआ?

Tum ne kaha hai ki Parmeshwar ki seva karni vyarth hai. Ham ne jo uske bataye hue kamon ko poora kiya aur senaon ke Yahowa ke dar ke mare shok ka pahirava pahine hue chale hain, is se kya laabh huaa?

15

अब से हम अभिमानी लोगों को धन्य कहते हैं; क्योंकि दुराचारी तो सफल बन गए हैं, वरन वे परमेश्वर की परीक्षा करने पर भी बच गए हैं॥

Ab se ham abhimani logon ko dhanya kahte hain; kyonki durachari to saphal ban gaye hain, varan ve Parmeshwar ki pareeksha karne par bhi bach gaye hain.

16

तब यहोवा का भय मानने वालों ने आपस में बातें की, और यहोवा ध्यान धर कर उनकी सुनता था; और जो यहोवा का भय मानते और उसके नाम का सम्मान करते थे, उनके स्मरण के निमित्त उसके साम्हने एक पुस्तक लिखी जाती थी।

Tab Yahowa ka bhay manne valon ne aapas mein batein ki, aur Yahowa dhyaan dhar kar unki sunta tha; aur jo Yahowa ka bhay mante aur uske naam ka sammaan karte the, unke smaran ke nimitt uske samhane ek pustak likhi jati thi.

17

सेनाओं का यहोवा यह कहता है, कि जो दिन मैं ने ठहराया है, उस दिन वे लोग मेरे वरन मेरे निज भाग ठहरेंगे, और मैं उन से ऐसी कोमलता करूंगा जैसी कोई अपने सेवा करने वाले पुत्र से करे।

Senaon ka Yahowa yah kahta hai, ki jo din main ne thahraya hai, us din ve log mere varan mere nij bhaag thahrenge, aur main un se aisi komalta karoonga jaisi koi apne seva karne vale putra se kare.

18

तब तुम फिरकर धर्मी और दुष्ट का भेद, अर्थात जो परमेश्वर की सेवा करता है, और जो उसकी सेवा नहीं करता, उन दोनों को भेद पहिचान सकोगे॥

Tab tum phirkar dharmi aur dusht ka bhed, arthaat jo Parmeshwar ki seva karta hai, aur jo uski seva nahi karta, un donon ko bhed pahichaan sakoge.